*PATANG KI DOR SE BACHNE KE LIYE BIKE PAR HIFAZATI TAAR LAGANE KA HUKM*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1606⭕
abhi patang ke tehwar ka zamana chal raha hai,
bahut se bike walon ke gale ya chehre se patang ki dhardar dor takrati hai aur gala kat kar admi mar jata hai, ya gala ya chehra zakhmi ho jata hai.
to apni safety ke liye bike par agle hisse me hifazati taar lagana Allah par tawakkul aur taqdeer par bharose ke khilaf hai ya nahi ?
kya hifazati taar laga sakte hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Tawakkul aur taqdeer par yaqeen ka ma'naa ye hai ke asbab ikhtiyar karo,
fir bharosa asbab par na ho, balke Allah ki zaat par ho,
huzoor ﷺ ne farmaya : unt ko nakeel se bandh,o fir us ki hifazat ke liye tawakkul Allah par karo.
hifazati taar bhi apni jaan aur jism ki hifazat ke asbaab ke darje me hai, lihaza use lagana tawakkul aur taqdeer par aetimad ke khilaf nahi.
و الله اعلم بالصواب
*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :
05 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment