Ek shakhs darhi Mundata hai us ne sachche dil se tauba kar li hai aur ayindah rakhne ka pakka iradah kar liya hai magar abhi ek musht darhi nahi hui hai aur ugana ya lambi karna us ke ikhtiyar me nahi hai to kiya aese ke pichhe farz namaz aur taraweeh makrooh hogi? Isee tarah jo imam darhi mundana ya ek musht se pehle katana nahi chhodte aese imam ke pichhe farz namaz aur taraweeh ka kiya hukm hai tafseelan jawab inayat kare? JAWABFaqeehul asr mufti rasheed ahmad ludhyani Rahmatullahi alayhi likhte hain tauba ke bawajood aese shakhs ki imamat do wajha se makrooh hai, 1.ek ye ke uspar abhi tak islah Ka asar zahir nahi huwa hai aur ye fesala nahi kiya ja sakta ke ayindah is kabeerah gunah se bachne ka aehtamam karega ya nahi? 2.dusri wajha ye hai ke jin logon ko tauba ka ilm nahi un ko ye galat fahmi hogi aur yahee samjhenge ke fasiq namaz padha raha hai (isjahalat ke daur me darhi katane wale ki imamat jaiz hai aesi galat fahmi felne Ka bhi andesha hai) (Ahsanul fatawa 3/262)Faqeehun nafs mufti kifayatullah rh.likhte hain Agar dusra is behtar imam mil sakta hai to use imam na banaya jaye kifayatul mufti 3/87Aesa imam sakht gunehgar hai us ke pichhe namaz makroohe tahreemi hai aur woh wajibul ihanat (be izzati) hai us ko imam banane me us ki tazeem hai isliye us ko imam banana jaiz hee nahiimdadul muftiyyeen 1/261bahawala shami 1/276Agar koi aesa shakhs zabardasti imam ban gaya ya trastiyon ne bana diya aur hatane par qudratna na ho to kisi dusri masjid me nek-salih imam talash kare agar na mile to jamaat na chhode balke us fasiq ke pichhe hee namaz parh le us ka azab aur wabal masjid ke muntazimeen -zimmedaron par hoga ahsanul fatawa 3/26Us ko imam banana makrooh hai albattah agar woh khud imam bankar namaz parhawe to namaz ho jayegi agarche woh sawab na mile jo muttaqee imam ke pichhe parhne se milta hai.fatawa mahmoodiya 7/43Iseetarah agar sab muqtadi darhi munde ho to darhi mundane wala imam ban jaye kifayatul mufti 3/57masaile imamat 58 se 60 ka khulasa
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? 🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
🏏 *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? D...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? &...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment