Wednesday, April 5, 2017

CRICKET DEKHNA KAISA HAI?

🎾CRICKET DEKHNA KAISA HAI?📺

⭕AAJ KA SAWAL NO. 971⭕
Cricket Dekhna kaisa hai is me music, gaana wagairah film ki kharabiyan nahin hoti hai to gunjaish hai ya nahin?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

Mavjoodah daur me cricket ek aisa khel ban gayaa hai ke aam taur se isme shareeat ke khilaf kaam paaye jate hain.

1. Namaz ka qaza kar dena.

2. Usper haar-jit (win-lost) aur juwe (gambling) khelna

3. Faasiqon aur gunehgaron aur gafil qism ke logon ka usko ikhtiyar karna jiski wajah se unki sohbat milna.

4. Gaflat ki had yeh ho chuki hai ke din to din raat Ko bhi is me mashgul rehnna

5. Cricket ke waqt nav-jawan ladkiyon aur aurton ka maidan me jamaa hona unme aksar aadhi nangi hoti hai un ko dekhna.

6. Raat din isee dhun aur fikr sawar ho jana jis ki wajah deenee ya dunyawi kaam me dil na lagna

7. Dukan wale ka dukan se, nokri wale ka nokri se gafil ho jana, jiski wajah se der se kaam duty anjam dena ya duty par hee na jana

8. Studant aur Madarsah ke talaba ka apni padhai me kotahee karna

9. Masjid me aane ke ba'ad wuzu karte huve aur wuzu se farig hokar bahot se shauqeen ka shadi ke hall me bhi isi ke tazkeron me mashgool rehna

10. Agar ramzan me match  ho to taraweeh aur tilawat ko qurban kar dena

11. Haar-jit per patakhe (crackers) bomb fode jaate hai jiski wajah se maal zayea hota hai

12. Upar ki yeh harkat qaumi fasad ka sabab ho kar musalmano ka jaani maali nuqsan hota hai.

13. Haarne walo ki jitne walon se ya uski khushi manaane walon se adawat-anduruni dushmani paida ho jaana

14. Maa-baap, biwi bachchon aur padosiyon wagairah ke huqooq me kotahi karna.

15. Bahot sa qeemati waqt jo akhirat ke imtihan ki taiyyari ke liye diya gaya tha zikro, tilawat, dawat,duaa ke bajaye is fuzool ko dekhne me zayea kar dena

16. Match ke darmiyan me aane wali mukhtalif advertise me music sunna aur badnigahi karna aur film aur serial dekhne ka shauq paida hona wagairah nuqsanat ki wajah se criket dekhna jaiz nahin.

📕fatawa raheemiyah qadeem 7/275se 280

📙fatawa darul uloom qadeem 8/285

📘mahmoodul fatawa tafseeli daleelen 3/121se 141 se makhooz izafon ke sath.

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

🕌MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

http://www.aajkasawal.page.tl

Telegram.me/Aajkasawal

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...