AURAT KA ILAJ MARD SE
⭕AAJ KA SAWAL NO.666⭕
Aurat Ka ilaj mard doctor se karwa sakte hai Ya nahin ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Tabeeb (Doctor) ke liye Aurat ka ilaaj zarurat ki bina per jaa'iz hai,
Agar koi Mu'alij Aurat (Lady Doctor) mil sake to usse ilaaj karana zaruri hai,
Agar koi Aurat na mil sake to Mard ko chahiye ke Aaza e Mastoora-satar ke badan ka khususan Sharmgah ka ilaaj ka tareeqa kisi Aurat ko bataa de, khud ilaaj na kare,
Agar kisi Aurat ko batana bhi mumkin na ho aur Marizah Aurat ki halaakat ya naqabile bardasht takleef ka andesha ho to laazim hai ke takleef ki jagah ke alawa tamaam badan dhaank diya jaye,
Bachcha Janaa'i-delivery ka kaam khaas Aurato'n ka kaam he, Agar muamla Aurto'n ke qaabu se bahar ho (maslan operation ki zarurat ho aur operation karne wali koi Lady Doctor bhi mojood na ho) to uper guzri Sharto'n ke saath Mard ilaaj kar sakta hai.
✏Mufti Yusuf ludhyanvi shaheed Rahmatullahi alayhi.
📗Aapke Masail aur unka Hal, 8/54
و اللہ اعلم
(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.
🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.
No comments:
Post a Comment