Saturday, April 30, 2016

Ulti(vomit) hone se konsi surat me wuzu tutega aur konsi surat me nahin tutega ?

⭕AAJ KA SAWAL NO.667⭕

Ulti(vomit) hone se konsi surat me wuzu tutega aur konsi surat me nahin tutega ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

1.Agar kai (ulti) huyi aur usme khana ya paani ya pitt gire to, agar munh bhar kar kai-ulti huyi ho to wuzu tut gaya, aur munh bhar kai nahi huyi to wuzu nahi tuta. aur munh bhare hone ka matlab hai ke mushkil se munh me ruke aur agar kai me sirf balgam gire to wuzu nahi gaya chhahe jitna ho. muh bhar ho ya na ho, sabka ek hi hukam he, aur agar kai(vomit) me khun gire to agar patla aur behta huva ho to wuzu tut jayega. chahe kam chahe ziyadah muh bhar kar ho ya na ho.

2. THODI THODI (zaraa zaraa) vomit KAEE BAAR HONA:
Agar thodi thodi karke kaee baar kai-vomit huyi, lekin sab milakar itni hai ke agar ek baar girti to muh bhar ho jati, to har  baar ek hi matli [yaane becheni-ghabrahat] baraabar baaki rahi aur thodi thodi kai-vomit hoti rahi to wuzu tut gaya, aur agar ek hi matli-becheni-ghabrahat baraabar baaki nahi rahi balke pehli baar ki matli-becheni-ghabrahat jaati rahi thi,  aur jee achchha ho gaya tha fir dusri baar matli-becheni-ghabrahat shuru huyi aur thodi kai ho gayi fir jab ye matli-becheni-ghabrahat jaati rahi, aur tisri baar fir matli shuru ho kar kai huyi to wuzu nahi tutta.

3. FOURAN ULTI HUYI TO WUZU NAHI TUTEGA:
Khana pet me pahochne ke pahele hi ulti ho jaye aur wih khorak ki naali me se hi nikal jaye to usse wuzu nahi tutta.

📘DURRE MUKHTAAR ZAKARIYAH 1/280  

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Friday, April 29, 2016

AURAT KA ILAJ MARD SE

AURAT KA ILAJ MARD SE

⭕AAJ KA SAWAL NO.666⭕

Aurat Ka ilaj mard doctor se karwa sakte hai Ya nahin ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Tabeeb (Doctor) ke liye Aurat ka ilaaj zarurat ki bina per jaa'iz hai,

Agar koi Mu'alij Aurat (Lady Doctor) mil sake to usse ilaaj karana zaruri hai,

Agar koi Aurat na mil sake to Mard ko chahiye ke Aaza e Mastoora-satar ke badan ka  khususan Sharmgah ka ilaaj ka tareeqa kisi Aurat ko bataa de, khud ilaaj na kare,

Agar kisi Aurat ko batana bhi mumkin na ho aur Marizah Aurat ki halaakat ya naqabile bardasht takleef ka andesha ho to laazim hai ke takleef ki jagah ke alawa tamaam badan dhaank diya jaye,

Bachcha Janaa'i-delivery  ka kaam khaas Aurato'n ka kaam he, Agar muamla Aurto'n ke qaabu se bahar ho (maslan operation ki zarurat ho aur operation karne wali koi Lady Doctor bhi mojood na ho) to uper guzri Sharto'n ke saath Mard ilaaj kar sakta hai.
✏Mufti Yusuf ludhyanvi shaheed  Rahmatullahi alayhi.

📗Aapke Masail aur unka Hal, 8/54

و اللہ اعلم

(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Thursday, April 28, 2016

Alcoholic Denat(denatured alcohol) halal hai ya haram ??

⭕AAJ KA SAWAL NO. 665⭕

Alcoholic Denat(denatured alcohol) halal hai ya haram ??

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Denat umuman un chizon me daala jaata hai jo khane peene Ki na ho, jaise cream wageirah.

Fir agar denat alcohol angoor aur khajoor ke alawah dusri ashya masalan gandum, jau , gandhak, deter, ambeli,
Chemical aur dusre phoolon aur sabziyon(vegetables) se kasheeda hote ho to aise alcohol ka istemal mukhtalaf feeh hai, is liye is qism k alcohol mili ashya ke istemal ki gunjaesh hai lekin aisi ashya ke istemal se bhi ea'taraz (ijtinab) bahtar hai.
Ta ham agar tehkik se ye ma'alum ho jaye ke alcohol angoor aur khajoor se banai gai hai ya aur kisi kimiyai tariqah se us ki mahiyat ko bhi tabdeel nahin kiya gaya hai to aisi ashya bila shuba Naapaak hain aur us ka dakhli ,kharji iste'amal shar'an jaiz aur durust nahin hoga.

📘Hawala- takmile fathul mulhim
Jild 3 page 308
Fatwa no - 14839
DARUL IFTA JAMIA ISLAMIYA BINORIYA KARACHI
ROMAN WRITER
MUFTI ZAKIR QASMI AURANGABAD
ا
و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Wednesday, April 27, 2016

Nikaah ke khutbah ka sunna

Nikaah ke khutbah ka sunna

⭕AAJ KA SAWAL No. 664⭕

Khutbah e jumuah ke dauran log aaraam se bethey hue baten karte hain, kya nikaah ke khutbah me bhi ahkaam lagu honge ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Har khutbah chahe eidul fitr, baqar eid ka ho ya nikaah ka, uska sunna wajib hai.
Aur is darmiyan me baten karna aurr dusre kaamon me mashgool rehna na jaiz hai

( 📗Fatawa fareediyah masail e shatta safha 4/516)

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Tuesday, April 26, 2016

PEPSI COMPANY KI BANAI HUI CHEEZ KA LEN DEN

PEPSI COMPANY KI BANAI HUI CHEEZ KA LEN DEN

⭕AAJ KA SAWAL NO.663⭕

Islam Me pepsi company Ki banai huwi cheezon ke le bech Ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Pepsi wagerah me agar pepen milaya jata he to uske Halal o Haram hone or uski le Bech  ke bare me tafseel he wo ye ke,

agar ye pepen kisi aise janwar jo ki Halal aur sharaee tor per zabah kiya gaya ho uske hisse se hasil kiya gaya he to uska khana peena Halal aur le Bech jaiz he.

Aur agar ye pepen insani janeen-pet ke bachche or suwwar-khinzir se ya aise janwar se hasil kiya gaya ho jo Halal hone ke bawajood sharaee tor par zabah na kiya gaya ho to uska khaana peena Haraam or Le  Bech bhi na jaiz he.

albatta agar kisi khas kimyawi amal ke zariye uski mahiyyat-asliyyat-haqeeqat badal kar usme shamil kiya gaya ho to uska khana pina or le bech karna jaiz hoga.

Aur agar in cheezon ke mutalliq yaqeeni tor per maloom na ho ya galib guman na ho ki isme murdar ya suwwar ka pepen bager mahiyat tabdeel kiye shamil kiya gaya he to bhi in cheezon ke istemal aur le bech ki gunjaish he.

Albatta agar koi ehtiyat per amal karte hue usse parhez kare to ye bahut achcha he.

📗(khane pine ki Halal o haraam cheezon se liya hua hai)

✏MUFTI BAHADOOR
Darul ifta binnoria karachi.fatawa no.10824

✒ROMAN WRITER MAULANA USAMA HAKEEM SAHAB

و اللہ اعلم

Monday, April 25, 2016

MAKAN DUKAN ME QURANI AAYAT LATKANA

MAKAN DUKAN ME QURANI AAYAT LATKANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.664  ⭕

Makan ya dukan Me kisi takhte Wagairah par quran ki aayat likhkar latkaana kaisa hai?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Jahan T.V. chalaya Jata ho Ya Jandar ki tasweeren ho wahan ayat wala takhta latkane me quraan majeed ki behurmati -be adabi hai, isliye jaiz nahi,
agar Ye khurafat na ho aur tazeem-adab malhooz rakha jaye, gardo gubar -dhul mitti se saaf rakha jaye to jaiz hai, deewar aur darwaze par ayat likhna makroohe tanzihi yani munasib nahi.

📗AHSANUL FATAWA 23/8 HAHAWALA SHAMI 1/120
و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

BULANDI PAR RAKHE QUR'AN KI JANIB PAIR(LEG'S)

BULANDI PAR RAKHE QUR'AN KI JANIB PAIR(LEG'S)

⭕AAJ KA SAWAL NO.663⭕

Almari-cupboard me uparwale khane(droar) me Qur'an rakha huwa ho to us ki jaanib pair  failane ya pithh karna Jaiz hai ya nahin?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Puchhi huyi surat me pair Qur'an ki jaanib nahin shumar honge kyun ke Qur'an us simt(sight) me to hai lekin upar ki jaanib hai lihaza jaiz hai.

📗AHSANUL FARAWA 8/22SE MAKHOOZ

📕BA HAWALA ALAMGIRI-FATAWA HINDIYAH 5/322.

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Saturday, April 23, 2016

LADKIWALON KI TARAF SE NIKAH KI PESHKASH

LADKIWALON KI TARAF SE NIKAH KI PESHKASH

⭕AAJ KA SAWAL NO.661⭕

Hamari beti ka koi rishta kafi waqt se aa nahi raha hai to kya hum ladki walen saamne chal kar baat daal sakte hai?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Aaj kal hamare muaashare me ladki walon ki taraf se rishte ki peshkash ko bahut ma'yoob khilafe gairat aur aar-sharm ki baat samjha jata hai,
haalaan ke shara'an is ki koi asal nahi,
khud hazrat umar Radeeallahu anhum ne apni beti hazrat hafsah Radeeallahu anhaa ka rishtah saiyyadana usman aur saiyyadana abu bakr siddeeq Radeeallahu anhumaa ke samne pesh farmaya tha,
lihaza is baat me koi Haraj nahi ke aadmi apni beti ya bahan ka rishtah khud kisi salih wa muttaqee mard ke samne pesh kare.

📘AHAM MASAIL 5/192
BAHAWALA SAHEEH BUKHARI HADEES NO. 5122

و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Friday, April 22, 2016

RED BULL AUR COCA COLA PEENE KA HUKM .. Part 2

⭕AAJ KA SAWAL NO.660 ⭕

Red bull ke baare me ba'az  hazraat ka kehna hai Ke us me bel(bull,saandh,paada) ki mani(sperm) daali jati hai woh naapaak hota hai is ki ek pic (image) bhi social media par kaafi time se ghum rahi hai lihaza redbull ka hukm Is ki tahqeeq kar ke wazeh karne ki guzarish

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Red bull ke drinks me taurine naam ka ek substance use hota hai

Ye substance synthetically lab me banta hai chemical processes ke zariye

Ab taurine yeh latin greek zaban ke taurus se liya gaya he jiska maana bull ke aate hai

Yeh galat fahmi ke Taurine  bull ke maadde se liya gaya hoga
Is tarah paida hua ke pehli martaba yeh maadda scientist's ne bull ke liver se liya agar che ye maadda machchli (fish) aur insaan aur janwar ke tissues me bhi hota hai

Isliye iska naam Taurine rakha

Is mushaabahat ki wajah se ye galat fahmee huyi hai.
Rahi baat pic ki to jo What's app fecebook par chal rahi jis me bel ki sharmgah se mani nikali jaa rahi hai aisa bataya gaya hai woh fake-galat hai agar kisi ka sahih hone ka da'awa hai to yeh bataye ye kis shakhs ne, kahan, aur kis waqt banai thi aur aisa dekhnewale kitne hai taake pic (image) ki sachchai wazih ho.

NOT:JITNE BHI SOFT DRINKS AUR ENERGY DRINK AATE HAI WOH SIHHAT KO NUQSAN HI KARTE HAIN LIHAZA US SE BACHE AGAR WOH COCACOLA COMPANI KA HAIN TO IN YAHOODEE COMPANY KI KOI BHI CHEEZ KHAREEDNA IMANI GAIRAT KE KHILAF HAI LIHAZA US SE BHI BACHNA CHAHIYE HAM HARAM NAHI KAHENGE LEKEEN US SE BACHNA TAQWAA AUR SAWAB HAI

و اللہ اعلم

✏MUFTI ABDUL QAYYUM RASHEED AHMAD AJMERI HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE SUFI BAG RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Thursday, April 21, 2016

RED BULL AUR COCA COLA PEENE KA HUKM

RED BULL AUR COCA COLA PEENE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.659 ⭕

Red bull ek drink hai jis se energy aur taaqat hasil hoti hai ba'az log kehte hai ke is me alcohol milaya jata hai isliye us ka istea'mal halaal nahin kya yeh baat sahih hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Hazrat mufti jafar sahab milli rahmani damat barkatuhum likhte hain ke is silsile me thodi tafseel hai aur woh yeh ke agar us me milaya janewala alcohol angoor aur khajoor se banaya jata hai to uska istea'mal durust nahin aur agar angoor aur khajoor ke alawah kisi dusree cheez se banaya jata hai aur itni kam miqdar me milaya jata hai jis se nasha nahin aata to us ke istea'mal ki gunjaish hai

📗AHAM MASAIL JILD 6 SAFA 299
BA HAWALA

📘SHAMI 10/ 40,TAKMILAH E FATHUL MULHIM 3/608 FATAWA BINORIAA FATAWA NO.12994
baqi dalail  aur hawale kal ke sms me aayengen insha allah

