*HAJ KA MUKHTASAR TAREEQAH*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1114⭕
Ayyam e hajj kon se hain ?
Ayyam e hajj mein kya kya kaam karne hote hain ?
Tafsil se batane ki guzarish.
🔵Jawab🔵
حامداؤمصلیا و مسلما
8, 9, 10, 11, 12 zilhajj ayyam e hajj hain.
Hajj ka pehla din 8 zilhajj hai. is roz apni qiyam gaah hi se haji gusal kar ke ahram bandh lenge. Ahraam ki nafal padhen aur haj ki niyyat se talbiyah padhte huve mina ki taraf rawanah ho jayenge. Aur mina puhanch kar zuhar, asar, maghrib aur isha ki namazen apne khaime hi me ba jama'at adaa karen, kasrat se talbiyah padhte rahe. Raat mina hi me qayaam karna sunnat hai.
Hajj ka dusra din 9 zilhajj hai. Is roz fajar ki namaz mina me padh kar maidaan e arafat ko rawangi hogi. Zawal ke baad wuqoof e arafat ka waqt shuru hoga. is waqt khoob ro ro kar apne gunahon se taubah ki jaye.hanfi haji zuhar aur asar ki namaz apne apne khaimon me us ke waqt me adaa kar le, aur apna waqt Allah ta'ala ko yaad karte huve aur apne aziz o aqarib aur apne watan e aziz ki salaamati ke liye ziyadah se ziyadah duaen karte huve guzare. Ghuroob aaftab ke ba'ad maghrib ki namaz padhe begair muzdalifah ko rawanah ho jaye. Muzdalifah pahuch kar maghrib aur isha ki namaz isha ke waqt me ek azan aur ek iqamat ke sath adaa ki jaye.magrib ki sunnaten isha baad padhe, Raat muzdalifah hi me guzare. Muzdalifah jaate huve waadi e muhassar ( jahaan abraha ka hathiyon ka lashkar tabaah huva tha) ke paas se guzrte waqt tezi se istaghfaar padhte huve guzar jaye.
Hajj ka teesra din 10 zil hajj hai. Muzdalifah me wuqoof ke ba'ad jis ka wajib waqt subah sadiq se Lekar tulooa e aaftab se pehle pehle kuchh der ka hota hai fajar ki namaz adaa kar ke mina rawana ho jaye aur Tulooe aftab se lekar guroobe aftab tak bahot bhid ho to sab ko warna aurton aur kamzoron ko subah sadiq se pehle pehle sirf jamarah e aqbah (bade shaitaan) ko kankaryan maarni hai . 70 Kankaryan raat ko muzdalifah hi se utha le. Bade shaitan ko saat (7) kankaryan ek ek kar ke maarni hai. Jamaraat ko kankaryan marne ko rami kahaa jata hai. Rami e jamraat ke ba'ad qurbani ki jaye. Qurbani karne ke liye behtar yeh hai ke saudi hukumat ke zere intezaam qurbani ki raqam muatabar hanfi contractar ko jamaa karvadi jaye. Khud qurbani kar sakta ho to zayada behtar hai Qurbani karne ke ba'ad ya us ki ittilaa milne ke baad sar ke baal mundwaye ya katarwa le, albattah aurten apne sar ki choti ke tamam balon ko milakar bal ko ek ungli ki pore -ek inch ke baraabar khud kaat le ya apne mahram se katwa len. Ab ahraam ki pabandiyan khatam ho jayegi sirf bivi halal na hogi jab tak tawaf e ziyarat na kar len nahaa-dho kar apna aam libas pahan liya jaye. Is ke ba'ad agar himmat aur taaqat ho to isi roz warna 11, 12 zil hajj ko tawaaf e ziyarat ke liye makkah mukaramah chale jayen. Ziyadah behtar yeh rahta hai ke 11 zil hajj ko subah subah tawaf ziyarat ke liye makkah mukaramah chale jaye aur wahaan se wapasi me zawal ke ba'ad teeno jamaraat (teeno shaitaano ) ko saat saat (7-7) kankariyan marte huve apne khaimon me chale jayen.
Tawaf e ziyarat 10 zilhajj se le kar 12 zilhajj tak ghoroob aaftab se pehle pehle tak kiya ja sakta hai.
Tawaaf e ziyarat ke ba'ad sayee bhi karni hogi. 10 zil hajj ka din guzar ne ke ba'ad raat mina hi me qayaam karna hoga.
Hajj ka chautha din 11 zilhajj hai. Mina me zawal se lekar guroob e aaftab tak behtar waqt ya subah sadiq se pehle jaiz waqt me jamarah e ulaa (chhota shaitan) fir jamarah e wustah (darmiyana shaitan) fir jamarah e aqbah (badaa shaitan) ko 7, 7 kankaryan ek ek kar ke marni hai . Raat ko mina hi me qayaam karna hoga.
Hajj ka panchwan din 12 zilhajj hai. Mina me zawal ke ba'ad se gurube aaftab tak behtar waqt me ya subah sadiq tak jaiz waqt me teeno jamaraat ko tarteeb war ek ek kar ke saat kankariyan marni hain aur ghuroob e aaftab se pehle pehle mina ki hadood (border) se bahir nikal jana behtar hai. Warna subah sadiq ho gai to phir mina hi me thehrna (qayaam karna) wajib hoga aur 13 zilhajj ko bhi rami e jamarat karni hogi.
Ayyam e hajj me agar kisi *aurat ko mahwari-m.c.:ayyam shuru ho jayen to woh hajj ke tamaam af'aal bajaa laave, siwaye tawaf e ziyarat ke, paak hone ke ba'ad woh tawaaf aur saee kare. Majburi me taakhir ki wajah se aurat par koi kaffarah nahin hoga. Rami mard aur aurat ko khud karna hogi . Watan rawaanagi se pehle tawaaf e widaa karna bhi zaruri hai.
📗Anware manasik,mualimul hujjaj me se khulasah
👏🏻Ye msg aap ke koi ta'alluk wala haj ko gaya ho to use zarur bhejen ho sakta hai ke ise padhkar usko haj me sahulat ho jaye.
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India
📲💻www. aajkasawal.Page.tl
Subscribe Our Youtube Channel
Www.youtube.com/BayanatPost
Download Our Android App
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group