Wednesday, March 8, 2017

VIDEO GAME KHELNA

📱 *VIDEO GAME KHELNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.643⭕

Video game khelna kaisa hai ? is me na shart hai na in'aam ka laalach balke nishanah baazi driving wagairah ki practice hoti hai vacation me bachchon ka jee bahelta hai aur badon ka time pas ho jata hai

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Haz. mufti yusuf ludhyanvi shaheed Rahmatullahi alayhi tahreer farmate hain ke video game dekhne walon ke mushahidah se jahaan tak pataa chala aur haqiqat mal'alum huyi yeh khel chand wuzuahat se shara'an jaiz nahin.

1⃣ Is khel me deenee, jismani koi faidah maqsud nahin hota aur jo khel in donon faidon se khali ho woh jaiz nahin.

2⃣ Is me waqt, rupya (mb) zayea hoti hai.

3⃣Namaz,zikr se gafil karnewala hai.

4⃣Sab se sakht nuqsaan yeh hai ke is khel ki aadat padne par chhodna mushkil hota hai (vakil,doctor aur imam ban jata hai lekin nahin chhutti hai)

5⃣ Ba'az game me music hoti hai jis ka sunna haraam hai.aur tasweer bhi hoto hai jis ka bila zaroorat istiamal mana hai

6⃣ Is khel se bachchon ko agarche dili khushi aur lazzat hasil hoti hai lekin na-jaiz chizon se lazzat hasil karna bhi haraam hai balke ba'az fuqahaa (masail ke maahir) ulamaa ne kufr tak likha hai.

7⃣ is se bachchon ka zahan kharaab hota hai

8⃣ taalim-tijarat,noukri aur ghar ke zaruru kaamon me khalal waqea hota hai.

9⃣bachchon ko padhai aur dusre faidah wale kaamon me dilchaspi nahin rehti.

1⃣0⃣ Bachcha maa bap ka naafarmaan ban jata us khael ke dauran koi bhi kaam karne ko kaho nahin karega.
1⃣1⃣ zatada khelne ki wajha se mizaj me chidchi dapan paida hota hai aur gussa jaldi aata hai.

1⃣2⃣ log apne farig waqt me aksar video game khelne ki wajha se jismani warzish wale khel se mahroom rehte hai jis se un ke jism ki charbi badh kar gair zarooree wazan badhta hai.

in mazkoorah wujoohat ki binaa par yeh khel baari ta'ala ke irshaad ka misdaaq hai "baz log apni jahaalat se khel tamashe ikhtiyar karte hai aur us me paisah kharch karte hain taake allah ki raah se logon ko bhatkaawe aur deen ki baaton ko khel tamasha banaate hain inhi logon ke liye zillatwala azaab hai (surah e luqmaan ayat no.6)

Haz. Hasan rah. "lahwal hadees" ke mutalliq farmate hain ke aayate  mazkoorah me lahwal hadees se muraad har woh chiz hai jo allah ki ibaadat aur us ki yaad se hataanewali ho masalan fuzul khel kud,fuzul wissah goi,jokes,hansi mazaaq ki baten fuzul bahas aur gaana bajana wagairah
video game me yeh saree kharabiyan mavjood hain isliye video game naajaiz hai isme waqt aur paisaa lagaana naajaiz hai aur is ko chhod dena laazim-zaruri hai

📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL PURANA NUSKHA 7/336

📘NAYA TAKHRIJ SHUDA NUSKHA 8/442 SE MAKHOOZ MAA IZAFA AZ AHQAR

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

*Daily Visit Our Website:*

https://IslamicGrp.weebly.com

*Like Our Facebook Page:*

http://facebook.com/IslamicGroup0

*Download Our Android App:*

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...