GHANI YA HALKI DAADHI KE BAALO KO KIS TARAH DHOYE?JawabDadhi, bhave ya muchh is kadar ghani ho ke khal(chamdi) nazar na aye to us khal ko dhona jo bal se chhupi ho farz nahi he. Balke voh bal hi kaim mukam khal ke he unke upar se pani bahadena kafi he esi surat me is kadar balo ka ghana hona vajib he. Jo chaere ki had ke ander he.Balo ko gale ki taraf dabane se jitne bal chahere ke halke me aye yani chahere par lagjaye unka dhona farz he unki jado ka dhona farz nahi or jo chahere ki had se age badh gaye ho ya latke huve ho unka dhona farz nahi.Agar dadhi kuchh hisso me ghani(gich) or kuchh hisse me ghani na ho to jaha ghani ho vaha balo ka sirf Zahiri hissa dhona or jaha ghani na ho vaha balo ke niche ki khal(chamdi) ka dhona farz he.Or agar puri hi dadhi halki he ghani nahi to tamam balo ke niche ki khal tak pani pahochana farz he.JANABAT KI HAALAT KE AHKAAM KYA HE ?NAPAKI ME KHANA PINAJis Per Nahana Wajib Ho Wo Agar Nahane KePehle Kuch Khana-Pina Chahe To Pehle Haath Aur Munh Bhi Dho Le Aur Kulli Kar Le, Tab Khae-Pie. Aur Agar Bagair Hath-Munh Dhoe Kha Pi Le Tab Bhi Koi Gunah Nahi He.NAPAKI ME ZIKR O TILAWATJinko Nahane Zarurat He Unko Quran Ka Chhuna Aur Uska Parhna Aur Masjid Me Jana Jaaiz Nahi He, Aur Allah Taala Ka NaamLena aur Kalima Parhna Aur Durud Sharif Parhna Jaaiz He.NAPAK AADMI KA MASJID AUR MADARSE ME JAANAIs Haalat Me Masjid Me Dakhil Hona Haraam He. Eidgah Me Aur Madrasa Aur Khanqah MeJaana Jaaiz He.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? 🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
🏏 *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? D...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? &...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment