Saturday, January 5, 2019

🎁SHADI ME TOHFE KE LEN-DEN KI KHARABIYAN✉

*🎁SHADI ME TOHFE KE LEN-DEN KI KHARABIYAN✉*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1600⭕

Shadi me khane ke baad paise ka cover, nayota, hadya, chadla, vehvar dena kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Faqeehul asr hazrat mufti rashid ludhyani rahmatullahi alayhi tahreer farmate hai aese nayote me chand kharabiya hain.

1.
Ye hadya (vywahar, chaandla, ) ki raqam ya saman zabardasti wasool kiya jata hai, is taur par ke na dene walon ko bura kaha jata hai.
(aajkal to nikalne ke raste par table hi laga diya jata hai aur nam likhe jate hai, isliye aadmi sharma sharmi me na dene ka irada ho to bhi de deta hai, sharma me dalkar dili razamandi ke bagair wasool karna bhi jaiz nahi)

2.
Dene wale ki niyyat shohrat aur nam kamane ki hoti hai, aesi niyyat se jaiz kaam bhi na jaiz ho jate hai.

3.
us rasm ko farz aur wajib ki tarah pabandi aur aehtamam se ada kiya jata hai
(haisiyyat ya irada na ho to bhi dete hai)
halan ke is qism ki pabandi aur zaroori samjhne se jaiz aur mustahab  kaam ko bhi chhod dena wajib ho jata hai.

4.
Ye raqam aur saman ba qaida likha jata hai, jin ka moqe par ada karna zaroori samjha jata hai, aur sakht zaroorat ke bagair qarz ka len dain na jaiz hai.
qarz hone ki soorat me us ki adaygi, maut hone ki surat me us me wirasat ki taqsim, us ka istiamal aur intiqal ke baad ayindah ye qarza kis ko ada kiya jaye is ke bahut se pechidah masail khade ho jate hai,  jo muftiyan wa ulama e kiram se maloom kiye ja sakte hai.

lihaza ye len-den na jaiz hai.

📗AHSANUL FATAWA 5/148 SE MAKHOOZ

و اللہ اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :
29 RABIUL AAKHAR 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...