Tuesday, December 29, 2015

BAAZ LOG RUI [cotton] KA KAROBAR KARTE HAIN AUR WAZAN BADHANE KE LIYE US PAR PAANI CHHIDAKTE HAIN,ISEE TARAH BAAZ LOG YARN-KACHCHE KAPDO KA KAROBAR KARTE HAIN WOH KAPDE KI MOTAI YA WAZAN BADHANE OIL MARTE HAI,TO AESA KARNA KESA HAI

BAAZ LOG RUI [cotton] KA KAROBAR KARTE HAIN AUR WAZAN BADHANE KE LIYE US PAR PAANI CHHIDAKTE HAIN,ISEE TARAH BAAZ LOG YARN-KACHCHE KAPDO KA KAROBAR KARTE HAIN WOH KAPDE KI MOTAI YA WAZAN BADHANE OIL MARTE HAI,TO AESA KARNA KESA HAI?JAWABSHARAN YE AMAL DURUST NAHI.KIYUN KE YE KHAREEDAR KO DHOKA DENA HAI JO JAIZ NAHI.EK MARTABA HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM EK GEHUN KE DHER KE PAS SE GUZRE AUR APNA DASTE MUBARAK DHER ME DAKHIL KIYA TO ANDAR SE GHEHUN BHIGE HUWE THE,AAP SALALLAHU ALAIHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA“AE GALLE-ANAAJWALE YE KIYA HAI? ”US NE ARZ KIYA ALLAH KE RASOOL SALALLAHU ALAIHI WASALLAM BARISH AAYEE THI US KA PAANI HAI.HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAYA“IS BHIGE HUWE KO UPAR KIYUN NAHI RAKHA.? TAA KE LOG DEKH LEWE”FIR FARMAYA“JO DHOKA DE WOG HAM ME SE NAHI”AHAM MASAAIL AKKALKUWA SAFA 165 JILD 2 MAKHOOZ BAHAWALA TIMIZI WA BADAIYUS SANAAIAIMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOOMUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...