Friday, March 9, 2018

DUSRI & TISREE RAKAT ME SHAK*

*DUSRI & TISREE RAKAT ME SHAK*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1289⭕

Namaz me is baat ka shak huva ke yeh dusri rakat hai ya tisri rakat hai to kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar ye5 shak zidagi me pehli martaba huva hai ya'ani shak ki aadat nahin to namaz dobarah padhe.

Agar aisa ittifaq hota rehta hai to taharri (gauro fikar) kare ke kitni rakat huyi hogi dil ka ziyadah mailan kis taraf hai?

Masalan gauro fikr ke baad dil do rakat ki taraf maail ho gaya to do rakat hi samjhe aur sajdah e sahv wajib nahin.

Agar 3 rakat ki taraf dil maail huva to pehle qaidah me takhir hone ki wajah se sajdah e sahv ada kare.

Agar dil ka mailan kisi taraf bhi na ho dil me dono baat yaksa (baraabar baraabar) aati hai do huyi hogi ya teen? confusion khatm na ho to kam rakat yani 2 hi huyi hogi aisa samjhe kyun ke do hona yaqeeni hai aur sajdah e sahv kare.

📗BAHISHTI SAMAR SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...