*MUSHABAT KA MATALAB & IBRATNAK QISSA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.897⭕
Jo kisi qaum ki mushabat ikhtiyar kare woh unhee me se hai is ka kya matlab hai?tafseel se batayen
🔵JAWAB🔵
hadees ka matlab ye hai ke jo shakhs kisi bhi gair qaum-mazhab walon ki mushabahat,naqqali aur copy un ki mazhabee cheezon me un ki mazhabi nishaniyon,khushi aur gami me karega us ka hashr yani qayamat ke din uthaya jana un hi ke sath hoga us shumar bhi kafiron me hoga yani un ke liye azab aur jahannam me jane ka fesla hoga to is mazhabi mushabahat karnewale ke liye bhi azab aur jahannam me jane ka fesla hoga.hashar ka matlab samjhne ke allah ne dunya hee me kai waqiaat hamen dikha diye jis me se ek muatabar waqiaa pesh karta hun.
NASRANIYON KE TAUR-O-TARIQE PASAND KARNE WALE AALIM KA IBRATNAAK QISSAH
📄hazrat imaam-e-Rabbani maulana rashid Ahmad gangohi rh.ne irshad farmaya :
Kanpur me koi nasraani jo kisi aa'la ohde par tha woh muslaman ho gaya tha, Magar asliyyat chhupa rakhi thi,
Ittefaq se uska tabadla (transfer) kisi dusri jagah ho gaya, usne un molvi sahab ko jisse usne islam ki baaten sikhi thi, apne tabadla se muttale'a kiya (ittela di) aur tamanna ki ke kisi deendaar shakhs ko mujhe den, jisse ilm haasil karta rahun, chunanche molvi sahab ne apne ek shagird ko unke sath kar diya,
Kuchh arse baad ye nasrani (jo musalman ho chuka tha) wo bimar huwa to molvi sahab ke shagird ko kuchh rupiye diye, aur kaha ke jab me mar jaaun aur isaai jab mujhe apne qabrastan me dafan kar aaye to raat ko ja kar mujhe wahan se nikalna aur muslamano ke qabrastan me dafan kar dena,
Chunanche waisa hi huwa, jab molvi sahab ke shagird ne hasbe wailsiyyat jab qabr kholi to dekha ke usme wo nasrani nahin, Albatta wo molvi sahab pade huwe hai, to sakht pareshan (sharminda) huwa ke ye kyaa maazra hai..! Mere ustaad yahaan kaise..!
Aakhir daryaft se malum hua ke maulana sahab nasrani ke toro tariqo ko pasand karte the aur usey achchha jaante the.
📘(Irshadate hazrat gangohi rh. safa 65)
👇🏻👇🏻👇🏻
Mere bhaiyo,
ye molvi sahab sirf gairon ke tariqon ko pasand karte the, us par chalte nahi the, to Allah ne duniya hi me jiska tariqa unko pasand tha uske saath hashr kar diya,
Hum to gairon ke tariqon par chalte hai, balke us par naaz karte hai,aur fakhr se manate hai to hamara kyaa hashr hoga..!
socho
Aur apni shaklo surat, libaas, rahan sahan, khushi gami me islami tariqon ko layen aur ham gairon ke tehwar manane se bachen
*khususan patang udane se khud bhi bache aur apne rishtedaron ko bhi bachaye aur in msj ko zayada se zayada share karen*
👏🏻Allah hamen taufiq de.
Aamin.
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat,india
No comments:
Post a Comment