Tuesday, January 5, 2016

LAMBI MUDDAT DOOR RAHNE SE TALAQ

LAMBI MUDDAT DOOR RAHNE SE TALAQ

⭕AAJ KA SAWAL NO.567⭕

Meri bivi apne mayke jhagda kar ke chali gai aaj ek sal ho gaya hamari mulaqat nahi hui to kiya is tarah itna lamba time door rahne se talaq ho gai ? ya nikah me kuchh khalal waqia huwa?

🔵JAWAB🔵

mazkoorah surat me na talaq waqia hui na nikah me koi khalal waqia huwa jab tak talaq na dee jaye bivi se judaee me chahe kitne hi saal guzar jaye talaq khud ba khud nahi padti.

📗HIDAYAH SAANI SE MAKHOOZ
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, January 4, 2016

COMPANI YA SETHH KI TARAF SE SAFAR KE LIYE MILI HUI RAQAM KA HUKM.

COMPANI YA SETHH KI TARAF SE SAFAR KE LIYE MILI HUI RAQAM KA HUKM.

⭕AAJ KA SAWAL NO.566⭕

Compani, sethh ya dayee-dawat denewale ne safar ke liye pese diye the us me se kuchh bach jaye to woh apne paas rakh sakte hai?

🔵JAWAB🔵

In peson ko wapas karna chahiye kyun ke in peson ka malik nahi banaya jata balke ye pese safar ke liye diye jate hai isliye safar pura hone ke baad pese asal malik ko lotana zarooree hai.

📗HUQOOQUL IBAAD SAFA 68 SE MAKHOOZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, January 3, 2016

गैर मुस्लीम लोगों कि तरफ से यह ऐतिराज़ कीया जाता है के हुज़ुर सल्लल्लाहु अलयही वसल्लम ने हज़.आइशा रदीयल्लाहु अन्हा से जीन की उम्र सिर्फ 6 सील थी जो बेटी की उम्र है उन्से इस उम्र में निकाह क्युं किया ?

⭕सवाल⭕

🔵जवाब🔵

निकाह 6 साल की उम्र हुआ लैकिन रुख्सती(बीदाई) 9 साल की उम्र (गर्म मुल्को में बालीग की- पक्की उम्र वाली होने कि उम्र) में हुई थी,अरब में बडी उम्र वाले का छोटी उम्र वाले से निकाह करना आम था, कोइ तअज्जुब की चिज़  ही नहीं था इसलीये कुफ्फार और यहुदीयों ने नबी सल्लल्लाहु अलयही वसल्लम पर बहोत से ऐतिराज़ - इश्काल किये और नबी सल्लल्लाहु अलयही वसल्लम को अल्लाह की पनाह बुरे अल्काब जैसे कि जादुगर,दिवाना झूठा वगैरह कहा लैकिन आज- कल के काफिरों ने जिन लकब का ईस्तेमाल किया वोह किसी ने नहीं किया, इस कम उम्र की शादी की असल वजह नुबुव्वत और खिलाफत (नबी की जगा संभालने का ओहदा) के दरमीयान तअल्लुक की मज़बुती थी, क्युंकि नबी ए करीम  सल्लल्लाहु अलयही वसल्लम के बाद खिलाफत का सिलसिला अल्लाह को हज़रत अबुबक्र रदी.से चलाना था खिलाफत को नबी के घराने से जोडना मकसुद था.
अरब की गर्म (होट) आबोहवा ईन्सानी बदन को बढाने (डेवलपमेन्ट) में ईम्पोर्टन्ट -खास रोल अदा करती है और दुसरी बात येह अल्लाह तआला कुछ लोगों को हाइट-बोडी उम्र और दिमाग (ब्रेइन) पावर एबीलीटी दुसरे लोगों से बढ कर देता है.अल्लाह तो बहोत बडा है अगर वोह किसी बात का हूक्म दे और छोटी लड़की का से बडी से बडी उम्र की लडकी का काम लेना चाहे तो वोह काम हो जाता है.
लेकिन वोह लोग नहीं मानते जिन के दिलों पर मुहर:सील लगा दीया गया है.अल्लाह तआला कुर्आन में इर्शाद फरमाते है के
" अल्लाह ने इन (कुफ्फार) के दिलों और उन्के कानों पर मुहर लगा दी है और उन्की आँखो पर परदह पड़ गया है (ईस्लिये उन्की समज़ में नहीं आता) वोह सख्त अज़ाब के मुस्तहिक (लायक) हैं.
एक नवजवान ने बताया के आजकल 12 साल की लड़कीया 55 साल के सलमान खान से शादी करने के लिए बेचेन हैं हमारे नबी के प्रसनालिटी और खूबसूरती सलमान खान से 100 टका ज़यादा थी और हज़रात आइशा रदीअल्लाहु अन्हा इस् निकाह से सब बीबियों से ज़यादा खुश थी और इज़्ज़त और फख्र महसूस करती थी

✏ मुफ्ती ईमरान ईस्माइल मैमन
उन्की मगफिरत की जाए
मुदर्रीस दारुल उलुम रामपुरा  सूरत,गुजरात,ईन्डीया.

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
📱 रोमन उर्दु में मसाईल जानने के लिये ज़रुर देखीये

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Daftari Umoor ( Office Time ) me Dayaanat dari ke sharee Usool kyaa hai?

