Monday, December 28, 2015

KIN KIN LOGON KO ZAKAT NAHI DE SAKTE??

KIN KIN LOGON KO ZAKAT NAHI DE SAKTE??JAWABin logon ko zakaat dena jaiz nahi.1. Apne baap, dada, dadi, par dada, par dadi.. upar tak2. apni maa, nana, nani, par nana, par nani... upar tak 3. apne haqeeqee ladke, pote, potiyan, Par pote, par potiyan.. niche tak4. apni haqeeqi ladki,nawase, nawasiyan,par nawase, par nawasiyan.. niche tak5. shohar ka apni biwiko zakat dena iseetarahbiwi Ka apne shohar ko zakat dena jaiz nahi6. aysi talaq shudah awrat jo iddat guzar rahi ho us ke shohar ka us ko zakat dena na jaiz hai7. maaldar sahibe nisab ki muhtaaj nabalig awlad ko8. jo awrat bewa malike nisab hai us ko aur Us ke na balig bachche ko9. madrasah Ke ustaz ko aur masjid Ke imamko zakat ke rupiye se tankhaa dena na jaiz hai10. Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke khandan walon ko zakar jo ke hamare malon ka mel hai dena Jaiz nahi agar woh gareeb hai to zakat ke alawaa Ka rupiya den11. maaldar malike nisab ko 12. zakat Ka rupiya masjid ki, madrasah ki, khanqah ki, musafir khane ki, yateem khane ki, school ki, aam raston ki tameer me, kunwe,boring aur nahron ki khudai Me dena Jaiz nahi. 13. zakar ke rupiye se kafan khareedna, qabarsatan ki zameen khareedna na Jaiz hai14. woh tamam surten Jis me mustahiq ko bila aewaz bila shart hamesha ke liye malik banana paya nahi jata wahan zakat dene se zakat ada na hogi?masaile zakat (rafat) safa 285,286 se makhooz kai urdu fatawon ke hawalon ke sath

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...