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Wednesday, April 20, 2016

🎩BAGEIR TOPI KE NAMAZ

🎩BAGEIR TOPI KE NAMAZ

⭕AAJ KA SAWAL NO.658⭕

Bageir topi ke namaz padhna kaisa hai?
Aaj kal navjawano topi ke bageir namaz padhte hai uska kya hukm hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Mukarrir Hazrat maulana mufti Saeed ahmed sahab palanpuri damat barkatuhum,shaikhul hadish or sadar-ul-mudarrisine Darul Uloom Deoband farmaten hai.
“Dekho mere bhaiyo ! Deen woh hai jo Duniya ke tamam muslnano me hai.
Kyun ke deen ka madaar Qur'an or hadees par hai jo sari duniya me ek hee he, Lihaza sari duniya me jo tareeqah chal raha he wahi deen he aur agar kisi ilaqe me ek tareeqa he jisko dusre ilaaqe wale nahi jante to yeh tariqah deen me se nahi he baad me badha hai,agar Qur'an aur hadees me yeh tariqah hota to sari duniya me hota,
Kuch logo ka khayal hai ke Nange sar  namaz padhna sunnat hai, me 45 saal se hadees parha raha hun
Magar humne aaj tak koi hadees nahi padhi jisme yeh ho ke Nabi-e-Paak ﷺ ke paas topi ya amamah maujood tha or Aap ne ek farz namaz nange sar padhi ho, puri zindagi me ek dafah bhi aisa kiya ho,aisi koi hadees hamne nahi padhi aur qayamat ki subha tak mohlat hai, lao aisi koi hadees, chahe zaeef hi kyun na ho.
In bhiyon se jab puchha jata hai to fauwran kehte he
"Topi ke bagair kya namaz nahi hoti?
ek martaba nahi,so martaba hoti he aur topi ke bagair hi nahi, kurte ke bagair bhi namaz hoti hai,
namaz me mard ke liye naaf se lekar ghutne tak hi badan dhankna zaruri hai, ghutne ke niche ka hissa or naaf se upar ka hissa agar sara khula ho tobhi namaz ho jaegi.

💫garz nange sar namaz hoti he ya nahi?
ye masla nahi hai,masla yeh hai ke namaz ke waqt Allah ta'ala ka kya hukm hai?
Allah ta'ala ka hukm yeh hai
(ae,Adam ki awlaad ! jab tum namaz padho,Shandar libas pahan kar namaz padho or islami tahzeeb me nange sar hona Shandar libas nahi,Yeh to Fashion hai, Gairo ka tariqah hai, islami tarika nahi,

واللہ اعلم

✏MAULANA SHAHID SURTI

Tuesday, April 19, 2016

E CODE WALI CHEEZEN KHANA

"E CODE WALI CHEEZEN KHANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.658⭕

jis me haram janwar ki charbi milaai gai ho khane ka kya
khane pine kee cheezon me ''E''  ke sath khas code numbers aate hai, jo sms me bhi chalaye jate hai, us ke khane ka kya hukm hai?

us kee tahqeeq ho to ho sake to usey bhi batane ki darkhast

🔵aaj ka jawab🔵
حامدا و مصلیا ومسلما

shareeat ne jin cheezon ko haram qarar diya hai agar un kee haqeeqat aur mahiyyatu-asliyyat (us ka rang khushboo- zaiqah us kee aham siften-gun) kisi kimyawee -chemical dalne se badal jaye to unka pehla hukm (haram makrooh hone ka) baqee nahee rehta.
kisee cheez kee woh khas aur bunyadee  siften-gun jin se us cheez kee pehchan hotee hai. wohee us cheez kee haqeeqat aur mahiyyat-asliyyat hoti hai,

islamic fiqah academy india ke samne fan ke mahireen-(masters) khas jankaree rakhnewale ke zareeye jo tahqeeq samne aayee hai us ke mutabiq (agar woh code geletin ke hai to) geletin me un janwaron kee khalon aur haddiyon kee haqeeqat baqee nahee rehtee hai, jin ke collagen (ek qism ka protin) se geletin banaya jata hai, balke woh ek nayee haqeeqat ke sath nayee-alag cheez ho jatee hai, isliye us ke isteamal kee gunjaish hai.

📓(naye masail aur fiqah academy ke fesle safa 182)
14wa-chavdahwan fiqhee samynar haidarabad 22 jun 2004)

agar code lagi hui cheezon me charbee kee chiknahat bilkul nahee hai to woh cheez halal hai jese baaz cream bagair ki biscuit ke bare me mashhoor hai ke us me khinzir ki charbi dali gai hai aur us par Us ka code bhi hai, lekeen us biscuit me charbi ki zarra barabar chiknahat mavjood nahi to woh biscuit bilkul halal hai,
agar us me charbi dali bhi gai ho to process- ki wajha se Us ka asar bilkul baqi nahi hai.
Az ahqar.

“Agar koi company haraam Khana banane me mashhoor na ho to mahaz kisi makhsoos code ya kisi company ki cheez hone ki wajha se kisi cheez ko shareeat me haraam ya halal qarar nahi diya ja sakta magar ye ke yaqeen ke sath ye baat maloom ho jaye ke us E CODE ke ajzaa e tarkibiyah-ingredients (daali gayi chizen)
me koi cheez haraam hai aur kisi kimyawee-chemical ke tareeqah se us ki haqeeqat aur mahiyat-asliyat ko tabdeel nahi kiya gaya to us cheez se bachna lazim hoga.

Jab ke taqwa ka taqazah ye hai jis cheez ki hurmat wa hillat me shak ho to use istiamal me lane bachna chahiye.

📓(AHAM MASAIL 6/298)

👉�AHQAR KA TAJRABAH👇🏻

bagair cream ke biscuit aur cake me to bilkul shubah-shak na karen.
mene india kee maggi nudals aur maggi sous ka surat me laboratory report karwaya tha, jis par woh  haram kaha jane wala code hai aur nudals ka to video bhi chala tha.
Lekin india ki maagi sous report me kisi bhi enimal kee fate na hona aaya hai.
jis se maloom huwa ye baaten baaz doctor ya deenee jazbaat rakhne wale gair mufti kee chalai hui hai.
jis ka shareeat me aeatibar nahi.
ye report bhi groups par bhejunga insha Allah.

tabdeele mahiyat :

haqeeqat badalne se napak aur haram cheez ke halal hone kee chand misalen jo fiqah kee aksar kitabon me hain.

1. napak charbi se jab sabun ban jata hai to us kee haqeeqat badal gai isliye paak hai.

📗fatawa mahmoodiyah jadeed 18/206 ba hawala shami)

2. gobar aur paakhana jal kar rakh ho jaye to paak hai.

3.  gadha, namak kee khaan-bade khadde me gir kar markar sarkar akheer me namak ban gaya ya insan kee naash qabar me mittee ban gai to woh mittee paak hai us mittee se bhare huwe kapde me namaz jaiz hai.

4. haram janwar kee khaal ko chemical namak wagairah ke zareeye us kee chikanahat khatm kar dee us khaal se bane libas me namaz jaiz hai.

5. sharab namak ya kisee cheez ke dalne se sirakah ban gai us ka nasha hee na raha paak hai pee sakte hai.

📘mustfad az maalabudd minhu safa 21)

و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Monday, April 18, 2016

JOIN FAMELY ME PARDA KAISE?

🏚JOIN FAMELY ME PARDA KAISE?

⭕AAJ KA SAWAL NO.657⭕

Aurten ghar me join famely me chehre ke parde me koi chhut hai ke nahi?
har waqt chehre ka parda jeth,dewar se mushkil hai?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Han join famely me Na- mahram Rishtedar ho’n aur Aurat unke saamne Jane per majboor ho,Unse parda karne me chhut-kuchh sahoolat hai lihaza chaadar-bade dupatte ka Parda bhi kafee aur zarooree hai iski tafseel Hazrat Thanvi  rahmatullahi alayhi ke risale ” Ta’alimul Taalib ” se naqal karta hun
Jo Rishtedar shar’an Mahram hai,maslan Khala zaad, Mamu zaad, Fufi zaad Bhai ya Behnoi ya Dever vagera, Jawan Aurat ko unke ru ba ru (saamne ) aana aur Betakalluf-bila jhijhak baate karna hargiz nahi chahiye,
Jo makaan ki tangi ya har waqt ki gair mahram ke aane jane ki Vajah se gehra-mukammal parda na ho sake to Sar se paanv tak tamaam Badan kisi chaadar-bade duppate se dhaank kar Sharm wa lihaaz se Ba-zarurat rubaru (saamne) aa jaye,
Aur kalaai (wrist) Baaju aur Sar ke Baal aur Pindli in sabka zaahir karna haraam he,
Isi tarah in logo ke RubaRu itar lagakar Aurat ko aana jaa’iz nahi aur nahi bajta hua zever-payal pehne,”

® Ta’alimul Taalib, 5

📗Aapke Masail aur unka Hal, 8/35
و اللہ اعلم
(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

JAIZ NA JAIZ MEHNDI

JAIZ NA JAIZ MEHNDI

AAJ KA SAWAL NO.656

A.
Siyah mail Khizab (balon me light kali mehndi ya dark brown mehndi jo door se kali maloom ho lagane ka kiya hukm hai?) Aur dark kala khizab-mehndi lagana kesa hai?
B.
bilkul kala kizab- mehndi aurten shohar ko khush rakhne laga sakti hai ya nahi?

AAJ KA JAWAB 

A.
aesa light kaka khizab-mehndi lagana mardo aur aurton ko jaiz hai.basharte ke balon par pad-coating na chadhti ho jis se pani pahonch na sake colour aur die lagana jaiz nahi agarche us par halal likha gaya ho.

Aur bikul kala khizab-mehdi lagana mardon ko jaiz nahi aese mard jannat ki khushbu bhi nahi sung sakenge halan ke woh 500 saal ki dooree se mahsoos hogi.

📗darhi aur anbiyaa ki sunnaten safa 78
ba hawala ibne maja wa 📘imdadul fatawa 4/203

📕Ahsanul fatawa jild 7)

B.
han aurat bilkul kala khizab agar shohar khwahish kare to shohar khush rakhne ba taure zeenat lagane ki baaz ulamaa ne gunjaish dee hai. Ba sharte apne aap ko jawan zahir kar ke kisi ko dhoka dena ya paraye mard ko dikhana maqsood na ho.

📘aurat ke liye banau singar ke ahkam safa 48 ba  hawala mirqat sharhe mishkat 8/304 )

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Saturday, April 16, 2016

BIVI PARDA NA KARE TO

BIVI PARDA NA KARE TO

⭕AAJ KA SAWAL NO.655⭕

Agar kehne ke bawajood bivi pardah na kare to kya kiya jaye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Us ko pyar muhabbat se Allah ta'alaa aur Us ke rasool صلی اللہ علیہ وسلم ka hukm hai yeh samjhaya jaaye.ba-pardah aurton ki suhbat me ya un ki ta'alim-deenee majlis agar muhalle me din ke waqt hoti ho to wahan pahonchaya jaaye.
pardah ke mavzua Par kitab parh kar sunayi jaaye
Insha Allah pardah karne lagegee aurton ka dil narm hota hai woh deen ki  baat agar saheeh niyyat aur saheeh tareeqah se kahi jaaye to bahot jald qabool karti hai agar khuda na khastah fir bhi pardah karne ko taiyyar na ho to usko alahidah sulana,Halki  mamooli maar maarna khaandaan ke badon ko jamaa karna aur un ke zariye samjhana in sab step par ek ek kar ke amal karne baad bhi na maane to usko bil akhir msjbooran paaki ki halat me sirf 1 talaaq de dee jaye agar parde Ke Liye taiyyar ho jaye to rujooa kar liya jaye yani talaq ka asar khatm kiya jaye.
Talaaq dene Aur rujooa karne ka yeh pooraa tafseelee tareeqah hamare sawal No. 528 me site par padh len

📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 8/87 SE MUDTAFAD

و اللہ اعلم

✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Friday, April 15, 2016

SHOUHAR PARDE SE ROKE

SHOUHAR PARDE SE ROKE

⭕AAJ KA SAWAL NO.654 ⭕

Mene ne samjhdar hone se jawani aur shadi hone tak parda kiya, shadi ke baad Mere shouhar mujhe majboor karte hai ke tum burqaa aur naqab mat pehno.
to kya mere liye shouhar ki baat manna jaiz hai?

🔵JAWAB🔵-
حامدا و مصلیا و مسلما
parda karna aurton par farz hai aur sharee hukm hai, shohar ke kehne par na chehra kholna jaiz hai aur na parde ka chhodna hee jaiz hai, shohar ko samjhaye aur parde ke fayde batlaye, fir bhi majboor hee kare to us se talaq le li jaye, taa ke woh aesee bivi laa sake jo har ek ko apne husn ke nazzare ki dawat de.
aesee surat me shohar bhi sakht gunehgar hoga.

📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 8/86

👇🏻PARDAH KE FAYDE👇🏻

1. GAIR MARD KI BURI NIGAH SE HIFAZAT

2. GALAT TA'ALLUQAT PAIDA HONE SE HIFAZAT.

3. DHUP SE HIFAZAT.

4. DHUL-MATTI SE HIFAZAT

6. SURAJ KI KIRNO SE RANG KI HIFAZAT

7. BACTERIAL -JARAASIM-KITANU SE HIFAZAT.

8. PRADUSAN -POLLUTION DHUWEN SE HIFAZAT

9. BADBU SE HIFAZAT

10. KISI KI NAZAR LAGKAR BIMAR HONE SE HIFAZAT

11. SHAREEF HONE KI ALAMAT-NISHANI.

12 .IZZATDAR HONE KI ALAAMAT

13. MUA'ASHRAH (SAMAAJ) BADKARI SE PAAKI AUR HIFAZAT

14. ALLAH KI MUHABBAT KA MILNA.

15. RASOOL صل اللہ علیہ وسلم KI SHAFAAT KA NASEEB HONA

16. Parda Pakeezgi hai.

17. Parda Satar hai.

18. Parda Taqwa hai.

19. Parda Emaan hai.

20. Parda nifaq se bachata hai.

21. Parda aisa sharaie hukm hai jisme deen aur duniya ke faide hai.

22. Parda niswani husn ka muhafiz hai.

23. Parda dilon ki pakeezgi or taharat ka zariya hai.

24. Parda aurat ki fitri haya ka taqaza hai.

25. Parda chote bada kahi gunaah ki rukawat hai.

26. Parda aurat k liya afzal tareem amal me se hai.

27. Parda karne wali aurat apne rab se ziyada qareeb hai.

28. Parda shaitaan or uske makar se bachav ka zariya hai.

29. Parda taqwa ka libas, aur haya ki daleel hai.

30. Parda aurat ko fashion ki shararat se mehfoz rekhta hai.

31. .BEPARDAGI KE HARAAM KHAHISH-GUNAH SE BACHNE KI WAJHA SE JANNAT KI BASHARAT

✏✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Thursday, April 14, 2016

🏍LOAN SE GADEE LENE KA TAREEQAH 🚘

🏍LOAN SE GADEE LENE KA TAREEQAH 🚘
⭕AAJ KA SAWAL NO.653⭕

company se Gadee naqad len to 60,000 aur udhar bank's ke  hafte se len to 72,000 aur badi gadi to naqad le hee nahi sakte kyun ke tex wale pakad karte hai. itne white paise kahan se laye lihaza mufti sahab koi aasan shakl batlane ki guzarish.log sood ke gunah me mubtala ho rahe hai

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

gadee naqad ke to
60 000 aur udhar hafte se bank ke zariye le to
72,000 istarah gadee lene ka kiya hukm hai?

🔵aaj ka jawab🔵

gadi khareed kee hasbe zail teen sooraten hain.

1.agar dealer ya dealer ka financier gadee bechnewala hai.chahe naqad beche ya udhar qiston- hafton par. aur sara muaamala dealer ya us ke financiers hee se ho raha hai andar me bank's ka koi dakhal nahi. to udhar khareedne ke waqt us kee naqad ke muqable kitnee zayadah qeemat denee hai aur kitne maheeno me denee hai ye baat saaf kar dee jaye aur hafton se paise ya cheque dealer hee ko diye jaye to ye muaamala jaiz hai.

2. agar bechnewala bank ya financier ho aur gadee kee chabee aur qabazah bhi usee se liya jaye aur bank ke naam se cheque diye jaye company ka bich me koi wastah na ho to ye surat bhi jaiz hai.

3.agar bechnewala dealer hai aur bank khareednewale ki taraf se dealer ko abhi pooree qeemat ada kar deta hai. aur fir aayindah qiston- hafton kee shakal me apni ada kee hui raqam kuchh zaid miqdar ke sath khareednewale se wusool karta hai ye zaid miqdar sood kehlati hai isliye shariat me ye muamala durust nahee.

(mahmoodul fatawa 3/50 murshidee hazrat aqdas mufti ahmad khanpooree d. b. kee)

🚫 allah taala tamam jawab denewalon ko aage bhejnewalon aur parhnewalon ko shariat kee sahoolaton ko samajhne kee aur us se zaroorat ke waqt faidah uthane kee taufeeq ata farmayen

و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Wednesday, April 13, 2016

🏏CRICKET KHELNA

🏏CRICKET KHELNA ⭕AAJ KA SAWAL NO.652 ⭕

Cricket aur  khelne Ka kya hukm hai is se warzish bhi hoti hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

cricket khelne me hasabe zail kharabiyan hain.

1.is me khelnewale ke jism ko sakht nuqsan pahonchta hai bazon tangen tootna aur bazon ke sar ya pet me chot lagne se mot ke munh tak pahonch jana ham ne khud dekha hai.
2. aane janewalon ko chalne aur gaadi chalane raaste par khelne ki wajha se guzarne me taklif hona koi insan balke koi haiwan bhi itminan se guzar nahi sakta

3. aane jaanewali gadiyon ko aur khelne walon ko accident ki wajha se jaan jane ya chot aane ka khatrah

4. aane jaane walon aur aaju-baju ke logon ko ball ya bat se chot lagne ka khatrah balke baz ki aankhen futne aur bazon ke chehre badalne ke waqiaat bhi pesh aate rahte hain

5. padosiyon ke gharon ke shishe ya khidkiyan toot jana.

6. out hone na hone me jooth, jhagde, dili ranjish, kina, dushmani adawat wagairah gunah me mubtala hona

7. agar haar jit ki shart lagai jaye to juwe ka gunah.

8. Inaam dene wali tesree party ya jamat ho to agar us ka zati paisa hai to fuzool kharchi aur haraam kaam me spot karne ka gunah agar qaum ka paisa hai to amanat me khiyanat karne aur dusre mustahiqeen ka haq marne ka bhi gunah.

9.khel ki mashguli ki wajha se farz Namaz ya us ki jamaat chhodna

👉🏻Rahi baat warzish-kasrat ki to is me warzish ke matlab par tamashe ka matlab galib-barha huwa hai.us ki daleelen.

1.kisi warzish ko puri dunya me koi khel nahi kehta pahelwan warzish karte hain,doctor mukhtalif bimariyon ke liye warzishen batate hain koi bhi us ko khel nahi kehta gend aur fut ball ko koi bhi warzish nahi kehta balke khel kehte hain.
2.warzish ko dekhne ke liye dusre log jama nahi hote koi ek admi chala gaya to alag baat hai.

3.cricket,fut baal wagaieah ke muqabalah ko dikhane ke liye log tv par ghanton bethe rehte hain kisi warzish ko dikhane ke liye kisi hukoomat me kisi mulk me koi intizam nahi.

4.warzish me koi aesa mashgool nahi hota ke zaroorat se zaid karta hi chala jaye waqt mutayyan hota hai aadha ghanta,ghanta jab waqt guzar jata hai to shauq nahi rehta is shaitani dhandhe ka haal ye hai ke agar shurooa kiya to hosh nahi rehta khelte hi chale jate hain maloom huwa ke ye warzish nahi balke khel tamasha hai

📗 AHSANUL FATAWA 8/258 SE 261
aur
📘MAHMOODUL FATAWA 4/811 SE 813 SE MAKHOOZ IZAFE KE SATH.
و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Tuesday, April 12, 2016

NIKAH KIN SE JAIZ

NIKAH KIN SE JAIZ

⭕AAJ KA SAWAL NO.651⭕

Nikaah karna kin kin aurton se jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

✪ Jin Aurto’n ka kal ke sawal me zikr hua, jinse nikaah haraam hai, unke alawa dusri aurte’n halaal hai,

✪ Masalan chacha ki ladki, khala ki ladki, mamu ki ladki, mamu aur chacha ki biviyaa’n unki wafaat ya talaaq dene aur iddat khatm hone ke baad, moonh bole betey ki bivi jab woh talaaq dede ya wafaat pa jaye,

⇛ Ba-Sharte ke yeh mazkoora aqsaam kisi rishtey se mahram na ho,

✪ Bivi ki wafaat ke baad uski bahan se nikaah halaal hai

📓 Izdwaaji zindagi ke shara’i masaail aur unka hal, 50

NOT:IS SE MA'ALUM HUWA KE UPAR LIKHI HUI AURTEN GAIR MAHRAM HAI. IN AURTON SE PARDA ZARURI HAI IN KE SAATH MAZAAQ MASTI KARNA HARAAM HAI.IS BARE HAMARE MUAASHARE ME BADI KOTAHI HAI JIS KI ISLAAH ZAROOREE HAI

و اللہ اعلم

✏HAQ KAA DAEE ANSAR AHMAD

®TASDEEQ WA IZAFA IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Monday, April 11, 2016

NIKAAH KIN AURTON SE HARAAM

NIKAAH KIN AURTON SE HARAAM

⭕AAJ KA SAWAL NO.650⭕

Nikaah kin aurton se haraam hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

⇛ Jin Aurto’n se Nikaah Haraam he-3,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Khulasa ✪
✪ Baap ki Mankuha, Maa, Bivi ki Maa, Daadi, Pardaadi, Naani, Parnaani se Nikaah Haraam hai,

✪ Beti, Poti, Parpoti, Navaasi, Parnavaasi se Nikaah Haraam he,
→ Sauteli ladki Jo doosre Shauhar se ho aur Bivi apne saath layi ho agar uski Maa se humbistari hui to haraam ho gayi varna nahi,

✪ Haqiqi Bahan, Maa shareeq, Baap shareeq, Doodh shareeq se Nikaah Haraam hai,

✪ Baap ki aur Maa ki Bahne, ( Fufiya’n aur Khalae’n ) se Nikaah Haraam hai,

✪ Bhatijiya’n ( Baap shareeq, Maa shareeq, Doodh shareeq teeno tarah ke Bhaiyo’n ki Betiya’n ) se Nikaah Haraam hai,

✪ Bhanjiya’n ( Teeno tarah ki Behno ki Betiyo’n ) se Nikaah Haraam hai

✪ Bete ki Bivi, (Pote, Parpote, Navaase, parnavaase ki Biviya’n ) se Nikaah Haraam hai,

✪ Do Bahno ko ek saath Nikaah me rakhna Haraam hai,

✪ Jab tak koi Aurat kisi shakhs ke Nikaah me hai Dusra shakhs usse Nikaah nahin kar sakta,

📘Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 50

و اللہ اعلم

✏HAQ KA DAAEE ANSAR Ahmad
TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Sunday, April 10, 2016

CARROM BOARD KHELNA

CARROM BOARD KHELNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. ⭕

Cerrom bord khelna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Murshidi hazrat mufti ahmad khanpuri damat barkatuhum fatmate hain
Cerrom bord khelnewalon ka maqsad aksar khel tamasha aur time paas hee hota hai, aesee niyyat se khelna makrooh (tahreemee) hai.
is khel ko khelne wale aksar faraiz aur wajibat ki adaygi me is me mashgoolee kee wajha se kotahi karte hai,  balke chhodte hai, aesee surat me karahat-makrooh se badh kar haraam hone ka hukm lagega.
albattah agar koi shakhs har waqt dimaagee kaam me mashgul rehta hai to apne aap ko chust-fresh rakhne ke liye kuchh waqt ke liye aese khel istarah khelta ho Ke us me mashgoolee ki wajha se faraiz, wajibat chhutte na ho ya Us me kotahi waqe'a na hoti ho aur khel me haar-jeet ki shart na lagai jati ho to aese shakha ke infaradi haalaat ko madde nazar rakhte huwe gunjaish nikal sakti Hai.

📘MAHMOODUL FATAWA GUJRATI 3/468 BAHAWALA 📗(KIFAYATUL MUFTI 9/199,200 SE MAKHOOZ)

📄FATAWA BINORIA ONLINE SERIAL NO. 10134

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Saturday, April 9, 2016

TIN PATTI & SHATRANJ KHELNA

TIN PATTI & SHATRANJ KHELNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.648 ⭕

time pas karne ke liye Tin patti, Shatranj aur taash khelna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Hazrat abu moosa ash'ari رضی اللہ تعالٰی عنہ se riwayat hai ke huzoor صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya jis ne nardo sheer (gotiwala khel) khela usne allah aur us ke rasool صلی الله عليه وسلم ki naafarmaani ki.
(ABU DAWOOD 2/319)

Ek aur hadees me hazrat sulaiman ibne bareedah naqal karte hai huzoor صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya jis ne nardosheer (shatranj) se khela us ne goya apne hath khinzir ke gosht aur khoon se range.
(ABU DAWOOD 2/327)

Imam abu haneefah imam malik imam ahmad Rahmatullahi alayhim is par muttafiq hai ke taash aur shatranj ka bhi yahi hukm hai nardosheer se khelna gunahe kabeerah me shumar kiya gaya hai isee se taash,shatranj aur tin patti ka andazah laga lijiye kyun ke Isme waqt zayea hota hai aur is se lahwo laib-khel tamashe ka mijaaz ban jaata hai aur dhire dhire juwe ki taraf barhta hai isliye makruhe tahrimee aur Na-jaaiz hai agar shart bhi lagaayi jaaye to juwa bhi hone ki wajah se haraam aur sakht gunaah hoga.
(Kal sawal no 647 me video game khelne ki jo 10 kharabi batai gayi us me se aksar Is me bhi pai jati hai)

📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 8/408 naeemiyah naya nuskha 7/332 purana nuskha

📘KITABUL FATAWA 6/157, 158  BA HAWALA DURRE MUKHTAR 9/566

و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Friday, April 8, 2016

📱VIDEO GAME KHELNA

📱VIDEO GAME KHELNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.647⭕
Video game khelna kaisa hai ? is me na shart hai na in'aam ka laalach balke nishanah baazi driving wagairah ki practice hoti hai vacation me bachchon ka jee bahelta hai.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Haz. mufti yusuf ludhyanvi shaheed Rahmatullahi alayhi tahreer farmate hain ke video game dekhne walon ke mushahidah se jahaan tak pataa chala aur haqiqat mal'alum huyi yeh khel chand wuzuahat se shara'an jaiz nahin.

1⃣ Is khel me deenee, jismani koi faidah maqsud nahin hota aur jo khel in donon faidon se khali ho woh jaiz nahin.

2⃣ Is me waqt, rupya (mb) zayea hota hai.

3⃣Namaz aur zikr se gafil karnewala hai.

4⃣Sab se sakht nuqsaan yeh hai ke is khel ki aadat padne par chhodna mushkil hota hai (vakil,doctor aur imam ban jata hai lekin nahin chhutta hai)

5⃣ Ba'az game me music hoti hai jis ka sunna haraam hai.

6⃣ Is khel se bachchon ko agarche dili khushi aur lazzat hasil hoti hai lekin na-jaiz chizon se lazzat hasil karna bhi haraam hai balke ba'az fuqahaa (masail ke maahir) ulamaa ne kufr tak likha hai.

7⃣.Is se bachchon ka zahan kharaab hota hai

8⃣.Baamaqsad taalim-tijarat,noukri aur ghar ke zaruru kaamon me khalal waqea hota hai.

9⃣.Bachchon ko padhai aur dusre faidah wale kaamon me dilchaspi nahin rehti.

