Ramzan ka roza todne Ka kaffarah kiya hai? JAWABRamzan ka ada roza bila sharee uzr toda To Us ka kaffarh ye hai ke do 2 maheene lagatar -musalsal roze rakhe agar is ki taqat na ho to 60 santh miskeeno-faqeeron ko do waqt pet bhar khana khilaye. Dono waqt wohi faqeer hona zarooree hain ya 60 sath faqeeron me se har ek ko pone do kilo gehun Ya us ki qeemat ya qeemat Ke barabar chawal, aata,bajra, juwar wagairah de den. >BAHISHTEE ZEWAR HISSA 3 AUR >TALEEMUL ISLAM HISSA 4 KAFFAREH KE BAYAN SE MAKHOOZ60 MISKEEN NA HO TO SAWAL(A) Agar santh faqeer na mile to kaffarh ada karne ki asan shakal kiya hai? (B) Ek faqeer ek din me zayadah din ka ya 60 din ka kaffarh de to jaiz hai? (C) 1 faqeer ko pone do kilo se kam anaj ya pone do kilo ki qeemat se kam diya aur baqeedusre faqeer ko diya to kaffarah ada hoga? JAWAB(A) Agar 60 faqeer na mile to Ek hee faqeer ko ya balig (gareeb) talibe ilm ko bitha kar 60 din tak bhar pet dono waqt khana khilaya jayeya 60 din tak us gareeb ko pone do kilo gehun ya us ki qeemat dee jaye.(B) Ek faqeer ko ek din me pone do kilo se zayadah gehun ya 60 din ke gehun ek sath dina Ya ek din se zayadah ya 60 din ke kaffarah ki qeemat dena jaiz nahi agar ek din ke kaffarah se zayada anaj ya zayadah qeemat dee to bhi ek hee din ka kaffarah Ada hoga.Baqee din ka dobarah Ada kare(C) Kisi faqeer ko kaffarh pone do kilo se kamdiya Ya us ki qeemat Se kam dee to kaffarah ada na hoga ek faqeer sadqah e fitr ki miqdarka pura anaj ya puri qeemat dena zarooree hai. >masaile roza safa 94 bahawala>fatawa darul uloom 6/451>Shami 2/163>bahishti zewar 3/16
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? 🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
🏏 *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? D...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? &...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment