Monday, December 28, 2015

Aurat ka ilaj Mard Doctor se karwa sakte hai ya nahi kin surton me ijazat hai aur kin surtonme mana hai?

Aurat ka ilaj Mard Doctor se karwa sakte hai ya nahi kin surton me ijazat hai aur kin surtonme mana hai?JAWABTabeeb ( Doctor) ke liye Aurat ka ilaaj zarurat ki bina per jaa'iz he,Agar koi Mu'alij Aurat (Lady Doctor) mil sake to usse ilaaj karana zaruri he,Agar koi Aurat na mil sake to Mard ko chahiye ke Aaza e Mastoora-satar ke badan ka khususan Sharmgah ka ilaaj ka tareeqa kisi Aurat ko bata de, khud ilaaj na kare,Agar kisi Aurat ko batana bhi mumkin na ho aur Mareeza Aurat ki halaakat ya naqabile bardasht takleef ka andesha ho to laazim he ke takleef ki jagah ke alawa tamaam badan dhaank diya jaye,Bachcha Janaa'i-delivery ka kaam khaas Aurato'n ka kaam he, Agar maamla Aurto'n keqaabu se bahar ho (maslan operation ki zarurat ho aur operation karne wali koi Lady Doctor bhi mojood na ho) to uper guzri Sharto'n ke saath Mard ilaaj kar sakta he.mufti yusuf ludhyani shaheed Rahmatullahi alayhi.Aapke Masail aur unka Hal, 8/54

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...