Saturday, March 4, 2017

BIRTH DAY MANANE KA HUKM

🎂 *BIRTH DAY MANANE KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO.939⭕

A. Birthday manana kaisa hai  us me gift-tohfa dene ka kiya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

★ Saalgirah manane ki Rasm Angrezo ki ijaad aut un ki tahzeeb:calchar he aur gair sharai, najaa’iz he,

★ Saalgirah manana najaa’iz he isliye is fuzool kaam me shirkat bhi fuzool he,

★ Tohfa dena ek achchhi baat he lekin Saalgirah ki bina per dena Bid’at he,

★ Agar koi Saalgirah me dawat de to samjhaish ke saath inkaar karna behtar he,

⇨ inkaar karna ajeeb lagta he kyuki dilo dimag me angreziyat rach bas gayi he, islam aur islami tehzeeb nikal chuki he,

📗 Aapke masail aur unka Hal Jild-8, Safa-127

zindagi ka ek sal aur kam ho gaya jitni zindagi mili hai us ke hisab se maut se qareeb ho gaya ye khushi manane ki cheez nahi balke apne aamal ka hisab lene,us par istigfar aur afsos ki cheez hai

®✒TASDEEQ MUFTI IMRAN MEMON HANFI SURAT GUJRAT INDEA

📱Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...