Sunday, July 31, 2016

HAJJ-e-BADAL

*HAJJ-e-BADAL*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 738 ⭕

Hajj-e-Badal ki kitni surten hai? Aur us ke masail kyaa hai ?

🅾JAWAB🅾

Jis shakhs per haj farz ho aur usne itna maal chhoda ho k uske tihai (third) hissah se hajj karvaaya jaa sakta hai aur usne haj badal karvaane ki vasiyyat bhi ki ho to uski taraf se hajj e badal karaana uske vaariso per farz hai,

Jis shakhs ke zimme hajj farz tha magar usne itna maal nahin chhoda ya usne hajj e badal karvaane ki vasiyyat nahin ki, uski taraf se hajj e badal karvaana vaariso per laazim nahin, lekin agar vaaris uski taraf se khud hajj e badal karey ya kisi doosre ko hajj e badal ke liye bhej de to Allah ki rahmat se ummid hai ke marhoom ke hajj ka farz Adaa ho jayega,

Aur jis shakhs per hajj farz nahin, agar vaaris uski taraf se hajj e badal karey ya kisi ko bhej de to yeh Hajj nafli hajj baraaye isaale sawab hoga,

Agar aisi bimari ya kamzori hai, jiski wajah se khud hajj ko jaane se ma'azoor hai to bhi kisi ko hajj e badal par bhej sakte hai,

Hajj e badal (woh hajj jo asal admi par farz ho) aisa shakhs karey jisne pehle apna hajj kiya ho, jisne apna hajj nahin kiya ho aise shakhs ka hajj e badal karna makrooh hai,

*Hajj e badal apne watan se kiya jaaye, Saudi Arab se jaiz nahin,*

Nabaalig hajj e badal nahin kar sakta,

Farz Hajj e badal karne wale ko sirf hajj ka ehram baandhna chahiye yani uska Hajj ifraad hoga, Aur Hajj e ifraad me hajj ki wajah se qurbani wajib nahin hoti,(qurbani tamattua aur qiran hajj me wajib hoti hai)

Agar hajj e badal karne wala agar Tamattu'a kare (ya'ani miqaat se sirf Umarah ka ahraam baandhe Aur  Umarah se faarig hokar 8 Zilhijjah ko hajj ka ahraam baandhe) to tamatto'a ki qurbani khud apne maal se laazim he,, agar bhejne wale ne  ijazat de di ho to unke maal se qurbani kar sakte hai,

📚Aapke Masa'il aur unka Hal,
JILD-4, Safa 68

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Aaj ka  Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, July 30, 2016

HAJ KI HAQEEQEE TAIYYARI

HAJ KI HAQEEQEE TAIYYARI

⭕AAJ KA SAWAL NO. 737⭕ 

Haj me jane walon ko haqeeqee taiyyaree kiya karni chahiye ?? 

🅾JAWAB🅾

Agar aap par haj farz hai aur aapne haj par jane ka iradaa kar liyaa hai, To is ne'amate uzmaa ki qadro qimat ko pahechaniye, aur apne andar mahsus kijiye ke Allah taala ne apne muqaddas ghar aur Apne mahboob sallallahu alaihi wasallam ke muqaddas shahar ki haazri ke movqe ki baat aap ke dil me daali, Aur uske asbaab bhi aapko muhaiyya farma diye,

Ab is ne'amate uzma ka shukriya ye hai ke Apne aap ko harmain sharifain ke rehmato barkato anwarat aur tajalliyat ke husool ke liye apne aapko Hajj ke aamaal seekhne ki taiyari me lag jaye,

Isliye ke badaa hi bad-nasib hai wo shakhs jisko Uska mavla behtareen safar nasib kare Aur wo apne aapko wahan ki haazri ke aadab aur tareeqa sikhne ki aur banne sanwarne ki  fikr na kare, Aur yunhi gaflat aur besuouri-naa samjhi ke sath waha ja pahonche,

Isliye zaroori hai ke ham deen ka ilm sikh kar aur apne gunahon se sachchi touba kar ke Aur logon ke huquq baqi ho usko adaa kar ke, ya muafi kara kar paak saaf ho kar Allah ta'ala ke aali darbaar me pahonche,

Alhamdulillah har shaher me aur har jagah haj ke aadab aur arkan sikhane ki fikr hoti hai, camp-jod bhi hote hai, Aur masajido me bhi haj ke aadab sikhaye jate hai,

Aap apna qimti waqt nikal kar masturat ko masturat ke liye jaha arkan seekhaye jate ho bheje, aur khud bhi paabandi se jude aur haj ke mavzooa par muatabar kitaben bhi kharid kar padhna shuru kar den,

Aur aam sathi bhi fikr karle ke jo hazrat haj par ja rahe hai unhe haj ke arkan-o-ahkam sikhne ki targeeb de, ho sakta hai aap ki mehnat se kai logo ka hajj saheeh ho jaye aur aap zariya ban jaye

📚makhuz
haj sunnat ke mutabiq

👏🏻Allah taala mujhe bhi aur sab ko har amal seekh kar fikro ke sath karen ki toufiq ataa farmaye.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, July 29, 2016

PEHLE KHUD HAJ KAREY YA WALIDAIN KO KARAYE ?

PEHLE KHUD HAJ KAREY YA WALIDAIN KO KARAYE ?

⭕AAJ KA SAWAL NO. 736⭕

pehle khud haj karey ya walidain ko karaye..? 

🅾JAWAB🅾

Awlaad ke zimme maa baap ko haj karana zaruri nahi hai,

lekin agar Allah ta’ala ne awalaad ko maal diya hai to walidain ko haj karana badi sa’aadat [khushnasibi] hai.

📚aap ke masail 4/72

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, July 28, 2016

PEHLE SHADI YA HAJ ?

PEHLE SHADI YA HAJ ?

⭕AAJ KA SAWAL NO.735⭕

⭕SAWAL⭕

haj muqaddam hai ya bachchon ki shaadi..?  

🅾JAWAB🅾

agar kisi ke paas itna maal ho ke, wo haj kar sakta ho, lekin wo haj na karey, balke wo rupiya awlaad ki shadi me lagaa de, baad me muflis [garib] ho jaye aur tamam umr muflis rahe, to aise shakhs par shuru me maal hone ki wajah se haj farz samjha jayega, bilaa haj kiye mar jaye to farz haj chhodne ki wajah se gunehgaar hoga, aaj kal rasmo-riwaj ne shadi ke liye jo paabandiyan laazim kar di hai, wo aksar aisi hi hai jo ke shar’an laazim-zarooree nahi, balke shar’an najaiz hai, agar masnoon tariqe se shadi ki jaye to haj mauqoof ya baad me karne ki zarurat pesh na aaye.

📚[fatawa. darul uloom-4/518][ fatawa mahmudiyah3/178]

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, July 27, 2016

HAJ SE PEHLE UMRAH KARNA

HAJ SE PEHLE UMRAH KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.734 ⭕

istita'at-taaqat ke bavjood hajj se pehle umrah karna kaisa hai?

🔵AL JAWAB🔵

Umrah hajj ka badal nahin hai, jis shakhs par hajj farz ho uske liye zaruri hai ke woh hajj kare, jis shakhs ko hajj ke dino me baitullah tak pahunchne aur hajj tak waha rehne ki taaqat (kharch,intizam,ijazat) ho us per hajj farz ho jata hai, isliye aise shakhs ko Jo sirf ek baar Baitullah Sharif pahunchne ki tamanna rakhta ho, hajj par jaana chahiye, umrah ke liye safar karna aur farziyat ke bavjood hajj na karna bahut galat baat hai.

📗Aapke Masail aur unka Hal,Jild- 4, Safa no 38

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, July 26, 2016

QARZA ADA KARNE SE PEHLE HAJ

QARZA ADA KARNE SE PEHLE HAJ

⭕AAJ KA SAWAL NO.733 ⭕

1.
Qarz-daar ka haj ke liye jane ka kya hukm hai..?Aur

2.
Qarz-daar ka nafli haj ke liye jane ka kya hukm hai..?Aur

3.
Tijarati qarzon ka kyaa aeitbaar hai..? 

🔵AL JAWAB🔵

1.
Agar filhaal qarz maangne walon ka mutalba na ho, aur wo baa-khushi haj ke liye jaane ki ijazat den, ya qarzdaar apne qarz ka kisi ko zimmedaar banaa den, aur us qarz khwaahon ko itminaan ho jaye aur wo ijazat de den to wo shakhs haj ke liye ja sakta hai, us shakhs par jitna qarz ho eahtiyatan uske baare me wasiyyat naama likh den, aur warison ko takeed kar den ke agar meri mout ho jaye aur mere  zimme qarz baaqi reh jaye to mere tarkaa [waarse] me se pehle qarz adaa kar diya jaye, agar tarke me gunzaish na ho to tum apne paas se qarz adaa kar dena, ya usse muaaf kara dena, Agar qarz khwah [qarz dene wale] ki ijazat ke bagair jayega to MAKRUH hoga, agar che fariza adaa ho jayega, Agar usi waqt qarz adaa karne ki gunzaish ho to usi waqt qarz adaa kar dena chahiye, uski bahot hi ziyada aehmiyyat hai,intezaam hote huwe bhi qarz adaa na karna sangeen gunaah hai,(qarz baqi rakhkar wahan lambi chodi khareedee karne ki ijazar qarz khaah ne nahi dee hoti hai.us ki ijazat alag len)
Hadis sharif me hai ke : Maaldaar ka Talamtol [aanaakaani] karna zulm hai. 

2.
Jo shakhs farz qarz adaa kar chuka ho aur nafli haj karne jana ho to nafli haj se behtar ye hai ke qarza adaa karey,(is bare me bhi kotahi ho rahi hai) aur uske bil-muqabil gareebee ki haalat me jab ke bil-khusus dusre ke huquq apne zimme ho, unke huquq ki adaaygi ke aehmiyat hajje nafl se kahin ziyada hai.

📕[fatawa raheemiyah 8/282, ba hawala shaami 2/205, durre mukhtar 2/191] 

3.
Tijarati qarze jo aadatan hamesha jaari rehte hai, isme daakhil nahi, aise qarzon ki wajah se haj ko muakhkhar [multavi, cancel] nahi kiya jayega.

📗[ahkamul haj safa-24, hz. Mufti Shafi sahib rh.] 

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, July 25, 2016

PEHLE MAKAN BANAYE YA HAJ ?

PEHLE MAKAN BANAYE YA HAJ ?

⭕AAJ KA SAWAL NO.732 ⭕

SAWAL

Mera makan kiraye ka hai aur mene apna zati makan banane ke liye paise jamaa kiye hai
to in paison ki wajha se mujh  par haj farz hai ?
pehle apna makan bana lun fir haj ?
jab paisa jama ho to haj karun aesa karne ka kya hukm hai?

🔵AL JAWAB🔵

Jab aap ke paas haj ke muwafiq paisa mavjood hai to haj karna farz aur muqaddam (use pehle ada karna zarooree) hai.
us raqam ko makan me kharch karna jaiz nahi.

📗fatawa darul uloom dewband se makhooz

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, July 24, 2016

HAJ ME 5 SAL KA QANOON

HAJ ME 5 SAL KA QANOON
⭕AAJ KA SAWAL NO.731 ⭕

Haj ke darkhast form me is baat ka bhi iqrar hota hai ke  5 saal ke andar haj na kiya ho,
Agar koi shakhs is muddat ke under  ja chuka hai to kya ye shakhs dhoka denewala kehleyega? 

🔵Jawab🔵

Haj azeem ibadat hai, jis ke zariyea sab gunah muaaf ho jate hai,
jhut gunah hai aur qasam us se bhi zayada qabeeh-khatarnak aur buri hai,
ibadat ke liye gunah ki ijazat nahi, wese bhi khilafe qanoon cheez ka karna apne aap ko khatre me dalna hai, pol khul jane par maal aur izzat donon ka khatrah hai, aesa khatra mol lena aqalmandon ka kaam nahi hai, isliye aesa hargiz na kiya jaye.  

📗masaile hajjo umrah safa 45

ba hawala fatawa mahmoodiyah 17/199, 187 13/171

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, July 23, 2016

HUZOOR ﷺ KA ILM

HUZOOR ﷺ KA ILM

⭕AAJ KA SAWAL NO.730 ⭕
Ulamaa e devband ka Huzoor ﷺ ke ilm ke bare me kya aqeedah hai? Huzoor ﷺ ko kitni chizon ka ilm tha?
Hazrat Umar رضی اللہ عنہ se riwayat hai Huzoor ﷺ hamare darmiyan khade huwe aur hame qainat ki ibtidaa se kekar jannatiyon ke jannat me dakhil hone aur jahannimiyon ke jahannam me dakhil hone tak ki khabar di ab jis ne use yad rakha yad rakha aur jo bhul gaya bhul gaya.

BUKHRI SHAREEF 2/453

me awwalin wa aakharin ka aur jo gaya hai aur jo hoga us ka ilm ata hone ka zikr hai.is hadees ke bare me kya kehte hain?

🔵JAWAB🔵

Ye aur is jaisee ahadees jis me Huzoor ﷺ ko awwalin wa aakharin ka ilm ataa hone ka zikr hai us se murad ijmaali ilm ya'ani sab ilm ka khulasah aur nichod ata hona murad hai.Is ko ham bhi maante han. Har cheez ka pura pura ilm me se jitna aur jis waqt Allah ne bataya untna  Huzoor ﷺ jante hai aur jo nahin bataya woh nahin jante hain.

Bukhari shareef ki riwayat me hazrat Umar aur dusre raawi bhi is baat ka iqrar kar rahe hain ke kuchh baaten bhul gaye yani ilm me me na rahi kuchh yaad rahi is se bhi pataa chala ke ilme kulli-har cheez ka pura pura ilm sahaba رضی اللہ عنہم ko bhi nahin tha jitna Allah aur uske rasool صل اللہ علیہ وسلم bataya unta hai jitna nahin bataya tha nahin hai.

Agar Huzoor ﷺ ko har har cheez ilm har waqt pehle se ho to Allah ko wahee bhejne ki zaroorat kya thi.!!?

Har jagah mawjood ho to hijrat ki zaroorat kya thi !!?

Sahaba رضی اللہ عنہ ko har baat ka ilm ho to huzoor صل اللہ علیہ وسلم wasallam ko masla puchhne ki zaroorat kya thi !!!?

Nabi صل اللہ علیہ وسلم ke liye Allah ki tarah har cheez ka ilme kulli pura pura tafseelee ilm maanna ye wahee ka inkar hai.

Sahaba رضی اللہ عنہ ko har cheez ka ilm hona maanna Huzoor ﷺ ke shagird- studant hone ka inkar karna hai.

Huzoor ﷺ ka har cheez ka ilm tha to yahoodi aurat ne gosht me zahar milaya tha us gosht ko thoda bhi kyun khaya? Wagairah bahut se waqiaat hai.

Sahaba رضی اللہ عنہ ke bahut se ayse sawalat hain jisme Huzoor ﷺ ne khamoshi baratkar ma'alum na hona zahir kiya aur jibrail علیہ السلام ke wahee lane ka intizar kiya.

Lihaza saheeh aqeedah yahi hai ke Huzoor ﷺ ko beshak qainat me sab se ziyadah awwleen wa aakhareen ka itna ilm diya gaya tha ke makhlooq me se koi bhi un ke paas tak nahin pahonch sakta na muqarrab farishtah na nabi na rasool.
Aur beshak qayamat tak hone wale waqiyat, alaamaten batlayi Aap par Allah ka fazle azeem hai lekin ba'az cheezon ka ilm yani har zamane ke har secound har naye paida hone wale tamaam waqiyat me har har baat ki pura pura ilm aisa tafseelee ilm ke koi kona,koi baarik baat bhi na chhute aesa ilm Allah ne har waqt hamesha ke liye nahin diya tha.maulana ahmad raza aese ilm ke bare me likhte hai ke ilme zati aur ilm bil istiyaab muheet tafseelee ( jis ka matlab upar likha hai) allah azzawajal ke sath khas hain.
📔KHALISUL AETIQAD SAFA 23.
Jitna ilm aur jaisa ilm Allah ne jab chaha bataya utna jante the jitna jab chaha nahi bataya nahin jante the.
Kisi baat ka makhlooq me se kisi ko ilm hona aur Huzoor ﷺ ko us ka ilm na hone se Aap ke ilm ke saari malooq se afzal hone me ilm ki shan me koi farq nahin padta hai

Jaise Haz.Suleiman علیہ السلام par woh ajeeb waqiaa chhupa raha jiska ilm hudhud paraindah ko huwa is lse Suleiman علیہ السلام ke alim hone me nuqsan nahin aaya.hudhud kehta hai mene aisi khabar paayi jis ki Aap ko ittilaa nahin aur shahare saba se ek yaqeenee khabar laya hun.
SURAH E NAML @ 22
shirk se paak yahi aqeedah hai.

📘AQAIDE ULAMA E DEWBAND SAFA 22

📗Maula ahmad raza bhi likhte hai ke ham na ilme ilahi se musawat (barabari ) mane..ham ata e ilahee se Huzoor ﷺ ko baz ilm gaib milna hee mante hai na ke jameea.

📕KHALISUL AETIQAD safa 23.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, July 22, 2016

MASJID ME DAKHIL HONR KE ADAB

MASJID ME DAKHIL HONR KE ADAB

⭕AAJ KA SAWAL NO.729 ⭕
Masjid me salam karne aur dakhil hone ki duaa parhne ka kya tareeqah hai

🔵JAWAB🔵

🔴 Masjid me dakhil hone ki duaa jahan se masjid ki sharee had shurooa hoti hai wahan padhni chahiye na wahan jahan chappal utare jate hai.fir agar kuchh log faarig baithe ho to unko aahista se salaam kahaa jaye aur agar sab mashgool ho to salaam na kahe,

👉 itni zor se salaam karna ke namaziyo ki namaz me khalal pade, sahi nahin hai

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 134

🔵 Masjid me dakhil hone per agar kuchh log faarig Bethe ho to aahista salaam kehna chahiye agar faarig na ho sab mashgool ho to salaam na kahe,

👉Namaziyo ke zimme iska jawaab nahi isliye dil me bhi jawaab dene ki zarurat nahi,

👉 itni Zor se salaam karna k namaziyo ki namaz me khalal pade sahi nahi,

🔴 Masjid me dakhil hone aur nikalne ke waqt darood sharif pdhna chahiye,

👉 Masjid me dakhil hote hue daya qadam pehle rakhe aur fir ye dua padhe,
Allammaf ta’ali abwaba rahmatika, ”

👉 Aur masjid se nikalte waqt baya per bahar nikaale aur ye dua padhe,

” Bismillahi wassalatu wassalamu alaa Rasulullihi,
Allahumma inni as’aluka min fazlika,

🔵 Jo hissa namaz ke liye makhsoos he aur jis per masjid ke ahkaam jaari hote he’n, us hisse me dakhil hote waqt dua padhni chahiye.

📗AAP KE MASAIL AUR UN KE HAQ 2/134 AUR

📘MAJALISE ABRAAR SE MAKHOOZ

✒TASDEEQ WA IZAFA Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

💻Apke Sawal Jawab, Aaj Achchi Baat, Qur'an, Hadith in Hindi & Eng, Islamic GrouP KI Sabhi Text & Image DeeNi Masail Malumaat Krne Ke LiyA Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

MASJID KE MASAAIL

MASJID KE MASAAIL

⭕AAJ KA SAWAL NO.728 ⭕
Aaj ummat ke bahut se afrad masjid ke masaail se waqif nahin lihaza masjid ke bare kuchh masail paish farmayen.

🔵JAWAB🔵

       🌹 Bismihi Ta’aala 🌹

     ⭕ Masjid Ke Masaail ⭕

🔴 Kisi zameen par Maalik ki ijazat ke bager Masjid, Madarsah banana sahi nahin lihaza qeemat Ada karke jagah ko razaamandi se kharida jaye,

🔵 Masjid ke masarif ke liye kharch karna bhi sadaqah hai,

🔴 Jaan boojhkar galat raqam Masjid ki ta'amir me kharch karne wale log gunahgaar he’n,

🔵 Jo jagah ba-qaa’idah masjid banaa di jaye, woh hamesha masjid hi rahegi, uski haysiyat ko tabdeel karna sahih nahin hai,

🔴 Masjid chahe kachchi ho ya pakki usko ya uske kisi hissah ko hataana aur us jagah ko kisi aur kaam me iste'amaal karna jaa’iz nahin hai,

🔵 Ek Masjid ko aabaad karne ke liye dusri masjid ko munhadam karna ya Taala daalna jaa’iz nahin hai,

🔴 Ta'amiri nuqs se saff me ek taraf namazi bahut kam ho’n to bhi namaz makrooh he,

🔵 Qabristaan me namaz padhna manaa hai, lekin agar aisi masjid ho jiske qareeb qabre ho usme namaz ho jati he,

🔴 Buliding me Jo kamarah (room) namaz ke liye makhsoos kar diya gaya ho uska hukm masjid ka nahin, na usme masjid ka sawaab milega,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 134

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Haqq ka Daayi,

✒TASDEEQ Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Wednesday, July 20, 2016

ALLAH KA ARSH PAR BAITHNA

ALLAH KA ARSH PAR BAITHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.727⭕

Kya kehte ho Haq Ta'ala ke is qism ke qaul me ke
Rahman arsh par mustaei Huwa (Baithna) hai,
kya jaiz samjhte ho Bari Ta'ala ke liye jihat wa makaan ka sabit karna?
is bare me kya aqeedah hai?

🔵JAWAB🔵

Is qism ki aayat (Allah ka haath paanv,chehrah) me hamara mazhab yeh hai ke un par iman laate hain, aur Us ki kaifiyat se bahas nahin karte (ke Allah ka baithna Us ka haath wagairah kaisa hai) yaqeen jante hai ke Allah Ta'ala makhlooq ke awsaf se paak aur nuqs wa hiddat- ki alaamat se  khaali hai jaisa ke hamare mutaqaddimeen -purane ulama-akabireen ki raay hai.
aur hamare mutakhkhireen imamon ne lugat ke aetibar se saheeh aur jaiz taweelen farmayi hai, taa ke zahan samjh len,
masalan ISTAWAA se murad galib aana aur hath se murad qudrat,madad, to ye bhi hamare nazdeek haq hai,
alabttah jihat-simt-disha aur makan (Allah ke rehne ki jaga) ham Allah Taala ke liye sabit karna jaiz nahi samjhte,  aur yun kehte hai woh jihat aur makan aur tamam alamate hudoos-fana honewali-makhlooq ki alaamat se paak aur saaf hai.

📗AQAIDE ULAMAA E DEWBAND SAFA 16

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Monday, July 18, 2016

Huzoor ﷺ TAMAM MAKHLOOQ ME AFZAL HAI ?

Huzoor ﷺ TAMAM MAKHLOOQ ME AFZAL HAI ?

⭕AAJ KA SAWAL NO.726 ⭕

Kya tumhari (Maslake dewband ki) ye ray hai ke malhlooq me se koi janabe rasool ﷺ se afzal bhi hai ?

do (2) din se jo sawal bhej raha hun aur ayindah bhi bhejta rahunga.انشالله
ye woh sawalat hai jo ahle arab ne maulana ahmad raza sahab ke arab ke safar se ulamaa e ahle arab ko galat fahmi hui thi,
fir ulamae arab ne khulasah karne sawalat dewband  bheje the, usee ke jawab me Aqaide ulamaa e dewband kitab likhi gai thi)

🔵JAWAB🔵

Hamara aur hamare mashaikh ka aqeedah hai ke saiyyadana wa maulana wa habeebina wa shafeeina  *muhammadur rasool ﷺ tamam makhlooq se afzal* (Hatta ke arsh wa kursi se bhi afzal) aur Allah ke nazdeek sab se behtar hain, Allah se qurb wa manzilat (qareeb hone aur rutbe) me koi shakhs aap ke barabar to kya qareeb bhi nahi ho sakta, Huzoor ﷺ sardar hain tamam anbiyaa wa rasool ke aur khatim tamam barguzidah giroh ke, jaisa ke nusoos (quran hadees) se sabit hai, aur yahi hamara aqeedah hai, aur yahi deen wa imaan isee ki tasreeh hamare mashaikh ne bahot se tasaanif me kar chuke hain.

🌹LAA YUMKINUS SANAAU KAMA KAAN HAQQAHU

(Aap ﷺ ki tareef ka haq ada nahi ho sakta jaisa tareef ka haq hai)

🌹BAAD AZ KHUDA BUZRUG TUI QISSAH MUKHTASAR

(Mukhtasar baat ye hai ke Khuda ke baad sab se bada martaba aap ﷺ hee ka hai)

📗AQAIDE ULAMA E DEWBAND.
ULAMAA E ARAB WA  HIND KE DASTAKHAT KE SATH SAFA 18

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Huzoor ﷺ ko apni qabr shareef me koi khas hayaat hasil hai ? ya aam musalmanon ki tarah barzakhi hayaat hai ?

⭕AAJ KA SAWAL NO.725 ⭕

Huzoor ﷺ ko apni qabr shareef me koi khas hayaat hasil hai ? ya aam musalmanon ki tarah barzakhi hayaat hai ?

🔵JAWAB🔵

Hamare ulamaa wa mashaikh  ke nazdeek  Huzoor ﷺapni qabr mubarak me zindah hai aur Aap ki hayaat duniya jaisi hai aur yeh hayaat Huzoor ﷺ aur tamaam ambiyaa aur shuhadaa ke sath makhsoos hai.
yeh hayaat barzakhi nahin hai jo hasil  hai tamaam musalmano balke sab admiyon ko.

Allamah suyooti rh. ne apne risalah anbaaul azkiyaa bihayaatil ambiyaa me saaf likha hai ke allamah taqreeyuddeen subki rh. ne farmaya ke,  anbiyaa wa shuhdaa ki qabr me hayaat aisi hai jaisi duniya me thi aur Musa a.s. ka apni qabr me namaz parhne ki Muslim shareef ki riwayat us ki daleel hai, kyun ke namaz zindah jism ko chahti hai ..
To is se sabit huwa ke Huzoor ﷺ qabr ki hayaat dunyawi hai  aur is ma'ane me barzakhi hai ke woh alame barzakh me hasil hai,
aur hamare buzrug Hazrat maulana Qaasim nanotwi rh. ka is bahas me ek mustaqil risalah-chhoti kitab nihayat barik bahas wala aur anokhe andaz ka chhap kar logon me shayea ho chuka hai.us ka naam 'aabe hayat' hai.

📗AQAIDE ULAMAA E HIND ULAMAYE HARMAIN  KI TASDEEQAT KE SATH SAFA 11,12

📘FAZAILE AMAL 1/689

📙FAZAILE DUROOD SHAREEF SAFA 38

Sahih aqaaide ulamaa e dewband janne is kitab ko downloaded karo, jo al muhannad hi ka tarjama hai.
Google par likho
Aqaide ulama e hind

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat, India.

Saturday, July 16, 2016

ANBIYAA (al.) WA AWLIYAA KA WASEELAH

ANBIYAA (al.) WA AWLIYAA KA WASEELAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.724 ⭕

kya wafat ke bad Huzoor ﷺ ka tawassul-waseelah lena duaawon me jaiz hai ya nahi ?
Ulamaa e dewband-ahle sunnat wal jamaat ke nazdeek salafe saliheen yani anbiyaa (al.) wa siddiqeen wa shuhdaa ka tawassul bhi jaiz hai ya nahi ?

🔵JAWAB🔵

Hamare nazdeek aur hamare mashaikh ke nazdeek duaawon me anbiyaa wa sulahaa wa awliyaa wa shuhdaa wa siddeqeen ka waseelah lena jaiz hai.
un ki hayat me ho, ya wafat ke baad ho, is tarah kahe ke

'‘ya Allah fulan buzrug ke waseelah se tujh se duaa ki qubuliyat aur haajat barari-pura karna chahta hun, fula buzrug ke wasselah se mera kaam bana den’'

ya isee jaise aur jumle kahe.chunanche is ko saaf likha hai hamare shaikh hz. maulana ishaq dahelvi ne, fir hz. maulana rasheed ahmad sahab gangohi ne bhi apne fatawa rasheediyah pehli jild safa 93 par is ko jaiz likha hai.

Hamare kaee akabireen ne apne buzrugon ke silsilah ke shajre tasneef farmaye hai jo un ke mureedeen ke maamoolat me hai, un me waseelah se duaa ke ashaar mavjood hai.

namoonah ke taur par Allamah thanvi rh. ki munajate maqbool ke chand ashaar mulahizah hon.

SADQAH APNI IZZAT WA IJLAAL KA,

SADQAH PAIGAMBAR KA WA UN KI AAL KA,

APNE PAIGAMBAR KA SADQAH AE KHUDA,

NAAM JIN KA HAI MUHAMMADE MUSTAFAA, ﷺ

HAZRAT MUSA KA SADQAH AE KAREEM,

JO HAI PAIGAMBAR TERE AUR HAIN KAREEM.

📗Aqaide ulamaa e dewband aur ulamaa e harmain ki tasdeeqat.
Safa 10
Raeesul muhaddiseen hazrat maulana khaleel ahmad sahab rah. ki.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Friday, July 15, 2016

SHASH KE ROZE MAKROOH NAHI & FAZEELAT

SHASH KE ROZE MAKROOH NAHI & FAZEELAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.723

Hazrat maulana zarwali khan saheb pakistani db.ke bayan aur un ke naam ki image me hanfi badi kitabon ke hawalon se ye sabit kiya gaya gaya hai shash ke roze rakhna makrooh hai, ham har sal rakhten hai, hamen kya karna chahiye ? rakhe ya chhod de ? is roze ki fazeelat saheeh hadees se kya saabit hai?

🔵JAWAB🔵

Hazrat maulana zarwali khan saheb pakistani db. ki tamam daleelon ka itminan bakhsh jawab hazrat mufti taqee usmani db ki
📗DARSE TIRMIZI jild 2 me safa 599,560 me aur
📘fatawa darul uloom zakariya jild 3/safa 314 se 318.

Hazrat mufti razaul haque mufti wa shaikhul hadees Darul uloom zakariya junubi afrika ki usme Mundarjah e zail hawalon se un rozon ka mustahab hona mavjood hai.
📕SHARHUN NAWWI ALA SAHEEHUL MUSLIM 1/369
📙BAHARUR RAIQ 2/258 FAQEEHUN NAFS ALLAMAH IBNE NUJAIM HANFI KI
📔TAHREERUL AQWAL FI SAUMIS SITTE MIN SHAWWAL

Ye karahiyat ke jawab me mustaqil risalah allamah qasim qutlubgaa ka hai.

📒RADDUL MUHTAR-SHAMI 2/125
WAGAIRAH WAGAIRAH
Darse tirmizi ke hashye me aur bhi kai naam hai.

👉Hz. Mufti zarwali db ka bayan kiya huwa ikhtilaf aur us ka jawab tafseel ke sath parhne ke liye kisi ko us ki images whatsapp par chahiye to ahqar ke no. +9196873 41413 par ek sms kar ke mangwa sakte ho.

In rozon ki fazeelat ke bare me Huzoor salallahu alayhi wasallam ne farmaya: jis ne ramzan ke roze rakhe aur fir eid ke baad chhe (6) roze rakhe to us ne goya hamesha (puri zindagi) ke roze rakhe (har sal ki pabandi ho to)

📚TIRMIZI SHAREEF
📚MUSLIM SHAREEF

Yani Allah taala ke yahan har neki ka sawab das guna diya jata hai ramzan ke ek mahine ke roze das (10)  mahinon ke barabar honge baqi bache do mahine (islami sal 360 din ka hota hai) to ye roze ka sawab das guna yani 60 roze ke barabar ho gaya, is tarah ek saal ke barabar sawab milega aur har saal pabandi se rakhe to woh shareeat ki nigah me ‘’saaimud dahr‘’ yani puri zidagi roze rakhnewala hai.

Shawwal ke pure mahine me kabhi bhi ye 6 roze rakh sakte hai alag alag kar ke rakhna behtar aur ek sath bhi jaiz hai.

📓DARSE TIRMIZI 2/587 Se makhooz

🔶DARKHAST: Haz. Maulana zarwali khan  sahab db. ka bayan me bataye gaye Masail par muftiyane kiram se rujooa puchhe bagair na amal kare,  na un ke bayan aur sms ko aage send kare. warna ummat me intishar aur shukook wa shubhat paida hote hai, log khud bhi pareshan hote hai aur dusre muftiyane kiram ko bhi pareshan karte hai.

👏Duaa kare Allah Hazrat mufti zawali sahab db ko Digar muftiyan kiram ko apni tahqeeq suna kar un ki tasdeeq ya islah kara kar hi awam me bayan karne ki taufeeq ataa farmaye.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Thursday, July 14, 2016

JHINGE KHANA HALAL HAI.

JHINGE KHANA HALAL HAI.

⭕AAJ KA SAWAL NO.722⭕

Hamare gujarat ke ilaaqe me jhinge aksar gharon me purane zamane se khaye jate hai, is ke haraam hone ka fatwa badi badi kitabon ke hawalon ke sath whatapp par ghum raha hai, padhkar bada tajjub aur pareshani hui ke hamne to zindgi me pehli baar suna, hum to deenee mahol me rehte, kisi ne bhi hame nahi roka. Lihaza is ki haqeeqat kya hai ? hum ab khana chhod den aur sab ko Roken ?

🔵JAWAB🔵

Hazrat mufti saiyyad abdur raheem lajpuri rh. fatawa raheemiyah wale tahreer farmate hain, ”Jhinga daryai janwar hai aur daryai janwaron me machhli halal hai aur jo machhli nahi woh haraam hai. Jhinga me ikhtilaf hai. Baaz ulamaa ne machhli samjhkar halal kahaa aur baaz ne kida samjhkar manaa kiya to ye janwar mashkook-shakwala huwa. Aur mashkook apni asal par mahmool hai yani shakwali cheez ki asliyyat ke mutabiq hukm lagega. jhinga me asal-main point machhli hona hai. Kida hone me shuba-shak hai. Lihaza asaliyyat ke dekhte huwe halaal hai. Haraam qarar dena saheeh nahi. Aur ye bhi saheeh nahi ke jhinga kida hai. isliye ke kida pet se paida hota hai aur jhinga machhli ki tarah ande se paida hota hai. aur machhli ki dusri nishaniyan bhi jhinge me payi jati hain, isliye jhinga haram aur us ka chhodna wajib na hoga ye fatwa hai aur bachne me taqwa hai. Aur taqwa martabah e kamaal hai.
Lugaat aur tib ki kitabon me sab ne bagair ikhtilaf ke jhinge ko saaf taur par machhli likha hai.

Ahqar imran Arbi ibarat ka tarjama paish karta hai.

1.الروبیان (جھکنگا)

1. woh bahut chhoti laal machhli hai.

📗HAYATUL HAIWAN JILD 1 SAFA 460

2.الاربیان۔۔

2. arbiyan kide ki tarah ek machhli hai.

📕QAMOSUL MUHEET 4/332

3. kide jaisi machhli hai aur sihaah me hai, kidi jaisa machhli ka anda hai jo basrat me paya jata hai.

