Monday, January 16, 2017

RA'KAT NA CHHUT JAAYE IS LIYE WUZU ME SUNNAT CHHOD DENA

*RA'KAT NA CHHUT JAAYE IS LIYE WUZU ME SUNNAT CHHOD DENA*
*रकाअत न छूट जाये इस लिए वुज़ू में सुन्नत छोड़ देना*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 899 ⭕

Namaz ki jamaat khadi ho jaye ya pichhe log wuzu karne muntazir ho, to jamaat ko hasil karne ke liye sirf wuzu ke faraiz par iktifa karna aur sunnato ko chhod dena kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

Aesa karna saheeh nahi he. kyun ke Jamaat se namaz padhna bhi sunnat he or wuzu ke baqiya a'aza dhona bhi sunnat he. Is sunnat ka haq muqaddam he

📘masaile wuzu

⭕आज का सवाल न.८९९⭕

नमाज़ की जमात खड़ी हो जाये या पीछे लोग वुज़ू करने मुंतज़िर हो, तो जमात को हासिल करने के लिए सिर्फ वुज़ू के फ़राइज़ पर इकतेफ़ा करना और सुन्नतों को छोड़ देना कैसा है ?

🔵जवाब🔵

ऐसा करना सहीह नहीं है, क्यों के जमात से नमाज़ पढ़ना भी सुन्नत है और वुज़ू के बकिया आज़ा धोना भी सुन्नत है. और इस सुन्नत का हक़ मुक़द्दम है.

📘मसाइले वुज़ू
 
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat,india

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, January 15, 2017

GUSAL KE MAKROOHAAT

GUSAL KE MAKROOHAAT
غسل کے مکروہات

⭕AAJ KA SAWAL NO.898 ⭕

GUSAL KE MAKROOHAT KYA HE ?  

🔵JAWAB 🔵

1 Nanga Hokar Nahane Wale Ko Qible Ki Taraf Rookh Karna.
2 Bila Zarurat Aaisi Jagah Nahana Jaha Kisi Gair Mahram Ki Nazar Pahonch Sake.
3 Gusal Me Bismillah Ke Siwa Aur Duao Ka Parhna.

📗 ilmul Fiqah 1/95 Bahawala Masaaile Gusal

Jaise Ke Baaz Log Gusal Ke Akhir Me Kalma Padhte He Ye Bhi Makrooh He.
4 Bila Zarurat Baat-Chit Karna.
5 Napaki Ki Haalat Me Zere Naaf Saaf Karna.
6 Jitni Chize Wuzu Me Makrooh He, Gusal Me Bhi Makrooh He.

📘ilmul Fiqah 1/95 Bahawala Masaile Gusal 
 
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat,india

Saturday, January 14, 2017

MUSHABAT KA MATALAB & IBRATNAK QISSA*

*MUSHABAT KA MATALAB & IBRATNAK QISSA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.897⭕

Jo kisi qaum ki mushabat ikhtiyar kare woh unhee me se hai is ka kya matlab hai?tafseel se batayen

🔵JAWAB🔵

hadees ka matlab ye hai ke jo shakhs kisi bhi gair qaum-mazhab walon ki mushabahat,naqqali aur copy un ki mazhabee cheezon me un ki mazhabi nishaniyon,khushi aur gami me karega us ka hashr yani qayamat ke din uthaya jana un hi ke sath hoga us shumar bhi kafiron me hoga yani un ke liye azab aur jahannam me jane ka fesla hoga to is mazhabi mushabahat karnewale ke liye bhi azab aur jahannam me jane ka fesla hoga.hashar ka matlab samjhne ke allah ne dunya hee me kai waqiaat hamen dikha diye jis me se ek muatabar waqiaa pesh karta hun.

NASRANIYON KE TAUR-O-TARIQE PASAND KARNE WALE AALIM KA IBRATNAAK QISSAH

📄hazrat imaam-e-Rabbani maulana rashid Ahmad gangohi rh.ne irshad farmaya :

Kanpur me koi nasraani jo kisi aa'la ohde par tha woh muslaman ho gaya tha, Magar asliyyat chhupa rakhi thi,
Ittefaq se uska tabadla (transfer) kisi dusri jagah ho gaya, usne un molvi sahab ko jisse usne islam ki baaten sikhi thi, apne tabadla se muttale'a kiya (ittela di) aur tamanna ki ke kisi deendaar shakhs ko mujhe den, jisse ilm haasil karta rahun, chunanche molvi sahab ne apne ek shagird ko unke sath kar diya,

Kuchh arse baad ye nasrani (jo musalman ho chuka tha) wo bimar huwa to molvi sahab ke shagird ko kuchh rupiye diye, aur kaha ke jab me mar jaaun aur isaai jab mujhe apne qabrastan me dafan kar aaye to raat ko ja kar mujhe wahan se nikalna aur muslamano ke qabrastan me dafan kar dena,

Chunanche waisa hi huwa, jab molvi sahab ke shagird ne hasbe wailsiyyat jab qabr kholi to dekha ke usme wo nasrani nahin, Albatta wo molvi sahab pade huwe hai, to sakht pareshan (sharminda) huwa ke ye kyaa maazra hai..! Mere ustaad yahaan kaise..!

Aakhir daryaft se malum hua ke maulana sahab nasrani ke toro tariqo ko pasand karte the aur usey achchha jaante the.

📘(Irshadate hazrat gangohi rh. safa 65)

👇🏻👇🏻👇🏻
Mere bhaiyo,
ye molvi sahab sirf gairon ke tariqon ko pasand karte the, us par chalte nahi the, to Allah ne duniya hi me jiska tariqa unko pasand tha uske saath hashr kar diya,

Hum to gairon ke tariqon par chalte hai, balke us par naaz karte hai,aur fakhr se manate hai to hamara kyaa hashr hoga..!
socho
Aur apni shaklo surat, libaas, rahan sahan, khushi gami me islami tariqon ko layen aur ham gairon ke tehwar manane se bachen
👏🏻Allah hamen taufiq de.
Aamin.

✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
 

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat,india

Friday, January 13, 2017

KITNE PANI SE GUSAL KARNA CHAHIYE

KITNE PANI SE GUSAL KARNA CHAHIYE ?
कितने पानी से गुस्ल करना चाहिए?
કિતને પાની સે ગુસલ કરના ચાહિયે?

⭕AAJ KA SAWAL NO.896 ⭕

KITNE PAANI SE GUSAL KARNA BEHTAR HE ?

🔵JAWAB🔵

Huzur ﷺ Ek Saa Pani Gusal farmate The. Bukhari Ek Saa Yani 3 K.G. 150 K.G. Islam Me Paani Zaye Karne Ki Ijazat Nahi Agarche Aap Behti Nadi Ke Kinare Kyu Na Ho.  Mafhume Hadise Mishkat.kal.qayamat ke din jitna pani zayadah istiamal kiya hoga un qatron ka bhi hisab dena padega lihaza pani ke istiamal karne bahut hi aihtiyat se kaam le

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

⭕आज का सवाल नं ८९६⭕
कीतने पानी से गुसल करना बेहतर है ?

🔵जवाब🔵
हुज़ूर ﷺ १ सा'अ पानी से ग़ुस्ल फरमाते थे.
📗बुखारी शरीफ

१ सा'अ याने ३ किलो १५० ग्राम

इस्लाम में पानी जाए'अ करने की इजाज़त नहीं अगर चे आप बहती नदी के किनारे क्यों न हो.
📗मफ़हूम हदीस मिश्क़ात

कल क़यामत के दिन जीतना पानी ज़ियादा इस्तेमाल किया होगा उन कतरों का भी हिसाब देना पड़ेगा. लिहाज़ा पानी के इस्तेमाल करने में बहोत ही एहतियात से काम ले.

⭕ آج کا سوال نمبر ۸۹۶⭕

کتنے پانی سے غسل کرنا بہتر ہے؟

🔵 جواب 🔵

حضور صلی اللہ علیہ وسلم ایک صاع پانی سے غسل فرماتے تھے.
بخاری ایک صاع یعنی ۳ کیلو ۱۵۰ گرام
اسلام ميں پانی ضائع کرنے کی اجازت نہیں ہے اگرچہ آپ بہتی ندی کے کنارے کیوں نہ ہو
... مفہوم حدیث مشکوة
قیامت کے دن جتنا پانی زیادہ استعمال کیا ہوگا ان قطروں کا بھی حساب دینا پڑیگا لہذا پانی کے استعمال کرنے میں بہت ہی احتیاط سے کام لے

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, January 11, 2017

GUSL KE FARAAIZ KI TAFSEELAT

*GUSL KE FARAAIZ KI TAFSEELAT*
*गुस्ल के फ्राइज़ की तफ़सीलात*

⭕AAJ KA SAWAL NO.895⭕

GUSAL KE FARZ KONSE HE ?
  
