Friday, September 30, 2016

Islami naye saal ke kuchh a'amaal hain?

⭕AAJ KA SAWAL NO. 798⭕

Islami naye saal ke kuchh a'amaal hain?

Masalan naye saal ke pehle din khas rozah rakhna,sona chandi khareedna, khushi manana wagairah islam ki is baare me kya ta'alim hai?

🔵Jawab🔵

Islam me gairon ki tarah din Aur saal manane ki ta'alim nahin hai. aur is ke kuchh makhsoos ahkam bhi sarahatan(saaf saaf) nahin diye hain albattah usoolan saal ke aakhari din aakhiri jumaa me taubah aur istigfar kar sakte hain.aur naya saal khair afiyat ke saath jaaye us ke liye duaa ke mukhtalif kalimat keh sakte hain.

Is din rozah rakhne ki koi khas fazeelat manqool nahin hai albattah sunnat wa shareeat samjhe bagair rozah rakhna chahe to rakh sakta hai rozah ka jo sawab hai woh milega.

Albattah islami chand ki tareekh ka istiamal karna chahiye is ki maloomat rakhna farze kifayah hai agar pure shahar aur gaanv me is ka istiamal sab chhod denge ek bhi admi ko pataa nahin hoga to sab gunehgar hai. isee tarah islami maheeno ke naam bhi khud yaad karna chahiye aur apne bachchon ko bhi yaad karana chahiye. aur yeh yaad rahe ke isliye islami tareekh ko bhi karobar me,khatto kitabat,shaadi biyah wagairah aham program me istiamal kare us ke Calender  chhapakar iis islami shaair (islami alaamaat) wa pahechan ko aam karna us ki hifazat aur riwaj aur taraqqee dena ummat ke aham faraiz me se hai.

📗MAARIFUL QURAN IDRISI 1/380 SE MAKHOOZ IZAFE KE SATH
Ashorah ke roze ke fszail hai jiski maloomat 7 muharram ko bheji jayegi INSHA ALLAH انشاء اللہ

🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
*EKTA WA SHAANTI SAMMELAN*
*JAMIATE ULAMA E HIND SURAT KA PROGRAM*
*TAARIKH 2 OCT. BAROZ ITWAR*
*PATAA RANG UPVAN HALL GAANDHI BAAG KE PAAS CHOWK BAZAAR SURAT*
*TIME SUBAH 10:00 BAJE*

*JISME SABHI MAZHAB AUR FIRKE KE RAHNUMA APNA AMAN VA EKTA KA PAIGAAM SUNAYENGE*

*HAR MAZHAB KE AUR HAR FIRKE KE SABHI LOGO SE AAJIZANA GUZARISH HAI KE TASHRIF LAA KAR MASHKOOR FARMAEN*

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, September 28, 2016

ZAM ZAM PINE KA TAREEQAH

ZAM ZAM PINE KA TAREEQAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.797 ⭕

Zam zam khade hokar pina chahiye ya bethkar bahut se hazrat khade hokar pine ko sunnat kehte hai saheeh tareeqah kya hai?

🔵Jawab🔵

HAZRAT ABDULLAH IBN E ABBAS R.A. FARMAATE HE KE MENE NABEE ALAYHISSALAAM KO ZAMZAM KAA PAANI PILAYA TO AAPNE KHADE HOKAR WO PIYA
(SAHEEH BUKHARI: KITAABUL ASHRIBAH)

IS HADEES KEE WAJH SE BAAZ ULAMA KA KHAYAL YE HE KE ZAMZAM KA PAANI BETH KAR PEENE KE BAJAAYE KHADE HO KAR PEENA BEHTAR HE
ISEE WAJH SE MASHOOR HE KE DO PAANI AISE HEN JO KHADE HO KAR PEENE CHAHYE
1 WUZU KA BACHA HUA PAANI AUR
2 ZAMZAM KA PANI

LEKIN DUSRE ULAMA YE FARMAATE HE KE YE PAANI BHEE BETH KAR HEE PEENA BEHTAR HE
AUR JAHA TAK HAZRAT ABDULLAH IBN E ABBAS KEE HADEES KA TALLUQ HETO USME KHADE HOKAE PEENE KEE WAJH YE THEE KE EK TARAF TO KUWAA DUSREE TARAF LOGO KA HUJOOM AUR FIR KUWE KEE CHAARO TARAF KEECHAD AUR BETHNE KEE JAGH BHEE NAHEE THEE
ISLIYE AAPNE KHADE HOKAR KAR PEE LIYA  LIHAZA KHADE HOKAR PINA JAIZ HAI.

ISSE YE LAAZIM NAHEE AATA KE KHADE HOKAR KAR PEENA AFZAL HE

MAAKHUZ AZ ISLAHI KHUTBAT 5/237

📝MUFTI ABDUL QAYYUM RASHID QARI AHMAD AJMERI

🕌 Ustaze sufi bag Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, September 26, 2016

Khajoor khane ka sharee tareeqah aur aadab kya hai ?

⭕AAJ KA SAWAL NO. 796⭕

Khajoor khane ka sharee tareeqah aur aadab kya hai ?

🔵Jawab🔵

Khajoor khane ke aadab hasabe zail hai.

1. Khajoor ko taaq adad yaane 3, 7, 9 adad me khaye.
📚Aehya 3/6

2. Do Khajoor wagerah ek sath na khaye, jab ke sathi bhi khane lagey han sathi ijazat de to haraj nahi.
📚Aehya 2/7

3. Khajoor aur guthli ek bartan me jamaa na karey, isi tarah ek hatheli me bhi jamaa na karey.
📚aehya 3/6

4. Huzur aqdas sallallahu alayhi wasallam Khajoor khaate to ulte haath se guthli fenkte jate, aap sallallahu alayhi wasallam guthli 2 ungliyon yaane shahadat aur bich ki ungli se fenkte, is tarah dono ungliyon ki pusht par guthli rakhte aur fenk dete.
📚aehya 3/6

5. Purani Khajoor khaaye to pehle usko under se saaf kar len fir khaaye.
📘Baa adsb baa naseeb  214

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, September 24, 2016

HAJJ MAQBUL HONE KI ALAMAT

HAJJ MAQBUL HONE KI ALAMAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.794⭕
Mufti sahab, mera haj qubul ho gaya uski koi alaamat hai ?
agar hai to hawale ke saath batane ki guzarish.  
🔵JAWAB 🔵

Ji haan, aap ki haj Allah Rabbul Izzat ki baargaah me maqbool ho gayi uski alamat ye hai ke

hajj ke baad aamale saliha ka eahtamam aur pabandi aur aakhirat ki taraf ragbat:shauq badh jaaye, aur pehli haalat se behtar ho jaye, <allah ke ahkaam aur nabi صل اللہ علیہ وسلم ke tareeqah par zindagi aajaye>

{mard daadhi na ho to daadhi rakh le, takhno ke upar payjama na pahanta ho to pahanna shurua karey aur aurat parda na karti ho to parda karna shuru karey aur dono sharaee libaas ka ehtamam karey}

is liye hajj ke baad apne aamal aur akhlaq ka khaas tor se khyal rakhna chahiye aur taa’at aur ibadat me khub koshish karni chahiye, gunaah aur burey akhlak se nafrat aur parhez karna cahiye.

📚muallimul hujjaj safa 337 se 341

Ye baaten paida ho gayi inshaAllah aap ka haj qubul hai. Aap hamen aur puri ummat ko apni duaao me yaad farmayen.  

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, September 23, 2016

HAJ KE SAFAR KE HAALAT HAR EK KO SUNANA

HAJ KE SAFAR KE HAALAT HAR EK KO SUNANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.793⭕

Hazrat mufti sahab, me is saal haj kar ke aaya hun, to kyaa me mere milne walon se ye keh sakta hunk e me haj kar ke aaya Aur safar ke haalat suna sakta hun?

🔵JAWAB🔵

Haj ka tazkirah har ek shakhs se na karna chaiye, kyun ke tazkirah me khauf hai riyaa aur fakhr paida hone ka, riyaa aur fakhr ki niyyat se tazkirah karna to buraa hai hi, lekin muhaqqeqeen sufiya to baaz awqat aise tazkiron ko bhi manaa karte hai jo bazaahir taa’at malum hote hai, maslan wahaan ke mahaasin [achchhe manzar] aur fazail bayan karna jisse wahaan jane ka shauq aur ragbat paida ho.

Tazkirah sunne wale 3 qism ke log hai.

1.Ek who log hai jin par haj farz hai, unke samne to targeebee mazameen bayan karna jaiz balke mustahab hai,

2.Dusre wo log jin par haj farz nahi hai, lekin unme haj ki taqat aur gunzaish hai, aur unko haj karne jaana manaa bhi nahin hai, unke samne bhi bayan karna jaiz hai,

3.Teesre who log jin par haj farz nahin hai, unko haj ke liye jaana mana hai, ye who log hai jinki maali taqat nahi hai, aur mashaqqat par sabr aur bardasht ki bhi qudrat nahin hai, aise logon ke saamne aise waqiyat aur mazamin bayan karna jinse unko haj ka shauq paida ho jaiz nahi, kyun ke isse unko haj ka shauq paida hoga aur unke paas saamaan hai hi nahi, na zaahiri, na baatinee, to khwamkhaa pareshani me mubtala honge, jise najaiz kaamo me pad jane ka khatra hai. Jaise <bila zaroorat qarz lena ,haj umrah me jane ke liye sawal karna ,zayada aur jald kamane ki fikr me haram halal ki tameez khatm ho jana ,kam pese me haj,umrah karne ke chakkar me dhoka khana wagairah me >pad jane ka andesha hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, September 22, 2016

RASAMI ISTIQBAL KI KHARABIYAN

⭕AAJ KA SAWAL NO.792⭕

RASAMI ISTIQBAL KI KHARABIYAN

Haajiyon ke rasami [riwaji] istiqabal ki kharabiyan tafseel se bataiye.

🔵JAWAB 🔵

Hazrat qari saeed ahmed sahib mufti e aazam mazahirul uloom saharanpuri rh. Likhte hai ke isme chand kharabiyan paida ho gayi hai.

1. khud aksar haajio ko bhi apne istiqbal ka had se ziyada aehtamam hota hai, aur pehle se intizam kiya jata hai, jis qadr ho sake majmaa ziyada ho ke haji sahab ki shan aur azmat zaahir ho, phone par phone kiye jate hai, khaas hidayat di jati hai, jiska mansha riyaa aur fakhr hota hai, riyaa aur fakhr se saaraa sawab zayea ho jata hai.

2. istiqbal aur saath lane wale apne shauq aur jazbate mohabbat se ya apni bewaqufi, jahalat aur behisee se is qadr aape se baahar ho jate hai ke unko dusre ki taklif aur aziyyat ki bilkul parwah nahi rehti, khub dhakkam dhakka hoti hai, baaz logo ko chot bhi lag jati hai, logon ko malum hona chahiye ke istiqbal aur saath lana ziyada se ziyada mandoob [mustahab] hai, aur muslamano ko taklif dena haram hai, is mandoob kaam ki wajah se haraam ka irtekab karna ahle aql ke liye mumkin nahi, aur aise mauqo par samajh se kaam lena chahiye, na khud bila wajah taklif uthaao na dusron ko taklif pohcha kar gunaah kamaao.

3. baaz jagah aurten bhi station par jakar itiqbal karti hai, mard aur aurat ka mel-jol aur be pardagee aur bahot si buri rusumaat paaye jane ki wajah se aesa istiqbal chhodne ke qaabil hai.

4.baaz jagah hajiyon ka juloos nikala jata hai, usme baaiaa [music] bhi hota hai, baaz dafa haaji ki tabiyat kamzor hone ki wajah se ya bimari ki wajah e mulaqat ki kasrat aur masafah se taklif hoti hai, magar log nahi maante, aise waqt sirf majme ki shirkat kaafi hai, kyun ke aise waqt musafaha aur muaanqah karna aur fir do teen baar karna sakht taklif ka baais hota hai, agar haaji bechara sharm ki wajah se uska izhar na karey lekin tum ko khud sochna chahiye ye kaam raahat pohchane wala hai ya taklif…!!

