Wednesday, November 30, 2016

HUKOOMAT SE PAISE KATWA KAR (extra tax dekar) WHITE MONEY KARWANA

HUKOOMAT SE PAISE KATWA KAR (extra tax dekar) WHITE MONEY KARWANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.858 ⭕

Sarkaar ne kaha AGHOSIT PAISE AGAR SAAMNE AA KAR BATATE HAIN TO 49.90% WHITE MIL JAYEGA.

*KYAA YE KAM PAISA LENA JAIZ HOGA* ?

🔵JAWAB🔵

Hukoomat ka ealan jis me 50% paise penalty ke cut jayenge aur qanoonee taur par woh paise white money shumar honge, agar checking me pakde gaye to 85% zabt karegi, aisa aelan bhi ham ne padha hai,

lihaza agar zayadah nuksan hone ke khatre se  bachne ke liye is kam nuqsan ko  khushi se uthane taiyyar ho to Jaiz hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

✅mufti juned palanpuri hal mumbai

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

(Is islamic Group app ko update karte rahe)

Tuesday, November 29, 2016

HADEES BAYAN KARNE ME AEHTIYAAT

*HADEES BAYAN KARNE ME AEHTIYAAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 857 ⭕

AAJ KAL WHATSAPP AUR FACEBOOOK PAR KUCHH LOG BAGAIR HAWALE KE HADEES BHEJTE HAI,
GUMAN US KE HADEES HONE KA HOTA HAI TO AESI HADEES BHEJNA KAISA HAI ?

🔵Jawab🔵

HADEES BAYAN KARNE ME BAHUT AEHTIYAAT KI ZAROORAT HAI.

HUZUR ﷺ KA IRSHAD HAI KE, JO MERI TARAF SE JHUT NAQAL KARE (YANI GALAT HADEES BAYAN KARE YA BHEJE ) WOH APNA THIKANA JAHANNAM ME BANAYE.

📚BUKHARI

HAZRAT ABDULLAH IBNE MASUOOD Rd. JO IBTIDAE ISLAM ME MUSALMAN HO GAYE THE, HABSHA AUR MADINE KI HIJRAT JINHONE KI THI,
HUZUR ﷺ KE KHAAS KHADIM THE, WUZU KE PAANI KA INTIZAAM, JUTE UTHANA, TAKIYA PESH KARNA, INHI KE ZIMME THA. TAMAM JUNGO ME SHARIK RAHE,
AAP ﷺ KE GHAR YE AUR IN KI WALIDA KA KASRAT SE AANA JANA THA, ISLIYE LOG IN KO AHLE BAIT (GHAR KA MEMBAR) SAMJHTE THE,

HUZUR ﷺ KA IN KE BARE ME IRSHAD HE KE
IBNE MASUOOD JO HADEES TUM KO BAYAN KARE USE SACH SAMJHO.

ITNE MUATAMAD AUR YAAD DASHT PAKKI HONE AUR IN SAB BATON KE BA-WAJUD
ABU AMR SHAYBANI R.A. KEHTE HE KE, ME EK SAAL TAK IBNE MASUOOD RD. KE PAAS RAHA, MENE KABHI BHI HUZUR ﷺ KI TARAF MANSUB KAR KE BAAT KARTE NAHI SUNA, LEKIN AGAR KABHI HUZUR ﷺ KI TARAF KOI BAAT MANSUB KAR DETE THE TO BADAN PAR KAPKAPI AA JATI THI

AUR IBNE MAYMOON RD. KEHTE HE KE, EK MARTABA HADEES BAYAN KARTE HUWE ZABAN SE YE NIKAL GAYA KE
*HUZUR ﷺ NE YE IRSHAD FARMAYA*
TO BADAN KAANP GAYA, AANKHON ME AANSU BHAR AAYE, PESHANI PAR PASINA AA GAYA, RAGEN-NASE FUL GAYI,
AUR FARMAYA
*INSHA ALLAH YAHI FARMAYA THA*
*YA IS KE QAREEB QAREEB THA*
*YA US SE KUCHH JYADA YA IS SE KUCHH KAM*

📚MUSNADE AHMAD MUQADDAMAE AWJAS

💎FAAIDA💎
YE THI UN HAZRAAT KI AEHTIYAT HADEES SHAREF KE BARE ME, YE HAZRAT WAJUD YE KE MASA'IL
HUZUR ﷺ KE IRSHADAT AUR HALAAT HI SE BATATE THE MAGAR YE NAHI KEHTE THE KE
*HUZUR ﷺ KA IRSHAD HE*

KE KHUDA NA KHAWASTAH JHUTH NIKAL JAYE,

US KE BIL-MUQABIL HUM APNI HALATE DEKHTE HE KE BE-DHADAK BE-TAHQEEQ HADEES NAQAL( sms ) KAR DETE HE ZARA BHI NAHI JIJHAKTE HALAN KE
HUZUR ﷺ KI TARAF MANSUB KAR KE BAAT NAQAL KARNA BADI SAKHT ZIMMEDARI HE

UMMID HE KE IN BATON KO PADHNE KE BAAD BAGAIR HAWALE KI HADEES AUR KOI BHI BAAT ALLAH KI TARAF MANSUB HO MSG KARNA JAIZ NAHI IS SE BACHNA BAHOT HI ZAROOREE HAI.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

(Is islamic Group app ko update karte rahe)

Monday, November 28, 2016

PURANI NOTE ON ME (ZIYADAH QIMAT ME) BECHNA

💵 PURANI NOTE ON ME (ZIYADAH QIMAT ME) BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.856 ⭕

Ba'az logon ne apni black mony declared ki hai use bharne ke liye badi note mavjood nahi lihaza woh purani badi notes 10 take(percentage) on me maang rahe hain to kya me ek lakh (1,00,000) ko ek lakh das hazaar(1,10,000) me bech sakta hun?

🔵Jawab🔵

Aap ko ek lakh purane notes ke pure ek lakh hi mil jaye yahi ganimat hai us par Allah ka shukr adaa karo us par ziyadah paise lene ke chakkar me na pade us par ziyadah lene se bachna chahiye lihaza ek lakh ke badle me ek lakh usee majlis (bethak) me de den udhar len dain na karen

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

✅TASDEEQ USTAZE MUHTARAM HAZRAT MUFTI ABDUL QAYYUM RAJKOTI D.B.NAIB MUFTI JAMIAA ISLAMIYAH DABHEL GUJRAT

✅TASDEEQ MUFTI JUNED PALANPURI HAL MUMBAI

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, November 27, 2016

SHOHAR K LIYE MURDAH BV KA MUNH DEKHNA&QABR ME UTRNA

SHOHAR K LIYE MURDAH BV KA MUNH DEKHNA&QABR ME UTRNA

⭕AAJ KA SAWAL NO:855⭕

SHOHAR KE LIYE MURDAH BIVI KA CHEHRA DEKHNA AUR US KI QABR ME UTARNA JAIZ HAI YA NAHI?

🔵JAWAB🔵

BEEWII {Wife} KE MARNE KE BAAD USKA KHAAWIND { SHOHAR} SHAR'AN USSE AJNABEE HO JAATA HEI,  AUR NIKAH KA TA'ALLUQ PURE TAUR PAR KHATM HO JAATA HEI,  IS LIYE GHUSL DENA AUR HAATH LAGANA MANA HEI,

     LEKIN BEEWII KA CHEHRA DEKHNA, AUR JANAAZE KO KANDHA DENA BILKUL DURUST-JAIZ HEI,  AUR AGAR KOI MAHRAM NA HO TO USE QABRA MEI UTAARNA BHIE DURUST HEI,  KYUN KE QABRA KE ANDAR UTAARNE MEI KAFAN DARMIYAN ME HOTA HEI, AUR KAFAN KE UPAR SE HAATH LAGANA DURUST HEI.
{Jaisa Ke Durre Mukhtaar Waghairah Kutube Fiqh mei TafseeL se Maujood hei}. Wallahu Ta'aaLa AaLam
.
📘FATAWAA DARUL ULOOM DEOBAND-5/196.

♻ IS BARE ME BAHOT SE LOGON KO GALAT FAHMEE HAI LIHAZA IS MASLE KO ZAYADA SE ZAYADA SHARE KARO.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

(Is islamic Group app ko update karte rahe)

LINE ME KHADE RAHNE KA TOKEN BECHNA

LINE ME KHADE RAHNE KA TOKEN BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 854⭕

Me token lekar line me kaafi der se khada tha mera no.lagne ke qareeb tha ke mujhe achanak kisi kaam se line me se nikalna pada to me aesi kisi surat me apna token kisi aur bech sakta hun.

🔵Jawab🔵

Shareeat me bechi janewali cheez ka maal hona zaruri hai aur token maal nahi hai lihaza us ko bechna jaiz nahi.

📗JADEED MUAAMALAT KE SHAR'EE AHKAM 1/279 BAHAWALA

📘AHSANUL FATAWA 6/526 SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

*📱💻Update Islamic Group App..*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, November 25, 2016

Duplicate note aa jaye to kese chalaye?

💶Duplicate note aa jaye to kese chalaye?💷

⭕AAJ KA SAWAL NO.853⭕

Tijarat me agar rupya pesa khota aa jaye to kiya kare?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

Agar maloom hai ke kis ke pas se aaya hai tab to usee ko de de.jis tarah bhi mumkin ho chahe batakar chahe chahe dhoka dekar (chupke se isliye ke ye haqeeqat me aapne haq ko hasil karna hai jo jaiz hai)
Agar maloom na ho to kisi aur ko dhoka dena jaiz nahi, batakar diya jaye chahe lenewala kam qeemat par le,ya
Agar kisi jaga Us se zulman liya jaye to wahan bila bataye bhi dena durust hai.
(Jese baaz sarkari log ko jo bila rishwat kam nahi karte aur baz zulmi texes bharne me)

📗FATAWA MAHMOODIYA DABHEL 16/172
BAHAWA DURE  MUKHTAR MAA RADDIL MUHTAR

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

🔵Jawab🔵

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

*📱💻Update Islamic Group App..*

_Naye category add hue h alhamdulillah.._

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, November 24, 2016

NOTE DILANE KI DALALI

NOTE DILANE KI DALALI

⭕AAJ KA SAWAL NO.852⭕
Purane note lekar naye note ya chhote note koi party deti ho aur kisi ko apne purane note dene ho to dono partiyon ko mulaqat karane ki 2 Taka(percentage) dalali lena jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

Dono partyon ki milane me bhi kuchh na kuchh mehnat zaroor hai lihaza jis se bhi dalali leni ho pehle se miqdar batakar dalali ke take tay kar liye jaye aur tay shuda dalali dene par dono ya dono me se jo bhi party razi ho to dalali lene ki gunjaish hai. kisi party se chhupa kar ya tay kiye bagair lena jaiz nahi. yeh baat yaad rahe purane bandh note ki dalali ka kaam qanoon ke khilaf hai is liye is se bachna chahiye.

والله اعلم

📗FAYAWA RAHEEMIYAH KARANCHI 9/299 BA HAWALA SHAMI 5/43 SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, November 23, 2016

500, 1000 ki note ki samaniyat

⭕AAJ KA SAWAL NO .851⭕

500, 1000 ki note ki samaniyat, paisa hona khatm ho gaya to us ko zakaat me de sakte hai ya nahi ?
us se zakat adaa hog ya nahi ?

🔵Jawab🔵

Samaniyat khatam hone ke baad is ki haisiyat qanoon ki wajha se ek waseeqah:cheque ki maan li jayegi, 
Agar zakat lene wala us ko tabdeel karane par qadir hai to jitne rupiye ki us se maaliyat hasil karta hai utne rupiye ki hi zakat adaa huyi samjhi jayegi.

Khulasa yeh hai ke 500-1000 ki notes zakat me dene se puri puri zakat har haal shumar nahin ki jayegi, balke uske badle me market ki value ke hisab se jitne rupiye naye notes ya 100-50 ke notes milte hai ya jitne rupiye ka koi saaman petrol, ticket wagairah khareedta hai utne rupiye ki zakat shumar ki jayegi.

*yaani maujuda halat me jo currency chal rahi hai wo jitne miley utni zakaat adaa hogi*

Haan agar zakat lene wale k paas bank me account hai aur usne apne bank account me ya hospital me 500-1000 ki notes jama kar di jisse usko puri puri raqam mili, kisi tarah ki kami nahin huyi to us surat me zakat bhi puri puri shumar ki jayegi

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

✅TAYEED HAZRAT MUFTI ABDUL QAYYUM RAJKOTI D.B.
NAYIB MUFTI JAMIAA ISLAMIYA DABHEL GUJRAT

®TAS'HEEL MUFTI WASEEM WAGH BAKRIWALA
VICE PRESIDENT JAMIATE ULAMA E SURAT

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, November 21, 2016

DOLLAR KE BADALE ZIYADAH PAISE LENA

DOLLAR KE BADALE ZIYADAH PAISE LENA

⭕AAJ KA SAWAL NO.849⭕

Mera paas dollar hain waise ek dollar ke abhi 68 rs. milte hain lekin me 500,1000 ki note lun to 120 ke hisaab se milte hain to kya me ek dollar par purane note bazaar se ziyadah bhaw le sakta hun? yeh ziyadati sood shumar hogi?

🔵Jawab🔵

Puchhi huyi surat me dollar ke muqabalah me indian currency hai dono jins:cheez alag alag hain lihaza aapas ki razamandi se dollar's ke jitne bhi rupees milte ho le sakte hai yeh ziyadati sood nahin hai ba-bharte saude ki usi majlis me ek party apne rupiye par qabzah kar le.

lekin sarkari qanoon ke khilaf hone ki wajah se agar qanoon ki pakad aane ka khatra ho to jaiz nahin.

📗FATAWA USMANI 3/148 SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

*📱💻Update Islamic Group App...*

_Naye category add hue h alhamdulillah.._

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, November 20, 2016

NOTE BADALWANE KA KAROBAR

NOTE BADALWANE KA KAROBAR

⭕AAJ KA SAWAL NO.848 ⭕

Me purane note 1 lakh ke 30 taka kaat kar fir use 20 taka me badalwa leta hun kiya aesa karna jaiz hai?
Agar na jaiz ho to Is ki jaiz surat kiya hai?

🔵Jawab🔵

Indian note ke badle me Indian note badalne ko karobar banana jaiz nahi chahe note naye purane chhote bade ho.aur jawaz ki shakle karobar banane ke liye nahi hai woh to sirf apni halal aamdani ko zayea hone se bachane ke liye ya bagair kuchh nafa diye koi na deta ho un ko dene ke liye hai.is ka karobar banane ki koi jaiz shakal nahi ye sood hai aur sood lene denewalon se allah taala aur us ke rasool صل اللہ علیہ وسلم ne aelane jang kiya hai ke woh apni dunya wa akhirat barbad ho jane ke liye taiyyar ho jawe aesa admi der sawer zaroor barbad hoga.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

*📱💻Update Islamic Group App..*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, November 19, 2016

PURANI NOTE QARZ DEKAR KAM PESE WASOOL KARNA

PURANI NOTE QARZ DEKAR KAM PESE WASOOL KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.847 ⭕

Kisi ko purani badi note ek lakh qarz dekar yun kehna ke mujhe 1 mahine ke baad sirf nabbe hazar chhoti note ke lotana aesa karna sharan kesa hai?

🔵Jawab🔵

Mazkoorah surat me Qarz dekar sood to nahi le raha hai.lekeen sood de raha hai.paise ke muqabale me paise hai lihaza kami zayadati sood hone ki wajha se jaiz nahi.hazar,panchso ki note ghatiya saman:paise hai aur so,panchso ki note undah paise hai jab paise ke badle me paise ka len dain kiya jaye to umdah aur ghatita hone ka aetibar nahi kiya jayega yani samnewala ghatiya pese de rahe us ke bawajood us ke muqabale me umdah paise pure hi dene padenge kam dena saheeh nahi.

📗QUDOOREE BABUR RIBA SE MAKHOOZ.

🚫NOTE: note ki haqeeqee samaniyat pesa hona abhi mukammal khatam nahi huwa hai.Ahqar ne uparwale masle ko sagrampura masjide hira surat me jaiz qarar diya tha lihaza apni is galati se rujooa karta hun.kisi ke pas is ka audiyo pahoncha ho to is surat ko jaiz na samjhe aur us se rujooa ko yad rakhe.allah meri is galti ko muaaf kare aur aayindah hifazat farmayen.ameen

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

📱💻*Update Islamic Group App..*

_Naye category add hue alhamdulillah.._

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, November 18, 2016

PURANI NOTE  SE ZAYADA BHAW SE SAMAN BECHNA.

PURANI NOTE  SE ZAYADA BHAW SE SAMAN BECHNA.

⭕AAJ KA SAWAL NO.846⭕

Koi cheez ham agar 500,1000 ki note ke badle beche to kya bazaar se ziyadah bhaw le sakte hain?

🔵Jawab🔵

Aapas se razamandi se ek cheez ke badle koi cheez bechne ko shareeat me bea-soda kehte hai. lihaza koi purani note ke badle me apna saman ziyadah qeemat par bheche aur khareedne wala apni khushi se ziyadah bhaw par khareede to aisa karna shareeat me jaiz hai alabattah qanooni taur par manaa hai.

📗QUDOORI KITABUL.BUYOOA SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, November 17, 2016

🏨MAKAAN BANNE SE PEHLE BECHNAME KI NA JAIZ & JAIZ SURAT

🏨MAKAAN BANNE SE PEHLE BECHNAME KI NA JAIZ & JAIZ SURAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.844⭕

Builder zameen kharidkar makaanat aur dukaanat taamir karva kar bechte hain. makaan taiyyar hone se pehle Woh us ka plan aur naqshah ya tasweer banaa kar un me se khareedar ko  ki pasand ke mutabiq makaan bechte hain,

makaan ki kul size kamre ki taadad aur size wagairah Tafsilat bataa dete hain aur kehte hain filhaal tum ko itni raqam deni hogi aur aayindah hafta(instalments) system se har maheene itne itne rupiye dekar kul majmuyi itni raqam deni hogi aur building taiyyar hone par tum ko qabzah denge

zaid ne istarah ke builder se ek makaan khareeda Chand qisten-hafte adaa karne ke baad nafaa (profit) lekar bakar ko bech diya bakar ne bhi chand hafte adaa karne ke baad nafa lekar umar ko bech diya aur umar ne bhi mukammal hone se pehle hee chand hafte adaa kar ke khalid ko bech diya

sawal yeh hai ke makaan mukammal hone aur qabzah se pehle is tarah nafaa lekar bechna sahih hai?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

حامدا و مصليا و مسلما
Builder ne jo muamalah kiya woh *jaaiz* hai use بيع الاستصناع bay e istisna order dekar kisi cheez banwane ka muaamalah karna kehte hain
(KAL KE MSJ ME IS SURAT KA JAWAZ KA ALAG HUKM BAYAN NAHI KIYA THA)
Lekin ba'ad walo ne jo muaamala kiya woh durust nahin  jo cheez pure risk aur qabzah me nahin aayi hai us ka bechna jaiz nahin.

📗halal haram wazih hai 1/154
bahawala mahmoodul fatawa 2/467

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRALAHU

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

*SURAT JILEY KA IJTIMA INSHA ALLAH 18,19,20 NOV. BAROZ JUMAA, SANICHAR AUR ITVAAR KO UNN GAAUN ME HOGA SABHI SAATHI SE DARKHWAST HAI KE KHUD BHI PAHONCHE AUR DAWAT BHI KHOOB CHALAAYE AUR IJTIMA KE KAAMIYABI KE LIYE DUA BHI KAREN*

MAKAN BANANE SE PEHLE BECHNE KI JAIZ SURAT

🏬 MAKAN BANANE SE PEHLE BECHNE KI JAIZ SURAT
⭕AAJ KA SAWAL NO.845⭕

Builder zameen khareedkar makaanat aur dukaanat taameer kara kar bechte hain. makan taiyyar hone se pehle Woh us ka plan aur naqshah ya tasweer bana kar un me se khareedar ko un ki pasand ke mutabiq makan bechte hain, makan ki kul size kamre ki taadad aur size wagairah Tafsilat bata dete hain aur kehte hain filhaal tum ko itni raqam deni hogi aur aayindah hafta system se har maheene itne itne rupiye dekar kul majmoee itni raqam deni hogi aur building taiyyar hone par tum ko qabza denge to Kiya makan taiyyar hone se pehle uska bechna saheeh hai?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

حامدا و مصليا و مسلما
Agar is ka taamul-riwaaj hai to to ye muamala Istisnaa-order dekar taiyyar karaye janewale sode Me dakhil hokar durust hoga.

📗badaiyus sanaia 5/3
📘mshmoodul fatawa jild 2 safa 465
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
*UN GANW ME 18,19,20 KO SURAT ZILEA KA IJTIMAA HAI SHIRKT FARMAYEN*

Wednesday, November 16, 2016

🏨MAKAAN BANNE SE PEHLE BECHNA

🏨MAKAAN BANNE SE PEHLE BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.844⭕

Builder zameen kharidkar makaanat aur dukaanat taamir karva kar bechte hain. makaan taiyyar hone se pehle Woh us ka plan aur naqshah ya tasweer banaa kar un me se khareedar ko  ki pasand ke mutabiq makaan bechte hain,

makaan ki kul size kamre ki taadad aur size wagairah Tafsilat bataa dete hain aur kehte hain filhaal tum ko itni raqam deni hogi aur aayindah hafta(instalments) system se har maheene itne itne rupiye dekar kul majmuyi itni raqam deni hogi aur building taiyyar hone par tum ko qabzah denge

zaid ne istarah ke builder se ek makaan khareeda Chand qisten-hafte adaa karne ke baad nafaa (profit) lekar bakar ko bech diya bakar ne bhi chand hafte adaa karne ke baad nafa lekar umar ko bech diya aur umar ne bhi mukammal hone se pehle hee chand hafte adaa kar ke khalid ko bech diya

sawal yeh hai ke makaan mukammal hone aur qabzah se pehle is tarah nafaa lekar bechna sahih hai?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

حامدا و مصليا و مسلما

Yeh muaamala durust nahin hai jo cheez pure risk aur qabzah me nahin aayi hai us ka bechna jaiz nahin.

📗halal haram wazih hai 1/154
bahawala mahmoodul fatawa 2/467

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRALAHU

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

*SURAT JILEY KA IJTIMA INSHA ALLAH 18,19,20 NOV. BAROZ JUMAA, SANICHAR AUR ITVAAR KO UNN GAAUN ME HOGA SABHI SAATHI SE DARKHWAST HAI KE KHUD BHI PAHONCHE AUR DAWAT BHI KHOOB CHALAAYE AUR IJTIMA KE KAAMIYABI KE LIYE DUA BHI KAREN*

Tuesday, November 15, 2016

QABZAH KIN CHEEZON ME ZARURI HAI ?

QABZAH KIN CHEEZON ME ZARURI HAI ? AUR
QABZAH AUR PAISE  KI ADAAYGI SE PEHLE FLAT BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 843⭕

*A*

Qabzah kise kehte hain aur kin cheezon me zaruri hai aur kin cheezon me zaruri nahin?

*B*

Kisi ne flet ya makaan 20 lakh ka kharida sauda (deal) ho gaya lekin abhi qabzah mila nahin hai paise bhi adaa nahin kiye hain aur koi graahak (kharidar) ke paas 21 lakh ka aa gaya to yeh bechna aur uska nafa jaiz hai?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

*A*

Qabzah haqeeqat me kehte hai bechnewale ki milkiyat (proprietary) me se ya'ani us ke paas se maal utha kar ya hatakar apni milkiyat me le lena aur qabze ke liye takhliya ya'ani ikhtiyar de dena bhi kaafi hai ya'ani bechne wala kharidne wale ko cheez is taur par de de ke woh jab chahe aakar utha sakta hai us ko woh maal wahaan se uthane me koi rukawat na ho.

Masalan biki (sold) huyi cheez us ke samne rakh dee. Ya gaadi ya box ki chabi de dee.

Jo cheez apni jagah se uth sakti hai is me qabzah zaruri hai us ko qabze se pehle bechna jaiz nahin hai
Aur cheez apni jagah se hat nahin sakti masalan makaan, zameen usme qabzah zaruri nahin qabze se pehle bechna jaiz hai.

🚫NOTE
YE MASLAH HANFIYAH KE NAZDEEK HAI.

📗JADEED MASAIL KE SHAREE AHKAM 2/99 SE MAKHOOZ

*B*

Han is tariqah se aage bechna aur uska nafa bhi jaiz hai ye soda udhar samjha jayega.

📗BAHISHTI ZEWAR 5/368
AUR KANZUD DAQAIQ SAFA 24 SE MAKHOOZ

📡 *SURAT JILLE KA IJTIMAA*📡

*18,19,20 JUM'AH KI ASAR SE ITWAR KI ZAWAL TAK*
HOGA TAMAAM HAZRAAT SE IS KI DAWAT CHALANE AUR PAHONCHNE KI GUZRARISH

http://www.aajkasawal.page.tl

Monday, November 14, 2016

TOKEN KI RAKAM KA HUKM AUR WO WAPAS NA KARNE KI JAWAZ KI SURATEN

💸TOKEN KI RAKAM KA HUKM AUR WO WAPAS NA KARNE KI JAWAZ KI SURATEN

⭕AAJ KA SAWAL NO. 842⭕

*A.*
Soda tay hota hai to kuch rupay batore biaanay-baana-(advance) token ke dete hai agar soda cancel ho to us raqam ko wapas na dena kesa hai?

*B*
Mufti sahab kal sawal no.841 me aap ne soda cancel hone ki surat me biaanah-token wapas dene ka likha tha aesa karne ki surat me khareedar befikr ho jate hai aur kai maheene ke baad bhi makan ka soda cancel kar dete hai, aesa karne bechne wale ko nuqsan uthana padta hai? baaz martabah us ke bharose us se zaid qeemat dene wale baad me aane wale grahak ko ham chhod dete hai, lihaza koi surat aesee bhi bataiye jis se talafi ho aur khareedne wala galat faidah na uthaye

🔴AAJ KA JAWAB🔴

*A*
Mazkoorah surat me woh baana (token money) wapas na karna jaiz nahi, us biaanah-baane ko malik ko lotana zaroori hai, sarkari qayda kuchh bhi ho

📗TASHEELE BAHISHTEE ZEWAR 2/175 SE MAKHOOZ

*B*
Pehli baat to ye hai ke khareedar bechne wale ki razamandi ke bagair jab chahe soda cancel kar hee nahi sakta, bechne wala us ko kharedne par majboor kare, sharaee aitibar se kisi cheez ko khareedne ke baad na lena jaiz nahi, aesa zuban badalne wala aadmi sakht gunehgar hai,
Agar khareedne wala qaabu me nahi aata to zulm aur nuqsan se bachne ke liye
Hazrat mufti rasheed ludhyani r.a. ne is ki talaf ki 3 soorat likhi hai.

