*ROZA NA TODNEWALI CHEEZEN*
⭕AAJ KA SAWAL NO.2079⭕
woh chizen Jinse Roza nahi Tootta aur Na hi Makrooh hota Hai kon kon see hain?
🔴JAWAB🔴
1- taza Miswaak karna
2- Sar ya Munchho per Tel lagana
3- injection ya teeka lagwana,
4- Aankh me Dava daalna ya Surma lagana
5- Khushbu lagana,
6- Garmi aur Pyas ki Vajah se Gusl karna Agarche pani ki thandk jism ke andar mahsoos ho
7- Bhool kar Khaa pi lena ya bhool kar sohbat karna
8- Halaq me bila akhtyar Dhunwa ya makkhi, machhar ka chala Jana,
9- Khud ba Khud qai (vomiting) ho Jana chahe kitni hee ho
10 - Sote hue ahatlaam ho Jana
11- Daanto me khoon aaye magar halaq me na jaye
12-dakaar aana jis ki wajha se khane ka maza halaq me mahsoos hona
13. Phool ya itr ki khushbu sunghna
14.bhiga huwa rumal sar par lapetna
15.bimari ki wajha se gulucoz, blud chadhana
16. oxizon lena
17.naak-rint zor se sidakna-khichna jis ki wajha se halaq me chali jaye
18.raal tapakne ko ho to use munh me khinch lena
19.thuk, balgam nigalna
20.paan khane ke baad kulli aur gargarah kiya lekeen us ki surkhi-lalash munh me baqi rah gai jis ka asar thuk ke sath halaq me jana
21.bila ikhtitar khud ba khud traffic, khane, loban ya dawai ke chhantkaw ka dhunwa halaq ya naak me jana
22.kulli karne ke bad pani ka asar-tari ka halaq me jana
23.baam ya cream lagana
24.badnigahi ya badkhyali ki wajha se mazi ka nikalna
25.kamzor admi ka bv ko buri nazar se dekhne ya bv se sohbat ke tasawwur ki wajha se inzal-mani ka nikal jana.
Agar gair mahram,nangi tasweer ya film dekhne se inzal ho to is gunah se roza makrooh hoga
26. bv ko bosa lena
27.miswak karna jis ka maza bhi zuban par mahsoos ho
28.zere naaf ya bagal ke baal katna
28.heart ki bimari me zaban ke niche goli rakhna basharte ke us ka dawai ke ajazaa luaab-thuk ke sath halaq me na jaye.
29.khun test karana
30.dayalisis karana
31.janabat ki halat me sahri karna aur subsh sadiq ke baad gusl karna
32.nahate huwe, barish me bhigte huwe ya terte huwe bila ikhtiyar paani kan me chala jana
33.kaan se mail nikalna chahe us ke liye salaai kitni hi martaba kaan me dalni pade
34.gardo gubaar-dhul mitti ka bila ikhtiyar halaq ya naak me dakhil ho jaye
35.pichhe ke raste me masse par ya zakham par dawai lagana
36.sahri ka waqt khatm hone aelan ya roze ke time tebal ke waqt bad bhi khate raha lekeen subah sadiq se pehle ruk gaya lekeen aesa nahi karna chahiye is me roza fasid hone ka khatrah hai
📗kitabul masail 2/safa 77 se 84 ka khulasa
📘 masaile roza (rafat) 59 se 70 ka khulasa
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
Roman urdu me roze, zakat wagairah ke masail ke liye zaroor dekhe
📲💻
www.aajkasawal.page.tl
Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment