Sunday, June 11, 2017

AETIKAF KAHAN ZAROOREE?

*AETIKAF KAHAN ZAROOREE?*

🔴AAJ KA SAWAL NO.1039🔴

aitikaf ka kiya hukm hai?

Kiya aitikaf zarooree hai?

🔵JAWAB🔵

★ Ramzan ke Aakhri 10 din ka aitkaaf sunnate Muakaddah alal kifaya he,

⇨ agar basti-mohalle ke kuchh log is sunnat ko Ada kare to masjid ka haq Jo ahle mohalla per laazim he Ada ho jayega, aur agar masjid khali rahi aur koi shakhs bhi aitkaaf me na betha to sab mohalle wale gunehgar-laaiqe itaab honge aur masjid ke aitkaaf se khali rehne ka vabaal poore mohalle per padega,

★ Jis masjid me namaz panj waqta bajama’at hoti ho usme aitkaaf ke liye bethna chahiye, agar jumaa na hota ho to bhi bethna chahiye aese muatakif ko Juma parhne jana jaiz hai aur agar masjid esi ho jisme panj waqta namaz bajama’at na hoti ho, usme panj waqta namaz bajama’at ka intezam karna ahle mohalla per laazim he,

★ Aurat apne ghar me ek jagah namaz ke liye muqarrar karke waha aitkaaf Kare, usko masjid  me aitkaaf me bethne ka sawab milega,

📘Aapke Masail aur Un ka Hal,3/320

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ЁЯФ╡JAWABЁЯФ╡ Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...