Monday, August 5, 2019

HARAAM AUR NA JAIZ KAMAIWALE KE HISSE ME FARQ

*HARAAM AUR NA JAIZ KAMAIWALE KE HISSE ME FARQ *

⭕AAJ KA SAWAL NO.180⭕

Jis li kamai saaf haraam ho aur jus ki kamai makrooh ho un ke bade janwar me hisse lene me kya farq hai ahsanul fatawa aur kitabun nawazil ke hawale se jo masla aaya tha us me kya tatbeeq Hai

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما

Jus ki kamai saaf haraam ho jaise juwa, sharab, sood ka karobar aur chori ki wahi na jaiz haraam raqam se shirkat kare to woh khud in raqam ka sharee taur par malik nahi huwa hai isliye kisi bhi shareek ki qurbani saheeh nahi hogi aur makrooh karobar ho jaise raakhi, pataakhe wagairah bechna to us se un raqam woh malik ho jata hai lihaza aese makrooh karobar wale ke sath shirkat saheeh ho jayegi aur qurbani ada ho jayegi parsu kitabun nawazil ke hawale se jo jawaz aaya tha is se yahi surat murad hai.

📗MUSTAFAD AZ KITABUN NAWAZIL  22/540

و الله اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :
4 ZEE QA`DAH 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

📲Download App: goo.gl/wqABfs

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...