Monday, December 28, 2015

KHANE PINE KEE CHEEZON ME ''E'' KE SATHKHAS CODE NO. AATE HAI JO SMS ME BHI CHALAYE GAYE THE US KE KHANE KA KYA HUKM HAI

KHANE PINE KEE CHEEZON ME ''E'' KE SATHKHAS CODE NO. AATE HAI JO SMS ME BHI CHALAYE GAYE THE US KE KHANE KA KYA HUKM HAI?1.MAKROOH2.HARAM3.JAIZJAWABSHAREEAT NE JIN CHEEZON KO HARAM QARAR DIYA HAI AGAR UN KEE HAQEEQAT AUR MAHIYYATU-ASLIYYAT (US KA RANG KHUSH BOO- ZAIQAH US KEE AHAM SIFTEN GUN) BADAL JAYETO UN KA PEHLA HUKM (HARAM MAKROOH HONE KA) BAQEE NAHEE REHTA. KISEE CHEEZ KEE WOH KHAS AUR BUNYADEE SIFTEN-GUN JIN SE US CHEEZ KEE PEHCHAN HOTEE HAI. WOHEE US CHEEZ KEE HAQEEQAT AUR MAHIYYAT-ASLIYYAT HAIN. ISLAMIC FIQAH ACADEMY INDIA KE SAMNE FAN KE MAHIREEN-KHAS JANKAREE RAKHNEWALE KE ZAREEYE JO TAHQEEQ SAMNE AAYEE HAI US KE MUTABIQ (AGAR WOH CODE GELETIN KE HAI TO) GELETIN ME UN JANWARON KEE KHALON AUR HADDIYON KEE HAQEEQAT BAQEE NAHEE REHTEE HAI JIN KE COLLAGEN (EK QISM KA PROTIN) SE GELETIN BANAYA JATA HAJ BALKE WOH EKNAYEE HAQEEQAT KE SATH NAYEE CHEEZ HO JATEE HAI ISLIYE US KE USTEAMAL KEE GUNJAISH HAI(NAYE MASAIL AUR FIQAH ACADEMY KE FESLE SAFA 182)CHAVDAHWAN FIQHEE SAMYNAR HAIDARABAD 22 JUN 2004)AGAR CODE LAGI HUI CHEEZON ME CHARBEE KEE CHIKNAHAT NAHEE HAI TO WOH CHEEZ HALAL HAI.AUR CHIKNAHAT CHARBI KEE YA KISEE AURCHEEZ KEE YE PEHCHANNA US LINE KE MAAHIR- KHAS JANKAR KA KAAM HAI.CHIKNAHAT SAMJH ME NA AAYE TO KHUD KO AETIYATAN BACHNA CHAHIYE.BAGAIR CREAM KE BISCUIT AUR CAKE ME TO BILKUL SHUBAH-SHAK NA KAREN.MENE INDIA KEE MAGGI NUDALS AUR MAGGI SOUS KA REPORT KARWAYA THA JIS PAR WOH HARAM KAHA JANEWALA CODE HAI AUR NUDALS KA TO VIDEO BHI CHALA THA. LEKIN INDIA KI MAAGI SOUS REPORT ME KISI BHI ENIMAL KEE FATE NA HONA AAYA HAI. JIS SE MALOOM HUWA YE BATE BAAZ DOCTOR YA DEENEE JAZBAAT RAKHNE WALE GAIR MUFTI KEE CHALAI HUIHAI. JIS KA SHAREEAT ME AEATIBAR NAHI.TABDEELE MAHIYAT : HAQEEQAT BADALNE SE NAPAK AUR HARAM CHEEZ KE HALAL HONE KEE CHAND MISALEN JO FIQAH KEE AKSAR KITABON ME HAIN.1.NAPAK CHARBI SE JAB SABUN BAN JATA HAI TO US KEE HAQEEQAT BADAL GAI ISLIYE PAAK HAI.FATAWA MAHMOODIYAH JADEED 18/206BA HAWALA SHAMI)2. GOBAR AUR PAAKHANA JAL KAR RAKH HO JAYE TO PAAK HAI.3. GADHA, NAMAK KEE KAAN-BADE KHADDE ME GIR KAR NAMAK BAN GAYA YA INSAN KEE NAASH QABAR ME MITTEE BAN GAI TO WOH MITTEE PAAK HAI US MITTEE SE BHARE HUWE KAPDE ME NAMAZ JAIZ HAI.4.HARAM JANWAR KEE KHAL KO CHEMICALNAMAK WAGAIRAH KE ZAREEYE US KEE CHIKANAHAT KHATM KAR DEE US KHAL SE BANE LIBAS ME NAMAZ JAIZ HAI.5.SHARAB NAMAK YA KISEE CHEEZ KE DALNE SE SIRAKAH BAN GAI US KA NASHA HEE NA RAHA PAAK HAI PEE SAKTE HAI.[MUSTFAD AZ MAALABUDD MINHU SAFA 21]

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...