Monday, June 12, 2017

AETIKAF KI QISMEN&AURTON KA AETIKAF

*AETIKAF KI QISMEN&AURTON KA AETIKAF*

🔴AAJ KA SAWAL NO.1040🔴

aurton ko aetikaf karne ka kiya tareeqah hai?
Aitikaf ki  kitni  qismen hai?

🔵JAWAB🔵

Aurat ko apne ghar ki masjid me Aitekaf karna chahiye,
Agar ghar me koi jagah masjid ke liye mutayyan na ho to koi kone (corner) ko makhsus (tay) kar den,kisi jaga ko tay kiye bagair aetikaf saheeh nahi hoga

Aurton ke liye Aitikaf ba-nisbat mardon ke ziyada sahal (aasaan, easy) hai ke ghar me bethe bethe ghar ka karobar bhi ghar ki ladkiyon se leti rahe aur muft ka sawab bhi leti rahe

Magar iske bawajud bhi aurten is sunnat se goya bilkul hi mahrum rehti hai,

Hanfiyyah ke nazdik Aitekaf ki teen 3 surten hai,

1. Wajib jo kisi mannat ya nazar ki wajah se ho, jaise yun kahe ke mera fulaan kaam ho gaya to itne din ka Aitekaf karunga, ya bagair kisi kaam par mawkuf rakhne ke yun kahe ke meine itne din ka Aitekaf apne upar laazim kar liya to ye Wajib hai, aur jitne dino ki niyyat ki hai utna pura karna wajib hai.

2. Dusri surat Aitekaf ki Sunnat hai, Jo Ramzanul Mubarak ke aakhri ashre-das din ka hai ke nabi e kareem sallallahu alayhi wasallam ki aadate sharifa in dinon ke Aitekaf farmane ki thi,

3. Teesra nafl Aitekaf, Jiske liye na koi waqt, na dinon ki miqdaar, jitna ji chahe kar len, hatta ke koi shakhs tamam umr ka Aitekaf ki niyyat kar len tab bhi jaiz hai,

Imaam muhammad rh. Ke nazdeek thodi der ka bhi jaiz hai, aur isi par fatawa hai, is liye har shakhs ko munasib hai ke jab masjid me dakhil ho aurat namaz ki mutayyan jaga par aaye Aitekaf ki niyyat kar liya kare, ke jitni der namaz wagerah me mashgul rahe Aitekaf ka sawab bhi milta hai.

📗MASAILE AETIKAF

http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...