Monday, September 3, 2018

MUSAFATE SAFAR KA AETIBAR KAHAAN SE*

*MUSAFATE SAFAR KA AETIBAR KAHAAN SE*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1472⭕

Musafir qasr namaz padhna kahaan se shuru karega?

Shahar ke Station par qasr padh sakta hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Ab musafir safar ki niyyat se apni jaah e qayam ki aabadi aur uske mulhiqat (station, airport, qabarstan, khel ka maindan wagairah shahar ki zarooeat ke maqamat) se aage badhega to us par qasr ke ahkaamat shuru honge. Mahaz ghar ya mahalla se nikalne se woh musafir na samjha jayega.

📘SHAMI 2/599 BERUT

📗KITABUL MASAIL 1/553

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* : 22 ZUL HIJJAH 1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📆22 zulhijjah 1439 hijri
03/08/2018 isvi

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

मुसाफ़ाते सफ़र का ऐतिबार कहाँ से

*मुसाफ़ाते सफ़र का ऐतिबार कहाँ से*

⭕आज का सवाल नंबर १४७२⭕

मुसाफिर कसर नमाज़ पढना कहाँ शुरू करेगा?
शहर के स्टेशन पर कसर पढ़ सकता है ?

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
अब मुसाफिर सफर की निय्यत से अपनी जाये क़याम की आबादी और उस के मुलहिकत (स्टेशन, ऐरपोट, क़बरसतान, खेल का मैंदान वगैरह शहर की जरूरत के मक़ामात ) से आगे बढ़ेगा तो उस पर कसर के अहकामात शुरू होंगे।
महज़ घर या महल्ला से निकलने से वह मुसाफिर न समझा जाएगा।

📘शामी २/५९९ बेरूट

📗किताबुल मसाइल १/५५३

و الله اعلم بالصواب

*इस्लामी तारिख* : २२ ज़ुल हिज्जः १४३९ हिजरी

✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

पुरानी चाँदी को नयी से बदलने की शकल

*पुरानी चाँदी को नयी से बदलने की शकल*

⭕आज का सवाल नंबर १४७१⭕

पुरानी या मिलावट वाली चाँदी के बदले नयी और अच्छी चाँदी लेना है।
लेकिन अच्छी चाँदी ख़राब चाँदी के बराबर नहीं मिल सकती, और कमी बेशी करना सूद है।
तो हमें कया करना चाहिए ?

🔴आज का जवाब🔴

حامدا و مصلیا و مسلما
मजकूरह सुरत में पहले ख़राब चाँदी रुपयों के बदले बेच दो। फिर जो रूपये आये उस से अच्छी चाँदी खरीद लो
या ख़राब चाँदी के साथ कुछ पेसे भी रखो, और अच्छी चाँदी उन दोनों के बदले जितनी चाहो लो।
उस के लिए शरत ये है के ख़रीदते वक़्त कहे के में ख़राब चाँदी और इन पैसों के बदले इस से अच्छी चाँदी को ख़रीदता हूं।

📗बहिश्ती ज़ेवर ५/३७३ से माखूज़ बा हवाला
و الله اعلم بالصواب

✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲https://aajkasawal.page.tl/

PURANI CHANDI KO NAYI SE BADALNE KI SHAKAL*

*PURANI CHANDI KO NAYI SE BADALNE KI SHAKAL*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1471⭕

Purani ya milawat wali chandi ke badle nayi aur achchhi chandi lena hai lekeen achchhi chandi kharab chandi barabar nahi mil sakti aur kami beshi karna sood hai to hame kiya karna chahiye ?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

Mazkoorah surat me pehle kharab chandi rupyon ke badle bech do fir jo rupye aaye us se Achchhi chandi khareed lo
Ya kharab chandi ke sath kuchh pese bhi rakho aur achchhi chandi un dono ke badle jitni chaho lo us ke liye shart ye hai ke khareedte waqt kahe ke me kharab chandi aur in peson ke badle is achchhi chandi ko khareedta hun.

