Thursday, March 31, 2016

JANAZAH KO MUQARARAH WAQT SE TAKHEER KARNA

JANAZAH KO MUQARARAH WAQT SE TAKHEER KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.398⭕

JANAZAH UTHANE KE WAQT KA AELAN KAR DIYA HO,
MASALAN SUBAH 11 BAJE.
AUR MAQAMI POORA  MAJMAA AA GAYA HO LEKEEN BAHAR KE KHAS RESHTEDAR NA AAYE HO TO UN KE INTIZAR ME TAKHEER KARNA AUR UN RISHTEDARON KA TAKHEER KARWANA KESA HAI?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖

 J A W A A B NO.151
    =================

     MASNOON TAREEQAH YE HAI KE MURDE KE TAJHEEZO TAKFEEN (kafan dafan) MEI JALDI KI JAAYE,  AUR DOOR SE KISI AANE WAALE  KA INTIZAAR NA KIYA JAAYE, KE ISSE LOGON KO TAKLEEF HOTI HAI,AUR YE TAREEQAH BEHTAR BHI NAHI,AUR TAKLIF PAHONCHTI HO TO JAIZ BHI NAHI

(MUQARAR WAQT KE BAAD RISHTEDARO KE INTEZAAR ME JITNE LOG PEHLE SE SHIRKAT KARNE KO AAYE HAI TAMAM KO TAKLIF HOGI,
HAR SHAKHS APNE KAROBAR AUR RAHATO AARAM CHHODKAR AAYA HAI,
UN TAMAM KO APNE KAMO ME KHALAL WAQEA HOGA,
AUR MAIYYIT KI AAKHRI ZIYARAT KARNA AUR JANAZE ME SHIRKAT KARNA SHAR'AN ZARURI NAHI HAI.
APNE ZAATI TAMANNA AUR SAWAB KE MUQABLE ME DUSRON KO TAKLIF NA PAHONCHE IS BAAT KO MUQADDAM RAKHNA CHAHIYE)
    
EK TARAF HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KA HUKM HAI:
     Isra'u  Bihi  ILaa Qabrihi {Mishkaat}
     Janaze me Jaldi karo
      (aur isme takheer na karo)
AUR
RISHTEDARO KA HUKM HAI:
''TAKHEER KARO''

AB AAP KHUD FAISLA KIJIYE KE KIS KI BAAT KO MAANNA CHAHIYE ?

KIS KI AZMATAUR MUHABBAT AAP KE NAZDIK ZIYADA HAI ?)

📘SAWAALO JAWAAB QUR'AANO HADEES KI ROSHNI MEI/
Sahibzada Qaari A.Baasit Sb.-1/366 se MAAKHUZ.

🚫 ALLAAH TA'AALA RISHTUDARON KE MUQABALE ME HUZOOR SALALLAHU ALAYHE WASALLAM KE HUKM KO AESE MAVQE PAR KHAS TARJEEH DENE KI TAUFEEQ ATA FARMAYE

JANAZAH KO MUQARARAH WAQT SE TAKHEER KARNA

JANAZAH KO MUQARARAH WAQT SE TAKHEER KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.398⭕

JANAZAH UTHANE KE WAQT KA AELAN KAR DIYA HO,
MASALAN SUBAH 11 BAJE.
AUR MAQAMI POORA  MAJMAA AA GAYA HO LEKEEN BAHAR KE KHAS RESHTEDAR NA AAYE HO TO UN KE INTIZAR ME TAKHEER KARNA AUR UN RISHTEDARON KA TAKHEER KARWANA KESA HAI?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖

 J A W A A B NO.151
    =================

     MASNOON TAREEQAH YE HAI KE MURDE KE TAJHEEZO TAKFEEN (kafan dafan) MEI JALDI KI JAAYE,  AUR DOOR SE KISI AANE WAALE  KA INTIZAAR NA KIYA JAAYE, KE ISSE LOGON KO TAKLEEF HOTI HAI,AUR YE TAREEQAH BEHTAR BHI NAHI,AUR TAKLIF PAHONCHTI HO TO JAIZ BHI NAHI

(MUQARAR WAQT KE BAAD RISHTEDARO KE INTEZAAR ME JITNE LOG PEHLE SE SHIRKAT KARNE KO AAYE HAI TAMAM KO TAKLIF HOGI,
HAR SHAKHS APNE KAROBAR AUR RAHATO AARAM CHHODKAR AAYA HAI,
UN TAMAM KO APNE KAMO ME KHALAL WAQEA HOGA,
AUR MAIYYIT KI AAKHRI ZIYARAT KARNA AUR JANAZE ME SHIRKAT KARNA SHAR'AN ZARURI NAHI HAI.
APNE ZAATI TAMANNA AUR SAWAB KE MUQABLE ME DUSRON KO TAKLIF NA PAHONCHE IS BAAT KO MUQADDAM RAKHNA CHAHIYE)
    
EK TARAF HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KA HUKM HAI:
     Isra'u  Bihi  ILaa Qabrihi {Mishkaat}
     Janaze me Jaldi karo
      (aur isme takheer na karo)
AUR
RISHTEDARO KA HUKM HAI:
''TAKHEER KARO''

AB AAP KHUD FAISLA KIJIYE KE KIS KI BAAT KO MAANNA CHAHIYE ?

KIS KI AZMATAUR MUHABBAT AAP KE NAZDIK ZIYADA HAI ?)

📘SAWAALO JAWAAB QUR'AANO HADEES KI ROSHNI MEI/
Sahibzada Qaari A.Baasit Sb.-1/366 se MAAKHUZ.

🚫 ALLAAH TA'AALA RISHTUDARON KE MUQABALE ME HUZOOR SALALLAHU ALAYHE WASALLAM KE HUKM KO AESE MAVQE PAR KHAS TARJEEH DENE KI TAUFEEQ ATA FARMAYE

Wednesday, March 30, 2016

🕌GAIR MUSLIM KA MASJID ME DAHKHIL HONA

🕌GAIR MUSLIM KA MASJID ME DAHKHIL HONA

⭕AAJ KA SAWAL NO.642⭕

A.
Agar gair Muslim mard ya  aurat masjid me dakhil ho jaye aur yeh na ma'alum ho ke woh naapapk hai ya paak to Dakhla jaiz hai ya nahi aur ahle masjid par koi gunah to nahin?

B.Mera ek gair muslim dost hai woh kehta hai ke aap ki masjid ko andar aakar dekhna chahta hun aur dusra dost kehta hai me namaz parhne ka tajarbah karna chahta hun to kya un ki is tamanna ko pura kar sakte hai ya un ko manaa jar diya jaae?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
A.
Jab tak naapaak hone ka ilm na ho aur dusri koi bhi chiz nuksan aur kharaabi na ho to ijazat hai ahle masjid gunehgar nahin.

B.
Masjid me aane se aur namaz parhne se un ko manaa na kare Allah paak se duaa karte rahe ke hamaari galatiyon aur kotahiyo ki wajha se dusron ko islam se nafrat paida na ho aur Allah un ko hidayat Den.

و قال اصحابنا: یجوز لذمی دخول سائر المساجد (احکام القرآن للجصاص سورہ بقرہ مطلب فی حجیت الاجتماع 3/131 قدیمی)
و لا باس ان یدخل الکافر ...و سائر المساجد لمصالح المساجد و غیرها من المہمات البحر الرائق کتاب الوقف 5/420 رشدیہ)

📗FATAWA MAHMOODIYAH 15/24 SE MAKHOOZ

IBRAT:Aaj ek firqah ka musalman dusre firqe ke musalman ko apni masjid me aane se kis daleel se rokta hai Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ki seerat aur fiqah kitab se to kafir ko bhi masjid me aane se rokna jaiz nahin jab tak uske jism par koi zahiri naapaaki lagi na ho.

و اللہ اعل

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Tuesday, March 29, 2016

WUZU KO TODNEWALI CHEEZON KI TAFSEEL

WUZU KO TODNEWALI CHEEZON KI TAFSEEL

⭕AAJ KA SAWAL NO.641⭕

Wuzu kin cheezon se tutta hai tafseel ke sath batanr ki darkhast

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Wuzu aanth cheezon se tootta hai
1.Aage ya pichhe se kisi cheez ka nikalna:
Pakhana, Peshab or hava jo pichhe se nikle, usse wuzu tut jaata he. Han agar age ki raah se hava nikle jese kabhi bimari se aisaa hota he to usse wuzu nahi tutta.

