PEPSI COMPANY KI BANAI HUI CHEEZ KA LEN DEN
⭕AAJ KA SAWAL NO.663⭕
Islam Me pepsi company Ki banai huwi cheezon ke le bech Ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Pepsi wagerah me agar pepen milaya jata he to uske Halal o Haram hone or uski le Bech ke bare me tafseel he wo ye ke,
agar ye pepen kisi aise janwar jo ki Halal aur sharaee tor per zabah kiya gaya ho uske hisse se hasil kiya gaya he to uska khana peena Halal aur le Bech jaiz he.
Aur agar ye pepen insani janeen-pet ke bachche or suwwar-khinzir se ya aise janwar se hasil kiya gaya ho jo Halal hone ke bawajood sharaee tor par zabah na kiya gaya ho to uska khaana peena Haraam or Le Bech bhi na jaiz he.
albatta agar kisi khas kimyawi amal ke zariye uski mahiyyat-asliyyat-haqeeqat badal kar usme shamil kiya gaya ho to uska khana pina or le bech karna jaiz hoga.
Aur agar in cheezon ke mutalliq yaqeeni tor per maloom na ho ya galib guman na ho ki isme murdar ya suwwar ka pepen bager mahiyat tabdeel kiye shamil kiya gaya he to bhi in cheezon ke istemal aur le bech ki gunjaish he.
Albatta agar koi ehtiyat per amal karte hue usse parhez kare to ye bahut achcha he.
📗(khane pine ki Halal o haraam cheezon se liya hua hai)
✏MUFTI BAHADOOR
Darul ifta binnoria karachi.fatawa no.10824
✒ROMAN WRITER MAULANA USAMA HAKEEM SAHAB
و اللہ اعلم
Ba'd Salaam masnoon,
ReplyDeletePepsi mein pepen naam ki koi ajza' naheen hain. Ghalti dar asl Maulana Usama Saheb ki hai keh unhoon ne pepsin ko pepen samjha. Aur us per yeh ke, Az ro'e tahqeeq dar mufti bahadoor saheb, nayee ashyaa' ke bare main fatwa denay se qabl jaanch partaal mukammal honi chahiyay.
Pepsi mein pepsin bhi isti'mal nahee hoti. Pepsi Cola company walo ne is da'way ko kayee saal qabl mustarad kar diya tha. Goh Pepsi ki wikipedia link mein likha hai ke Pepsi shuru mein pepsin enzyme ke saath banaya gya tha, lekin is ka hawalah pepsistore ka diya gya hai. Is hawalay per saaf likha hai ke pepsin kabhi bhi ajza' mein shuru se naheen shaamil tha.
Pepsi ke gird buhooth alcohol ke hisaab se hain, jo to kisi bhi carbonated drink mein mil jayegee goh bohot qaleel miqdar mein sahi. Yeh solvents aur flavourents mein bhi mil jata hai. khamr e haqeeqi mein se nahee. Gharz abh tak pepsi mein koi khaas wajah adm jawaz ki nahee hai.
wiki : https://en.wikipedia.org/wiki/Pepsi
pepsi store : http://www.pepsistore.com/history.asp
Ma' Salaam
~George