1⃣0⃣. Bachcha maa bap ka naafarmaan ban jata us khael ke dauran koi bhi kaam karne ko kaho nahin karega.

in mazkoorah wujoohat ki binaa par yeh khel baari ta'ala ke irshaad ka misdaaq hai "baz log apni jahaalat se khel tamashe ikhtiyar karte hai aur us me paisah kharch karte hain taake allah ki raah se logon ko bhatkaawe aur deen ki baaton ko khel tamasha banaate hain inhi logon ke liye zillatwala azaab hai (surah e luqmaan ayat no.6)

Haz. Hasan rah. "lahwal hadees" ke mutalliq farmate hain ke aayate  mazkoorah me lahwal hadees se muraad har woh chiz hai jo allah ki ibaadat aur us ki yaad se hataanewali ho masalan fuzul khel kud,fuzul wissah goi,jokes,hansi mazaaq ki baten fuzul bahas aur gaana bajana wagairah
video game me yeh saree kharabiyan mavjood hain isliye video game naajaiz hai isme waqt aur paisaa lagaana naajaiz hai aur is ko chhod dena laazim-zaruri hai

📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL PURANA NUSKHA 7/336

📘NAYA TAKHRIJ SHUDA NUSKHA 8/442 SE MAKHOOZ

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Thursday, April 7, 2016

🏫TAMEER MUKAMMAL HONE SE PEHLE AAGE Bechna

🏫TAMEER MUKAMMAL HONE SE PEHLE AAGE Bechna

⭕AAJ KA SAWAL NO.439⭕

Kuchh ahbab housing society banate hai partnership me zameen khareed kar us par makanat banate hai, jitne makanat banane hote hai utne members banate hai, aur sab se qist-haftawar (instalment) ki raqam le kar jese jese raqam aati hai makanat taameer karte jate hai, jab makanat taiyyar ho jate hain to sab members milkar quraa Andazi-chiththi dalkar makanat taqseem karte hain, jis ke quraa-chiththi me jis no. Ka makan nikalta hai woh us ka ho jata hai,
lekeen baaz members tameer ke darmiyan hee ab tak adaa kardah qeemat se bahot zayada raqam lekar apne makan ko bech Dete hain to istarah tameer ke mukammal hone aur qabze se pehle hee us makan ka bechna saheeh hai?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

حامدا و مصليا و مسلما
agar bechnewala ye kehkar bechta hai ke mene apna makan becha, haalanke abhi makan bana nahi hai to ye ''baye madoom'' hogi yani aesi cheez ka bechna Jis ka abhi wujood hee nahi huwa hai aesa soda BAATIL hai, sire se hota hee nahi, albattah agar ye kahe ke us khareedee hui zameen me aur makanat ka jitna hissa tameer ho chuka hai us me mera jitna hissa hai woh tumhe becha to ye muaamala durust-saheeh hoga.
📗(mahmoodul fatawa jild 2 safa 465)

Wednesday, April 6, 2016

SHOHAR K LIYE MURDAH BV KA MUNH DEKHNA&QABR ME UTRNA

SHOHAR K LIYE MURDAH BV KA MUNH DEKHNA&QABR ME UTRNA
AAJ KA SAWAL NO:397

SHOHAR KE LIYE MURDAH BIVI KA CHEHRA DEKHNA AUR US KI QABR ME UTARNA JAIZ HAI YA NAHI?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖

 J A W A A B- NO:397
     =================

         BEEWII {Wife} KE MARNE KE BAAD USKA KHAAWIND { SHOHAR} SHAR'AN USSE AJNABEE HO JAATA HEI,  AUR NIKAH KA TA'ALLUQ PURE TAUR PAR KHATM HO JAATA HEI,  IS LIYE GHUSL DENA AUR HAATH LAGANA MANA HEI,

     LEKIN BEEWII KA CHEHRA DEKHNA, AUR JANAAZE KO KANDHA DENA BILKUL DURUST-JAIZ HEI,  AUR AGAR KOI MAHRAM NA HO TO USE QABRA MEI UTAARNA BHIE DURUST HEI,  KYUN KE QABRA KE ANDAR UTAARNE MEI KAFAN DARMIYAN ME HOTA HEI, AUR KAFAN KE UPAR SE HAATH LAGANA DURUST HEI.
{Jaisa Ke Durre Mukhtaar Waghairah Kutube Fiqh mei TafseeL se Maujood hei}. Wallahu Ta'aaLa AaLam
.
📘FATAWAA DARUL ULOOM DEOBAND-5/196.

♻ IS BARE ME BAHOT SE LOGON KO GALAT FAHMEE HAI LIHAZA IS MASLE KO ZAYADA SE ZAYADA SHARE KARO.

🚫 ALLAAH TA'AALA HAM SAB KO EK DUSRE KE HUQOOQ KII ADAAIGEE KII TAUFEEQ ATAA FARMAYE, AAMIIN.

Tuesday, April 5, 2016

Wuzu kin cheezon se tootta hai?

⭕AAJ KA SAWAL NO. ⭕

Wuzu kin cheezon se tootta hai?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

JAWAB HISSA 2

➡GHAAV ME KHUN NAZAAR AANA:
Kisi ke fode me bahot bada ghav ho gaya to jab tak khun-peep us surakh  ke ander hi ander hai, bahir nikal kar badan par na aaye us vaqt tak wuzu nahi tutta.

➡KHUN PONCHHKAR BEHNE NA DENA:
Kisi zakham se thoda khun nikalne laga, usne us par mitti dal di ya kapde se pochh liya, fir thoda sa nikla, fir usne pochh liya isi tarah kayi baar kiya ke khun behne na paaya to dil me soche, agar aisa malum ho  agar pochha na jaata to beh padta to wuzu tut jayega.
aur agar aisa ho ke pochha na jaata tab bhi na behta to wuzu na tutega.

➡THUK ME KHUN NIKALNA:
Kisi ke thuk  me khun malum huva to agar thuk me khun bahut kam hai aur thuk ka rang sufedi ya zardi-pila maail (cream color) hai to wuzu nahi gaya. aur agar khun zyadah hai ya barabar hai aur rang surkhi maail (halka laal/red) hai to wuzu tut gaya.

➡KHILAL ME KHUN KA ASAR:
Agar daant se koi chiz kaati aur us chiz par khun ka dhabba malum huva ya dant me khilal kiya aur khilaal me khun ki laali dikhayi di  lekin thuk me bilkul khun ka rang nahi malum hota to wuzu nahi tuta.

➡MACHHAR KHATMAL VAGERA KA KHUN CHUSNA:
Chhoti chechdi, machhar, pissu aur makhkhi vagera ke khun chus lene se wuzu nahi tutta.

➡KAAN, NAAK, AANKH SE DARD KE SATH PANI NIKALNA:
Kisi ke kaan me dard hota he aur paani nikalta hai to ye paani jo kaan se behta he napak hai. agarche kuchh foda-funsi na malum hoti ho. pas us ke niklne se wuzu tut jayega jab kaan ke surakh se nikalkar us jagah tak jaaye jis jagah ka dhona gusal karte vaqt farz hai. isi tarh agar naak se paani nikle aur dard bhi hota ho to is se wuzu tut jayega.
aise hi agar ankhe dukhti ho aur khatakti ho to pani behne aur ansu nikalne se wuzu tut jata he. aur agar ankhe nahi dukhti na unme kuchh khatak ho to ansu nikalne se wuzu nahi tutega.

➡AANKH SE BEHNEVALA SAAF PAANI KA HUKAM:
Tez roshni, dhup ki tapish, pyaaz katne, bagasa aane, khansi aane, shurme ki tezi, ya salayi aankh par lag jaane se nikalne vale paani se wuzu nahi tutta

📘(Rahimiya 4/276)

و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Join Islamic GrouP
Mo. +918486520329

Monday, April 4, 2016

LADKON (boys) KE LIYE ANBIYAA علیہم السلام & SAHABA رضی اللہ تعالٰی عنہم KE NAAM

LADKON (boys) KE LIYE ANBIYAA علیہم السلام & SAHABA رضی اللہ تعالٰی عنہم KE NAAM

⭕AAJ KA SAWAL NO. 646⭕

ladkon ke liye sahabaa رضی اللہ تعالٰی عنہم ke naam ma'ane ke sath zayada se zayada batlaane ke guzarish,  taake ummat ko faidah ho aur naam rakhna aasaan ho.

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Sahaaba aur sahabee
رضی اللہ تعالٰی عنہم
ke naam rakhne ho to ma'ana dekha nahi jayega, us naam kee fazeelat aur barkat ke liye yahee sharf-buzrugi kaafee hai ke woh sahabee ka naam hai,
ham ahle sunnat wal jamaat ka aqeedah hai ke sahaaba radeeyallahu anhum me'ayar haq yani tamam ke tamam ittibaa ke qabil aur jannatee hai, jis ki bhi zindgi apnayenge hidayat aur jannat tak Allah ta’ala pahoncha dega.
baaz sahaba jin ke naam galat the, imaan laane ke baad un ke naam badal diye gaye aur jin ke saheeh the baqi rakhe gaye.
lihaza sab ka hee manaa achchha hee nikalta hai aur achchha hee asar padega, isliye tarjamaa nahi likhta hun.

♻LADKON KE LIYE SAHABA RADEEYALLAHU ANHUM KE MUBAARAK NAAM

1.ABAAN
2.ARQAM
3.AOS
4.AJMAD
5.AGLAB
6.IYAAS
7.AFLAH
8.UMAIYYAH
9.BINYAAMIN
10.BUJAIR
11.BISHR
12.BURAID
13.TAMEEM
14.TAHSEEN
15.TAQEE
16.TAUSIF
17.TASADDUQ
18.TAUQEER
19.SAABIT
20.SARWAAN
21.SALABAH
22.SUMAAMAH
23.SAUBAAN
24.SAAIB
25.ZAHHAAK
26.ZIMAAM
27.TURAIFAH
28.TAREEF
29.TUFAIL
30.TULAIQ
31.ZUHAIR
32.ZIBYAAN
33.ZAFAR
34.AAZIB
35.AABIS
37.AAIZ
38.ABBAAD
39.USAIM
40.AMR
41.ANBAS
42.AFEEF
43.UQBAA
44.USAIM
45.AJLAAN
46.AWF
47.ALQAMAH
48.IRBAAZ
49.AWN
50.AURAIB
51.AREEB
52.GASSAAN
53.GUNAIM
54.GAYLAAN
55.FAZAALAH
56.QATAADAH
57.QUDAAMAH
58.KA'B
59.KUHAIL
60.LABEED
61.LAYS
62.LAAIQ
63.LOOT NABI BHI.
64.MAAIZ
65.M'AN
66.MUGEES
67.MAHDEE
68.MIHRAAN
69.MIQDAAD
70.MARWAAN
71.MAKHOOL
72.MAYMOON
73.MASROOQ
74.NUZAIL
75.NUAIM
76.NAAFIA
77.NUFAIL
78.HOOD NABI BHI
79.HAANEE
80.HILAAL
81.HAIDAAN
82.WAAQID
83.WALEED
84.WAHBAAN
85.WARD
86.WAKEEA
87.WAAIL
88.WARDAAN
89.YASAAR
90.YAAMIN
92.YUSAIR
93.YAEESH

♻Hadees me aata hai ke paigambaron ke naamon par naam rakho, lihaza puchha nahi fir bhi faidah ke liye anbiyaa ke naam likhta hun.

ANBIYAA KE NAAM.

94.HAADEE
(HUZOOR صل اللہ علیہ وسلم KA SIFAATEE NAAM)
95.HIZQEEL
95.ZULKIFL
96.SHAMOON
97.YUSHA
98.SHAMWEEL
99.YASA
100.KHIZAR

NOTE: JO NAAM MASHHOOR WA MAROOF HAI LOG AKSAR RAKHTE HAI UNHEN ACHCHHE NAAM HONE KE BAWAJOOD CHHOD DIYA HAI, JO LOGON KO NAYE MALOOM HO AUR BOLNA THODA ASAN HO UN HEE KO LIKHA GAYA HAI.

📗HADIYAH E KHAWATEEN SAFA 131 TAA 146

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Sunday, April 3, 2016

LADKIYON KE LIYE SAHABIYAAT KE NAAM

LADKIYON KE LIYE SAHABIYAAT KE NAAM

⭕AAJ KA SAWAL NO.645⭕

Ladkiyon ke liye sahabiyaat radeeallahu anhaa ke naam bataane ki darkhwast

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

LADKIYON KE NAAM
SAHABIYAAT RADEEYALLAHU ANHAA KE MUBARAK NAAM JO RIWAYATON ME AAYE HAI.

1.Usailah
2.Arwaa
3.Izmah
4.Usairah
5.Umaimah
6.Unaisah
7.Barkah
8.Barrah
9.Buraidah
10.Barirah
11.Bashrah
12.Tameemah
13.Subaitah
14.Suwaybah
15.Jumaanah
16.Jumaimah
17.Hukaimah
18.Hamaamah
19.Hamnah
20.Humaidah
21.Humaimah
22.Humainah
23.Khaldah
24.Khulaidah
25.Khulaisah
26.Khawlah
27.Khairah
28.Durrah
29.Darakhsha
30.Durdaanah
31.Rabitah
32.Rabzah
33.Razeenah
34.Ramlah
35.Rumaisah
36.Sariyah
37.Saibah
38.Sulaafah
39.Samraa
40.Sumairaa
41.Sumaikah
42.Sahlah
43.Suhaimah
44.Shaqeeqah
45.Shumailah
46.Shaymaa
47.sakhrah
48.Safoorah
49.Zamrah
50.taibah

و اللہ اعلم

📗HADEEYAH E KHAWATIN

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Saturday, April 2, 2016

💵GHRAHAK LANE PAR COMMISSION LENA

💵GHRAHAK LANE PAR COMMISSION LENA

⭕AAJ KA SAWAL NO.644

Khareedar dukandar ke paas aese shakhs ke sath aaye ke jo us cheez ki khareedee se waqifayat rakhta ho, woh aane wala shakhsh dukandar se apne is gharahak lane par commission ka mutalabah kare to ye surat jaiz hai ya nahi?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

us shakhs ka dukandar se commission ka mutalabah karna jaiz nahi ye rishwat ke hukm me hai.
han agar dukandar ne kaha ho ke mere liye ghrahak talash kar ke lawo to woh shakhs ghrahak ko dukan tak
pahonchaye to commission lene ki gunjaish hai.
و اللہ اعلم

📗AHSANUL FATAWA JILD 5 UNICODE SAWAL NO.1826

✏IMRAN ISMAIL MEALMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...