📕FATAWA RAHEEMIYYAH

📘MUALLIMUL HUJJAAJ SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal,Aaj ki Achchi Baat, Qur'an,Hadith in Hindi & Eng,Islamic Group Ke Sabhi deenee Text & Image Ke Liye Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, September 21, 2016

HAJJ KARNE KE BAAD HAAJI KEHALWANA AUR NAAM KE SAATH LIKHNA

HAJJ KARNE KE BAAD HAAJI KEHALWANA AUR NAAM KE SAATH LIKHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 791 ⭕

Hajj ki sa’adat haasil karne ke ba'ad apne naam me lafz *Haaji* lagana kya jaiz hai ?
Qur'an aur Hadis ki roshni me bataiye taake me bhi apne naam me haaji lagaau ya na lagaau, behtar kya hai ?

🔵JAWAB🔵

Apne naam ke sath haaji lafz lagana bhi riyakari ke siva aur kuchh nahin, hajj to razaa e Ilaahi ke liye kiya jata hai, *dusre log agar haaji sahib kahey to koi mazaaiqa [haraj] nahin.* Lekin khud apne naam ke saath haaji ka lafz likhna bilkul galat hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, September 20, 2016

HAJI KI MULAQAT

HAJI KI MULAQAT

⭕AAJ KA SAWAL NO. 789 ⭕

Haji ki mulaqat kaise karey ?

🔵JAWAB🔵

Huzur aqdas صل اللہ علیہ وسلم ka irshad hai ke jab kisi haaji se mulaqat ho to usko salaam karo, aur usse musafaha karo, aur isse pehle ke wo apne ghar me dakhil ho apne liye duaa e magfirat ki usse darkhast karo, ke woh apne gunahon se paak saaf hokar aaya hai.

📚Musnade ahmed, mishqat.

Mujahid aur haaji Allah ka wafd [ jama'at ]  hai, jo maangte hai wo unko milta hai, jo duaae karte hai qubul hoti hai, haaji ki bhi Allah ke yahan magfirat hai aur haaji 20 rabiul awaal tak jiske liye duaa e magfirat karey uski bhi magfirat hai. Salaf [agle buzurgon] ka mamool tha ke wo hujjaj ki mushaiyat [hajiyon ko chhodne aur lene jana] bhi karte the aur unka isteqbal bhi karte the, aur unse duaa ki darkhast karte the.

📚Ittihhaf, fazaile haj.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, September 19, 2016

HAAJIYON KO TOHFA HADIYA DENA AUR WASOOL KARNA

HAAJIYON KO TOHFA HADIYA DENA AUR WASOOL KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 789 ⭕

Jab haaji haj karke aate hai to tabarruk ya hadiye ke naam se ek rasm adaa karte hai, jisme who khajuren, zamzam, aur unke saath dusri chizen tasbih, musalla, thaal bartan wagerah chizen  rasm ke tor par baannte hai ye kaisa hai ?  

🔵JAWAB 🔵

Dost rishtedaaron ko tohfe dene ka shariyat me hukm hai, isse mohabbat badhti hai, magar dilee ragbat aur mohabbat ke bagair mahaz naam ke liye ya rasm ki adaygi aur dikhane ke liye koi kaam karna buri baat hai, hajiyon ko tohfe dena aur unse wasool karna aaj kal ek aisa riwaj ho gaya hai ke mahaz naam aur sharm ki wajah se ye kaam dil chahe na chahe kiya jata hai, ye shar’an chhodne ke laaiq hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

HAAJIYON KA ISTEQBAL KARNA

HAAJIYON KA ISTEQBAL KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 788 ⭕

Haj karke aane wale hajiyon ke rishtedar, dost airport ya railway station par badi ta'daad me lene jaate hai, haji ke baahar aate hi usey phoolon se laad dete hai, unse galey milte hai, haji sahib bhi haar pehne huwe ek sajee sajaayi gaadi me dulhe ki tarah beth jate hai, galiyon aur mohallon, aur ghar ko bhi khoob sajaya jaata hai, jagah jagah haj Mubarak ke takhte lagaye jate hai, baaz log to mukhtalif naarey bhi lagate hai, Maalum ye karna hai ke in sab baton ki sharaee haisiyat kya hai ? kyaa is tarah ikhlaas barqaraar rahega ?

🔵JAWAB 🔵

Hajiyon ka istiqbal achchhi baat hai, lekin ye phool, naarey, wagerah huddod [shariyat ki had] se tajawuz [aagey badhna] hai, agar haaji sahib ko dil me ujb [apne ko achchha ya kuchh samajhna] paida ho jaye to hajj zaye’a [barbad] ho jayega, is liye in chizon se aehtraz karna [bachna] chahiye.

📚Aap ke masail aur unka hal jild-4, safa 161.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, September 17, 2016

JANWARON KO ZABAH KARNA ZULM NA HONE KI DALEELEN

*JANWARON KO ZABAH KARNA ZULM NA HONE KI DALEELEN*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 787 ⭕

kya janwaron ki qurbani karna ye un par zulm hai ? gairon ka kehna ke islam ka ye tareeqah raham ke khilaf hai ye saheeh hai ?

🔵JAWAB🔵

1. Allah janwaron ka Malik hai, Malik ko Apni milkiyyat me tasarruf (jo chahe wo) karne ka ikhteyar hota hai, kisi dusre ke fate huwe kapde ko faadna bhi zulm hai lekeen malik apne behtareen kapde ko apne kaam ke liye faad de use koi zulm nahi kehta.musalmano ko Janwaron ke paida karnewale aur malik Allah ne qurbani karne ka hukm diya hai is liye qurbani karte hai.

2. Qurbani har mazhab me balidaan, bhog, balee, bhet chadhana wagerah naam se maujud hai.

3. Murghi, Machhli, Zinge wagerah jaandar ko dusre mazhab wale bhi maarte aur khate hai, to fir aetraz musalmano par hi kyun ?

4. Sabziyan, phalon, phoolon me bhi jaan hai, unko bhi hawa, paani aur roshni ki zarurat hai, science kehta hai wo bhi jaandar hai, jivdayaa karne jaoge to isey khana bhi chhodna padega. chhote jiv me bardashat ki taqat chhoti hoti hai, bade jiv me bardashat ki taqat badi hoti hai, isliye taklif pahonchne me chhota jiv aur bada jiv yaksa-same hai.

5. Islam mazhab duniya ke har kone ke liye hai, jahan sirf baraf hi baraf aur registaan hi registaan ho jahan sabjiyan nahi hoti, wahan ke logon ko janwar zabah karne se manaa kiya jaye to log kya khayenge ?

6. gosht khana fitaree-prakutik chiz hai, is liye Allah ne insaan ko faad khane wale janwar ki tarah uppar ke 2 naukile daant aur chabane ke liye gol darhen dee hai. sabzi khanewale janwar ko na naukile dant diye, na g) to darhen dee, bale sab daant sidhe aur chapti darhen dee.lihaza ye naukile tinne daant aur gol darhen sabzi khane nahi dee hai, balke gosht khane dee hai.

7. janwar ko zabah na karte to bhi wo ek na ek din bimari me mubtala ho kar tadap tadap ke zaroor marta woh hamesh nahi jita hai. zabah karne se usey aasaan maut milti hai. isiliye apni samajh me aasan maut hi ke liye baaz insan khudkushi-aatmhatya karte hai.take bimari ki taklif uthani na pade.

8. jo janwar baanjh hai bachche nahi jante,dudh nahi dete aur burhe-kamzor ho gaye hai un ko ghas charah khilane me ghas charah kam hota hai, paise bhi zayea hote hai. aur behtar janwaron ke chare ka haq kam ho jata hai.baahar charne ke liye chhodne me plastic ki theliyan khakar marti hai.
Aql ye kehti hai aese janwaron ko zabah kar dena chahiye taa ke ghas charah achchhe janwaron ko mile aur us se un janwaron ki sihhat wa tandurasti me izafah ho aur dudh me badhotari-ziyadati ho. aesa karna un par raham hai.

9. zulm ke mane sirf taklif pahonchana ho to har qaum ko khatmal, machchhar, chuha wagair taklif pahonchane wale janwar ko sirf bhagane ki ya pakad ke kahin chhod aane ki dawa ya machine istiamal karni chahiye, iske bajaye jaan se maar dalte hai,  pata ye chala insan sab se behtar makhlooq-jiv hai apne fayde ke liye adna-mamooli makhlooq-jiv ko maar sakta hai.

10. janwar ka dudh har qaum piti hai baawajood iske ke woh us janwar ke bachche ka haq hai, jab ye zulm nahi to gosht khana kese zulm hoga !
Aur bhi bahut se daleelen hai jis se sabit hota hai ke janwaron ko zabah karna na zulm hai na raham ke khilaf hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

BISMILLAH KI JAGAH 786 NUMBER KA ISTE'AMAL KARNA

*BISMILLAH KI JAGAH 786 NUMBER KA ISTE'AMAL KARNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 7⃣8⃣6⃣⭕

⭕Bahot se log khat, card, mobile msgs, ghar ke bahar ya ghar, wagairah me 786 likhte hain, aur yeh kehte hain ke Yeh Bismilah ka adad number hai.
kya yeh sahih hai ?

⭕Yeh kisne aur kyun shuru'a kiya ?

⭕Kya Isme Bismilah ki barakat hasil hoti hai ?

⭕Ba'az kehte hain ke yeh shri raam ya shri krishna ka adad hai, to kya yeh gairon ka tariqah hai ?

🔵JAWAB🔵

Hazrat mufti nizamuddeen aazmi رحمت اللّٰہ علیہ sabiq mufti darul uloom deoband, india. tahreer farmate hain ke : lafze اللّٰہ Allah ke 'laam' ko double shumar kar liya jaye aur رحمان Rahman ke 'alif' ko shumar na kiya jaye (yani meem par khada zabar isliye sirf meem ko gina jaye) to ta'adad 786 ho jati hai. pas is adad se yaqinan zahan Bismillah ki taraf muntaqil ho sakta hai, balke is adad ko dekh kar ya sun kar Bismillah mukammal (pura) zahan me aa jata hai, aur ho sakta hai ke koi zubaan se keh bhi de to iske maksad se yeh adad likhne ki garz yeh bhi ho sakti hai ke har khat (letter) ki ibaarat ki shur'uaat me zahan Bismillah ki taraf maail ho jaye aur Bismillah ka adab bhi baaqi rahe, isliye bahot mumkin hai ke is tarikah e kaar se Bismillah kehne ya zahan me usey hazir karne ki jaanib talqin aur mutavajjeh karne ki garz (maksad) se yeh tariqah chal padaa ho, agar che yeh ma'alum na ho ke yeh tarikah kab se jaari huwa kuchh muzir (nuqsan) na hoga. balke istihsaan (uska achchha hona) baaqi rahega aur biaynihi (same) Bismillah padhne ki barakat agarche hasil na ho lekin zariyah zarur ban sakta hai, aur yeh be'adabi se bachaane wala hai, isliye is tareeqah ko bura kehna bhi qabile gaur baat hogi.

📗 MUNTAKHAB NIZAMUL FATAWA 3/435

💠Note: Adab ki wajah se likhne ki gunjaish usi waqt hogi jab ke *uske baad ki tahreer me aur kahin Allah ka naam ya kisi ayat wa hadees ka zikr na ho* warna be adabi na ho us wajah se likhne ki koi gunjaish nahin. *balke ek rasam samjhi jayegi, jis ka riwaj dena karaahat-makrooh hone se khali nahin.*

👉🏼Hazrat mufti yusuf ludhyanvi رحمت اللّٰہ علیہ isee barey me tashreer farmate hain ke : 786 Bismillah shareef ke adad hain, buzurgon se iske likhne ka ma'amul chala aata hai. galiban iska riwaj isliye huwa ke khutoot-lettres aam taur par faad kar fenk diye jate hain, jisse Bismillah sharif ki be'adabi hoti hai, is be'adabi se bachane ke liye galiban buzurgon ne Bismillah sharif ke aadad likhne shuru'a kiye, isko gairon ki taraf mansoob karna to galat hai, albattah agar be'adabi ka andeshah na ho to Bismillah sharif hi likhna behtar hai

📘Aap ke masail aur unka hal 6/348 naeemiyah

👉🏼Bande ke piro murshid, yadgare salaf Hazrat Aqdas Mufti Ahmad Sahab Khanpuri d.b. tahreer farmate hain ke *yeh koi sharaee cheez nahin hai. aur is tarah likh dene se khat ke shuru'a me Bismillah likhne ka haq ada huwa nahin samjha jayega*

📔Mahmoodul fatawa 5/625

Awaam me 420 ke adad ka matlab dhokebaaz hota hai, lekin agar Qur'an e majid ki kisi aayat ka ya Allah ke kisi naam ka adad agar 420 aaye to usey chhoda nahin jayega.

Isee tarah Hari krishna ya shree raam ya kisi bhi devi ya devta ke naam ka adad agar 786 hota hai to uski wajah se Bismillah ke adad par koi farq nahin padta. aur yeh adad ka iste'amal hum ne pehle shuru'a kiya hai, aur yeh arabi aur urdu adad ke number bhi musalmano ki hi ijaad-sodh hai.

Aur 786 ke iste'amal se dil aur zahan Bismillah ki taraf hi jaata hai, Naa ke kisi devi devta ke naam ki taraf. Aur 786 likhne aur isharah karne ka maqsad aur niyyat bhi Bismillah hi ki hoti hai.

Lihaza 786 ka iste'amal kisi devi devta ka adad bhi hone ke bawajood upar ki sharton ke saath likhna jaiz hoga.

📚By Hz. Saiyyed anzar shah qasmi d.b. ke bayan👇🏻
https://youtu.be/I2wP1qXD7JM
se makhooz (Allah unko jail se Apne fazl jald riha farmayen)

➡Tino fatwon ka khulasah yeh hai ke 786 agar Bismillah sharif ki be'adabi na ho is maksad se aisi jagah likha jaye jahaan be'adabi hone ka khatarah hai to usey *is shart par likha jaye ke aage kahin Allah wa rasool صل اللہ علیہ وسلم ka naam na likha ho.*

jahaan be'adabi hone ka khatarah na ho ya aage Allah ka naam aa raha ho to wahaan Bismillah hee likhni chahiye.

📝 hz. Mufti Imran Ismail Memon d.b.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Thursday, September 15, 2016

WAQT PAR QURBANI NA KARNA*

*WAQT PAR QURBANI NA KARNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 785⭕

Agar waqt par qurbani na kar saka to ab kyaa hukm he ?

Qurbani waqt par na kar saka to baad me badey janwar me hissa lekar qurbani kar sakta he ?

🔵Jawab🔵

Agar qurbani wajib thi aur qurbani ke dino me nahi ki to ab 1 bakre ki qimat garibon par sadqa karna zaruri hai, Yani ab badey janwar me hissa nahi le sakta,na hisse ki qeemat ka sadqah kafi hai balke purey chhote janwar ki qimat deni zaruri hai.

Agar waqt par qurbani na ki ja saki aur janwar pehle se mawjud he to usi janwar ko zinda sadqa karna zaruri hai.

📚Mustafad az kitabul masail 2/229

📝 Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, September 14, 2016

HARAAM ROZE:AAJ KA ROZAH

HARAAM ROZE:AAJ KA ROZAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.784 ⭕

Shareeat me kin dino me rozah rakhna haraam hai ?
Aaj islami 13 tareekh ayyame beez ki hai me har maheene 13,14,15 ke aur pir jumerat ke roze rakhta hun to ek dost ne aaj rozah rakhne ko na jaiz kaha to kiya us ki baat saheeh hai ? aaj rozah mene rakha hai to use tod dun ?

🔵JAWAB🔵

Shareeat me 5 din rozah rakhna haraam hai,

eidul fitr-ramzan eid,
aur eidul adhaa-bakra eid ke 4 din
10, 11, 12, 13 zil hijjah

lihaza 13 tarikh ko agarche ayyame beez hai, aur jumearat bhi hai, fir bhi rozah rakhna haraam hai,
Aap ke dost ki baat saheeh hai *aaj ke din rozah rakhne wale ko bajaye sawab ke gunah hoga*
*lihaza agar roza rakha ho to tod dena wajib hai aur baad me is ki qaza karna bhi laazim-zarooree nahi*

📗MASAILE ROZAH SAFA 50  BA HAWALA ILMUL FIQAH SAFA 41

📘NUROOL IZAH FASLUN FIL AWARIZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

📲 https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

TAKBEER E TASHREEQ KE MASAIL

TAKBEER E TASHREEQ KE MASAIL

⭕AAJ KA SAWAL NO.783⭕

Takbeer e tashreeq ke kyaa masaail hain uske barey me bataye.

🔵Jawab🔵

*Takbeer-e-tashreek*

ALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR, LAA ILAAHA IL-LALLAHU, WALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, WALI-LLAHIL-HAM'D.

Yeh Takbeer 9th Zil-hajjah ki FAJAR  ki namaz se shuru  karni  hai, aur  13th  zil-hajjah Ki ASAR tak,(is sal 1437 me india me jumah ki asar tak ) Har farz namaz ke ba'ad chahe namaz tanha padhe ya jama'at se ek martaba padhna har aaqil,baalig,mard, aurat par waajib  hai.

mardon ko buland  Aawaz  se padhna  waajib  Hai,
Lekin Aurat buland Awaz se na kahe Balke Aahistah aawaz se padhe.

Aurten bhool jaari hain lihaza hazrat mufti Taqui usmani d.b.farmate hain ke aurten apni namaz padhne ki jagah ke samnne kisi kagaz par likhkar chipka le taake use dekhkar yad aa jaye.

📚AL-durruL-mukhtaar-1/564,          Fatawa aalamgiri-1/152.

*padhna bhul jaye to*

Salaam ferne ke ba'ad fauran padhna bhool jaaye to jab tak namaz todne wali koi chiz maslan baat chit karna, baahar chale jana, kuchh kha pee lena wagerah paish na aaye tab tak keh sakte hain, agar yeh cheezen pesh aa jaaye to Takbeer-e-tashreek saaqit (khatm) ho jayegi, ab iski qazaa nahin hai, tauba karne se iske chhodne ka gunaah muaaf ho jayega,

📚Durre mukhtar 1-799
Fatawa darul uloom 5/207 se maakhuz

*qazaa namaaz ki takbeer ki sharten*

Iski 3 sharten hai,
(1) takbeer ke dino ki namaz ki  qazaa ho,
(2) qazaa takbeer ke dino me hi padhi jaaye
(3) isi saal ki qazaa ho, isse pehle ke saal ki qazaa na ho.

