CHADAR PER MANI KA DHABBA DEKHE TO KYA KIYA JAE ?JawabMiya-biwi ek palang per so rahe the, jab uthe to chadar per mani ka dhabba dekha, aur soteme khwab ka dekhna na mard ko yaad he na aurat ko to dono naha le, ahtiyat isi me he, kyu ke maloom nahi ke kis ki mani haiSAWALBAGAIR JOSH KE MANI NIKLE TO ISKA KYA HUKM HE ?JawabMani agar apni jagah (peeth) se josh ke saathjuda na ho, to agarche khas hisse se bahar nikal aae gusal farz na hoga, jaise kisi aadmi ne koi bojh uthaya ya unche se gir para ya kisi ne usko maara aur sadme ya kisi bimari se uski mani bagair josh ke nikal aai, to gusalfarz na hoga.SAWALSOPARI (SHARMGAH KA AAGE KA GOL HISSA) SE KAM DAKHIL KARNAE SE GUSL WAJIB HOGA?JawabAgar koi mard apne khas hisse ka uzw hashfe ke sar (sopari, gol hissa) ke miqdar sekam dakhil kare, tab bhi gusal farz na hoga.Bahishti zewar aur umdatul fiqah se makhoozSAWALGUSL WAJIB HONE KE MASAILSOKAR UTHNE KE BAAD UZWA PER TARI DEKHI JAE TO KYA KIYA JAE.JawabAgar koi mard sokar utnhe ke baad apne khas uzwa per tari dekhe aur sone se pehle uske khas hisse ko josh ho to us per gusal farz na hoga aur wo tari mazi samjhi jaegi,bashart ke ehtelam yaad na ho aur us tari ke mani hone ka galib khyal na ho.Aur agar raan vagairah ya kapro per bhi tari ho, to gusal bahar haal (har haal me) wajib he.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? 🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
🏏 *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? D...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? &...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment