♻BONI KARNE KA HUKM
🌌GAIR MUSLIMON KE TAHWAR ME SHIRKAT KARNA AUR MUBARAKBADI DENA
⭕AAJ KA SAWAL NO. 828⭕
🅰Boni karna yani subah me maal bikne ya khareedne ki shuruaat karna ya naye saal ki shuruaat me ya kisi tehwar ke din maal khareedna ya bechnaa taa ke puraa saal achchha jaye, barkat ho Is Ka kya hukm hai ?
🅱Gair muslimon ko tehwar me shareek hona aur un ko naye saal ki mubarakbadi dena kesa hai?
🔵JAWAB🔵
🅰shareeat me nekfali -achchha shugoon lenaa jaiz hai.masalan din kee Shuruaat achchhi hui To puraa din achachha jayega. lekeen is nekfali ko gair qaum ke tehwar ki din lene me un se mushabahat payee jati hai aur un ke aqeedah hai ke allah ke hukm ke alawah cheezon me asar karne ki aur nafa nuqsaan ki taqat hai is kufriyah aqeedah ki bhi tayeed hoti hai.
lihaza us din musalman ko boni karne ki niyyat se koi cheez khareedna ya bechna jaiz nahi. Koi gair muslim is niyyat Se khareedta ho to use boni ki niyyat kare bagair bechna Jaiz hoga.
📚AGLAATUL AWAAM AUR FATAWA MAHMOODIYAH JADEED 19/567aur 573 SE MAKHOOZ
🅱Ger muslimo ke tehwar zahir he k unke mushrikana Aqeede par bane huwe hote he, or musalman hone Ki hesyat se hamare liye shirk se bara't or be ta'lluqi ka izhar zaruri he, isliye in tehwaro me musalmano ka sharik hona mubarakbadi dena jaiz nahi, Fuqaha-masail ke mahireen ne bahut sakhti se mana kiya he, balke kufr ka fatwa lagaya he. Fatawa bazzaziyah me he :الخروج إلى نيروز المجوس والموافقة معهم فيما يفعلونه في ذلك اليوم كفر.
(فتاوى بزازيه على هامش الهندية :6/333)
Isliye ke tehwar mushrikana fikr par us ki bunyaad hoti he, isliye Un par mubarak baad Dena goya unke nuqta e nazar-soch or Aqeede Ki taaeed he isliye usse bhi bachna chahye, balke mubarak baad dene me kufr ka andesha he.
"قال مسلم خوب سيرت نهادند يكفر.
(تاتار خانيه :5/522)
Hamare pyare Nabi sallallahu alayhi wasallam se musalmano ne parsiyo Ki tarah basant k manane Ki ijazat chahi to aap ne ijazat nahi di.
📗(mishkat bahawala
Abu daaud :1439)
Phir usme ger qaum se mumasalat-copy bhi he, Suraj nikalne, sar par aane or dubte waqt namaz parhne se mana kiya gaya hai agar waqt ka pata na ho to bhi namaz in waqton me makrooh hogi.kiyun ke ye Suraj Ki puja karne wale or dusri qaumo me ibadat or puja paat ka khususi waqt he.
📕(nasai:583)
to jab islam ko ger muslimo ke tehwaro se, Yaha tak k unki ibadato ke time me similarity-shirkat bekhabri me bhi gawara nahi to unke tehwaro me shirkat kaise jaiz ho sakti he?
Baaz log ise mazhabi rawadari-aektaa samajhte he lekin ye naSamjhi Ki baat he, rawadari "Mazhab faroshi" -mazhab bechne ka name nahi, ye to be zamiri-begairati Ki baat hogi, islam kabhi bhi is baat Ki ijazat nahi deta ke musalman aqeede or Mazhab ke mamle me "Lo... Or... Do" ka rawaiyya ikhtiyar kare, is masle me islam Ki gairat ka ye haal he ke usne dusri qaumo se mushabahat-naqqali ikhtiyar karne se rok diya.
"من تشبه بقوم فهو منهم (ابو داؤد:400)📘
Jaan lo k islam k tamam ahkam Ki bunyad "ekeshwarwaad or tauhid" par he, or usme Adna or mamuli darje Ki Lachak-dhil ikhtiyar karne Ki gunjaish nahi, isliye kisi murti puja Tehwar par mubarak baad Dena, khushi ka izhar karna, usme sharik hona or is tarah k mushrikana aqeede ke mazhar Julus ka welcome karna bilkul jaiz nahi.
📔(fatawa bazzaziyah :6/334)
📝MUFTI SIRAJ SIDAT CHIKHLI GUJRAT
✏MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
💻
http://www.aajkasawal.page.tl