Isse malum huwa ke agar gair ayyame takbeer ki qazaa namaz agar in dinon me padhi jaye to uske baad Takbeer-e-tashreeq wajib nahin hai.

📚durre mukhtar 1/76 se maakhuz

📝 Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, September 13, 2016

HISSAH KI QURBANI KA GOSHT TAQSIM KARNA

🔹HISSAH KI QURBANI KA GOSHT TAQSIM KARNA
🔹ZABAH KARTE WAQT NAAM LENA
🔹QURBANI KE WAQT JANWAR ME AIB PAIDA HONA

⭕AAJ KA SAWAL NO.782⭕

Kuchh aadmiyo ne milkar 1 bade janwar me hisse liye hen to gosht taqsim kaise karenge ??? 

🔵Jawab🔵

Agar woh (hissedaar) aapas me ajnabi hain aur sab apna pura pura hissah chahte hain to sab ko tol kar baraabar dena zaruri hai, (andaze se kam ziyadah dena jaaiz nahin hai) aur agar aapas me ek dusre ko ijazat di hai ya sab ghar wale hi hain to is ihtamaam ki zarurat nahin hai, Ya'ani sab ka alag alag baraabar hissah karna zaruri nahin hai.

🔴Sawal🔴

Bade janwar me sab hisse daar mutayyan hain to zabah karte waqt sab ka naam lena zaruri hai ?? 

🔵Jawab🔵

Hisse daar mutayyan ho chuke to zabah ke waqt har ek ka naam lena zaruri nahin,behtar isliye sirf zabah karne se sab ki qurbani saheeh ho jayegi.

📚Mustafad, kitabul masail 2,235

🔴Sawal🔴

Janwar saheeh tha lekin qurbani ke waqt uchhal kud me us me koi aib paida ho gaya masalan aankh nikal gai,zakham aa gaya wagairah to kya hukm hai ??

🔵Jawab🔵

Jo janwar pehle se saheeh saalim tha lekin qurbani ke liye koshish karte waqt uchhal kud me aib ho gaya to us ki qurbani me koi haraj nahin hai qurbani durust hai (maaldaar, garib sab ke liye)

📚Kitabul masail 2/240

📲http://www.aajkasawal.page.tl

🔵NOTE🔴

Abhi tak post huwe sawal aur jawab me se bahot se masail guzishta saal hazrat maulana ibrahim alyani sahab (surat) ne likhe huwe hai. Allah paak unki khidmaat ko qubul farma kar daarein me behtreen badalah ataa farmaen.

📝 Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, September 11, 2016

QURBANI KI KHAAL KA HUKM

QURBANI KI KHAAL KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.779⭕

1⃣Qurbani ki khal apne kaam me laa sakte hen ?
khud rakh sakte hen ?

2⃣Qurbani ke janwar ki khal masjid, madrase me de sakte hen ?

3⃣Imam sahb our muazzin sahb ko khal de sakte hen ?

🔵Jawab🔵

1⃣G haa, Qurbani ki khal apne istemal me la sakte hen, Agar bech den to phir is ki qimat garib ko dena lazim hoti he.

📚Kitabul masail 2/250

2⃣
Janwar ki khal jab tak beche nahi tab tak wo gosht ki tarah he aur usi ke hukm he, yani aap jis tarah gosht kisi ko bhi de sakte hen usi tarah khal bhi de sakte hen.(phir jis ko khal de di wo chahe to bech sakta he) Albatta agar paiso se bech den to phir wo zakat ki tarah hojati he. yani ab us ko garib mustahiq logo ko malik bana kar dena zaruri he. Masjid me khal nahi de sakte kyun ke us me koi malik nahi ban raha he, aur madrase me dena jaaiz balke afzal he,  kyun ke wo khal bechkar us ke paise madrase me padhne wale bacho per kharch kiye jate hen (us ka aur ilm ko felane ka sawab aap ko bhi milega) Isi tarah dusri koi tanzim, jamaat ko dene ka yahi hukm  he ke agar wo bech kar garibo ko paise ya kitaben,kapde,makan malik bana kar dete hen to un ko de sakte he,Warna nahi.yani malik banakar nahi deta balke in cheezon ko kiraye se ya sirf free me istiamal ke liye dete hai ya us raqam ko khud jamat ke kamon me bataure qarz istiamal karte rehte hai to aesi tanzim wa jamat ko nahi dena chahiye.
Aur khal bechne ke baad ye paise garibon ko jahan tak ho sake jald se jald malik bana kar dekar apni zimmedari se chhutkara hasil kare sharee wajah bagair takheer karna karahat-makrooh hone se khali nahi.

📚Mustafad az,  aap ke masail our un ka hal 5/466

📗FATAWA RAHEEMIYAH KARANCHI 10/42 SE MUSTAFAD

3⃣Imam, muazzin, wagera hazraat ko un ki tankhah me khal nahi de sakte, Un ki tankhah our ujrat alag se he aese hi khushi se de rahe hen to de sakte hen. (our wo hazraat bech ke us ke paise istemal kar sakte hen)

📚Mustafaz az aap ke masail our un ka hal 5/466

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,e Surat, Gujarat, India.

HAJI KO QURBANI BANK KE WAASTE SE KARANE KA HUKM

HAJI KO QURBANI BANK KE WAASTE SE KARANE KA HUKM

⭕AAJ KA EXTRA SAWAL NO. 778⭕

Saudi hukoomat bank ke ziriye qurbani ka intizam karti hai us ki kya haqeeqat hai un ke zariye qurbani karani chahiye ya nahi?

🔵JAWAB🔵

saudi hukoomat ne qurbani ke intezam aur uske gosht ko bahifazat mustahqeen tak pahuchane ke liye baaqaidah ek idara bana diya hai aur nizam ye hai ke qurbani ke tokan bank ke zariye se farokhat kiye jatey hai, aur haji token kharid kar mazkoora idara ko apni qurbani ka vakeel bana dete hai, ab na to khud haji ko zabah karney ka ikhtiyar hota hai aur nahi iskey samney zabah ki koi itminan bakhs shakal nikalti hai, balkey mazkoorah idara apney hisab se barabar qurbani ka amal anjam deta rehta hai, ab is shakal me wajib tartib yani rami ke baad aur halaq se pehle hi qurbani hone ka lihaz rakhna to bilkul na mumkeen hai.idara ki taraf se qurbani ki dino aur takbeere tashreek ke dino bad tak bhi hajj ki qurbaniyo ko zabah karney ka silsila jari rehta hai,isee wajha se khas taur par hanfi hujjaj ko mashwara diya jata hai ki wo qurbani ke token kharidney ki bajaye ya to khud qurbangah jakar apni qurbani karey jiska intezam muhalley *Al sharaaia* ke azeem *suqul mawashi* aur makka muazzama ke muhalley *kaakiyah* ke salaughter house me kiya gaya hai. Aur taxi ke zariye waha pahucha ja sakta hai.Aur agar khud na ja saktey ho to apney ma'atabar dosto aur jankaro ke zariye se qurbani karaye. Aur bank ki token par bharosa na karey,ehtiyat ka taqaza yahi hai.

*Note* Albatta agar koi shakhs esa ho ke na to khud qurbaangah ja sakta ho aur nahi iskey pass qurbani karne ka koi zariya ho to wo majbooran bank ka token kharid sakta hai.Is majboori ki wajah se uske liye tino imam-imam shafee,imam malik ,imam ahmad r.a.aur sahibain r.s.ki rai apnane ki ijajat hogi, aur is par tarteeb chhodne ki wajah se dame jinayat lazim na hoga.

📗 KITABUN NAWAZIL 14/333 MUSTAFAD TAJWIZE CHHATHTHA FIQHI IJTIMA AL MABAHISUL FIQHIYYAH JAMIATE ULAMA E HIND DAR HAJ WA ZIYARAT NO 223

📝 Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

EK QURBANI KAI LOGON KE ISAALE  SAWAB KE LIYE

EK QURBANI KAI LOGON KE ISAALE  SAWAB KE LIYE

⭕AAJ KA SAWAL NO.777 ⭕

Chand Marhum ke isaale sawab ke liye qurbani karni ho to har marhoom ka alag alag hisa rakhna zaruri hai ya ek hissah chand marhoom ke sawab ke liye kafi hai?

🔵JAWAB🔵

Har ek ke liye juda juda hissah rakhna zaruri hai. ek hissah ek se zaid marhoom ke liye kafi nahin. albattah apni taraf se nafal qurbani kar ke uska sawab ek se ziyadah murdon aur zindon ko bakhashna durust hai jaise ke Huzoor ﷺ ne ek qurbani ka sawab puri ummat ko bakhsha tha. agar gunjaish ho Allah ne maal diya ho to apne marhum rishtedar, buzrugon ke liye zarur qurbani karen. in dino me dusre nek a'amal ke muqabalah me sabse ziyadah qurbani hee ka sawab hai. isse murdon ko badaa faidah hota hai.

📗FATAWA RAHEMIYYAH DARUL ISHAAT 10/25

AUR

📔KITABUN NAWAZIL 14/528 SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal,Aaj ki Achchi Baat, Qur'an,Hadith in Hindi & Eng,Islamic Group KI Sabhi deenee Text & Image Ke Liye Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, September 7, 2016

HARAAM KAMAAI SE QURBANI

HARAAM KAMAAI SE QURBANI

⭕AAJ KA SAWAL NO. 775⭕

Badey janwar me 7 hisse hote hai, un 7 logo me se kisi ek ka paisa agar  haraam kamai ka ho to  kya baaqi ke 6 ki qurbani saheeh hogi ?

🔵JAWAB🔵

is surat me baaqi ke 6 sharikon ki qurbani bhi saheeh nahin hogi.

📗AHSANUL FATAWA 7/503

📝 Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images aur Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

CHAND AADMI KA EK KI TARAF SE NAFLI QURBANI KARNA

CHAND AADMI KA EK KI TARAF SE NAFLI QURBANI KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.774 ⭕

Ek se zaid aadmi milkar Huzoor ﷺ ki taraf se ya apne marhoom rishtedar ki taraf se qurbani Karen to  qurbani sab ki taraf se sahih hogi ke nahin ba hawala jawab den

🔵JAWAB🔵

Haan ek se zaid  aadmi Huzoor ﷺ ya
Rishtedar marhoom ki taraf se qurbani Karen to istihsanan (khilafe qiyas maslihatan) nafli isale sawab ki niyyat se qurbani sahih ho jayegi.

📘FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 17/326  BAHAWALA DURRE MUKHTAR

📔  FATAWA RAHEEMIYYAH DARUL ISHA'AT 10/57

📗 KITABUN NAWAZIL 14/527 se 529

وان مات احدالسبعة وقال الورثة اذبحوا عنه وعنكم صح عن الكل استحسانا لقصد القربة من القربة .  شامي جلد 6/326کتاب الاضحیہ سعید

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj Ka Sawal,Aaj ki Achchi Baat, Qur'an,Hadith in Hindi & Eng,Islamic Group KI Sabhi deenee Text & Image Ke Liye Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, September 5, 2016

QURBANI ME ALLAH KA HISSA RAKHNA

QURBANI ME ALLAH KA HISSA RAKHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 773⭕

Ba'az log qurbani me Allah ka hissa rakhne ko kehte hai to ye kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵

Ba'az log badey janwar me Allah ka hissa rakhne ke mutalliq puchhte hai to ye baat yaad rahe ke tamaam hisse aur tamaam qurbaniyan Allah Ta'ala ke liye hi hoti hai, urf (bol-chaal ke riwaj me) 'mera hissa' 'fulaan ke naam ka janwar' bol diya jata hai, haqiqat me niyyat ye honi chahiye ke fulaan ki taraf se hissa ya qurbani Allah Ta'ala ke liye me zabah karta hun.

📚deeneemalumat parcha 76

📝 Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images aur Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, September 4, 2016

BAAP KA APNE GHARWALON KI TARAF SE QURBANI KARNA

BAAP KA APNE GHARWALON KI TARAF SE QURBANI KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 772⭕

baap apne bachchon aur ghar walon ki taraf se har saal qurbani karta hai, to gharwalon ki ya bachchon ki ijazat lena zaruri hai ?

🔵JAWAB🔵

Agar baap ka ma'amul hai ke wo har saal apne biwi bachchon ki taraf se qurbani karta hai, to sab ki taraf se qurbani durust hai, ghar walon ne ijazat di ho yaa na di ho.
Haan agar har saal bachchon ki taraf se qurbani karne ka mamool nahi hai balke kabhi kabhi badey bachche apni qurbani khud bhi kar lete hai to un ki ijazat lena zarooree hai, warna qurbani saheeh nahi hogi.

📚Kitabul masail 227 se makhooz.

📝 Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images aur Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, September 3, 2016

QURBANI KA JANWAR KHO JANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.771⭕

QURBANI KA JANWAR KHO JANA

⭕SAWAL⭕

Kisika janwar agar gum ho gaya tha, usne dusra kharida, fir woh pehle wala janwar wapas nil gaya to kya hukm hai ?

🔵JAWAB🔵

Iski kai sooraten hain

(A) Agar woh aadmi maaldaar hai, ya'ani usper qurbani wajib hai, aur usne dusra janwar kharida tha, fir pehle wala janwar mil gaya to woh dono me se jisko bhi chahe zabah kar sakta hai, aur dusre janwar ko apne kaam me laa sakta hai aur bech bhi sakta hai,

(B) Agar woh aadmi garib hai aur usper qurbani wajib nahin thi, aur Usne dusra janwar nahin kharida to sirf isi janwar ki qurbani lazim hai (Jo wapas mil gaya)

(C) Aur agar garib aadmi ne dusra janwar kharid liya (Jo usper dusri baar kharidna wajib nahin tha.aur nafal kaam shurooa karne se pura karna zarooree ho jata hai) fir pehle wala janwar mil gaya to ab is garib aadmi ko dono janwar ki qurbani karna wajib ho gaya.isliye aqalmandi yahi hai ke khareedte waqt ye niyyat kare ke me us gumshuda janwar ke badle me khareedta hun agar woh mil gaya to usee ko zabah karunga to woh gum shudah janwar mil jayega to sirf ek hi janwar ko zabah karna wajib hoga.

📗FATAWA MAHMOODIYAH 17/316 AUR
📘KITABUL MASAIL 2/226 SE MAKHOOZ

📝 Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images aur Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, September 2, 2016

💅🏻✂ZIL HIJJAH KE CHAND HONE KE BAAD BAAL & NAKHUN KAATNE KA HUKM

💅🏻✂ZIL HIJJAH KE CHAND HONE KE BAAD BAAL & NAKHUN KAATNE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO.770⭕

ZIL HIJJAH KE CHAND HONE KE BAAD BAAL AUR NAKHOON KAATNA KAISA HAI ? ISKI KYA MASLIHAT WA HIKMAT HAI ?

🔵JAWAB🔵
 
ZIL HIJJAH KE CHAND HONE KE BAAD JISKE ZIMME QURBAANI HO USEY BAAL AUR NAAKHOON EID KI NAMAAZ AUR US KI QURBAANI HONE TAK NA KAATNA *MUSTAHAB HAI.*TAAKE QURBAANI KA JANWAR USKE HAR HAR JUZ-HISSAH KA BADAL AUR FIDYAH  HO JAAYE, AUR ALLAH TA'ALA KI RAHMAT SE US AADMI KE JISM KA KOI HISSAH MAHROOM NA RAHE,

JIN LOGON KE ZIMME QURBAANI NAHIN HAI WOH BHI QURBAANI KARNE WALON KI AUR HAJ ME GAYE HUWE HAJIYON KI MUSHAABAHAT (COPY) IKHTIYAAR KARENGE TO WOH BHI UN PAR NAAZIL HONEWALI RAHMAT SE INSHA ALLAH MAHROOM NA RAHENGE,

LEKIN KOI APNE BAAL AUR NAKHOON KATEGA, TO *NA GUNEGAAR HOGA, NA QURBAANI ME KOI KHARAABI AAYEGI,* IS PAR WAJIB KI TARAH AMAL KARNA AUR AISA NA KARNE WALON KO TOKNA SAHIH NAHIN HAI,

JO CHEEZ JIS DARJAH ME SABIT HO USKO USEE DARJAH ME RAKHNA CHAHIYE.

🔸NOT:JISKE ZERE NAAF <DUTY KE NICHE KE BAAL> AUR BAGAL KE BALON PAR 40 ROZ GUZAR GAYE HO TO WOH SHAKHS IS MUSTAHAB PAR HARGIZ AMAL NA KARE AGAR WOH KATNE ME 40 DIN SE ZIYADAH TAKHEER KAREGA TO GUNEHGAR HOGA.

📚MIRQAATUL MAFAATEEH 3/306

MASAAILE QURBAANI , ISLAAHEE KHUTBAAT SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, September 1, 2016

ZILHIJJAH KE 10 DINO KI IBAADAT KI FAZEELAT

*ZILHIJJAH KE 10 DINO KI IBAADAT KI FAZEELAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.769⭕

Zilhijjah ke 10 dino aur raat me ibadat ki koi khaas fazilat saheeh hadees me hai ?
Agar hai to hadees ki roshni me batane ki guzarish.

🔵JAWAB🔵

1. Huzur ﷺ ne irshad farnaya: koi din aisa nahin jin me ibaadat karna Khuda ta'ala ko zilhijjah ke 10 dino ki (ibadat) se ziyadah pasand ho, (kyun ke) in me se har din ka rozah 1 saal ke rozah rakhne ke baraabar hai, aur har ek raat ka jaagna shabe qadr me jaagne ke baraabar hai.

📚Tirmizi shareef

💎Faaidah💎

10 wi taarikh se 14 wi taarikh tak ke 4 dino ka rozah Haraam hai, is waaste in rozon ki fazilat 9 taareekh tak ke liye hai.

2. Ek hadis me irshad hai ke, Me Allah ta'ala se ummid karta hun ke arafaah (ya'ani zilhajjah ki 9 tareekh) ka ek rozah ek saal guzishta aur ek saal aaindah ke gunahon ka kaffarah ho jata hai.

📚Muslim shareef

3. Jo shakhs edain (eidul fitra, eidul ad'haa) ki dono raaton me sawab haasil karne ke liye jaaga us ka dil us din zindah rahega jis din sab ke dil murdah honge. (Ya'ani qayamat ke din us ka dil na gabhrayega)

📚ibne majah

📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻Aaj Ka Sawal, Aaj ki Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic Group ke Sabhi Text & Images aur Deeni Masail Malumaat Karne Ke Liye Islamic Group Application download Kare.
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...