1. us makan ko khareedne wale ko filhaal to bech de aur us ko qabza dekar qeemat wasool kar le, fir usee se dobarah biaanah ki raqam kam kar ke khareed liya jaye.

2. woh makaan khareedar ki ijazat le kar bech diya jaye, jitni qeemat kam aaye utni raqam biaanah Se kaat lee jaye, agar zayada qeemat aaye to khareedar hee ko wapas kar dee jaye.

3. agar khareedar qabu me na aata Ho to islami haakeem:qazi ko darkhast dekar makan ko bikwaye
upar ki soorat no. 2 ke muwafiq fesla karwaya jaye islami haakim:qazi na ho to ulamaa ki committee se fesla karwaya jaye.

📗AHSANUL FATAWA 6/501

📝MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT

http://www.aajkasawal.page.tl

Sunday, November 13, 2016

NAFE KI HAD limit of profit

NAFE KI HAD
*limit of profit*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 841⭕

Shareeat me nafe ki koi tadad muqarrar hai ke nahi ? Zyadah se zayadah kitna nafa le sakte hai ?

🔵Jawab🔵

Shareeat me nafe ki koi ta'adad muqarrar nahi, lekeen had (lemit) se zayadah nafa bemuruwwati (begairati) hai.

Zayadah nafa lene ki gunjaish to hai lekin Agar samne wala shakhs khareedne me ya bechne par majboor hai to agarche woh apni razamandi se hi soda karega lekeen halaat aur majbooree ka faidah uthakar bahut kam daam me khareedna aur bahut zayadah daam me bechna bemuruwwati (begairati) hokar mana hai

📕FATAWA MAHMOODIYAH 16/48

*nabi e kareem صل اللہ علیہ وسلم ne majboori ke sode se mana farmaya hai.*

📗ABU DAWOOD 124/2

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, November 12, 2016

⭕AAJ KA SAWAL NO.840⭕

⭕AAJ KA SAWAL NO.840⭕

Jin Hazraat ke paas limit se ziyadah 1000 - 500 Ke notes hain. .
To woh hazraat aise logo se mile jinke jewellery banks ya mahaajan,sood se ruiya denewalon ke pas me Girvi hai. .
Aur unke jewellery chhudakar apne paas rakkhe. .
Jab jewellery ka maalik chhudakar le jaaye to usko bagair interest ke apne rupye lekar uske zewaraat waapas karde.
Is se koi majboor shakhs banks ke 15% interest se bach jayega ..
Aur un maaldaar hazraat ka kaam bhi ho jayega.aesa karna kaisa hai?

🔵Jawab🔵

Ji yeh surat jaiz hai lekeen dusra shakhs jo zaeerat chhuda kar apne paas rakhta hai us le liye bhi us par kuchh bhi sood: interest lena jaiz na hoga.is surat me logon ko sood (interest) bharne ke kabeerah gunah se bachane ki bhi niyyat ho to bade hi sawab ka kaam hai

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, November 11, 2016

💴10 SAAL KI ADVANCE ZAKAT

💴10 SAAL KI ADVANCE ZAKAT

⭕AAJ KA SAWAL NO. 839⭕

Abhi mavjoodah surate haal me paise kahaan lagaana yeh ek masla hai
Isliye mera iradah 10:Das,20:bis saal ki advance zakat nikalne ka hai to kya itne sab saal ki aise paiso se jisko log qanuni taur se nahi lete un paiso ko zakat me isteamaal kar ke mustahiq ko dena jaiz hai?
Sab salon ki zakat ada hogi?

🔵Jawab🔵

Mavjoodah halat me agarche purani badi note's bandh ho gayi hain lekin bank hospital wagairah ba'az jagah chalti hain aur gareeb aadmi unko naye paiso se tabdeel kar ke apni zarurat poori kar sakta hai lihaza das bis saal ki advance zakat aise paiso se utne sal ki nikalna jaiz hai jitne saal ki zakat ke nisab ka malik ho.
1 karod ka malik ho to ek sal ke dhai lakh ke aetibar se das saal ki 25 lakh zakat de sakta hai.lekeen aese gareeb ko itni miqdar me malik banakar de jitni us ki zaroorat ho woh khud qarza ada karne ke bad bhi sahibe nisab na ban jaye aur jo un noton ki akhri tarikh se pehle use istiamal kar sakta ho aur woh pese us ke pas bekar ho jane ka galib guman na ho.
Aur dete waqt bojh utarna aur peson ko sirf zayia hone se bachane ki niyyat na ho balke allah ki razamandi aur gareebon ka aese haalat me taawun aur mal ki niamat ka saheeh istiamal ho jani ki niyyat ho.
Chand salon ki zakat nikalne ke baad har saal hisab karna zarooree hoga ke kitne saal ki kitni wajib hui aur kitni nikli thi aur kitni baqi hai.

Note:agar kisi saal me ye advance zakat nikalne wale admi ka maal bilkul khatm ho gaya yani faqeer ho gaya  ya zakat ke wujoob ke saal ke akhir me nisab ka malik hi na raha fir dobarah maldar ya zakat ke nisab ka malik huwa to us ke liye baad ke saal ki zakat nafal shumar hogi.
Samjh me na aane par ulamaa e kiram se rubaru milen

📚SHAMI 3/220 SE MAKHOOZ MAKTABAH ZAKARIYA

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

✅TSDEEQ MUFTI JUNED PALANPURI SAHAB D.B.MUMBAI

🚗AJMER SHAREEF KHAWAJAH KI NAGRI ME  JAMEEATE ULAMAA E HIND KO 33 WAN IJLASE AAM
13 NAVEMBAR ITWAR KO 4 BAJE SE ISHA TAK BILA TAFREEQE FIRQAH HAR KALMAH GO SE SHIRKAT KARNE KI GUZARISH HAI.

Thursday, November 10, 2016

Mavjoodah haalat me lambi raqam ho aur bank me khata na ho ya bank me line zayadah ho ya aur koi maslihat ho to kiya ek lakh ke badle nabbe hazar le sakte hai? Us ki jaiz shakal kiya hai?

⭕AAJ KA SAWAL NO. 838⭕
Mavjoodah haalat me lambi raqam ho aur bank me khata na ho ya bank me line zayadah ho ya aur koi maslihat ho to kiya ek lakh ke badle nabbe hazar le sakte hai?
Us ki jaiz shakal kiya hai?

🔵Jawab🔵

Ek lakh ke badle nabbe hazar lena soodi muaamalah aur haraam hai,

us ka jaiz hilah mavjoodah haalat me ye hai ke ek lakh ke badle ek lakh hi diye jaye fir alag se das hazar rupiya diya jaye aur kaha jaye ke aap ne mera ye kaam kiya aur aap khud in badi noton ki chhuti not karawoge us me jo mehnat hogi us ke badle me aap ko de raha hun.

Dusri surat ye hai ke ek lakh ke badle me ek lakh lana tay karo, ke tin din baad lakar dunga, aur us ek lakh rupiye lekar qabza kar lo, aur kaam ki mehnat, bank me jana, line me khada rehna, us ki mazdooree tay kar lo.

maslan 10-15 hazar rupiye ye kaam karne ke me lunga to ye bhi jaiz hai, ye hile sirf mavjoodah halat me pareshani se bachne ke liye hai, jab ye pareshaniyan khatm ho jaye to in hilon ki shareeat me ijazat nahi hogi.

Pehle hila hazrat maulana khalid saifullah brahmani d.b.ne irshad farmaya hai.

📗MUAJAMAH LUGATUL FIQHI

📝IMRAN ISMAIL MEMON SURAT

MUFTI JUNED PALANPURI MUMBAI KE EK FATWE SE MAKHOOZ

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, November 9, 2016

NOTE BADALNE KI SURATEN

💵NOTE BADALNE KI SURATEN

⭕AAJ KA SAWAL NO.837⭕
1000,(ek hazaar) ya 500 (panchso) ki note dekar kam paise masalan 900 (nawso) ya 450 (charso pachaas) rupiye lena kaisa hai?

Agar na jaIz ho to abhi Ke haalaat me jaiz shakal kiya hai?

🔵Jawab🔵

Hazaar ya panchso rupiye dekar kam paise ka len den rupiye ke muqabale me rupiye hone ki wajah se soodee(interest)muamalah hai.
Lene wala aur dene wala dono sakht gunehgar aur la'anat ke mustahiq hai.
aisa hargiz nahi karna chahiye.
Jaiz shakal yeh hai ke hazaar ke muqabale me nawso diye jaye aur saath me misal ke taur par ek das rupiyewala pen wagairah koi cheez di jaye to 900 rs.ke muqabale me 900 rs.aur so ruiye kam de raha hai is ke muqabalah aur badle me  das rupiyewala pen ho jaye.

dusri misal ek lakh ke muqabalah me 85000 hazar aur 5000 rs. ka mobile 15000 me bech diya jaye to 85,000 ke muqabalah me 85,000 aur 15000 ke muqabalah aur aewaz me panch hazar wala mobile de diya jaye taake rupiye badle me barabar sarabar rupiya aur kami ke aewaz me mobile yani koi cheez ho jaye.
📗FIQHI MAQALAT
📘HIDAYAH RABIA BABUR RIBA SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, November 8, 2016

AWLAD KI SHADI KAB KARANA ZAROOREE HAI?

AWLAD KI SHADI KAB KARANA ZAROOREE HAI?

⭕AAJ KA SAWAL NO.836⭕

KYA YE BAAT SAHEEH HAI KE AWLAD BALIG HO JAYE FIR BAP US KI JALDI SHADI NA KARAE AUR AWLAD KHUD ZINA ME MUBTALA HO JAYE TO BHI US KA ZIMMEDAR US KA BAP HAI ?

🔵JAWAB🔵

ji han ye baat hadees se sabit hai ek shart ke sath puree hadees hasabe zail hai
✪ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ke

→” Jis shakhs ke yaha ladka peyda ho to use chahiye k wo uska naam achchha rakhe aur use nek aadaab sikhaye ,

→ ( yani shariyat ke ahkaam aur aadaab , zindgi ke islami tareeqe sikhaye taki wo duniya va akhirat me kaamyab aur sar buland ho )

→ Fir wo baalig ho jaye to uska nikaah karade,

→ Agar ladka baalig ho (aur Shaadi ke kharche per woh khud qudrat na rakhta ho ) aur uska baap ( uske sadgi se nikaah ka kharcha bardasht karne per qudrat rakhta ho uske bavjood) uska Nikaah na kare aur fir wo ladka buraai me (zina) mubtala ho jaye to uska gunaah Baap per hoga, ”

 Mishkaat, 2/271

✪ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

→” Toraat me likha hua he k jis shakhs ki Ladki ki umar 12 saa (Baalig) ho jaye aur woh (Jod ka rishta milne ke bavjood) uska Nikaah na kare,

→ Fir wo Ladki burai ( yani badkaari vagera ) me mubtala ho jaye to uska gunaah uske baap per he,

Mishkaat, 2/272

aajkal Internet ke is daur me awlad ko pakdaman rakhna baap ki zimme zarooree hai ke sadgi se bhi nikah ki qudrat ho jald nikah karade.

 📗Izdiwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal,safa 39,40
✏HAQ KA DAYEE ANSAR AHMAD
®TASDEEQ WA TASHEEH IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl

Monday, November 7, 2016

MO'AMIN KE THUK ME SHIFA HAI YE HADIS NAHI

MO'AMIN KE THUK ME SHIFA HAI YE HADIS NAHI

Health in saliva of mo'amin

⭕AAJ KA SAWAL NO.835⭕

Kya mo'amin aadmi ke thuk (saliva) me shifa hai ?

🔵JAWAB🔵

Mo'amin aadmi ke thuk me shifa hai ye hadis nahi hai, lekin ma'ana ke aitbaar se ye sahih hai,

Kyun ke saheehain me hai ke nabi e kareem ﷺ se jab koi shakhs kisi (marz) ki shikayat karta ya usey fodaa ya zakhm hota to aap ﷺ apni ungli yaane angushte shahadat ko zameen se lagate fir usko un par lagate aur farmate "me Allah ke Naam ki barkat haasil karta hun, ye hamari zameen ki mitti hai, jo hum me se kisi ke thuk me mili huwi hai, taa ke hamare bimaar ko hamare Rab ke hukm se shifa ho jaye"

📚Bikhre Moti
Jild 1

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, November 6, 2016

MUKHTALIF HALATON ME NIKAH KE MUKHTALIF HUKM

MUKHTALIF HALATON ME NIKAH KE MUKHTALIF HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.834⭕
nikah karna kab farz,wajib, sunnat,haraam aur makrooh hota hai?

🔵JAWAB🔵

✪ Farz :-

⇛ Kisi shakhs par Shahwat ka is qadar galba ho k agar Nikaah na kare to zarur zinakari-badkari me mubtala ho ja’ega,

→ Aur usko baqadre zarurat nafqa-kharcha aur Mahar per haqeeqatan ya hukman (qarza lekar ya kisi ke dene se ) qudrat bhi haasil he,

→ Shar’an us per Farz he k Shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat karen

✪ Wajib: –

⇛ Agar kisi per Shahwat ka galba he ke Shaadi na kare to zina-badkari me mubtila hone ka khof he, lekin yaqeen nahi,

→ Aur usko bivi ke mahar aur kharcha dene per qudrat bhi haasil he,

→ aese shakhs per Shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat wajib

✪ Sunnat: –

⇛ Agar koi shakhs Nikaah ke qabil ho gaya, Naan nafqa-kharche per qudrat haasil he aur humbistari per bhi qudrat he, Nikaah se koi aur shara’i rukawat mojood nahi, aese shakhs ke liye Nikaah karke ba izzat zindgi guzaarna shar’an masnoon hai,

→ Kyuki ye Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka daa’imi-hameshgi ka amal he,

→ Aur Shaadi se Eraaz-na karne karne walo par Aap Sallallahu Alaihivasallam ne radd farmaya yani farmaya ke woh ham me se nahi hai.

→ lihaza aesa shakhs itteba e sunnat ki niyyat se apni ismat-burai se zat ki hifazat aur Saaleh aulaad ke husool ki niyat se Shaadi kare to ajro sawab Hoga

✪ Haraam: –

⇛ Agar kisi shakhs me Bivi ke huqooq adaa karne ki taaqat na ho,

→ maslan naa mard he, ya naano nafqa-kharche per haqeeqatan ya hukman taqat nahi, ya mizaaj me sakhti ho ke bivi par zulm karega

→Kisi vajah se usko yaqeen he ke Bivi ke huqooq adaa nahi ho sakenge,
→To ese shakhs ke liye nikah karna haraam hai

✪ Makrooh Tahrimi: –

⇛ Jis shakhs ko Bivi per zulm ka yaqeen to na ho lekin galib gumaan yahi he k zulm ho ja’ega huqooq me kotahi hogi

→To ese shakhs ke liye jab tak ada e huqooq per qudrat na ho Nikaah karna makrooh Tehrimi hai

📗IZDUWAJI ZINDAGI KE SHAREE MASAIL

📘DURRE MUKHTAR 7/3

✏HAQ KA DAI ANSAR AHMAD

®TASHEEH TASHEEL WA TASDEEQ

(MUFTI)IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA
📱Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl

Saturday, November 5, 2016

LAMBI MUDDAT DOOR RAHNE SE TALAAQ

LAMBI MUDDAT DOOR RAHNE SE TALAAQ

⭕AAJ KA SAWAL NO. 833⭕

Meri bivi apne mayke jhagda kar ke chali gayi, aaj ek saal ho gaya, hamari mulaqat nahi hui, to kiya is tarah itna lambe waqt tak door rahne se talaaq ho gai ? ya nikah me kuchh khalal waqia huwa ? Wapas nikah karna padega?

🔵JAWAB🔵

mazkoorah surat me na talaaq waqia hui na nikah me koi khalal waqia huwa, jab tak talaaq na dee jaye, bivi se judaee me chahe kitne hi saal guzar jaye talaaq khud ba khud nahi padti.lihaz wapas nikah karne ki bhi zaroorat nahi.

📗HIDAYAH SAANI SE MAKHOOZ

✏MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

🕌MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, November 4, 2016

JAIZ NA JAIZ KHIZAB-MEHNDI HAIR COLOUR

JAIZ NA JAIZ KHIZAB-MEHNDI HAIR COLOUR

AAJ KA SAWAL NO.656

A.
Siyah mail Khizab (balon me light kali mehndi ya dark brown mehndi jo door se kali maloom ho lagane ka kiya hukm hai?) Aur dark kala khizab-mehndi lagana kesa hai?
B.
bilkul kala kizab- mehndi aurten shohar ko khush rakhne laga sakti hai ya nahi?

AAJ KA JAWAB 

A.
aesa light kala khizab-mehndi lagana mardo aur aurton ko jaiz hai.basharte ke balon par pad-coating na chadhti ho jis se pani pahonch na sake colour aur die lagana jaiz nahi agarche us par halal likha gaya ho.

Aur bikul kala khizab-mehdi lagana mardon ko jaiz nahi aese mard jannat ki khushbu bhi nahi sung sakenge halan ke woh 500 saal ki dooree se mahsoos hogi.

📗darhi aur anbiyaa ki sunnaten safa 78
ba hawala ibne maja wa 📘imdadul fatawa 4/203

📕Ahsanul fatawa jild 7)

B.
han aurat bilkul kala khizab agar shohar khwahish kare to shohar khush rakhne ba taure zeenat lagane ki baaz ulamaa ne gunjaish dee hai. Ba sharte apne aap ko jawan zahir kar ke kisi ko dhoka dena ya paraye mard ko dikhana maqsood na ho.

📘aurat ke liye banau singar ke ahkam safa 48 ba  hawala mirqat sharhe mishkat 8/304 )

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

www.aajkasawal.page.tl

www.aajkasawal.page.tl

💻Hamare Sabhi Sawal jawab Aur dusre mazeed masail ki maloomat Ke liye hamari nayi khubsurat fihrist wali apps zaroor dawnload karen

👉🏼https://play.google.com/store/apps/details?id=masaail.ilmedeen
www.deeneemalumat.net

Thursday, November 3, 2016

MUNCHH & DARHI KA SUNNAT KA TAREEQAH

MUNCHH & DARHI KA SUNNAT KA TAREEQAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.832 ⭕

(1) MUNCHH KATNI CHAHIYE YA MUNDNI CHAHIYE ?
MUNCHH KE BARE ME ASAL SUNNAT KYA HAI?

(2)DARHI KAHAN KAHAN SE KAAT SAKTE HAI?DARHI KITNI RAKHNI CHAHIYE?

🔴JAWAB🔴

(1) MUNCH KO ITNA KAATA JAYE KE MUNDNE QAREEB HO JAYE.

📗[FATAWA MAHMOODIYYAH BA HAWALA SHAMI 2/550 KITABUL JINAYAT

📘BAHRUR RAAIQ 3/19]

HADEES SHAREEF ME IHFU AUR JUZWA KA LAFZ AAYA HAI JIS KE MAANA MUBALAGE YANI ZAYADA BARIK KARNA AATA HAI

📕(MUSLIM SHAREEF 1/129 BABU KHASAILE FITRAT

(TAHAWEE SHAREEF)

HONTHO KE BAL KO ITNA KATNA KE KINARAH NAZAR AA JAYE (YE BHI SAHEEH HAI)

AUR MUNDNE ME IKHTILAF HAI BAZON NE BID'AT AUR BAZON NE IJAZAT LIKHI HAI NA MUNDANE ME AETIYAT HAI.