🔵JAWAB🔵

1 Tamam Badan Ke Zahire Hisse Ka Sarse Pair Tak Dhona. Is Tarah Ke Baal Ke Barabar Jism Ka koi Hissa Sukha Rahne Na Paye. Naaf Ka Dhona Farz He. Darhi, Munchh aur Unke Niche Ke Hisse Ka Dhona Farz He. Agar Che Ye Chize Ghani(Geech) Ho Aur Unke Niche Ki Jagah(Chamri) Nazar na Aati Ho. Sar Ke Baalo Ka Dhona Farz He Agarche Unme Gond(Koi Chikni Chiz) Lagi Ho. Anguthi Agar Tang Ho Kaan Ke Surakho Me Baaliya Ho Ke Bagair Harkat Diye Huwe Pani Jism Tak Na Pahuche To Unka Harkat Dena Farz He Aur Kaan Ke Surakho Me Agar Baaliya Na Ho Aur Surakh Agar Band Na Huwe Ho To Haath Se Male Huwe Ya Koi Tinka Wagairah Daalkar Unme Paani Pahuchana Farz nahi

📘Ilmul Fiqah - 93  Hidayah - 1/10

2.Kulli Karna Lekin Gargarah Karna Farz Nahi He Jaisa Ke Logo Me Mashhur He.
3.Naak Me Pani Daalna Lekin Naak Ki Naram Haddi Tak Pani Pahuchana Farz Nahi Balke Behtar He.
📙Kitabul Fiqah - 1/180
Albatta Naak Ke Andar Jo Mail Naak Ke Luaab(Rinth) Se Jam Jata He Usko Chhurakar Us Ke Niche Ki Satah(Hisse) Ka Dhona Wajib He.

📗Ilmul Fiqah 1/94 Bahawala Masaile Gusal Safa 21
 

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

⭕आज का सवाल नं ८९५⭕

ग़ुस्ल के फ़र्ज़ कौन से है ?

🔵जवाब🔵

१. तमाम  बदन के ज़ाहिरी हिस्से का सर से पैर तक धोना. इस तरह के बाल के बराबर जिस्म का कोई हिस्सा सूका न रहे नाफ़ का धोना फ़र्ज़ है, दाढ़ी मूंछ और उसके नीचे के हिस्से का धोना फ़र्ज़ है, अगर चे ये चीजें गिच (घनी) हो, और उनके नीचे की जगह (चमड़ी) नज़र न आती हो, सर के बालों का धोना फ़र्ज़ है, अगर चे उसमे गोंद (कोई चिकनी चीज़) लगी हो, अंगूठी अगर तंग हो, कान के सुराखों में अगर बालियां हो के बगैर हरकत दीये पानी जिस्म तक न पोहचे तो उनका हरकत देना फ़र्ज़ है, और कान के सुराखों में अगर बालियां न हो और सुराख़ अगर बंध न हुवे हो तो हाथ से मले कोई तिनका वगेरह दाल कर उनमे पानी पोहचाना फ़र्ज़ नहीं

📗इल्मुल फ़िक़ह ९३
📗हिदाया १-१०

२. कुल्ली करना, लेकिन गरगरा करना फ़र्ज़ नहीं है, जैसा के लोगों में मशहूर है,

३. नाक में पानी डालना, लेकिन नाक की नरम हड्डी तक पानी पोहचाना फ़र्ज़ नहीं, बल्कि बेहतर है.
📗किताबुल फ़िक़ह १-१८०

अलबत्ता नाक के अंदर जो मेल नाक के लुआब (रिंथ) से जम जाता है उसको छुड़ा कर उसके नीचे की सतह (हिस्से) का धोना वाजिब है.
📗इल्मुल फ़िक़ह १-१९४
बा हवाला मसाइले ग़ुस्ल सफा २१

📝मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌मुदर्रिस दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, January 10, 2017

GUSAL KI SHART

*GUSAL KI SHART*
*ग़ुस्ल की शर्त*

⭕AAJ KA SAWAL NO.994⭕

KIN HALAT ME GUSAL SAHIH NA HOGA ?  

🔵JAWAB🔵

Jin Chizo Se Gusal Wajib Hota He Un Chizo Ka Halate Gusal Me Na Hona Koi Aurat Haiz(Mahwari) Ya Nifas(Bachche Ki Paidaish Ke Baad Aane Wala Khoon) Ki Haalat Me Gusal Kare Ya Koi Mard Mani Girne Ki Haalat Me Gysal Kare To Gusal Sahi Nahi Hoga.  Ilmul Fiqah 1/84  

 
KIN HALAT ME GUSAL SAHIH NA HOGA ?  
JAWAB
Jin Chizo Se Gusal Wajib Hota He Un Chizo Ka Halate Gusal Me Na Hona Koi Aurat Haiz(Mahwari) Ya Nifas(Bachche Ki Paidaish Ke Baad Aane Wala Khoon) Ki Haalat Me Gusal Kare Ya Koi Mard Mani Girne Ki Haalat Me Gysal Kare To Gusal Sahi Nahi Hoga.  Ilmul Fiqah 1/84  

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

⭕आज का सवाल नं ८९५⭕

किन हालत में ग़ुस्ल सहीह न होगा ?

