Sunday, June 18, 2017

AETIKAF KI QAZA & MOBILE CHARGING

*📱AETIKAF KI QAZA & MOBILE CHARGING*

⭕AAJ KA SAWAL NO.⭕
A.
Masnoon Aetikaf toot jaye to kitne din ki qaza karni chahiye?
B.
Muatakif ke liye masjid me mobile charge karna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Mufta bihi qaul ke mutabiq masnoon aetikaf toot jaaye to sirf ek din ki qaza karni
Chahiye.

Agar ramdaan me waqt baaqi hai to isee ramzan me dusre din ya kisi din guroob se lekar dusre din ke guroob e aftab tak qaza kare. agar ramdaan baad qaza kare to isee tarah roze ke saath qaza karen

📗KITABEUN NAAZIL 6/47

B.muatakif zarooratan masjid me mobile charg kar sakta hai lekin aehtiyatan masjid ki bijli ka aewaz-kuchh pese masjid me dakhil kar dena chahiye.

📘MOBILE  KE MASAIL SAFA 31

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...