Thursday, August 8, 2019

HAJI KITNI QURBANI KARE ?

*HAJI KITNI QURBANI KARE ?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1816⭕

Jo log hajj me jaate hain un per baqra eid (eiduzzuha) wali maal daari ki qurbani wajib hai ya nahin.. ?? 

🔵Jawab🔵

Baqra eid wali qurbani maal daar musafir per wajib nahin hoti, balke apne ghar per ho ya aur kahin bhi 15 din ya usse ziyadah thehre to qurbani wajib hogi,

Agar haaji hajj ke dino ko mila kar 15 din Makkah mukarramah me theherne wala hai to agar woh maaldaar hai to us per baqra eid wali qurbani wajib hogi, chahe wahaan kare, chahe apne ghar per karwa le.
(Hajj ki qurbani alag hai, uska masala alag hai.)

(Jo hazraat hajj e tamattu ya qiran karte hain un per hajj ki qurbani to wajib hai hi aur agar woh maal daar aur muqeem hain to un per baqra eid ki qurbani bhi wajib hogi)

Aur agar 15 din nahin theherna to woh musafir hoga us per baqra eid wali qurbani wajib nahin.

Note:  jadeed zamane ke eatebar se aksar muftiyane kiraam ki raay ke mutabiq mina, muzdalifa ab Makkah mukarramah ke hudud (boundary)  me dakhil hain, lihaza un dino ko mila kar 15 din ho jayenge to woh muqeem kehlayega aur maal daari ki qurbani wajib hogi.

📚Kitabul masail, mahmudul fatawa, fiqhi seminar ka fesla bhi isi per he.

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :
07 Zil Hijjah 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌍 http://aajkasawal.in

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...