2.Khun ya Peep nikalana:
agar kisine fasd li ( nashtar lagvaya) ya nakseer futi ya chot lagi aur khun nikal aaya. Fode -Funsi se ya badan bhar me aur kahin se khun nikla ya pip nikla  to wuzu jata raha. han agar zakham ke muh hi par rahe zakham ke muh se aage badhe nahi to wuzu nahi gaya. aur agar kisi ko suee chubh gayi aur khun nikal aaya lakin baha nahi to wuze nahi tuta aur zara bhi beh padha to wuzu tut gayaa.

2.Jama huva khun nikalna:
Agar kisine naak sinki-jhadi aur us me jame huve khun ki tukdiyan nikli to wuzu nahi gaya. wuzu jab tutta he ke patla khun nikle aur beh padhe, so agar kisi ne apni naak me ungli daali ,fir jab usko nikala to ungli me khun ka dhabba malum huva, lakin vo khun bas itna hi he ke ungli me to thoda sa lag jata he lakin behta nahi to usse wuzu nahi tutta.

Kaan me fodi futna:
kaan ke ander dana ho aur tut jaye to jab khun-pip surakh ke ander us jagah tak rahe jaha paani pahochana gusal ke vaqt farz nahi he, tab tak wuzu nahi jaata aur agar us jagah par aa jaye ke jaha paani pahochana farz he (kan ke bahar ka nazar aane vala hissa) to wuzu tut jayega.
Kan Behna:
kan se pip ya khun baha aur voh us hisse tak aa gaya jaha dhona gusal me farz he to wuzu tut jaye, kan se sirf  paani nikla to ye dekha jayega ke ye paani taklif ke saath nikla hai  to wuzu tut jayega aur agar bila taklif nikla hai to wuzu nahi tuta.
📗SHAMI ZAKARIYAH 1/276 SE MAKHOOZ

Zakham ka chhilka nikalna:
kisine apne fodde ya chhale ke upar ka chhilka noch dala aur uske niche khun ya pip dikhayi dene laga, lakin khun-pip baha nahi to wuzu nahi tuta, aur agar beh pada to wuzu tut gayaa

و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Monday, March 28, 2016

SHART PAR GAADI (vehicle) LENA

SHART PAR GAADI (vehicle) LENA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 640⭕

Aaj kal gaadi ki zaroorat ho to gaadi ki qeemat se kam paisa dene par gadi milti hai,
masalan 30,000 rupiye do to 50,000 ya 60,000 wali gaadi istiamal ke liye milti hai,
jitne maheene istiamal karni ho istiamal kar ke wapas dena shart hota hai.
jab wapas dene jana ho to agar gadi me kuchh kharabi paida hui hai to usey repering karwa kar usee halat par gaadi wapas dena shart hota hai.
shart ke muwafiq gaadi lotai jaye to gaadi wala us gaadi ki dee hui qeemat masalan 30,000 puri deta hai warna repering kharch kaat leta hai to is tarah gadi khareedna jaiz hai ?

agar jaiz na ho to jaiz hone ki surat batane ki guzarish, kyun ke bahot se log aesa kar rahe hai. ise log rahan par gadi lena kehte hai.

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
wapas karne ki shart ke sath gaadi khareedna aur bechna jaiz nahi.
koi cheez khareedne ke baad khareedne wala uska malik ban jata hai, isliye us par wapsi ki shart lagane se muaamala fasid-kharab aur na jaiz ho jata hai.

dusree kharabi is me ye hai ke gaadi pese (qeemat) di hai woh udhaar -qarz ke hukam me hai, pese udhar dekar gadi se nafa uthana sood kahlayega. jo bada hee sakht gunah hai.

is ke jawaz ki shakal ye hai ke wapas karne ki shart gaadi dete waqt na lagai jaye balke jitni qeemat dekar gadi deni ho utni qeemat lekar use gadi bech dee jaye. shareeat me zabani bech dena kafi hai.bechne ko likh kar dena zarooree nahi, bechne ke baad us se wadah liya jaye ke gaadi ham ko hee wapas dena tumhari puri qeemat ham tum ko gadi asli halat par lotane ki soorat me wapas kar denge.
khareedar ka gaadi wapas karna akhlaqi fareezah kehlayega.

📗FATAWA MAHMOODIYA DABHEL 16 / 258 BA HAWALA
📘 RADDUL MUHTAR 5/275
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Saturday, March 26, 2016

GAIR MUSLIM SE MANTAR PADHWANA I TAWEEZ LENA

GAIR MUSLIM SE MANTAR PADHWANA I TAWEEZ LENA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 648 ⭕

Gair muslim se ilaaj ke liye mantar padhwana jhaad-funk karvana Taweez lena kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

aesa shakhs jo mantra se ilaaj karta ho,bazariya e jhaad funk aur taweez se us se ilaaj karana jaiz nahin, usme devi devta ko shaafi (shifa dene wala) aur mutasarrif (apna ikhtiyar chalanewala) maana gaya hai aur us jhaadne wale ko us devi devta ka muqarrab tasleem kiya gaya hai, aisa aqeedah bhi islam ke khilaf hai aur kufr hai,
aur aese shakhs se jhaad funk karane me uske aqeede ki tasdeeq hai aur
dusri surat ilaaj ki ye hai ke us ke mantra me kufr wa shirk na ho lekeen usko maqboole bargahe Ilahi tasawwur kiya jaye aur ye aqeedah ho ke uski zuban se nikle huwe alfaz ba barkat aur maqbool he, jab wo dam (funk) karega to Allah Ta’la marz ko khatam farma denge,
is surat me bhi gair muslim se jhaad funk karwana goya maqbule bargahe Ilahi qarar dena hai,
haalan ke woh apne kufr ki wajah se uska mustahiq nahin hai,
usse aqaeed fasid hote hai.

📗(fatawa mahmudiyah:14/63 se makhooz)

📝NOTE📝

Khulasa ye hai ke kisi bhi haal me gair muslim se jhaad funk-dam karwana jaaiz nahi.
Kufr hai.
Aur aaj kal ye bimaari muslamano me baaz jaga aksar dekhne ko milti hai ke gair muslim saadhu pujaariyon ke paas jaahd funk karane jaate hai,
Isse bachna zaruri hai.warna Imaan ka khatra hai.

و اللہ اعلم

✏MUFTI SIRAJ SIDAAT CHIKHLI
WA IZAFA TASHEEH IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Friday, March 25, 2016

WUZU KE BAAD INNAA ANZALNAAHU & A'AZA DHONE KI DUAA KA HUKM

WUZU KE BAAD INNAA ANZALNAAHU & A'AZA DHONE KI DUAA KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.638⭕

wuzu ke baad innaa anzalnahu ki surat parhna sunnst hai?
aur har uzw dhote waqt ki duaa parhne ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Wuzu ke A'aza dhone ki duaa aur inna anzalanaahu ka hukam :

wuzu ke baad baaz hazrat inna anzalna ki puri surat padhte hai iska sahi rivayat me zikra nahin hai. baaz mashaikh (rah.) ke ma'alumat me iska aur dusri duaao (har uzva ko dhoneke vaqt padhne ki duaa) ke padhne ka zikra agarche milta hai lekin sahih ahaaids me uska subut nahin.
jo rivayat us silsile me zikra ki jati hai, woh kaabile e'atebaar nahin is ka ilezam karna (hamesha padhna) aur is ko mustahab samazna khilafe sunnat hai.
(IMDADUL FATAWA- 1/32)

Vaise padhne me sawab to hai lekin mustahab va masnun samazkar na padhe.

(MASAILE WUZU)

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Thursday, March 24, 2016

ISRAAF SE BACHNE KE  TARIQEH

ISRAAF SE BACHNE KE  TARIQEH

⭕AAJ KA SAWAL NO.637 ⭕

Wuzu me pani ka israaf na ho us ke kya tariqeh hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Aamtaur par log wuzu karne me pani bahot zaye karte hai. aur haqiqat yah hai ke jo log wuzu vagairah me pani ziyadah istemal karte hain un ko pani istemal karne ka saliqah nahin aata. varna agar tariqe se wuzu kare to bahut kam pani sarf hota he

1. wuzu vagairah me pani ziyadah tar badan se lagkar istemal nahin hota ziyadah hissa badan se lagne se pahle hi idhar udhar gir jata hai to agar iska khayal rakha jaye to har chullu ka pani badan se achhi tarha lagkar zamin par gire to bahut thode pani me asaani ke sath wuzu ho jaata he.
(Aglatul uloom).
2
Jahan nal aur houz ho to houz par wuzu karne ko pasand kiya jaye.

3.lote me wuzu kiya jaye.

4.wuzu me a'azaa ko mante waqt aur masah ke waqt nal bandh kare.

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Wednesday, March 23, 2016

🛀🏼WUZU ME PANI ZIYADA KHARCH KARNI KI 4 SURAT

🛀🏼WUZU ME PANI ZIYADA KHARCH KARNI KI 4 SURAT

⭕AAJ KA SAWAL NO. ⭕

Wuzu me tin martabah se ziyada a'aza dhona kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Wuzu me a'azaa ko tin martaba se ziyada dhone ki chand surten hai.

1⃣.Agar tin se ziyada is e'atekad se dho raha hai ke yah sawab ya sunnat hai to makruhe tahrimi (haraam ke qarib) hai.

2⃣.Agar yeh e'atikad nahin magar bila vajah kar raha he to bekaar hone ki vajah se makruhe tanzihi hai.

3⃣.Agar kabhi shak ko door karne aur dil ke itminaan ke khatir tin se ziyada baar dho liya to koi karahat nahin.
4⃣.Albatta masjid aur madarsah ke vaqaf pani se tin baar se ziyada dhona haraam (gunahe kabeerah) hai.
(aajkal masjid ke paani se khususan pair ko teen martaba se ziyada dhoya jaata hai, koi shumar hi nahin bas pani dalte hi jate hai. lihaza isse bachne ka ehtimaam kare kyun ke hazrat mufti Mahmood hasan gangohee   رحمت اللہ علیہ farmate the ke wuzu me pani fuzool kharch karne se namaz ka khushu'a (dhiyan khatm ho jata hai)

📗AHSANUL FATAWA- 2/15, IBARAT KI ASAANI KE SAATH
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Tuesday, March 22, 2016

🛫 HAWAI JAHAZ ME NAMAZ PARHNE KA TAREEQAH 🛬

🛫 HAWAI JAHAZ ME NAMAZ PARHNE KA TAREEQAH 🛬

⭕AAJ KA SAWAL NO. 636⭕

Hawai jahaz me namaz adaa karte Waqt istiqbale qiblah aur qayam ka kya hukm hai ?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Hawai jahaz par bhi namaz padhi jayegi, agar  jamat se padh sakte ho to jamat se padhna behtar hoga, warna tanha tanha namaz padhe,  Agar harkat Ya qiblah ki Taraf seat wagairah kisi rukawat ke khade hokar namaz padhna dushwar ho to beth kar rukooa sajde ke sath namaz padhenge, aesa bhi mumkin na ho to majboooree ki halat me isharah Se namaz padhenge, fir maqam par pahonch kar iaadah Kar le, kiyun ke rukawat bandon ki janib Se hai aur qiblah ki simt compass-qiblah numa ke zariye maloom kare, warna taharree -goro fikr kare, soche ke qiblah kahan hoga, jis taraf dil gawahi de namaz padh le, garz jesa amal chalti train me karte hai wesa yahan bhi karenge.

📗FATAWA MAHMOODIYAH 7/532
📘, NIZAMUL FATAWA 480
📕F. DARUL ULOOM ZAKARIYA 2/125

Note;
train ya plane me pani na ho to tayammum kare, Tayammum ke sharait wa masail ke liye
aajkesawal.page. tl dekhe
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Monday, March 21, 2016

🚎 BUS ME NAMAZ PADHNE KA TAREEQAH🚌

🚎 BUS ME NAMAZ PADHNE KA TAREEQAH🚌

⭕AAJ KA SAWAL NO. 635⭕

Bus me namaz padhne Ka kya tareeqah hai?

Qiblah Ki taraf rukh aur qayam zarooree hai Is par qudrat na ho to Namaz padhna muaaf hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Bus me namaz padhna durust hai aur qiblah ki taraf rukh aur qayam-khade hokar namaz parhna zarooree hai.
agar is baat ki ummeed ho ke namaz ka waqt baqi rehte huwe woh kahin rukegi aur itna waqt milega ke niche utar kar namaz adaa ki jaye ya ummeed ho ke driver us ki khwahish par namaz ke liye bus rok dega to bus se niche  utar kar qiblah ki taraf rukh kar ke namaz adaa kare, agar niche utar kar namaz adaa karna mumkin na ho to jis taraf bus, car ka rukh ho usee taraf rukh kar ke namaz adaa karna kafi hai,
majburee ki wajha se qiblah ki taraf rukh karna muaaf hai.

📘KITABUL FATAWA 2/160 SE MAKHOOZ

👉agar mumkin na ho to bethh kar namaz padhe rukooa sajdah ke sath, warna isharah se padhe aur baad me lotaye .padhne Ka faidah ye hoga ke qaza ka gunah na hoga aur lotane se pehle maut aa gai to is nanaz ki puchh na hogi.

📙AHSANUL FATAWA 4/88
📕FATAWA DARUL ULOOM ZAKARIYA 2/123

و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Sunday, March 20, 2016

🚊TRAIN ME NAMAZ KA TATEEQAH 🚊

🚊TRAIN ME NAMAZ KA TATEEQAH 🚊

⭕AAJ KA SAWAL NO.634 ⭕

Kiya train me namaz padhna ho to qibla rukh hona aur qiyam -khade ho kar namaz padhna zarooree hai ?

🔵JAWAB🔵

Train me namaz kisi badey station (woh jaga jahan train zayada der rukti hai) ya station par utar kar namaz padhni chahiye.
Station aane ka intizar kiya jaye agar namaz ka waqt makrooh ya qaza hone ka khatra ho to train me hee khade ho kar qibla rukh namaz padhe.puree namaz me akhir tak qibla rukh hona zarooree hai. jaise jaise train qibla rukh se ghume namazee ko bhi chahiye woh bhi chalu namaz me qible ki taraf ghum jaye.
Bhid bahot zayada ho jis se qibla rukh hona mumkin na ho ya khade hokar namaz padhne me gir jane ya zayada mashaqqat ho to farz namaz bhi beth kar padhne ki gunjaish hai.
agar itni bheed hai ke harkat bhi na kar sake rukooa, sajda ka isharah  kar ke namaz ishare se padhe.
aese haalaat me bhi namaz chhodne ki ijazat nahee,
Lekeen aesee namaz ko qudrat hone par lotana ya qaza karna zarooree hai.
padhne ka faidah ye hoga ke namaz chhodne ka gunah na hoga aur lotane se pehle maut aa gai to is namaz ki puchh na hogi.
aur zayada mashaqqat ya zayada bhid na ho to qayam karna aur qibla rukh hona zarooree hai. mamooli mashaqqat ya mamooli bheed ki wajha se farz namaz me qayam chhod dega to namaz na hogi.

📗( fatawa darool uloom zakariya 2/120 se124 ba hawala
📘jadees fiqhee masail 1/128. fatawa mahmoodiyah 5/524 jamiaa farooqiya, 📙ahsanul fatawa 4/88 aur digar kutube fiqhe arabiyyah)
📔(Fatawa abdul gani safa  208)

👉Note:
baaz traino me darwaze ke paas zayada jagah hoti hai wahan do do ki jamat bhi aasani se kar sakte hai.
samne se gair muslim log guzarte ho to  bhi namaz ho jayegi. ise uzr na samjhe.
Jaldi ho to qadah me koi bhi mukhtasar durood padhe. duaa e masoorah ki jaga koi bhi chhoti duaa, masalan Allah hummag fir lee wagairah padh ke salam fer de.
Allah taala ham ko har haal me namaz ka aehtamam karne ki aur us ko mavqe ke munasib ada karne ki taufeeq ata farmayen.aameen.

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Saturday, March 19, 2016

👉SADQAH KIN CHEEZON KA KARE & KIS KA NAHI ?

👉SADQAH KIN CHEEZON KA KARE & KIS KA NAHI ?

⭕AAJ KA SAWAL NO. 633⭕

sadqa ke liye khaas khaas chizen muqarrar karna, masalan mash ki daal, aata, anda, Kali murghi, siyah rang ki chizen muqarar karna kesa hai?

Kon see cheez Ka sadqah behtar hai ?

🔵JAWAB🔵

Mazkoorah surat me bala ko kaali samajh kar usko door karne ke liye kaali chize muntakhab ki gayi he,
ye sab man ghadat baaten he, aur shariat ke khilaf hai, shariat ke mutabiq sadqa dafea e balaa hai, koi khaas chiz ya khaas rang bilkul shariat me tay nahi hai. naqad paisa sadqah karna Behtar hai, isse faqeer ko apni jo zaroorat puri karna ho aasani se puri kar lega.

📗(aglatul awam:23)
📘(masaile shirk o bidat:Raf’at qasmi:85)
📙Fazaile sadqat

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Friday, March 18, 2016

RAMZAN & QURAN KI MUBARAKBADI.

RAMZAN & QURAN KI MUBARAKBADI.

⭕AAJ KA SAWAL NO.632 ⭕

A.
Kya aesa hadees me hai ke jis ne ramzan ki khabar dee us par jahannam ki aag haram hai.?

B.
isee tarah quran shareef  ke utarne ko ek saal pura ho to mubarakbadi denee chahiye.?

C.
hazrat fatimaa radee allahu anhaa aur hazrat zainab radeeallahu anhaa aur shaikh ahmad Ka madeene Ka khaab aane ka parcha chhapane ya sms bhejne se murade puree hona aur Na bhejne Se nuqsan hona saheeh hai..?

🔵JAWAB🔵

A.
Ramzan ki khabar dene ki fazeelat par koi hadees sabit nahi, kisse aur  jhuthi baton ki nisbat huzoor صل اللہ علیہ وسلم ki taraf karna kabeerah aur bahot sakht gunah hai.
Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ka irshad hai jis ne mere upar janbujh kar juth bandha (Buhtan lagaya) woh apna thikana jahannam me banaye.
📘BUKHARI SHAREEF

B.
quraan ke saal pure hone ki mubarakbadi dena.
ye sms rozana kisi na kisi group me aata hai to kiya rozana ek saal pura hota hai ??
quran to ramzan ki shabe qadr me mukammal nazil huwa us waqt saal pura hota hai. Na ke rozana saal pura hota hai, fir aese mubarakbadi na quran se sabit na hadees se na sahaba radee allahu anhum ne dee na tabiyeeen, tabe tabiyeen, awliya e kiraam rahmatullahi alayhim ne dee.
lihaza ye mubarakbadi bidat hai, aese sms hargiz nahi bhejna chahiye bajaye sawab ke bada gunah Hota hai.

C.
Aese khawabon ka sms karna jis me koi amali pegam Na ho fuzool hai. Amali pegam bhi ho to murade amal karne se puri hoti hai sirf sms bhejne Se nahi puri hoti.
Nuqsan kisi gunah karne se hota hai sms bhejna, parcha chhapana farz nahi.sms na bhejne se ya parcha Na chhapane se nuqsan nahi hota.haan namaz parhne Se rozi me barkat hoti hai na parhne Se rozi tang hoti hai, 5 waqt ki namaz ke aehtamam ki fikr nahi ye sab shatanee dhoke hai.
Lihaz koi bhi sms bagair hawale Ka hargiz na bheje, baat hawale ke sath ho lekeen nayi maloom hoti hai ya us mamooli amal ki fazeelat bahot zayada hai Ya mamooli ki gunah ka nuqsan bahot zayada to hawala ho to bhi ulamma ko puchhe bagair hargiz Na bheje, aesee hadeeson ke banawati hone ka imkan-chances hai.

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Thursday, March 17, 2016

NAMAZ KE MUFSIDAT

NAMAZ KE MUFSIDAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.631. ⭕

Namaz ka fasid hone ka kya matlab?
kin cheezon Se faasid ho jati hai-toot jati hai?

🔵JAWAB🔵

namaaz ke mufsidaat un chizo ko kehte he jin se namaaz faasid ho jaati he, yani tut jaati he aur usey lotaana zarooree hai jaan bujh kar ho ya bhul kar,har surat me namaaz tut jaati hai. Namaz ke mufsidat hasabe zail hai

(1) namaaz me kalaam (baat) karna jaan bujh kar ho ya bhul kar, thora ho ya bahut, har surat me namaaz tut jaati he.

(2) be zarurat khankhaar ne aur galaa saaf karne se jis se aek aadh harf (lafz) bhi pedaa ho jaae to namaaz tut jaati he,
haan ! majburi ke waqt khankhaar na durust he aur namaaz nahee jaati.

(3) kisi khat ya kisi kitaab par nazar padi aur us ko apni zaban se nahee, lekin dil hi dil me matlab samajh gaya to namaaz nahee tuti,
haan ! Agar zaban se padh le to namaaz jaati rahegi.

(4) salaam karna yani kisi aadmi ko salaam karne ke iraadah se salaam ya Allah hafiz ya assalaamu alaikum ya isi jesa koee lafz keh dena.

(5) salaam ka jawaaab dena ya chhink ne waale ko yarhamukAllaah ya namaaz se baahar waale kisi aadmi ki duaa par aamin kehna.

(6) kisi buri khabar par ‘innaa lillaahi wa innaa ilaihi raajioon’ padhna ya kisi achchhi khabar par ‘subhaanAllah’ kehna.

(7) dard ya ranj ki wajah se aah..
ya aoh... ya uff... karna.

(8) apne imam ke siwaa kisi dusre ko luqmah dena yani qiraat (galati) bataana.

(9) quraan sharif dekh kar padhna.

(10) quraan majeed padhne me koee bari Galati karna.

(11) amale kasir karna yani koee aesa kaam karna jin se dekh ne waale ye samjhe ki ye aadmi namaaz nahee padh rahaa he. Masalan do haath se topi durust karna ya dono haath chhod kar aastin utaarna.

(12) khana-pina iraade se ho ya bhul se.pehli hi se munh me koi cheez ho to Chane ke barabar ho to fasid aur munh ke bahaar se khaye to til ke barabar ho to fasid hogi.

(13) do safo ki miqdaar ke baraabar chalna.

(14) qible ki taraf se binaa majburi sinah pher lena.

(15) naapaak jagah par sajdah karna.

(16) satar khul jaane ki haalat me aek rukn yani teen baar subhaan rabbiyil aalaa kehne ki miqdaar therna.

(17) duaa me aesi cheez maangna jo aadmiyo se maangi jaa ti ho, jese ya Allah mujhe aaj so (100) rupye de de.

(18) dard ya musibat ki wajah se is tarah rona ki aawaaz me huroof zaahir ho jaae.allah aur jahannam ke khof se aesa roye to fasid na hogi.

(19) baalig aadmi ka namaaz me qahqahaa maar kar (pura mu khol kar) aawaaz se hansna.

(20) imam khade rehne me aage badh jaana wagerah…

📗TAALEEMUL ISLAAM
📘MASAILE NAMAZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

NAMAZ KE MUFSIDAT

NAMAZ KE MUFSIDAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.631. ⭕

Namaz ka fasid hone ka kya matlab?
kin cheezon Se faasid ho jati hai-toot jati hai?

🔵JAWAB🔵

namaaz ke mufsidaat un chizo ko kehte he jin se namaaz faasid ho jaati he, yani tut jaati he aur usey lotaana zarooree hai jaan bujh kar ho ya bhul kar,har surat me namaaz tut jaati hai. Namaz ke mufsidat hasabe zail hai

(1) namaaz me kalaam (baat) karna jaan bujh kar ho ya bhul kar, thora ho ya bahut, har surat me namaaz tut jaati he.

(2) be zarurat khankhaar ne aur galaa saaf karne se jis se aek aadh harf (lafz) bhi pedaa ho jaae to namaaz tut jaati he,
haan ! majburi ke waqt khankhaar na durust he aur namaaz nahee jaati.

(3) kisi khat ya kisi kitaab par nazar padi aur us ko apni zaban se nahee, lekin dil hi dil me matlab samajh gaya to namaaz nahee tuti,
haan ! Agar zaban se padh le to namaaz jaati rahegi.

(4) salaam karna yani kisi aadmi ko salaam karne ke iraadah se salaam ya Allah hafiz ya assalaamu alaikum ya isi jesa koee lafz keh dena.

(5) salaam ka jawaaab dena ya chhink ne waale ko yarhamukAllaah ya namaaz se baahar waale kisi aadmi ki duaa par aamin kehna.

(6) kisi buri khabar par ‘innaa lillaahi wa innaa ilaihi raajioon’ padhna ya kisi achchhi khabar par ‘subhaanAllah’ kehna.

(7) dard ya ranj ki wajah se aah..
ya aoh... ya uff... karna.

(8) apne imam ke siwaa kisi dusre ko luqmah dena yani qiraat (galati) bataana.

(9) quraan sharif dekh kar padhna.

(10) quraan majeed padhne me koee bari Galati karna.

(11) amale kasir karna yani koee aesa kaam karna jin se dekh ne waale ye samjhe ki ye aadmi namaaz nahee padh rahaa he. Masalan do haath se topi durust karna ya dono haath chhod kar aastin utaarna.

(12) khana-pina iraade se ho ya bhul se.pehli hi se munh me koi cheez ho to Chane ke barabar ho to fasid aur munh ke bahaar se khaye to til ke barabar ho to fasid hogi.

(13) do safo ki miqdaar ke baraabar chalna.

(14) qible ki taraf se binaa majburi sinah pher lena.

(15) naapaak jagah par sajdah karna.

(16) satar khul jaane ki haalat me aek rukn yani teen baar subhaan rabbiyil aalaa kehne ki miqdaar therna.

(17) duaa me aesi cheez maangna jo aadmiyo se maangi jaa ti ho, jese ya Allah mujhe aaj so (100) rupye de de.

(18) dard ya musibat ki wajah se is tarah rona ki aawaaz me huroof zaahir ho jaae.allah aur jahannam ke khof se aesa roye to fasid na hogi.

(19) baalig aadmi ka namaaz me qahqahaa maar kar (pura mu khol kar) aawaaz se hansna.

(20) imam khade rehne me aage badh jaana wagerah…

📗TAALEEMUL ISLAAM
📘MASAILE NAMAZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Wednesday, March 16, 2016

🎾CRICKET DEKHNA KESA HAI?💻

🎾CRICKET DEKHNA KESA HAI?💻

⭕AAJ KA SAWAL NO. 439⭕

🔴AAJ KA JAWAB🔴

Mavjoodah daur me cricket ek aesa khel ban gaya hai ke aam taur se isme shareeat ke khilaf kaam paye jate hain.

1. namaz ka qaza kar dena.

2. us par haar-jit (win-lost) aur juwe (gambling) khelna

3. faasiqon aur gunehgaron aur gafil qism ke logon ka usko ikhtitar karna jis ki wajha se un ki sohbat milna.

4. gaflat ki had ye ho chuki hai ke din to din raat Ko bhi is me mashgul rehnna

5. criket ke waqt nav jawan ladkiyon aur aurton ka medan me jama hona unme aksar aadhi nangi hoti hai un ko dekhna.

6. raat din isee dhun aur fikr sawar ho jana jis ki wajha deenee ya dunyawi kaam me dil na lagna

7. dukan wale ka dukan se, nokri wale ka nokri se gafil ho jana, jiski wajha se der se kaam duty anjam dena ya duty par hee na jana

8. studant aur madraseh ke talaba ka apni padhai me kotahee karna

9. masjid me aane ke bad wuzu karte huwe aur wuzu se farig hokar bahot se shauqeen ka jamaat khane me bhi isi ke tazkeron me mashgool rehna

10. agar ramzan me match  ho to taraweeh aur tilawat ko qurban kar dena

11. haar-jit par patakhe, bomb fode jate hai jis ki wajha se maal zayea hota hai

12. upar ki ye harkat qaumi fasad ka sabab ho kar musalmano ka jaani maali nuqsan hota hai.

13. haarne walo ki jitne walon se ya us ki khushi manane walon se adawat-anduruni dushmani peda ho jana

14. maa-baap, biwi bachchon aur padosiyon wagairah Ke huqooq me kotahi karna.

15. bahot sa qeemati waqt jo akhirat ke imtihan ki taiyyari ke liye diya gaya tha zikro, tilawat, dawat,duaa ke bajaye is fuzool ko dekhne me zayea kar dena

16. match ke darmiyan me aane wali mukhtalif ad me music sunna aur badnigahi karna aur film aur natak dekhna, shauq peda hona wagairah nuqsanat ki wajha se criket dekhna jaiz nahi.

📕fatawa raheemiyah qadeem 7/275se 280

📙fatawa darul uloom qadeem 8/285

📘mahmoodul fatawa tafseeli daleelen 3/121se 141 se makhooz izafon ke sath.

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

🕌MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Tuesday, March 15, 2016

NAMAZ KE WAJIBAAT

NAMAZ KE WAJIBAAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.630⭕

Namaaz ke waajibaat kitne hai? woh Na adaa kiye jaye to kya hukm hai ?

🔵JAWAB🔵

jisko jaan bujh kar chhod dene se ya bhul se chhutne ke baa’d, sajdah e sahw na karne se namaaz durust nahee hogi aur Galati se chhut jaane par aakhri ra'kat ke qa’dah me daahini taraf salaam pher kar sajdahe sahw kar lene se namaaz adaa ho jayegi.
Wo ye hai 👇🏻

(1) farz namaazo ki tisri aur chothi rakat ke alaawah tamaam namaazo ki har rakat me puri surahe faatihah aek martabah padhna.

(2) farz namaazo ki pehli do rakat ko qiraat ke liye muta’ayyan karna. (yani farz namaaz ki aakhri do rakato me qiraat karna waajib nahee hai.

(3) farz namaaz ki pehli do rakato me aur baaqi namaazo ki sabhi rakato me surahe faatihah ke ba’d koee surat ya chhoti tin aayat ya aek badi aayat ka padh na.

(4) surahe faatihah ka surat se pehle padhna.

(5) fajr- magrib–ishaa-jumu’ah-dono eed-taraaweeh-ramazaan me witr ki namaazo me imaam ka zor se qiraat padhna.

(6) zuhar-asr wagerah namaazo me imaam-munfarid (akele namaaz padhne waale) ko aahistah se padhna.

(7) qaumah yani ruku se uth kar sidhe khare hona. (is taur par ke jism ki harkat bandh ho jaye)

(8) sajdah me peshaani, naak zamin par tekna.

(9) jalsah karna yani dono sajdo ke darmiyaan "subhaanAllah" ki miqdaar me sidhe bethna.

(10) qa’dah ulaa yani teen aur chaar rakat waali namaaz me do rakat ke ba’d Attahiyyaat padhne jitna bethna.

(11) dono qa’do me Attahiyyaat ka padhna.

(12) lafze salaam padh kar namaaz ko khatm karna.

(13) tamaam arkaan ko itminaan se achchhi tarah adaa kar na (bahut jaldi na karna jese ke qavmah aur jalse me baaz log jaldi karte hai).

(14) namaaz ke sabhi arkaan ko uski tartib se adaa karna, yani koee arkaan aage ya pichhe na ho jaae,
arkaan ki adaegi me taakheer ho jaae ya koee waajib bhul se chhut jaae to sajdae sahw ka adaa kar lena.

(15) witr namaaz me qunoot ke liye takbeer kehna.

(16) du’aae qunut padhna.

(17) dono eid me 6 zaaid takbir padhna.

(18) eid ki dusri rakat me ruku ki takbir kehna.

(19) namaaz me sajde ki aayat padhi jaae to fauran sajdahe tilaawat ka karna.

📘MASAILE NAMAZ
📙TALEEMUL ISLAAM
📗MAALABUDD MINHU

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Monday, March 14, 2016

NAMAZ KE  MAKROOHAT

NAMAZ KE  MAKROOHAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.629⭕

Namaz me Makrooh kaam ho jaye to kya hukm hai?

Namaz ke makroohat kitne hai?

🔵JAWAB🔵

makruh woh chiz he jisse namaaz to nahee tutti lekin sawaab kam ho jaata he aur gunaah hota he.

(1) sadl yani kapdo ko latkaana jese chaadar sar par daal kar us ke dono kinaare latkaa dena, ya kafni ya kot ya sherwaani biger us ke ki aastino me haath daale jaae kandho par daal lena.

(2) kapdo ko mitti se bachaane ke liye haath se rokna ya sametna.

(3) apne kapdo ya badan se khelna.

(4) mamuli kapdo me jinhe pahan kar mjma me jaana pasand nahee kiyaa jaata, namaaz padhna.

(5) munh me rupyah ya pesa ya aur koee chiz rakh kar namaaz padhna. jis ki wajah se qiraat karne se majbur na rahe, aur agar qiraat se majburi ho jaae to bilukul namaaz na ho gi.

(6) susti aur be parwaahi ki wajah se nange sar namaaz padhna.

(7) paakhaanah ya peshaab ki haajat hone ki haalat me namaaz padhna.

(8) mardo ko apne baalo ko sar par jama karke chota baandhna. aurto ko aesa kar ke namaaz padhna behtar he.

(9) kankariyo ko hataana, lekin agar sajdah karna mushkil ho to aek baar hataane me haraj nahi.

(10) ungliyaan chtakhaana ya aek haath ki ungliyan dusre haath ki ungliyon me daalna.

(11) kamar ya kokh ya kulhe par haath rakhna.

(12) qible ki taraf se munh pher kar ya sirf nigaah se idhar-udhar dekhna.

(13) kutte ki tarah bethna, yani rane khari karke bethna aur raano ko pet se aur ghutno ko sine se mila lena aur haatho ko zammin par rakh lena.

(14) sajdo me dono kalaaiyo ko zamin par bichhaa lena mard ke liye makruh he.

(15) kisi aese aadmi ki taraf namaaz padhna jo namaazi ki taraf munh kiye betha ho.

(16) haath ya sar ke ishaare se salaam ka jawaab dena.

(17) binaa majburi chaar zaanu ya alti palti (palaati) maar kar bethna.

(18) iraadah kar ke jamaaee (bagaasah) lena ya rok sakne ki haalat me na rokna.

(19) aankho ko bandh karna, lekin agar namaaz me dil lag ne ke liye bandh kare to makruh nahee.

(20) imam ka mehraab ke andar khada hona, lekin agar qadam mehraab se baahar ho to makruh nahee, akele imam ka aek haath unchi jagah par khada hona aur agar us ke sath kuch muqtadi bhi ho to makruh nahee.

(21) aesi saf ke piche akele khada hona jis me jagah khaali ho.

(22) kisi jaan daar ki taswir waale kapde pahan kar namaaz padhna.

(23) aesi jagah namaaz padhna ki namaazi ke sar ke upar ya uske saamne ya daaen-baaen taraf ya sajde ki jagah taswir ho. (per ke niche ya piche taswir ho to makruh nahee.

(24) aayate ya surte ya tasbih ungliyo par ginna.

(25) chaadar ya koee aur kapda is tarah lapet kar namaaz padhna ki jaldi se haath na nikal sake.

(26) namaaz me angraaee lena yani susti utaarna.

(27) imaamah ke pech-nok par sajdah karna.

(28) jis jagah ye dar ho ke koee namaaz me hansaa degaa, khayaal hat jaaega to namaaz me bhul chuk ho jaaegi, aesi jagah namaaz padhna.

(29) jab bahut bhuk lagi ho aur khaana tayyaar ho to pehle khaale tab namaaz padhe. Bagair khaana khaae namaaz padhna makruh he. Ha! Agar waqt tang hone lage to pehle namaaz padh le.

(30) sunnat ke khilaaf namaaz me koee kaam karna.

(31) dusri rakat ko pehli rakat se ziyaadah lambi karna.

(32) kisi namaaz me koee surat muqarrar kar lena ke hameshah woh padhaa kare, koee aur surat kabhi na padhe

📘(taleemul .islaam-4/47 se 49,bahishti zewar-2/99 se 102 se maakhuz)

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Sunday, March 13, 2016

NAMAZ KI 51 SUNNATEN

NAMAZ KI 51 SUNNATEN

⭕AAJ KA SAWAL NO. 628⭕

Namazon ki kitni sunnaten hai? Aur kon kon see?
In sunnaton par amal karna zarooree hai?

🔵JAWAB🔵

Namaaz ki 51 sunnaten hain ye sunnaten chhut jaye to namaz ka fareezah to zimme Se Utar jayega.lekeen namaz me khusooa Aur khuzooa paida na hoga aur namaz Allah ki baargaah me qubooliyat ke darje ko nahi pahonchegi,
lihaza in faidon ko hasil karne in sunnaton ka aehtamam karna zarooree samjhna chahiye. jo hasabe zail hai.

(1) takbere tahreemah ke waqt sidhe khare hona. sar ko past aur niche na karna.

(2) dono pero ke bich me chaar ungliyo ke baraabar faaslah rakh na aur pero ki ungliya qiblae ki taraf rakhna.

(3) imam ki takbeere tahreemah ke waqt muqtadi ki tabeere tahremah ka hona.

(4) takbir ke waqt haatho ko kaano tak uthaana.

(5) dono haath ki hatheli qiblah rukh rakhna.

(6) ungliyan apni haalat par rakhna.

(7) sidhe haat ki hatheli baayen haath par rakhna.

(8) aakhri ungli aur anguthe se haath ka halqah banaa kar pakadna.

(9) mardo ko naaf ke niche haath bandhna.

(10) sanaa yani subhaanakallaahumma ka padhna.

(11) bich ki tin ungliyo ka baaen haath ke pohcho par milaae bager rakh na.

(12) aoozu billaah ka padhna.

(13) bismillaah ka padhna.

(14) aahistah se aameen kehna.

(15) fajr ki pehli rakat taweel karna.

(16) qiraat ka na jaldi, na dhire, balke darmiyaani raftaar se qiraat ka padhna.

(17) farz namaazo ki tisree chothi rakat me surah e faatihah ka padhna.

(18) ruku ki takbeer kehna.

(19) ruku me dono haatho se ghutno ko baraabar achchi tarah pakadna.

(20) pindliyo ko ruku me sidha karna.

(21) rukua me pith ko bichaa dena, unchi na rahe.

(22) ruku me sar aur surin-dhagri sidhe meek line rakhna.

(23) ruku ki tasbeeh tin baar padhna.

(24) jamaa’at ki namaaz me ruku se uthne par imaam samiallaahu li man hamidah kahe.

(25) sajadh ki takbeer ka padhna.

(26) sajdah me pehle ghutno ko rakhna.

(27) phir dono haatho ko rakhna.

(28) phir naak ka rakhna.

(29) phir peshaani ka rakhna.

(30) dono haatho ke bich me sajdah karna.

(31) sajdah me pet ka raano se alag rakhna.

(32) pehlu’wo ka baazu’wo se alag rakhna.

(33) kuhniyo ko zameeen se alag rakhna.

(34) sajdah se uthne ki takbir kehna.

(35) sajdah se uthte waqt pehle peshaani phir naak phir haath ka phir ghutno ko uthaana.

(36) dono sajdah ke darmiyaan me itminaan se bethna phir dusra sajdah karna.

(37) qa’dah me daayaan (sidha) per khara rakhna (is tarah ke us ki ungliyo ke sire qible ki taraf rahe) baayaan per ko bichaa dena.

(38) qa’dah me haatho ko raano par rakhna.

(39) qa’dah me ash’hadu Allaa par kalimah ki ungli uthaana aur illallaah par rakh dena.

(40) aakhri qa’dah me durood sharif padhna.

(41) durood sharif ke ba’d duaae maasurah padhna.

(42) dono taraf salaam pherna.

(43) pehle daayen taraf salaam pherna.

(44) imam ko salaam ke waqt muqtadi-firishto aur nek saaleh jinnaat ki niyyat karna.

(45) muqtadi ko imam aur in tamaam ki niyyat karna.

(46) akele namaazi ko sirf firishto ki niyyat karna.

(47) muqtadi ka imam ke sath me salaam pherna.

(48) pehla salaam imam ko zaraa si bulandi se padhna aur dusra salaam zaraa aahistah se kehna.

(49) masbuq (jis ki koee rakat chhut gaee ho) ko imam ke faarig hone ka intizaar karna.
(50) ruku me haath ki ungliyo ko phelaana aur sajdah me haath ki ungliyo ko milaa dena.

(51) sajdah ki haalat me dono pero ko zamin par jamaae rakhna.

📕(shaami-1/748,
📗aalamgiri,
📘talimulislaam-3/89,
📙masaaile namaaz-122)

Note:- upar likhkhi gaee 51 sunatte mardon ke liye hai aur is me se ba’z sunnato ko ba’z ulama’o ne mustahab likhkha he.

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Saturday, March 12, 2016

◾TAWEEZ KI HAISIYAT

◾TAWEEZ KI HAISIYAT

⭕AAJ KA Sawal 627⭕

Taweez ki karna karna aur us par yaqeen rakhna kesa hai aur Us par muaawazah lene Aur Dene ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

qurani aayta parh kar dam karne ka ahadeese tayyibah me zikr he,huzur ﷺ sahaba e kiram rz.or baad ke sulaha ka ye mamool raha he taweez bhi uski ek shakal he isliye uske jawaz me shuba-shak nahi; albatta taweez ki hesyat ko samajh lena chahiye,baz log taweez ki taseer ko qatee-yaqeenee samjhte he ye saheeh nahi,balke taweez bhi min jumla or tadabir-asbaab ke ek ilaaj or tadbeer he uska mufeed hona,na hona allah taala ki mashiyyat (marzi) par moqoof he.
Baaz log taweez ko “Ruhaani” amal samajhte he ye khayal bhi qabile islah he ruhaniyat or chiz he jabke taweez wagera mahaz dunyawi tadbeer aur ilaaj he,isliye jo shakhs taweez karta he usko buzrug samajh lena galati he,baaz log duaa par itna yaqeen nahi rakhte jitna taweez par,ye bhi qabile islah he,dua ibadat he or taweez karna koi ibadat nahi he,or kisi najaiz maqsad ke liye taweez haram he.

📗(aapke masail or unka hall:1/352)

duaa to ek ibadat he or uska muaawaza talab karna galati he,baqi wazeefa aur taweez jo kisi dunyawi maqsad ke liye kiya jata he (batore ilaaj) uski hesyat ibadat ki nahi; balke dunyawi tadbeer or ilaaj ki he or uska muaawza lena dena jaiz he.
📘(aapke masail or unak hall:1/353ba hawala

📕(Masaile shirko bidat:95/96)

✏MUFTI SIRAJ SIDAT  CHIKHLI HANFI GUFIRA LAHOO
GUJRAT INDIA

Friday, March 11, 2016

CHOR KA PATAA LAGAANA

CHOR KA PATAA LAGAANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.626⭕

A. Baz aamil yaasin sharif parh kar choron ke naam lete hai jo chor ho us ke naam par lota ghumta hai ya ande me chor ki surat bachche ko dikhaate hai wagairah amal ke zariye chor ka pataa lagaate hai to jis ke baare me pata chale us ko chor maanna sahih hai?

B. Aur najumi -jayotish ko hath dikhaana ya mustaqbil(future) aayindah ki baaten puchhna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

In amaliyat ke zariye jis ka chor honaa pataa chale us ko yaqini taur par chor samjhnaa jaaiz nahin.
Balke us par shubah -shak kar ke sharee tariqah se us ki tahqeeq-chhanbin ki jaye.
Awaam us Ko chor samajhti hai yeh sharee had se aage barh jana hai.

📗IMDADUL FATAWA 4/88 SE MAKHOOZ

B.  Hazrat jaabir bin abdullah se marwi hai ke Huzoor  صلی الله عليه وسلم ne irshaad farmaya:
“Jo shakhs kisi najumi-kaahin aur faal wagairah dekhnewaale ke paas aaya aur usne uski baat ko sachcha samjha to uski Chalis 40 din Ki namaz qabool nahin hoti”

📘MUSNADE AHMAD

Kal sawal no. 625 me bhi Is bare me ek hadees bheji thi jis Ke rawi imran ibne husain رضی اللہ عنہ hai uska khukasah hai aisa aadmi Qur'an ka Inkaar karnewala hai aur Huzoor صلی الله عليه وسلم aise logon se bezaari-nafrat farmate hai

📕TABRAANI

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Thursday, March 10, 2016

FAAL NIKALNA/NAJOOMEE KE PAAS JAANAA

FAAL NIKALNA/NAJOOMEE KE PAAS JAANAA

⭕AAJ KA SAWAL NO.625⭕

Faal nikalna kaisa hai? Kisi kitab ya quran ke safe ko khol kar bagair dekhe kahin bhi hath rakha jaye achchhi aayat ho to achha matlab aur waeed ki aayat ho to bura matlab  lena Jaiz hai?
najoomi-jayotishi ke paas jaakar chor kon hai? ya khoyi hui cheez kahan hai? wagairah gaib ki baten maloom karna kesa hai?

🔵JAWAB🔵

Nek faal li ja sakti he badfali lena jaiz nahi.nekfali ko yaqeeni chiz na samjha jaye, albatta nujumi aur kaahin ke paas jaa kar faal nikalwana aur unse gaib ki bate malum karna gunahe kabeerah he,
Hadith sharif me he ke: “jo nujumi ke paas gayaa aur uski baat ki tasdiq ki,pas tahqiq ke wo us chiz se bezaar huwa jo Muhammad ﷺ par utaari gayi” yani kaafir huwa woh shskhs jo aisa karne ko halaal jaane ya hadees me aise kaam se daraya hai ke isme kaafir hone ka andesha hai

📗(fatawa rahimiyah:10/470 bahawala mazahire haq.

✏MUFTI SIRAJ HARANGANV CHIKHLI GUJRAT

Wednesday, March 9, 2016

BIMAREE ME BAKRA HEE SADQA KARNA

BIMAREE ME BAKRA HEE SADQA KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.624⭕

zaid sakht bimar he agar uski tarf se bakra zabah karke gosht faqeero ko taqseem kiya jaye to jaiz he ya nahi? Ke allah t’al sadqa ki wajah se us par raham kare ya aasani se rooh nikal jaye uska shar’an kya hukam he?

🔵JAWAB🔵

aafat or bimari se hifazat ke liye sadqa or kherat ki targeeb aayi he magar awam ka eatiqad us bare me ye ho gaya he ke kisi janvar ka zabah karna hi zaruri he jaan ko jaan ka badla samjhte he shariat me uska koi subut nahi he,ye awam ki khud sakhta-khud ki banai hui bidat he,agar koi ye aqeeda na rakhta ho to bhi usme chunke is aqeede ki kharabi or bidat ki taeed he;lihaza najaiaz he,or kisi qism ka sadqa or kherat kar de (sadqe me ikhfa yani poshidgi matlub he bakre ke zabah me ye nahi hoga or naqad sadqa me faqeero or mohtajo ka ziyada fayda he or bakre hi qeemat se zarurat mnado ko kafi hajat rawai ho sakti he)
(muhammad Raf’at qasmi)
Shariat me qurbani or aqeeqa ke siwa or kahi bhi janvar ka zabah karna sabit nahi ye galat aqeeda ache ache deendar logo me bhi paya jata he isliye ulama par lazim he ke uski islah par tawajjuh de or jin madaris deeniyah is qism ke bakre diye jate he unko hargiz qubul na kare,ulama ki chashm poshi or aise bakro ko qubul kar lene se is gumrahi ki taeed hoti he.

📗(ahsanul fatawa:1/367)
📕(masaile shirk o bidat:Raf’at qasmi:83)

✒MUFTI SIRAJ HARANGANV NAWSARI GUJRAT

Tuesday, March 8, 2016

HAYAATI ME HISSAH

HAYAATI ME HISSAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.623⭕

Mere Sab beton betiyon ki shadi ho gai hai sab betey dukan par milkar mehnat karte hai aur har ek ko us ki zaroorat ka kharch deta hun.
Ab ladke kehte hai ke hame hamaari wiraasat ka hissah de do.To kya un ko hissah dena zaruri hai agar dun to har ek ko baraabar dena zaruri hai?
Kisi ko kam dun kisi ko ziyadah aur kisi ko na dun to me gunehgar howunga?

🔵JAWAB🔵

Wiraasat maut ke baad milti hai aap ke ladkon ka aap ke jite jee hissah mangna sahih nahin hai.
Aap hee abhi tamaam maal,milkat ke maalik ho agar Kisi ko kuchh hissah na do gunehgar nahin.
Agar aap un ko hayaati me kuchh dena chahe to woh bakhshish-hadya de sakte ho    sab ko barabar dena mustahab aur behtar hai zaruri nahin. Kisi maslihat se kisi ko kam kisi ko ziyada bhi de sakte ho aur koi beta gunaah ke kaamon me Paisa udaataa hai aur use aap na do to yeh bhi aap ko ikhtiyar hai lekin bilaa wajha mahroom na karen.

📘FATAWA RAHEEMIYAH 10/312 se 317

📗FATAWA MAHMOODIYAH
KITABUL HIBAH SE MAKHOOZ.

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Monday, March 7, 2016

Namaste aur namaskar ka ma'ana kya hai. Is Ka istiamal na jaiz kiyun hai?

NAMASTE & NAMASKAAR KA MANA.

⭕AAJ KA SAWAL NO.622⭕

Namaste aur namaskar ka ma'ana kya hai. Is Ka istiamal na jaiz kiyun hai?

🔵JAWAB🔵

Namaste aur namaskar ka ma'ana matlab niche ke mutabiq hai.

"I BOW TO YOU"

" હું તમને નમન
કરું છું"

" मैं आपको प्रणाम करता हूँ"

میں تمہارے سامنے رکوع کرتا ہوں

انا انحني لك

📃YE MA'NAA GOOGLE TRANSLET SE LIYA GAYA HAI.

Allah taala ke alawah kisi ko naman karna aur jhukna- rukooa karna, isee tarah gair qaum ki mushabahat ikhtiyar karna jaiz nahi.

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Musalman Hone me Barabari Kya hai?

MUSALMAN HONE ME BARABARI

⭕AAJ KA SAWAL NO.605⭕

Musalman Hone me Barabari Kya hai?

🔵JAWAB🔵

Musalman hone barabari ke aetibar saiyyad,alawi siddiqee farooqee ansaree wagaieah me nahi hai barabari karne ke aetibar mugal,pathan,wagairah me hai to Jo sakhsh khud musalman ho gaya aur uska Baap kaafir tha, us Aurat ke barabar nahi Jo khud bhi musalman he aur uska Baap bhi musalman,
Aur Jo sakhsh khud musalman he aur uska Baap bhi musalman he lekin uska Dada musalman nahi, wo us Aurat ke barabar ka nahi jiska Dada bhi musalman he,
Jiske Baap Dada dono musalman ho lekin pardada musalman na ho to wo shakhs us Aurat ke barabar samjha jaega jiski kai pushte musalman ho,
Khulasa ye he k Dada tak musalman hone me barabari ka etbaar he, Uske baad Pardada aur Nigaddada me barabari zaruri nahi,

📗Aalamgiri, 1/301,310
⇲ Next- 27
📙darsi Bahishti zewar 352
📘 Izdwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal, 44
✏HAQ KA DAYEE ANSAR Ahmad

✅TASDEEQ

IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Sunday, March 6, 2016

🙏🏼NAMASTE KEHNA YA HATH JODNA🙏🏼

🙏🏼NAMASTE KEHNA YA HATH JODNA🙏🏼

⭕AAJ KA SAWAL NO.621⭕

Gair muslimo ki tarah hath Jodna kesa hai?
Un ko namaste keh sakte hai?
Hath Jod kar muaafi mang sakte hai?

🔵JAWAB🔵

Kisi zaroorat aur talluqat Kee wajha se mulaqat karna- musafaha karna durust-saheeh hai,

📕FATAWA MAHMOODIYAH 19/115 DABHEL

Lekeen un ki hath jod kar mulaqat karna  jaiz nahi.

📗RAWZATUL FATAWA SAFA 80 JILD 1 SE MAKHOOZ HAZRAT MUFTI ISMAIL WADIWALA SURTI RAHMATULLAHI ALAYHI KI

👉🏼Musalman ke liye jaiz nahi ke woh gair muslim ko un ke tareeqah ke mutabiq namaste ya namaskaar kare.
Islam ne mulaqat aur salaam ke waqt jo behtareen tareeqah bataya hai usee ke mutabiq amal karna chahiye

📘FATAWA DEENIYYAH URDU 5/113
GUJRATI 4/289
BA HAWALA SHAMI HISSA 5
HAZRAT MUFTI ISMAIL KACHHOLVI DAMAT BARKATUHUM
RANDER SURAT KI

👉🏼Hath jodkar muaafee maangna gair qaumon ka tareeqah hai ye tareeqah islam me sabit nahi isliye musalmano ko aesa na karna chahiye.

📥DARUL IFTA DEWBAND ANSAR NO. 7217
FATWA NO. 1382=1616

Ye🙏🏼 logo bhi istiamal na kare, isharah bhi bolne aur karne ke qaim muqaam hai.

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Saturday, March 5, 2016

MERE MARNE KE BAAD KA HADYAA

MERE MARNE KE BAAD KA HADYAA

⭕AAJ KA SAWAL NO.621⭕

Walid sahab ne kaha ke ke mere marne ke baad fulan dukan aur makaan tera hai is me tere bhaiyon ka koi hissa nahi tune meri bahot khidmat ki hai unhone meri koi khidmat nahi ki hai is baat ke mere paas do sharee gawah bhi hai ab walid sahab ka intiqal ho gaya to woh dukan aur makan me dusre bhai hissa mangte hai to kya un ka hissa mangna saheeh hai un ko hissa milega?

  🔵JAWAB🔵

Puchhi hui surat me aap ke walid ne apni hayati me dukan aur makan ka qabzah dekar aap ko malik nahi banaya balke aap ke malik hone ko apni wafat ke baad thhehraya lihaza aap us dukan aur makan ke malik bane hee nahi the lihaza us dukan aur makan me aap ke dusre bhaiyon ka hissa lagega aur un ko hissa dena zarooree hai ye miraas-warsaa hai insan ke marte hee maal allah ki milkiyat me shumar hota hai aur meeraas ke hisse ye allah taala ne apne fazal aur hikamat se tay kiye hai ye hisse kisi khidmat aur neki ka aewaz nahi.
lihaza aap ne jo khidmat ki us ka mustaqil behtreen alag badla allah aap ko dunya aur aakherat me dega.

📗LUBAAB SHARHE QUDOOREE 3/93 AUR FATAWA MAHMOODIYAH SE MUSTAFAD
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Friday, March 4, 2016

REHTE HUWE MAKAN KI BAKHSEESH

REHTE HUWE MAKAN KI BAKHSEESH

⭕AAJ KA SAWAL NO.620⭕

Walid ne apne betey se kahaa jo makaan me hum rehte hai woh makan tum ko maine de diya ye makaan tumhaaraa hai.
yeh hibaa-Bakhseesh saheeh hai ya nahi?

🔵 JAWAB🔵

Puchhi hui surat me bakhsish sahih nahin HAI
kyun ye Rehte huwe ghar ka qabzah dena naqis-adhuraa qabzah hai.walid sahab wagairah ka jab tak makaan par qabzah hai hibaa saheeh nahin hai.
Qabzah se makan ko farig karna zaruri hai.hiba saheeh hone ke liye woh makaan se khud aur dusre afraad jin ko makaan nahin dena hai un ka qabzahb hataaye.
Aur apni chizon ko nikaalkar makaan khali kare.fir hibaa-bakhsheesh kare to sahih hoga.

📗LUBAAB SHARHE WUDOOREE 3/93 SE MSKHOOZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Thursday, March 3, 2016

HIBAA-BAKHSEESH

HIBAA-BAKHSEESH

⭕AAJ KA SAWAL NO.619⭕

Hiba-Bakhseeh kise kehte hai us ki shart kya hai?

🔵JAWAB🔵

Hibaa-bakhseesh kisi ko koi cheez bila kisi aewaz-badle ke maalik banakar dene ko kehte hai.
denewale ne kahaa ke mene fulan chiz tum ko dee lenewale ne kahaa mene woh chiz qubool kar li - le li us ke baad usee majlis-bethak me us chiz par qabzaa kar le to hibaa-bakhseesh mukammal ho gai agar qabza nahi kiya to hibaa-bakhseesh par milkiyat (maalik hona) saabit na hoga aur bakhseesh baatil- cancelled samjhi jayegi.

📗LUBAAB 2/92 SE MUSTAFAAD
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

www.aajkasawal.page.tl

💻Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, March 2, 2016

SAR & DARHI ME TEL LAGAANE AUR KANGHI  KA SUNNAT TARIQAH

SAR & DARHI ME TEL LAGAANE AUR KANGHI  KA SUNNAT TARIQAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.619⭕

sar aur darhi me Tel lagaane ka aur kanghi karne ka sunnat tariqah kya hai?

🔵JAWAB

Hazrat Aaishah rd. farmaati hai ke Huzoor صلی الله عليه وسلم  jab tel lagaate to pehle bayen (ulti) hatheli me lete fir (dayen-sidhi hath ki shahadat ki ungali se ) bhawon se shurooaat farmate, fir palkon par fir sar par lagate.
👉🏼sar par lagane ki shurooat peshani se karte.
bal banate to pehle mang bich me nikalte aur kanghi pehle daayi -right taraf se karte fir baayin-left taraf se karte.
👉🏼Sar mubarak me kasrat se tel lagane ki aadat thi.

📗KANZUL UMMAL 7/234 HADEES NO.18299

📕RASOOLULAH SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KI PYARI SUNNATEN 1/122
BA HAWALA BUKHARI 3/878

📔SHAMAILE TIMIZI MUTARJAM SAFA 36,37

sharhe shir'atul islam kitab Safa 256 par palkon ke baad munchh darhee aur fir sar par lagaane ka tazkirah hai lihaza is pure tareeqah par amal kare.
👉🏼Darhi mubarak me tel lagate to darhi ke us hisse se shurooa farmate jo gardan se miLa huwa hai.

📙NABAWEE LAYLU NAHAAR SAFA 415

📘SUNAN WA AADAAB SAFAA 67

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

www.aajkasawal.page.tl

💻Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, March 1, 2016

TEL LAGAANE KA SUNNAT TARIQAH

TEL LAGAANE KA SUNNAT TARIQAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.618⭕

Tel lagaane ka sunnat tariqah kya hai?

🔵JAWAB

Hazrat Aaishah rd. farmaati hai ke Huzoor صلی الله عليه وسلم  jab tel lagaate to pehle bayen (sidhi) hatheli me lete fir bhawon se shurooaat farmate, fir palkon par fir sar par lagate.

📗KANZUL UMMSL 7/234 HADEES NO.18299

sharhe shir'atul islam kitab Safa 256 par palkon ke baad munchh darhee aur fir sar par lagaane ka tazkirah hai lihaza is pure tareeqah par amal kare.

📘SUNAN WA AADAAB SAFAA 67
MERE USTAZ HAZRAT MUFTI ABU BAKR IBNE MUSTAFA PATNI USTAZE JAMIAA DABHEL KI KITAB

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masailke liye zaroor dekhe

www.aajkasawal.page.tl

💻Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...