NOKRI KARNEWALON KE LIYE TIME KE USOOL

⭕AAJ KA SAWAL NO.565⭕

Daftari Umoor ( Office Time ) me Dayaanat dari ke sharee Usool kyaa hai?

🔵JAWAB🔵

is Masle me usool ye he k dukan (Department ) ke qanoon ke lihaaz se Daftar ki haazri (attendance) ka ek waqt muqarrar hota he aur isi ki Mulazim ( Employee ) ko  Tankhwah ( salary ) di jati he ,
isliye muqarrah waqt se gair haaziri jaa’iz nahi, aur gair haazri ke waqt ki Tankhwah bhi halaal nahi,

★ Lekin baaz soorto me Maslan kisi mulazim ko fori taur per ( koi kaam ki vajah se) Jane ki achanak zaroorat pesh aa gayi ,Esi soorat me Afsar (sethh-Officer ) se ijazat lekar Jane ki gunzaish he ,

→ Lekin Waqt se pehle Jane ka ( ya Waqt per nahi aane ka ) mamool bana Lena qanoon ki nazar me Jurm he aur Jo Hazraat waqt se pehle Jane (ya late aane ka ) ka mamool bana lete he’n unke liye gair haazri ke waqt ki Tankhwah halaal nahi hogi,isliye pure maheene ke jitne ghante bante hai us ki tankhah katwaana ya sethh-boss se muaaf karwana zarooree hai sethh-malik ko bhi chahiye jis tarah late aane ki tankhaa katte hai isee tarah  latte jane ki-over time ki bhi tankhah dena zarooree hai

📗Aapke Masail aur Unka Hal Jild – 8, Safa No. 157 se makhooz
✏haq ka dayee ansar ahmad

®TASDEEQ,TASHEEL IZAFA IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, January 2, 2016

Sarkaari,Daftari Samaan Ka  Niji-personal Istemaal  Karna kesa hai?

SARKARI CHEEZON KA ZATI ISTIAMAL

⭕AAJ KA SAWAL NO.564⭕

Sarkaari,Daftari Samaan Ka  Niji-personal Istemaal  Karna kesa hai?

🔵JAWAB🔵

Sarkaari Saamaan,sethh ke saaman ko ghar le Jana durust nahi,magar ye k Sarkaar,sethh ki taraf se ijazat ho,
Usool ye he k Sarkaari cheezo ko unhi maqasid ke liye istemal kiya ja sakta he,jiski Sarkaar ki taraf se ijazat he,
→ Maslan agar Sarkaar ki taraf se niji (personal) kaamo ke liye stationary ya Motor Gaadi ko istemal ki ijazat nahi to iska istemal galat aur laayiq e pakad he ,

📗Aapke Masail aur Unka Hal ,, Jild ,8 – Safa no. 149
✏ haq ka dayi  ansar ahmad

✅TASDEEQ,TASHEEH TASHEEL IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899 ☝🏿
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, January 1, 2016

🌺Nikaah ki ijazat ke waqt Gawaah banana.

🌺Nikaah ki ijazat ke waqt Gawaah banana.

⭕AAJ KA SAWAL NO.663⭕

Ladki ghar ho aur us se ijazat lene ke waqt gawah hona zarooree hai ?

🔵JAWAB🔵

✪ Ladki agar majlise Aqd me mojood na ho balki ghar me ho to esi surat me umuman ladki ke Walid, Chacha ya Mamu vagera koi mehram rishtedar ijazat lete he’n,

Fir majlise Aqd me Nikaah padhane wale ko wo ijazat muntqil-transfar ki jati he,
x
✪ Ladki se ijazat Talab karte waqt gawaho’n ka mojood hona mustahab he, zaruri nahi,gawah bhi ladki ke mahram ho to hee mustahab hai.
lihaza hamare muaashare me jo na nahram gawah kadkiyon ke majmia me ghus jate hai ye bilkul jaiz nahi.

⇛ Albatta Nikaah padhate waqt 2 gawaho’n ki mojoodgi zaruri he, Jo Eyjaab v Qubool ke alfaz ko sune aur samjhe,aur us waqt to majmaa aksar hota hee hai.

📗 Ba- Hawala Durre mukhtar

📘Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 43

✏Haq ka dai ansar ahmad

✅TASDEEQ  TASHEEH WA IZAFA

IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, December 31, 2015

waris chhote bete ke liye marhoom ne koi wasiyyat ki thi to kya wasiyyat ke mutabiq us chhote bete ko kuchh diya jayega?

📄WAARIS KE LIYE WASIYYAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.562⭕

🛡waris chhote bete ke liye marhoom ne koi wasiyyat ki thi to kya wasiyyat ke mutabiq us chhote bete ko kuchh diya jayega?

🔵JAWAB🔵

🎐Marhoom ne apne kisi waris ke liye masalan maa bap ,shohar, bete wagairah ke liye wasiyyat ki to ye wasaiiyat batil hai.
kyun ke har waris ka hissa meeraas-tarkah me
shareeat ne khud muqarrar kiya hai wohee us ko milega wasiyyat ki bunyad par kisi waris ko kuchh nahi diya jayega taake dusre waarison ki haq talfi na ho

📗AHKAME MAIYYAT SAFA 162
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...