📗BAHISHTEE ZEWAR 5/373 SE MAKHOOZ BA HAWALA

Saturday, September 1, 2018

SONE CHANDI KO RUPIYE KE AEWAZ UDHAR BECHNE KA HUKM

*SONE CHANDI KO RUPIYE KE AEWAZ UDHAR BECHNE KA HUKM*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1470⭕

Abhi ke daur me chalne wali Mavjoodah rupiye aur sikke sone chandi ya uski rasheed (receipt) ke hukm me hai ya nahin kya rupiye ke badle sona udhar khareed sakte hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Mavjoodah currency na sone chandi ke hukm me hai nahin sone chandi ki rasheed hai, lihaza uske zariye sona chandi, dirham deenar, ashrafi khareedna jaiz hai us par bay`e sarf (sone chandi ka muamala sona chandi badle) ke ahkaam jaari nahin honge, lihaza rupiye ke badle me sona chandi udhar bechna khareedna bhi jaiz hai

📘JADEED MUAAMALAT KE SHARAEE AHKAAM 1/138 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* :20 ZUL HIJJAH 1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

सोने चाँदी को रुपये के एवज़ उधार बेचने का हुक्म

*सोने चाँदी को रुपये के एवज़ उधार बेचने का हुक्म*

⭕ आज का सवाल नंबर १४७०⭕

अभी के दौर में चलने वाली मवजूदह रुपये और सिक्के, सोने चाँदी  या उसकी रशीद (रिसीप्ट) के हुक्म में है या नहीं क्या रुपये के बदले सोना उधार खरीद सकते हैं?

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

मवजूदह करेंसी न सोने चाँदी के हुक्म में है, ना ही सोने चाँदी की रशीद है,

लिहाज़ा उसके ज़रिये सोना चाँदी, दिरहम दीनार, अशरफ़ी खरीदना जाइज़ है, उस पर बा`इए सर्फ़ (सोने चाँदी का मुआमला सोना चाँदी बदले) के अहकाम जारी नहीं होंगे,

लिहाज़ा रुपये के बदले में सोना चाँदी उधार बेचना खरीदना भी जाइज़ है।

📘जदीद मुआमलात के शरई अहकाम १/१३८ से माखूज

و الله اعلم بالصواب

*इस्लामी तारिख* :२० ज़ुल हिज्जः १४३९ हिजरी

✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲https://aajkasawal.page.tl/

HAAJIYON KA TOHFA & HAAJI KEHLWANA*

*HAAJIYON KA TOHFA*
                   &
   *HAAJI KEHLWANA*

⭕AAJ KA SAWAL NO 1469⭕

🅰Jab haaji haj karke aate hai to tabarruk ya hadiye ke naam se ek rasm adaa karte hain, jisme woh khajuren, zamzam, aur unke saath dusri chizen tasbih, musalla, thaal bartan wagerah chizen  rasm ke taur par baantte hain yeh kaisa hai ?  

🅱Hajj ki sa’adat haasil karne ke baad apne naam me lafz *haaji* lagana kya jaiz hai ?
Qur'an aur hadis ki roshni me bateiye taake me bhi apne naam me haaji lagaun ya na lagaun, behtar kya hai ?

🔵JAWAB 🔵

حامد و مصلیا و مسلما

🅰 Dost rishtedaron ko tohfe dene ka shariyat me hukm hai, isse mohabbat badhti hai, magar dilee ragbat aur mohabbat ke bagair *mahaz naam ke liye* ya *rasm ki adaygi aur dikhane ke liye* koi kaam karna buri baat hai, hajiyon ko tohfe dena aur unse wasool karna aaj kal ek aisa riwaj ho gaya hai ke mahaz naam aur *sharm ki wajah se yeh  kaam dil chahe na chahe kiya jata hai,* yeh shar’an chhodne ke laaiq hai.

🅱 Apne naam ke saath haaji lafz lagana bhi riyakaari ke siva aur kuchh nahin, hajj to raza e Ilaahi ke liye kiya jaata hai, *dusre log agar haaji sahib kahen to koi muzaiqah [haraj] nahin.* Lekin khud apne naam ke saath haaji ka lafz likhna bilkul galat hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

📆19 zulhijjah 1439 hijri -  31/08/2018 isvi

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

📱
http://aajkasawal.page.tl

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...