🏍LOAN SE GADEE LENE KA TAREEQAH 🚘
⭕AAJ KA SAWAL NO.653⭕
company se Gadee naqad len to 60,000 aur udhar bank's ke hafte se len to 72,000 aur badi gadi to naqad le hee nahi sakte kyun ke tex wale pakad karte hai. itne white paise kahan se laye lihaza mufti sahab koi aasan shakl batlane ki guzarish.log sood ke gunah me mubtala ho rahe hai
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
gadee naqad ke to
60 000 aur udhar hafte se bank ke zariye le to
72,000 istarah gadee lene ka kiya hukm hai?
🔵aaj ka jawab🔵
gadi khareed kee hasbe zail teen sooraten hain.
1.agar dealer ya dealer ka financier gadee bechnewala hai.chahe naqad beche ya udhar qiston- hafton par. aur sara muaamala dealer ya us ke financiers hee se ho raha hai andar me bank's ka koi dakhal nahi. to udhar khareedne ke waqt us kee naqad ke muqable kitnee zayadah qeemat denee hai aur kitne maheeno me denee hai ye baat saaf kar dee jaye aur hafton se paise ya cheque dealer hee ko diye jaye to ye muaamala jaiz hai.
2. agar bechnewala bank ya financier ho aur gadee kee chabee aur qabazah bhi usee se liya jaye aur bank ke naam se cheque diye jaye company ka bich me koi wastah na ho to ye surat bhi jaiz hai.
3.agar bechnewala dealer hai aur bank khareednewale ki taraf se dealer ko abhi pooree qeemat ada kar deta hai. aur fir aayindah qiston- hafton kee shakal me apni ada kee hui raqam kuchh zaid miqdar ke sath khareednewale se wusool karta hai ye zaid miqdar sood kehlati hai isliye shariat me ye muamala durust nahee.
(mahmoodul fatawa 3/50 murshidee hazrat aqdas mufti ahmad khanpooree d. b. kee)
🚫 allah taala tamam jawab denewalon ko aage bhejnewalon aur parhnewalon ko shariat kee sahoolaton ko samajhne kee aur us se zaroorat ke waqt faidah uthane kee taufeeq ata farmayen
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment