Monday, December 28, 2015

BIVI KE LIYE APNE SATH SHOHAR KA NAAM LIKHNASAWALKYA BIWI APNE NAAM KE SATH SHOHAR KA NAAM LAGAA SAKTEE HE

BIVI KE LIYE APNE SATH SHOHAR KA NAAM LIKHNASAWALKYA BIWI APNE NAAM KE SATH SHOHAR KA NAAM LAGAA SAKTEE HEJAWABBiwi ka apne naam ke sath shohar ka naam lagaane me koi haraj nahee he kyun ke ye taareef [pehchan] ke liye he jisme waham ya nasab ka ikhtilaat-mixing nahee hotaPehchaan karaane ke bahoot se tareeqe haiKabhee gulaam-nokar hone ke waaste se hotee heJaise ikrama ibn e abbas ke ghulam-abdullah bhai ki kaamwaliKabhee peshe-dhande se hotee he jaise ghazaali [kapda bunne waale]Kabhee laqab aur kunniyyat se hotee heJaise aaraj [langde] aur abu muhammad aamash [kamzor nazar wale]Kabhee maa kee taraf nisbat karke hotee he jaise ismaael ibn e ulayyahMufti abdurvraheem ki betiAminaa ka laal-beta aur kabhee zawjiyyat-nikah hone ke sath hotee he jaise quraan e kareem me ek jagh heامرأة نوح و امرأة لوطNooh ki bivi aur loot ki biviaur dusree jaghامرأة فرعونFiron ki biviSurah e tahreem [@10,11]Me waarid huwa haiBukhari kee riwayat heAbu saeed khuzree radiallahu anhu farmaate heIbne masuud radiallahu anhu kee biwi zainab aayee aur ijaazat talab kee kahagaya yaa rasulallah [sallalaahu alayhi wasallam ]Ye zainab aayee heAap ne poocha kaunsee zainabKaha gaya ibne masood kee biwi farmaya haa use aane kee ijaazat dedoYaad rahe ke nisbat wo haraam he jisme bete ke lafz ke sath baap ke alaawah kee nisbat kee gayee ho mutlaqan-har nisbat karna haraam nahee heAlbatta agar nisbat betehone ke lafz kesath baap ke alaawah kee taraf kee jaaye to wo haraam he jiske baare me allah irshaadFarmaate he"unhe unke baapo ke naam se bulaao yahee allaah ke nazdeek zyada insaaf kee baat he"[surah e ahzaab @ 5]*maakhuz az aap ke masail aur unka hal8/256*bahawala alamgiree 5/362 baab 21 semustafaad-mufti abdul qayyum ibne rasheed ajmeri raander,suratNote:Masaail ke woh sms jis me kisi muatabar alim kaa naam yaa fatwe yaamasaail ki muatabar kitaab ka naam nalikhaa ho use bilaa tahqeeq na maane agarche us me quraan aur hadeeson ke hawaale ho aam taur woh gair muqallid naam ke ahle hadees ke sms hote hai woh apni naaqis aqal se deen ko direct quraan hadees se samjhne bethte hai aur galati karte hain-muftiimran ismail memon hanfi gufira lahooMudarrise darul uloom rampura surat gujrat india.

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...