🔵जवाब🔵

जीन चीजों से ग़ुस्ल वाजिब होता है उन चीजों का हालाते ग़ुस्ल में न होना, कोई औरत हैज़ (माहवारी) निफ़ास (बच्चे की पैदाइश के बाद आने वाला खून) की हालत में ग़ुस्ल करे या कोई मर्द मनी गिरने की हालत में ग़ुस्ल करे तो ग़ुस्ल सहीह नहीं होगा.

📗इल्मुल फ़िक़ह १/८४

📝मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌मुदर्रिस दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

💻📱
http://www.aajkasawalhindi.page.tl

💻📱
http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, January 9, 2017

MANTR SE ILAAJ

मंत्र से इलाज
MANTR SE ILAAJ

मंतर के ज़रिये इलाज करवाना

⭕आज आ सवाल नं. ८९४ ⭕

बीमारी वगेरह परेशानी में गैर मुस्लिम से ख़िलाफ़े तौहीद मंतर पढ़ा कर दम करवाना कैसा है ?
(जब के बहोत लोगों को उससे फ़ायदा भी होता है)

🔵जवाब🔵
जब यकीन है के तौहीद के खिलाफ और शीरकीयह मंतर पढ़ा है तो उससे इलाज करवाना नाजाइज़ है,

रही बात फ़ायदा की तो इब्ने मसूद रदि. से रिवायत है के उनकी अहलिया की आँख में तकलीफ होती थी तो वो एक यहूदी के पास दम करा लेती तो फ़ौरन अच्छा हो जाता, तो इसका तज़किरह उनके सामने किया तो इब्ने मसूद रदि. ने फ़रमाया के असल में शैतान आँख को कुरेदता था तो जैसे ही वो यहूदी दम करता था तो शैतान अपना हाथ रोक लेता था, तो ये शैतानी हरकत है,
(आमिल और शैतान की मिलीभगत है, सिफी (सिफली)अमल में ऐसा होता है)
तुम्हारे लिए huzur ﷺ  के बताये हुवे कलिमात काफी है, वो ये है

اذهب الباس رب الناس و اشف انت الشافي لا شفاء الا شفاءك شفاء لا يغادر سقما

(इसे ३ बार पढ़ कर दर्द वाली जगह पर दम करे, आगे पीछे दुरूद शरीफ पढ़े)

📗फतावा रहीमीयह १/४३
बा हवाला तलबिसे इब्लीस १२६८

📝मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌मुदर्रिस दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

MANTAR KE ZARIYE ILAJ KARANA

⭕Aaj ka sawal no. 894 ⭕

BIMAREE WAGAIRAH PARESHANI ME GAIR MUSLIM SE KHILAFE TAUHEED MANTR PARHAKAR DAM KARANA KESA HAI?
[JAB KE BAHOT SO KO US SE FAIDAH BHI HOTA HAI]

🔵JAWAB🔵

JAB YAQEEN HAI KE TAUHEED KE KHILAF AUR SHIRKIYAH MANTRA PADHA HAI TO US SE ILAJ KARANA NA JAIZ HAI,
RAHI BAAT FAYDE KI TO IBNE MASOOD RADEEYALLAHU ANHU SE RIWAYAT HAI KE, UN KI AHLIYA KI AANKH ME TAKLEEF HOTI THI, TO WOH EK YAHOODEE KE PAS DAM KARA LETI, TO FAURAN ACHACHHA HO JATA, TO IS KA TAZKIRAH UN KE SAMNE KIYA, TO IBNE MASOOD RADEEYALLAHU ANHU NE FARMAYA KE, ASAL ME SHAITAN AANKH KO KUREDTA THA, JESE HI WOH YAHOODEE DAM KARTA THA SHAITAN APNA HATH ROK LETA THA, TO YE SHAITANI HARKAT HAI (AAMIL AUR SHAITAN KI MILIBHAGAT HAI. SIFEE AMAL ME AESA HOTA HAI)

TUMHARE LIYE HUZOOR ﷺ KE BATLAYE HUWE KALIMAT KAFI HAI WOH KALIMAT YE HAI.

اذهب الباس رب الناس و اشف انت الشافي لا شفاء الا شفاءك شفاء لا يغادر سقما

AZHIBIL BASS RABBI NAAS WASHFI ANTAS SHAAFEE LAA SHIFAAA ILLAA SHIFAAUKA SHIFAAAN LAA YUGAADIRU SUQMAA

(YANI ISEY TIN BAR PADH KE DARD WALI JAGAH PAR DAM KARE, AAGE PICHHE DUROOD SHAREEF PARHE)

📗FATAWA RAHEEMIYAH 1/43
BA HAWALA TALBEESE IBLIS 1268

📝MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
🕌MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...