Monday, December 28, 2015

Zakat kis par wajib hai..?

Zakat kis par wajib hai..?JAWABjis ke paas saal ke shurooa aur saal ke akhir me [sare bavan tola] 612 gram 35 ml. gram chaandi ho ya [sare saat tola] 87 gram 479 ml. gram sona, qarza adaa karne ke baad bachta ho, us par zakat vajib hai.ya sare bavan tola chandi ki qeemat aaj 6 jun 2015 ke hisab se 22650 rs ki qeemat ke baqadr zakat ka maal qarza Adaa karne ke baad mavjood ho to bhi zakat wajib hai.Masalan 1 tola sona hai aur 500 rs naqad hai aur qarza nahi hai to uspar zakat wajib haiYa bechne ka kuchh maal hai aur kuchh naqad paise hai aur dono ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat tak qarza adaa karne ke baad pahonch jata hai to us par saalke khatma par zakat wajib hai, saal ke darmiyan me maal nisab se kam ho jaye to us ka aetibar nahi.Sona, chandi, naqad, maal-e-tijarat in charon ko ya baaz ko milaya jaye to chaandi ke nisabki qeemat ko pahonch jaye to bhi zakat vajib hai.masaile zakat safa 61  ba hawala ahsanul fatawa 4/254 se mskhooz

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...