MUKHTALIF HAALATON ME NIKAH KE MUKHTALIF HUKMNIKAH KARNA KAB FARZ,WAJIB, SUNNAT,HARAAM AUR MAKROOH HOTA HAI?JawabFarz :-Kisi shakhs per shahwat ka is qadar galba hok agar nikaah na kare to zarur zinaakari me mubtala ho ja’ega,Aur usko baqadre zarurat nafqa-kharcha aur mahar per haqeeqatan ya hukman qudrat bhi haasil he,Shar’an us per farz he k shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat kareWajib: –Agar kisi per shahwat ka galba he k shaadi nakare to zina me mubtila hone ka khauf he, lekin yaqeen nahi,Aur usko bivi ke naan v nafqa per qudrat bhi haasil he,Aise shakhs per shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat wajib heSunnat :–Agar koi shakhs nikaah ke qabil ho gaya, naan nafqa-kharche per qudrat haasil he aur hambistari per bhi qudrat he, nikaah se koi aur shara’i rukawat mojood nahi, aise shakhs ke liye nikaah karke ba izzat zindgi guzaarna shar’an masnoon he,Kyuki yeh rasulullah sallallahu alayhi wasallam ka daa’imi-hameshgi ka amal he,Aur shaadi se earaaz karne walo per aap sallallahu alayhi wasallam ne radd farmaya he,Lihaza aisa shakhs itteba e sunnat ki niyyat se apni ismat ki hifazat aur saaleh aulaad ke husool ki niyyat se shaadi kare to ajro sawab hogaharaam :--Agar kisi shakhs me bivi ke huqooq adaa karne ki taaqat na ho,maslan na mard he, ya naan nafqa per haqeeqatan ya hikman qaadir nahi, neez mijaz ki sakhti vagairah,Kisi vajah se usko yaqeen he ke bivi ke huqooq adaa nahi ho sakenge,To aise shakhs ke liye nikah karna haraam hai,Makrooh tehrimi :--Jis shakhs ko bivi per zulm ka yaqeen to na ho lekin galib gumaan yahi he ke zulm ho ja’ega,To aise shakhs ke liye jab tak ada e huqooq per qudrat na ho nikaah karna makrooh e tehrimi haiIzduwaji zindagi ke sharee masaildurre mukhtar 7/3
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? 🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
🏏 *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? D...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? &...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment