TIN PATTI & SHATRANJ KHELNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.648 ⭕
time pas karne ke liye Tin patti, Shatranj aur taash khelna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Hazrat abu moosa ash'ari رضی اللہ تعالٰی عنہ se riwayat hai ke huzoor صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya jis ne nardo sheer (gotiwala khel) khela usne allah aur us ke rasool صلی الله عليه وسلم ki naafarmaani ki.
(ABU DAWOOD 2/319)
Ek aur hadees me hazrat sulaiman ibne bareedah naqal karte hai huzoor صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya jis ne nardosheer (shatranj) se khela us ne goya apne hath khinzir ke gosht aur khoon se range.
(ABU DAWOOD 2/327)
Imam abu haneefah imam malik imam ahmad Rahmatullahi alayhim is par muttafiq hai ke taash aur shatranj ka bhi yahi hukm hai nardosheer se khelna gunahe kabeerah me shumar kiya gaya hai isee se taash,shatranj aur tin patti ka andazah laga lijiye kyun ke Isme waqt zayea hota hai aur is se lahwo laib-khel tamashe ka mijaaz ban jaata hai aur dhire dhire juwe ki taraf barhta hai isliye makruhe tahrimee aur Na-jaaiz hai agar shart bhi lagaayi jaaye to juwa bhi hone ki wajah se haraam aur sakht gunaah hoga.
(Kal sawal no 647 me video game khelne ki jo 10 kharabi batai gayi us me se aksar Is me bhi pai jati hai)
📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 8/408 naeemiyah naya nuskha 7/332 purana nuskha
📘KITABUL FATAWA 6/157, 158 BA HAWALA DURRE MUKHTAR 9/566
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
phir to sabhi game haram huey qki sbhi games m waqt zaya hota hai
ReplyDeleteor raha sawal juwey ka to wo bhi har game pr khela ja sakta hai
main sirf apna view clear karna chahta hun agar m kisi ko batau or wo koi sawal kare to m usko sahi tareqe se samjha pau
Correct...As a muslim,I don't understand this answer...There is logic...
Delete