📘SIHAAH MAA TAAJUL UROOS ARABI 10/143.
Imam bagwi aur saiyyad muhammad murtuza azzubaidi rh.ki kitab

4. Arbiyan machhli ki ek qism hai.

📙SARRAAH SAFA 560

5. irbiyan machhli ki qism hai use hindi me jhinga kaha jata hai.

📔MUNTAHAL ARAB FEE LUGATIL ARAB SAFA 120 RUBAE DOM

6. Hindi me jhinga aur arbi samndar ki tiddi  Kehte hai.

📒SHANSHUL LUGAT FARSI SAFA 140

7. Machhli jhinga maahi-halal machhli hai, uski munchhe lambi zaiqah sheereen jaisa hota hai.

📗NAKHZANUL MUFRADAAT

8. Machli ki qisam hai

📘TAZKIRAH E DAWUDINTAKI.

9. Arbiyan-jhinga machhli

📙MUNJID URDU 52

10. Jhinga agar machhli ki qisam se hai to mubah-jaiz hai lekeen kuchh shak ki wajha se taraddude - doubtful ho gaya aur ziyadah zahir baat ye hai ke mubah hai.

📕AYNUL HIDAYAH 4/173

👉HAKEEMUL UMMAT HAZRAT MAULANA ASHRAF ALI THANVI R. A. KE FATWE KA KHULASA.

Is par to sab ka ittifaq hai ke machhli apni tamaam qismon ke sath halal hai. Ab sirf shuba is me hai ke ye machhli hai ya nahi to machhli kuchh zarooree khususiyat-nishaniyan kisi daleel se sabit nahi hui ke us ke na paye jane se us ka machhli na hona sabit ho jaye.daaromadar sirf maahirin ki pehchan par reh gaya to haiwan aur cheezon ki haqeeqat ke mahireen unki kitabon me (jin ke hawale upar aa chuke hai) usey machhli aur halal kaha hai.

Baharhaal ahqar ko is waqt to is ke machhli hone me bilkul itminan hai.

📗IMDADUL FATAWA 4/101

👉HAZRAT ALLAMAH ABDUL HAY LAKHNAVI R.A.KE FATWE KA KHULASA.

Jin logon se usey haraam qarar diya hai sirf us ko machhli ki qismon se alag shumar karte huwe, haalaan ke aisa nahi hai. Jhinga halal hai.

📘MAJMUAH E FATAWA QADEEM 1/56

👉PURI BAHAS
📖FATAWA RAHEEMIYAH DARUL ISHAAT 10/77 SE 79 SE MAKHOOZ

👌🏻FESLA Jinghe ke bare me hanfi muftiyane kiram ka ikhtilaf hai, baaz halal kehte hai baaz haraam, lihaza khud us ke khane se bachna behtar aur khana jaiz hai.
Imam shafee rh. Imam malik rh. Imam ahmad bin hanbal rh.Teeno imamon ke nazdeek halal hai.

Dono taraf bade bade akabeer aur badi badi dalilen hai.

Lihaza hamare bade hazrat mufti mahmood hasan ganghohi rh. ka qaul Mere shaikh hazrat mufti ahmad khanpuri ki zaban se farsi me kai baar suna ke
‘’na aankaar kunam na inkaar kunam‘’
yani na ye (jhinga) khane ka kaam me karta hun na kisi ko rokta hun.

lihaza ye haraam wala sms aage bhej kar logon me intishar mat felao, kyun ke social media par har maslak ke log hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Wednesday, July 13, 2016

Lucky Draw Schemes Khareedna.

Lucky Draw Schemes Khareedna.

⭕ AAJ KA SAWAL  NO. -721⭕

Lucky  inaami  schemes  ya  digar  inaami  tickets ka khareedna  aur  uska  karobar  karna  sha’ran  kaisa  hai ?

🔵JAWAB

Is  qisam  ki  inaami  schemes  par  juwe  {Casino}  ki  taareef  sadique  aati  hai,  Is  Liye  Lucky  inaami  scheams  ya  digar  kisi  bhi  inaami  tickets  ka  kaarobar  shar’an  jaaiz  nahi  hai,  aur  usse  haasiL  ki  gai  raqam  ka  sadqa  kar dena  waajib  hai.

📗JaameuL Fatawaa-6/105

✏TASDEEQ Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Tuesday, July 12, 2016

Roza todne ke woh kon see sooraten hai jin me qaza ke sath kaffarah bhi dena wajib hai?

⭕AAJ KA SAWAL NO.720 ⭕

Roza todne ke woh kon see sooraten hai jin me qaza ke sath kaffarah bhi dena wajib hai? Aur woh kon see sooraten hai jin me sirf qaza hai kaffarah nahi ?

🔵JAWAB🔵

Woh sooraten jin se kaffarah aur qaza dono wajib hai wo ye hai,

1. ramzan ke adaa roze me bila uzr janbujhkar aesee cheez khana jo giza-khane ke taur par ya dawai ke taur hee khayi jati ho ya kaamil lazzat ke taur par ho istiamal hoti ho kha pee lena ya istiamal karna.

Is maloom huwa ke kachcha khana khane se,bidi pene se,lagane ki dawa nigal jane se, hath se mani nikalne se (aese par allah ki laanat hai),bv se sirf chimtne ya bosa lene sse inzal ho gaya to kaffarah nahi. in cheezon gizaiyat, dawaiyyat, kamil nafa kamil lazzat nahi.

2. janbujh kar sohbat karna.

3.ankh me dawa lagai ya ulti hui fir ye samjhkar ke roza toot gaya halanke in dono Se roza nahi toota tha Fir bhi janbujhkar khaa pee liya.

Woh shaklen jin me qaza hai kaffarah nahi hai wo ye hai,

1. nafal roza, ramzan ka qaza roza Ya kisi sharee uzr jaise bimari, sakht taklif, safar ki wajha se roza tod diya to kaffarah wajib nahi

📗masaile roza

📘ilmul fiqah jild som se makhooz

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Monday, July 11, 2016

KAI ROZE TOD DIYE HO TO

KAI ROZE TOD DIYE HO TO

⭕AAJ KA SAWAL NO.718 ⭕

Kisi ne ramzan ke do roze tod diye ho to kitne kaffare dene hain?

🔵JAWAB🔵

Agar ek ramzan ke kai roze tod diye to bhi ek hi kaffarah wajib hoga.

Albattah agar ye do roze alag alag ramzan ke hain, masalan 2015 aur 2016 ke ramzan ke hai to do kaffaraj wajib honge.

📗BAHISHTI ZEWAR 3/200

📘TALEEMUL ISLAM 4/70

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Sunday, July 10, 2016

FIDYA KON DE?

FIDYA KON DE?

⭕AAJ KA SAWAL NO.718 ⭕

Kya aisa bhi kiya ja sakta hai ke jitne rozah rakhe jaye hum rakh le aur baaqi ka fidiyah de de ?

Ya sabka fidiyah hi dena hoga ya sab hi rozah rakhne honge ?

⭕JAWAB⭕

حامدا و مصلیا و مسلما

1. Ramzan ke jitne rozah bhi sharyee uzar ki wajah se chhut jaye,un sab ki qazaa rakhna laazmi hai,

2. Fidiya sirf wohi shakhs de sakta hai jiski sehhat is qaabil nahi ke woh rozah rakh sake, aur ayandah bhi ummid nahi ke woh sehatmand hokar rozah rakhnae ke qaabil ho sakega, sirf aisaa sahkhs hi har farz rozah ka fidya de sakta hai.

3. Aisaa nahi ho sakta hai ke kuch rozah ki qaza aur kuch ka fidya de diya jaye.
و اللّٰہ اعلم

📝 Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Saturday, July 9, 2016

60 MISKEEN NA HO TO

60 MISKEEN NA HO TO

⭕AAJ KA SAWALNO 717⭕

(A) Agar santh faqeer na mile to kaffarh ada karne ki asan shakal kiya hai?

(B) Ek faqeer ek din me zayadah din ka ya 60 din ka kaffarh de to jaiz hai?

(C) 1 faqeer ko pone do kilo se kam anaj ya pone do kilo ki qeemat se kam diya aur baqee dusre faqeer ko diya to kaffarah ada hoga?

🔵JAWAB🔵

(A) Agar 60 faqeer na mile to Ek hee faqeer ko ya balig (gareeb) talibe ilm ko bitha kar 60 din tak bhar pet dono waqt khana khilaya jaye (musafir gareeb jamaat ko 60 admi pure us ginti se chand din khana khilaye) ya 60 din tak us gareeb ko pone do kilo gehun ya us ki qeemat dee jaye.

(B) Ek faqeer ko ek din me pone do kilo se zayadah gehun ya 60 din ke gehun ek sath dina Ya ek din se zayadah ya 60 din ke kaffarah ki qeemat dena jaiz nahi agar ek din ke kaffarah se zayada anaj ya zayadah qeemat dee to bhi ek hee din ka kaffarah Ada hoga.

Baqee din ka dobarah Ada kare

(C) Kisi faqeer ko kaffarh pone do kilo se kam diya Ya us ki qeemat Se kam dee to kaffarah ada na hoga ek faqeer sadqah e fitr ki miqdar ka pura anaj ya puri qeemat dena zarooree hai.

📗masaile roza safa 94 bahawala

📘fatawa darul uloom 6/451,

📔Shami 2/163

📙bahishti zewar 3/16 se makhooz

📝 Mufti Imran Ismail Memon

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Friday, July 8, 2016

SHASH EID KE ROZE ME QAZA

SHASH EID KE ROZE ME QAZA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 716⭕

Shash eid ke roze me ramzan ke qaza rozon ki niyyat kare to Qaza aur shadh eid ka roza dono ada ho jayenge?

🔵JAWAB🔵

Mazkoorah surat me sirf nafl shash eid ka roza hee ada hoga ramzan ka qaza roza ada na hoga lihaza koi ek hi niyyat kare.

fatawa darul uloom qadeem 3/40

📗Bahawala masaile roza 164

✏(MUFTI) IMRAN ISMAIL MEMON AUFIYA ANHU
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Thursday, July 7, 2016

KAFFARAH KAB AUR KYA

KAFFARAH KAB AUR KYA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 715⭕

A. Roza todne se kaffarah kab wajib hota hai?

B. Kaffarah kya hai?

🔵JAWAB🔵

A. Jab Ramzan ka ada roza janbujkar bila sharee uzr yani bagair bimaree aur bagair majbooree Ke khane pine ya suhbat ke zariye tode to kaffarah wajib hai.

B.Us ka kaffarh ye hai ke do 2 maheene lagatar -musalsal roze rakhe agar is ki taqat na ho to 60 santh miskeeno-faqeeron ko do waqt pet bhar khana khilaye. Dono waqt wohi faqeer hona zarooree hain ya 60 sath faqeeron me se har ek ko pone do kilo gehun Ya us ki qeemat ya qeemat Ke barabar chawal, aata,bajra, juwar wagairah de den.

📗BAHISHTEE ZEWAR HISSA 3 AUR

📘TALEEMUL ISLAM HISSA 4 KAFFAREH KE BAYAN SE MAKHOOZ

✏(MUFTI) IMRAN ISMAIL MEMON AUFIYA ANHU
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

SHASHA EID KE ROZE RAKHNE KA TAREEQAH

SHASHA EID KE ROZE RAKHNE KA TAREEQAH

⭕AAJ KA SAWAL NO. 714⭕

Shash eid ke 6 roze kab rakhna shurooa karna chahiye?

6 lagatar rakhna zarooree hai ya alag alag bhi chal sakte hai?

🔵JAWAB🔵

Pure sawwal ke maheene me kabhi bhi rakh sakte hai.

Alag alag-fasla kar ke rakhna behtar hai musalsal lagataar rakhna bhi makrooh nahi.

📚fatawa darul uloom 6/491 bahawala shami.

Tuesday, July 5, 2016

👍🏻EID KI MUBARAK-BAADI KAISE DEN.?

👍🏻EID KI MUBARAK-BAADI KAISE DEN.?

⭕AAJ KA SAWAL NO.714⭕

aaj kal log eid ke mavqah par eid mubarak kehte hain is ka kya hukm hai?
is ka koi shareeat me suboot hai?

🔵JAWAB🔵

Lafze 'eid mubarak' ko sunnat aur zarooree samjhe bagair in alfaaz se mubarak badi dene me koi haraj nahi.

Mustahab ye hai ke niche ke lafzon se mubarak baadi dee jaye.

🔸Hazrat waasilah RADEEYALLAHU ANHU farmate hai ke mene nabie kareem SALALLAHU ALAIHI WASALLAM se eid ke din mulaqat ki hai aur mene kaha

"TAQABALLAHU MINNAA WA MINK"

(Allah hamare aur tumhare nek amal qabool farmaen)

Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne irshad farmaya : han zaroor.

TAQABALLAH MINNAA WA MINK

📕(sunane bayhaqi lil kubraa hadees no.6088)

allaamah albaani Rahmatullahi alayhi ne is hadees ki tayeed ki hai

Aur sahibe hilyah ne aur muhaqeeq ibne ameerul haaj ne ne saheeh sandon ke sath bahut se aasaare sahaba naqal kiye hai aur mubarak ke mavqeh par barkat ki duaa dena bhi sabit hai is se

"EID MUBARAK "kehna bhi jaiz hai.

📗(muhaqqaq wa mudalal jadeed masaail (mufti jaafar sahab rahmani ki)
safa 101
📘ba hawala raddul muhtar alaa durril mukhtar 3/47 kitabus salat)

 📙khairul fatawa 3/124

📔fatawa haqqaniyah 2/70

 ✏(MUFTI) IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT

Monday, July 4, 2016

👋🏼MUSAFHA AUR MUAANAQAH KAB KARE? 👥

👋🏼MUSAFHA AUR MUAANAQAH KAB KARE? 👥

⭕AAJ KA SAWAL NO.713⭕

🔴JAWAB🔴

jab bhi musalman bhai se mulaqat ho sab se pehle use salam kare fir musafahaa kare pehal karne wale par allah ki 90 rahmate utarti hai aur dusre par 10 aur juda hone se pehle allah taala dono ki magfirat farma dete hain
📗(mazahire haq)

musafahaa salam ka takmilah hai yani us se salam mukammal hota hai aur salam ke baad karna chahiye
Eid ke din namaz ke baad masjid me musafahaa shiyon ki mushabahat ki wajha se manaa hai masjid ke bahar agar pehle mulaqat na hui ho to mulaqat ki niyyat se musafaa kare.eid ki khas sunnat aur tareeqah samjh kar na kare
Aur muaanaqah safar se aane ke baad ya muddat ke baad pehli baar mulaqat ho rahi ho to muaanaqah karna chahiye eid ki makhsoos rasm samjhkar muaanaqah na kare
Mulla ali qari Rahmatullahi alayhi likha hai fir bhi koi musafeh ke liye hath barhaye to hath na khinche hath khinchne me us ki zillat hogi aur use takleef pahonchegi aur ye haraam hai us waqt musaafa kar le fir piyar muhabbat se samjha de garz nafrat ka mahol paida ho aesi koi surat ikhtiyar na kare.
Ham aehle sunnat wa jamaat hain jo ibadat huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM aur sahaba RADEEYALLAHU ANHUM aur tabieen aur tabe tabieen Rahmatullahi alayhi jis tarah jis darje me sabit hogi usee tarah ham amal karenge to hi sunnat ada hogi aur sawab milega apni taraf se zara barabar kami beshi aur apni aqal par chalna hamare akabireen ko gawara nahi hai aur yahi sirate mustaqeem sidha aur najat ka rasta hai.
📗masaile adabo mulaqat 83 se 86

✏(MUFTI) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

SADQATUL FITR KA WAQT

SADQATUL FITR KA WAQT

⭕AAJ KA SAWAL NO.711⭕
Sadqatul fitr kis waqt wajib hai?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
★ Eid ke din jis waqt subah sadiq-fajr ka waqt aata he usi waqt ye sadqa tul fitr waajib hota he,
★ Agar koi Fajar ka waqt aane se pehle hi mar gaya to us per sadqa e fitr waajib nahi, Uske maal me se fitra nahi diya jayega,

📗Ba- Hawala,,, Hindiya 1/191
★ Behtar ye he k Eid ul Fitr ke liye Jane se pehle sadqa tul fitr Ada kar de, agar pehle na diya to baad me Ada kar de,
★ Agar kisi ne sadqa tul fitr Eid ke din se pehle hi Ramzan me de diya tab bhi Ada ho gaya, Ab dobara dena waajib nahi,

📘Ba- Hawala Sharah Tanveer, 2/125

★ Sadqa tul fitr apni taraf se aur apni chhoti nabalig aulaad ki taraf se dena waajib he,
Balig aulaad aur apni Bivi ki taraf se dena waajib nahi, Haa’n koi Balig ladka majnoon-pagal ho to uski taraf se bhi Ada kare,
     
📔 Ba- Hawala,,, Hidaya, 1/190

📗Fiqhul ibadaat, 303      
و اللہ اعلم

✏HAQ KA DAYI ANSAR AHMAD PANJAB

✒TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Saturday, July 2, 2016

ZAKAT AUR SADQAH E FITR ME FARQ

ZAKAT AUR SADQAH E FITR ME FARQ

⭕AAJ KA SAWAL NO.710⭕

Kaya ye baat saheeh ke jis par zakat wajib nahi us par sadqatul fitr wajib nahi?

🔵JAWAB🔵

Ye baat saheeh nahi. Baaz log galti se ye samajhte he k jis per Zakaat Farz nahi us per Sadqa e fitr bhi waajib nahi, halaanki zakat aur sadqah e fitr ke wjub me do farq hai.jis se malum hota hai ke bahot se aese log bhi hai jin par zakat wajib nahi lekin Sadqah   fitr wajib hai

1.bahut se logo per zakaat wajib nahi hoti magar sadqa e fitr waajib hota he kyun ke zakat ke maal par sal pura hona zarooree nahi balke eid ki raat ko nisab jitne maal ka malik ho gaya to bhi sadqae fitr wajib hai

2.zakat ke wajib hone ke liye maal ka tijarat-bechne ki niyyat se khareeda huwa hona zarooree hai zaroorat se zaid aesa mal jo tijarati nahi us par zakat wajib nahi albattah sadqah e fitr wajib hai sadqah e fitr ke wajib hone me zaroorat se zaid tamam maal ko shumar karenge agarche woh mal bechne ki niyyat se na khareedah ho.

📗MASAILE ZAKAT

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Khatme quraan par hafiz ko khushi se hadiya dena kaisa hai? Hafiz sahab ne taraweeh parhane se pehle lene ki koi shart nahi lagai thi.

⭕AAJ KA SAWAL NO.710⭕

Khatme quraan par hafiz ko khushi se hadiya dena kaisa hai? Hafiz sahab ne taraweeh parhane se pehle lene ki koi shart nahi lagai thi.

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Hadiye ke naam se taraweeh ka intizam karne walon ki janib se jo kuchh bhi diya jata hai agarche khushi se aur bila shart ho to bhi jaiz nahi. aese hadiye ka lena aur dena haraam hai,

jis cheez ka riwaj ho woh shart na karne ke bawajood shart kiye jane ke hukm me hai.

Albattah imam ko imamat ki ujrat ke sath taraweeh parhane ka izafa dena jaiz hai

baaz cheez aslan na jaiz hoti hai lekeen zimnan yani kisi jaiz cheez ke taabea hokar woh bhi jaiz ho jati hai.

📗 FATAWA MAHMOODIYAH 17/75 ka khulasa aur taraweeh ka Hadiyah na jaiz hona sab fatwon ki kitab me mavjood hai.
.
🎤Hazrat mufti saeed palanpuri D.B.shaikhul hadeees darul uloom dewband farmate hai ke agar taraweeh ka hadiyah muntazimeen-trust na de balke muqtadi hazraat apni taraf se infiraadi taur par de to jaiz balke behtar hai,

istarah hafiz ka ikraam aur us ki himmat afzai karni chahiye,

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Friday, July 1, 2016

✺ Ek se Zyada Makaan ka Hukm✺    

✺ Ek se Zyada Makaan ka Hukm✺
    ⭕AAJ KA SAWAL NO 709⭕

★ Agar kisi ke paas do makaan he, ek me khud rehta he aur ek khali pada ho ya kiraye per diya ho to us par sadqah e fitr wajib hai?
Aesa admi zakat le sakta hai?

🔵JAWAB🔵

Puchhi hui surat me shar’an ye doosra makaan zarurat se zaa’id he,
★ Agar iski qeemat itni ho jitne per zakaat waajib hoti he to us per sadqa e fitr waajib he, aur ese shakhs ko zakaat ka paisa dena bhi jaa’iz nahi,
★ Albatta agar is per uska guzaara ho to ye makaan bhi zaruri asbaab me dakhil ho jayega, aur us per sadqa e fitr waajib nahi hoga,
★ Masla.: –
Kisi ke paas zever nahi na maale tijaarat na rupiya he magar kuchh aur samaan zarurat se zaa’id  he jiski majmui qeemat saade Bavan tola chandi ki qeemat ke barabar he to ese shakhs per zakaat to waajib nahi lekin sadqa tul fitr waajib he,
     
📘 Ahkamul Ramzan

📗Fiqhul ibadaat, 302  

✏HAQ KA DAYI ANSAR AHMAD PANJAB
✒TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...