(MIRQAT BAHISHTI ZEWAR 224)

SUNNAT YE HAI KE MUNCHHO KE BAAL KHUB BARIK KATAYE

📒( FATAWA ALAMGIRI)

(2) DARHI CHARO TARAF SE EK MUSHT-MUTHTHI SE ZAID KO KAATNA DURUST HAI.

KAAN KI LAW KE SAMNE KI HADDI KE UPAR KE BAAL SAR ME SHUMAR HOTE HAI. HADDI KE NICHE KE BAAL DARHI ME SHUMAR HOTE HAI USE KATNA HARAM HAI.

HONTH KE NICHE THODI KE BICH ME JO BAAL HOTE USE DARHI KA BACHCHA KEHTE HAI.WOH HISSA BHI DARHI KE HUKM ME HAI USE KATNA BHI HARAAM HAI.

📗(AL MINHAL 1/187)

BACHCHE KE AAJU BAJU KE BAAL YANI HONTHON KE NICHE KA DARMIYANI HISSA CHHODKAR US KE IRD GIRD KE BAAL KATNA BHI JAIZ HAI. USE CHHOD DENA AUR NA KAATNA BEHTAR HAI.

GAAL KE (HANSTE WAQT) UBHRE-FULE HUWE HISSE KE BAAL KATNA JAIZ HAI NA KATNA BEHTAR HAI.

📘( FAIZUL BARI 4/380)

📕( DARHI AUR ANBIYAA KI SUNNATEN SAFA 70,74)

GARDAN KE BAAL MUNDNA DURUST HAI.

📙(AHSANUL FATAWA 8/76)

DARHI MUNDNA YA EK MUSHT SE KAM KARNA HARAM HAI AUR AESA GUNAH JO HAR GHADI-HAR WAQT LAGATAAR HAMESHA JARI REHTA HAI.HATTA KE NAMAZ KE  WAQT AUR SONE KE WAQT BHI YE GUNAH BANDH NAHI HOTA LIHAZA KATNE AUR MUNDANE SE BACHNA WAJIB HAI.

📒DARHI KA WUJOOB HAZRAT SHAIKH ZAKARIYA رحمت اللّٰہ علیہ  KI

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

*📱💻Update Islamic Group App..*

_Naye category add hue  alhamdulillah.._

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, November 2, 2016

NAAPAK AURAT KE HAATH KA KHANA

NAAPAK AURAT KE HAATH KA KHANA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 831⭕

Kiya haizah (mc period) (maasik) wali aur nifas (bachcha paida hone ke baad khun aane) wali aurat ke haath ka khana kha sakte hain ? uske bistar par beth aur let sakte hain?

Dusre mazhab wale ko dekhkar ba'az musalman bhi unko achhut mante hain yeh sahih hai ?

🔵Jawab🔵

Haiz, nifaswali aurat ke haath ka pakaya huwa khana kha sakte hain, uska chhuya huwa paani bhi pi sakte hain, aur uske bistar par zahiri (dikhai denewali) napaki na ho to beth bhi sakte hain.

Islam se pehle aisi aurton ko alag kamre (room) me nikal diya jata tha, Islam ne aurton ko yeh haq diya ke aisi aurton ka bahir ka pura jisam pak hai. lihaza uske saath me sirf so bhi sakte hain.

lihaza aisi aurton ko achhut maanna gairon ka tariqah hai, is tariqah se bachna zaruri hai.

📗NOORUL IZAAH BABUL HAIZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India
SURAT RANDER ISLAMI JIMKHANE ME 3:11:16 BA ROZE JUMARAT ASAR SE ISHA HALATE HAZIRAH WA ISLAHE MUAASHARAH KE UNWAN PAR HAZRAT MAULANA SAIYYAD SALMAN NADWI SAHAB D.B.,
HAZRAT MAULANA ASRARUL QASMI MP
HAZRAT MUFTI MAHMOOD BARDOLI SAHAB D.B.AUR DEGAR GUJRAT KE BAHOT SE AKABIREEN WA ULAMAA TASHRIF LAYENGE LIHAZA IS MAVQE PAR GUJRAT ME REHNEWALE HAR FARD SE GUZARISH HAI KE SHIRKAT FARMAKAR APNI IMANI HARARAT AUR BEDARI KA SUBOOT PESH KAREN

Tuesday, November 1, 2016

SAFAR KE MAHINE KE CHAND GALAT AQAAEED

SAFAR KE MAHINE KE CHAND GALAT AQAAEED

⭕AAJ KA SAWAL NO. 830 ⭕

*Mufti sahab,*
*Safar ka mahina shuru ho gaya hai, aur hamare yahan is mahine ko manhus samjha jaata hai ke is mahine me balaayen taklifen nazil hoti hai.*
*To aap se guzarish hai ke mo'tabar hawalon ke saath is baat ki wazahat farmayen ke kyaa ye sahih hai ya nahi ?*

🔵JAWAB🔵

Rasulullah ﷺ Ne Irshad Farmaya "Safar ke Mahine Me Bad Shagooni Lena, Shaintani pakad Or Nahoosat ke Asraat Koi Cheez Nahi Hai."

(Bukhari Shareef)

"Beemari, Shaitaani Girift, Sitaaron Ki Gardish Or Nahoosat Ka Safar ke Mahine Se Koi Talluq Nahi.

(Muslim Shareef) 

Tashreeh :- Safar Ka Mahina Bhi Mubarak Mahina hai, Jisko Safar Al-Muzzaffar Kehte Hai, Yaani Barkaton Wala Mahina, Ye Mahina  Bhi Mubarak Hai Muharram Ki Tarha,

Aap ﷺ ke Zamane Me Log Is Mahine  Me Shaadiyaan Nahi Karte The, aur Is Mahine Ko Manhoos Kehte The, ke Is Mahine me Aasmaan Se Balaaein Utarti Hai, Jo Ke ek Fuzool aur Galat Baatein Logo Ki felayi Huwi Hai.

Rasulullah ﷺ Ne irshad farmaya Ke "Beemari Me chhot chhat Ko Maanna (Yain Beemari Kisi Ki Dusre Ko Lag Jana), Parinda Udaa Kar Faal Lena, Ulloo-owl Ki Awaz Se Bad Shagooni Lena aur Safar Ko Manhoos Samajhna Fazool aur Lagwa (Yaani Bekar Be-Haqeeqat) Baatein Hai"

(Sahi Bukhari) 

Safar Ka Mahina Islami Mahina hai,  Safar Al-Muzzaffar Ka Matlab Hai "BARKATO WALA MAHiNA"

Zamana-e-Jahiliat Me Log Safar ke Mahine  Ko Manhoos Kehte The aur Is Mahine Me Shaadi nahi Karte The.

Yehi Haal Aaj Kal Ki Awaam Ka Hai. Aise aqaeed se bachna behad zaruri hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...