Wednesday, August 7, 2019

QURBANI ME VALIMAH YA AQIQAH KA HISAAH RAKHNA* *QURBANI ME ALLAH KA HISSA RAKHNA*

*QURBANI ME VALIMAH YA AQIQAH KA HISAAH RAKHNA*
*QURBANI ME ALLAH KA HISSA RAKHNA*

🔴Aaj ka sawal No.1815🔴

1⃣. Qurbani me valimah ya aqiqah ka hissah rakh sakte hain ?

2⃣. Ba'az log qurbani me Allah ka hissa rakhne ko kehte hai to ye kaisa hai ?

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1⃣. Ji haan, Valimah sunnat hai, sawab hai, us ka hissah rakh sakte hain, isee tarah aqiqah ka hissah bhi rakh sakte hain.

📚Mustafad kitabul masail 2,233)

2⃣. Ba'az log badey janwar me Allah ka hissa rakhne ke mutalliq puchhte hai to ye baat yaad rahe ke tamaam hisse aur tamaam qurbaniyan Allah ta'ala ke liye hi hoti hai, urf (bol-chaal ke riwaj me) 'mera hissa' 'fulaan ke naam ka janwar' bol diya jata hai, haqiqat me niyyat ye honi chahiye ke fulaan ki taraf se hissa ya qurbani Allah ta'ala ke liye me zabah karta hun.

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :
06 Zil Hijjah 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌍 http://aajkasawal.in

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...