Monday, October 1, 2018

BAGAIR DARHI KE LADKON KO DEKHNAA NA-JAIZ HONE KA SUBOOT

*BAGAIR DARHI KE LADKON KO DEKHNAA NA-JAIZ HONE KA SUBOOT*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1500⭕

Bagair darhi ke ladkon ko dekhna na-jaiz hai kya yeh baat hadees se sabit hai?

Isse bachne ke liya kya karna chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Haan iska na-jaiz hona hadees se bhi saabit hai, Hazrat Abu Hurairah Radeeyallahu anhu farmate hain ke Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ne irshad farmaya, *"Insan kisi be darhi ke ladke ki taraf nigah na daale"*
Aur Hazrat Anas Radeeyallahu anhu se riwayat hai ke Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ne farmaya, *"Tum ameeron ke ladkon ke saath mat betha karo kyun ke nafs unse aisi cheez ki khvahish karta hai jiski khubsurat londiyon se bhi nahin karta"*

📗ZAMMUL HAWA SAFA
ALLAMA IBNE JAWZ RAHMATULLAHI ALAYHI KI

Lawaataat se bachne ke liye ladkon ke saath bhi tanhayi ikhtiyar nahin karni chahiye ladkon ka muaamla aurton se ziyadah sakht hai kyun ke
Hazrat sufyane sauri Rahmatullahi alayhi farmate hain ke aurat ke saath ek shaitan dekhayi deta hai magar ladke ke saath das se ziyadah shaitan dikhayi dete hain.
Agar ham kisi aurat ya ladki ke saath tanhayi ikhtiyar karenge ya usko bosa denge ya gale milenge to dekhne aur janne wale zina ka yaqeen ya shak karenge lekin ham kisi ladke ke saath yeh muaamla karen to koi shak bhi nahin karega isliye is gunah me fasne ka khatrah ziyadah hai,  lihaza isse ham bhi aehtiyat karen aur apni awlad ki bhi nigrani kare khusoosan unki dosti aur unka milna jhulna ham umron ke saath hi hona chahiye.

📘HAYAA AUR PAAK DAAMANI SAFA 255 se makhooz

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* :19 MUHARRAMUL HARAAM1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

🕌 Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

📲💻
  *اَلْحَمْدُلِلّهِ. NAYI WEB SITE*

Twitter:
https://goo.gl/szhij4

Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k

YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq

🌍 www.aajkasawal.in
Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...