Sunday, January 31, 2016

Joote Pehan kar Namaze Janaza padhna,

Joote Pehan kar Namaze Janaza padhna,

⭕AAJ KA SAWAL NO.592⭕
                       
Aaj kal baaz log Janaza ki Namaz joote pehne hue padhte he’n,unke liye zaruri he k wo jis jagah khade ho Wo jagah aur Joote dono paak ho ,varna unki Namaz nahi hogi ,

📗 Bahishti Gohar

Aur agar joota pair se nikaal diya jaye aur us per khade ho to sirf Joote ke ouper ka hissa Jo per se mila ho uska paak hona zaruri he, agarche talaa napaak ho ,neez is soorat me Wo zameen bhi napaak ho to koi harj nahi. lihaza  juta nikalne kee surat aehtiyatwali hai

📘Bahishti Gohar, imdadul Ahkaam

📗Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 62

✏Haq ja Satee ansar ahmad

Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

SAAS KI KHIDMAT KARNA BEHTAR HAI.

SAAS KI KHIDMAT KARNA BEHTAR HAI.

AAJ KA SAWALNO.591.

Saas ki khidmat shar'an zaruri nahin lekeen shauhar maaldaar na ho ke khadim rakhe aur khud karobar me mashgul rehta ho to bivi ko kiya karna chahiye ?

🔵JAWAB🔵

Mazkoorah surat me bhi na to shauhar bivi ko khidmat par majboor kar sakta hai na to  saas zabardasti khidmat le sakti hai, lekin jab mavqah aesa ho to shari'at akhlaq ki bhi taleem deti hai.
shauhar maaldaar ho aur khadim rakh bhi sakta ho fir bhi bivi bila kahe  khidmat karegi to shauhar saas aur tamaam gharwalon ke dilon me us ki muhabbat, qadar aur martabaa badhega aur sab ke dil aapas me judenge aur bivi allah ke qurb aur ajro sawab ki mustahiq hogi khususan saas sasur muhtaj ho to khidmat karna behtar hai ek din ye miya bivi bhi saas aur sasur banenge yeh khidmat karenge to in ki aanewali awlad bahu bhi khidmat karegi khulasa ye hai is bare me na to saas khidmat ko apna haq samjhe na to bahu fatwe ko lekar apne akhlaqi fareezah se gaflat aur be rukhi barte balke saas bahu ki khidmat ko bahu ka aehsaan samjhe us khidmat me kuchh kotahi ya kami ho to gussa karne aur baras ne ke bajaaye dar  guzar aur chashm poshi (let go) se kaam le aur us ki khidmat par taareef kare duaayen den aur us ka hadiye ki surat me kuchh badla bhi de aur Saas bahu ko apni beti aur bahu saas ko apni maa samjhe aur khidmat ke mavqe ko ganimat samjhe aur un ki duaa le aur us par kuchh zayadati ho to sabr se kaam le aur us par allah ki khushnudi aur apne darje ki buland hone ki allah se ummeed rakhe.

📘MISAALEE DULHAN SAFA  307 se 311 KA KHULASAH

📝 IMRAN ISMAAIL MEMON
DAARUL ULOOM RAAMPURA SURAT
Roman Urdu me masaail dekhne ke liye zarur dekhiye

www.aajkasawal.page.tl
Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, January 30, 2016

Agar kisi adami ko thurhi thurhi qai (ulti) kai dafa aay to is ka wuzutoot gia ya nahi.??

Bismilla hirrahma nirraheem
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MASAILE. WUZU
MAS,ALA NO 9⃣

🔴SAWAL🔴

Agar kisi adami ko thurhi thurhi qai (ulti) kai dafa aay to is ka wuzutoot gia ya nahi.??
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔵JAWAB🔵

Ek dafa matli (dil khrab)hoi
Or usi matli se bar bar qai (ulti) aai
Aghar in sab ka majmoah monh bhar qai ki miqdaar ho to wuzu toot jay ga.
Aghar monh bhar se kam ho to wuzunahi toota

jis qai (ulti)ko rokna mushkil ho is qai ko monh bhar qai kehte hen

              📓Behishti zewar
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Sabhi Sawal Jawab ke liyA Download Kre Application 👇�
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saas ki khidmat karna bahu ke zimme zarooree hai?

SAAS KI KHUDMAT KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.590⭕

Saas ki khidmat karna bahu ke zimme zarooree hai?

🔵JAWAB🔵

Baz  admi is ko badi saadatmandi samjhte hain ke bivi ko apni maa ka mahkoom wa magloob ( nokrani-khadimah) banakar rakhen aur us ki badolat biviyon par bade bade zulm hote hain so samajh lena chahiye ke bivi par farz-zarooree nahi ke saas ki khidmat kiya kare tum (shohar-beta) saadat mand ho khud khidmat karo,khidmat ke liye nokar laawo.
📗islahe inqilabe ummat safa 188 jild 2

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
📊Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
👌🏼Aaj ka aur kal. Ka sawal Jawab zayada aham hai use khub share karne ki darkhast

Friday, January 29, 2016

Jis ki susti or ghaflat ki wajah se arhiyan ya kuhniyan khushak rah jate hen, Achi tarah nahi dhuta.?

Bismilla hirrahma nirraheem
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
📝MASAILE WUZU
       MAS,ALA NO 8⃣

🔴SAWAL🔴

Aesy shakhs k wuzu k bare men shariyat ka kya hukm he.?
Jis ki susti or ghaflat ki wajah se arhiyan ya kuhniyan khushak rah jate hen, Achi tarah nahi dhuta.?
kya is ka wuzu or namaz darust he ya nahi.??
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔵JAWAB🔵

_ye dekhne men aaya ha k log wuzu krte howy arhiyan ya kuhniyan pori tarha nahi dhute thurhi khushak reh jati hen.
Aesy Aadmi ka wuzu nahi howa.
jis ka wuzu nahi us ki namaz kase ho sakti he.

Wuzu men arhiyan khushk chorhne wale shakhs k ley Ahadese paak men azab ki waeed he.
      
         📓kutub,e Fiqah
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

🏡BIVI KO ALAG GHAR DENA WAJIB HONE KI SURAT

🏡BIVI KO ALAG GHAR DENA WAJIB HONE KI SURAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.589⭕

Bivi ko sirf room mangne ka hee haq hai ? alag ghar mangne ka haq nahin to hamare ghar saas-bahu, nanad-bhabhi, dirani-jethani ke jhagde hote hai to shareeat me is baare me kiya rahnumai hai?

🔵JAWAB🔵

Bivi ko sirf room dena us surat me hai jab shauhar ziyadah maaldaar na ho balke darmiyani ho aur (bivi ko shohar ke gharwalon se takleef na pahonchti ho) agar maaldaar ho ya darmiyani darje ka to apni haisiyat ke muwafiq bilkul alahidah mustahiq ghar dena waajib hai chahe khareedkar ho ya kiraye se ho ya aariyat- istiamal ke liye maangkar ho.

📗 FATAWA MAHMOODIYA SAFA 447 JILD 13 SE MAKHOOZ

Hakeemul ummat hazrat maulana ashraf ali thanvi rahmatullahi alayhi farmate hai ke ek aam galti me aksar mard mubtalaa hai ke judaganah ghar dena apne zimme wajib nahin samajhte bas apne azeezon-rishtedaron me aurat ko laa dalte hai..aage likhte hai aaj-kal logon ki tabiyaton aur waaqiaat ka taqaza yeh hai ke agar aurat saath me rahne par razi bhi ho aur juda rahne se sab rishtedar nakhush bhi ho tab bhi maslihat yahi hai ke juda -alag hee rakhe usme hazaaron fitne aur buraiyon ka darwaza bandh hota hai aur is me chand roz ke liye rishtedaron ka munh chadhega magar is ki maslihat -fayde jab samne aayenge to sab khush ho jayenge khas taur par chulaha-kitchen to zaroor hee alahidah hona chahiye ziyadahtar aag isee chulhe se bhadakti hai.

📘islahe inqilabe ummat safa 143 ,144 jild 2

Not:maabap bahot burhe ho ya maa bap bimari ki wajha se khidmat ke muhtaj ho aur koi dusra koi khidmat karnewala na ho to fir khidmat ka intizam karna ya sath rehkar maa bap ki khidmat zarooree aur muqaddam hai.

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, January 28, 2016

Kiya bivi ko khas alag room dena zarooree hai?

BIVI KO ROOM DENA

⭕AAJ KA SAWAL NO.588⭕

Kiya bivi ko khas alag room dena zarooree hai?

🔵JAWAB🔵

Han bivi ko aesa alag kamrah dena shohar ke zimme wajib hai ke  jis me shohar ka koi rishtedar na ho woh apna saaman hifazat se rakh sake jab chahe shohar ke sath bilkul be takalluf-bindast reh sake us kamreh me kisee ka koi dakhal na ho aur us ke tale chabi aurat hee ke qabza me rahe aesa kamrah deya to bivi ka haq ada ho gaya albattah bivi khud hee sab ke sath mushtarak -join femely me rehna gawarah kare to use sath me bhi rakh sakte hai.
bivi pure alag ghar ka mutalabah nahi kar sakti.

📗DARSI BAHISHTEE ZEWAR SAFA  405

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRAH LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, January 27, 2016

wo cheezen Kun se hen jin se wuzu makroh ho jata he.?? ( Makrohat,e wuzu kun se.?)

Bismilla hirrahma nirraheem
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
.MASAILE WUZU
       MAS,ALA NO 6⃣

🔴SAWAL🔴

wo cheezen Kun se hen jin se wuzu makroh ho jata he.??
( Makrohat,e wuzu kun se.?)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔵JAWAB🔵

Jin cheezon se wuzumakroh ho jata he wo ye hen.,

na pak jgah par wuzu krna.
sidhe hath se naak saaf krna.
wuzu krne men dunya ki baten krna.
sunnat k khelaf wuzu krna.

            📓Taleem,ul islaam
                    H.2 Safa no.26
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

BIVI KO KITNA KHARCH DEVE

BIVI KO KITNA KHARCH DEVE

⭕AAJ KA SAWAL NO.587⭕

Bivi ko kitna kharch dena chahiye?

🔵JAWAB🔵

Bivi aur shauhar dono maaldar ho to maaldari ka roti kapda dena padega
agar dono gareeb hai to gareebee ka kharcha dena padega
agar shauhar maaldar aur bivi gareeb ya bivi gareeb aur shauhar maldar ho to ameeron ke kharche se kam aur gareebon ke kharche se zayada roti kapda dena padega.

📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 403

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRAH LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

wo cheezen Kun se hen jin se wudu toot jata he.??

Bismilla hirrahma nirraheem

.MASAILE WUZU
       MAS,ALA NO 5⃣
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔴SAWAL🔴

wo cheezen Kun se hen jin se wudu toot jata he.??
( Naqiz,e wuzu kun se hen )
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔵JAWAB🔵

🔖Jin cheezo se wuzu toot jata he wo ye hen,

Pakhana ya peshab k raste se
       kisi bi cheez ka niklna.
peche se hwa kharij hona
jism se khoon ya peep nikal kr
         thoda sa beh jana
mohn bhar k qai (ulti) krna
let kr ya Sahara le kr sona
behosh hona.
janoon tari hona.
namaz men hansna qehqaha
                    laga kr.

         📓 Ahkaam,o Masail
                     Safa no 29
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, January 26, 2016

NAFQAH-KHARCHA

NAFQAH-KHARCHA

⭕AAJ KA SAWAL NO.586⭕

bivi ka kon kon sa kharcha shohar ke zimme hai?
Aur kon see surat me kharche ki zimmedari hai aur kon see surat me nahi?

🔵JAWAB🔵

1.bivi ka roti,kapda mard ke zimme hai chahe bivi kitni hee maldaar ho aur rahne ke liye ghar dena bhi shohar ke zimme hai.
2.jitne zamane tak shohar ki ijazat se mayke-apni maa ke ghar rahe utne zamane ka roti kapda bhi shohar se le sakti  hai.bagair ijazat ke gai to in kharchon ke pane ki mustahiq nahi hogi.
3.aurat bimar pade chahe shohar ke ghar pade ya apni maa ke ghar us bimari ke zamane ka roti kapda shohar se pane ki mustahiq hai lekeen agar shohar apne ghar bulaya aur nahi gai to is nafarmani ke zamane ka roti kapde ka kharch pane ki mustahiq nahi rahi.
📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 402
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRAH LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, January 25, 2016

🔖wuzu man Jin aa,za ka dhuna farz he, inhen kitni martabah dhune se farz ada ho ga.???

Bismilla hirrahma nirraheem
🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃
.MASAILE WUZU
       MAS,ALA NO 4.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔴SAWAL🔴

🔖wuzu man Jin aa,za ka dhuna farz he,
inhen kitni martabah dhune se farz ada ho ga.???
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔵JAWAB🔵

🔖Ek martbah dhune se farz ada ho jata he.
(ek baal brabar jagah bi khushk na rahe)
Or 3 martbah tak dhuna sunnat he.
Lehaza wuzu sunnat k mutabiq pora karna chahey.

              📓Islami Taleem
                     Safa no 37
🌾🌾🌾🌾🌾🌾🌾🌾🌾🌾
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

miya bivi me talaq ho gai ya judai ho gai to god me Bachche ho us ki parwarish ka haq kis ko hai ? maa apni marzi se rakhe to kharcha kis ke zimme hai?

PARWARISH

⭕AAJ KA SAWAL NO.585⭕

miya bivi me talaq ho gai ya judai ho gai to god me Bachche ho us ki parwarish ka haq kis ko hai ? maa apni marzi se rakhe to kharcha kis ke zimme hai?

🔵JAWAB🔵

agar ladka hai to us ki parwarish ka haq 7 saal tak maa ko hai agar ladki hai to ladki ki parwarish ka haq 9 saal tak maa ko hai us se pehle maa se chhin nahi sakta us ke baad zabardasti bhi le sakta hai aur parwarish ka sara kharcha baap  hee ko dena padega. agar maa parwarish na kare to bachcha baap ko lena padega maa ko zabardasti nahi kar sakta.

📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 400,401

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRAH LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, January 24, 2016

Aghar kisi aadmi ne aaza,e wuzu ko pani baha kr nahi dhuya, balkih geele kaprhe ya geele hath se hi tar (geela) kr liya to, is ka wuzo ho gia ya nahi..????

Bismilla hirrahma nirraheem

.MASAILE WUZU
        MAS,ALA NO 3⃣
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔴SAWAL🔴

Aghar kisi aadmi ne aaza,e wuzu ko pani baha kr nahi dhuya,
balkih geele kaprhe ya geele hath se hi tar (geela) kr liya to,
is ka wuzo ho gia ya
nahi..????
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔵JAWAB🔵

🔖Is aadmi ka wuzo nahi howa.
               keon kih

(1)poora chehra
(2)hath Kuhnion tak.
(3)paon ka dhuna farz he.

🔖or Dhune ki kam se kam miqdaar ye ha k pani k qatre aaza,e wudu par beh kr tapak jaen

           :-Surah Al Maaidah
                        Aayat no. 6
                   (Ba etbar,e Asal)
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

🇮🇳VANDE MAATARAM KEHNE KA HUKM

🇮🇳VANDE MAATARAM KEHNE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.584⭕

Vande maataram kehna kesa hai? Agar na jaiz hai  to us ki kiya  wajha? Kiya musalmanon ko apne watan se muhabbat nahi hai?

🔵JAWAB🔵

Apne watan se Mohabbat ek fitri chiz he,insan jaha rehta palta he,waha k zarre zarre se use muhabbat or lagav ho jata he,or ye bura bhi nahi he,Lekin ye Mohabbat agar Jaaiz Akhlaqi or shariat ki had me ho to Islam use pasand ki nigah se dekhta he,basharte k ye mohabbat Shariat or khudai Ahkam k khilaf na ho,or usse shariat k Ahkam na tutte ho,isi liye Musalman jis mulk me gaye wahi ke ho kar reh gaye,unho ne tut kar us mulk se mohabbat ki,hindu or aaryo ne is mulk me hazaro saal hukumat ki or musalmano ne sirf 650 saal,lekin mulk me bane huwe mazbut qille,Taj Mahal or dusre Khubsurat Maqbare,Aalishan masajid,haseen or khubsurat Baagiche,umda sadake,or buland minare kiski den he??
Hindustan ko musalmano ne wo tarikhi yadgar dee jo aaj Hindustan ki pehchan he,or unhi se Mulk ki tahzibi or cultural Pehchan or simbol he,Or jab gasib Angrez yaha aaye to sabse pehle Musalman unse takra gaye,or jange aazadi me Bharpur hissa liya,Ye musalmano ki sacchi Watan se mohabbat thi k hindustan ko tahzib or tamaddun ka Gehwara bana diya.

LEKIN MUSALMAN K LIYE YE BAAT MUMKIN NAHI K WO KISI CHIZ KO ALLAH OR USKE RASUL SE ZYADA CHAHE OR USSE MOHABBAT KARE YA USKA WO EHTERAM KIYA JAYE JO KHUDA KE LIYE MAKHSOOS HE,QK PARASTISH OR BANDAGI KE LAYAK SIRF OR SIRF ALLAH PAK KI ZAAT HE,KHUDA KE SIWA KISI KI IBADAT JAIZ NAHI,NA FARISHTO KI NA RASULO NA KISI WALI KI OR NA HI KISI AUR CHIZ KI. AUR INSAN SIRF ALLAH KA BANDA HE,KISI DARYA PAHAD,SURAJ SITARE OR KISI MAKHLUQ KA NAHI,ISI LIYE WATAN SE WO MOHABBAT JISSE BANDAGI LAZIM AAYE KISI HAAL ME JAIZ NAHI,YAHI HAMARA IMAN OR AQEEDA HE K ALLAH K SIWA KISI KI BANDAGI KARNA KISI HAAL ME JAIZ NAHI,OR WATAN KO MA'BUD KA DARJA DIYA JAYE TO YE ALLAH K SATH SHIRK HE OR SHIRK TO KISI HAAL ME MAAF NAHI,ISI BACK GROUND ME IS GEET KO DEKHNA CHAHYE JO WANDE MATRAM K NAME SE MASH'HUR HE.
     Ye Geet(Vande mataram) Bankim chandra Chetarji ne likha he,or tarikh shahid he k ye angrezo ki khushamad me kaha gaya he,isi liye Mulk k bade Leaders Pandit Jawahar lal nehru,Subhash chandra bose,dr.Lohiya wagera ne b is Nizaee(ladai peda karne wale) tarane ko Napasand kiya he,or nazam k bare me Musalmano k ikhtilaf ko sahih or hakikat pr mabne hone ka ikrar kiya he
. IS GEET KI IBTIDA IS MISRA'A (BAND) SE HOTI HE.:
     "MAI TERA BANDA HU AEY MERI MAA(ZAMEEN)"
PHIR AAGE YUN HE...
     "TU HI MERA ALAM HE,TU HI MERA DHARAM HE'"...
PHIR NAZAM KI END ME IS TARAH HE:
   "MAI GULAM HU,GULAM KA GULAM HU,
GULAM K GULAM KA GULAM HU,
ACCHE PANI,ACCHE PHALO WALI MAA!,MAI TERA BANDA HU.."
       ISI NAZAM ME EK JAGAH HINDUSTAN KO DURGA MATA KA DARJA DE KAR KAHA GAYA HE:
   "TU HI HE DURGA,DAS HATHYAR BAND HATHO WALI"

     YE HE WO NAZAM JISME SHAYAR NE WATAN KO MAHBUB SE BARHA KR MA'ABUD KA DARJA DIYA HE,AB MUSALMANO SE ISKA MUTALABA KARNA K IS NUKTA E NAZAR KO QUBUL KAR LE,OR APNE ZAMEER KO BECH KR OR APNE AQEEDE KO TOD KAR DUSRO KI RAWA RAWI ME YE SHIRKIYA TARANA PARHE, MAZHABI TASHADDUD OR JABR K SIWA KIYA HE??

YE TO AQEEDE KI BAAT HUWI,SIKKE KA EK OR RUKH BHI HE,WO YE K VANDE MATRAM ASAL ME BANGALI NOVEL "AANAND MUTH" KA HISSA HE,JISME HINDUO KO MUSALMANO KE KHILAF BHADKAYA OR UKSAYA GAYA HE,NAFRAT K SHOLE BHADKANE KI KOSHISH KI GAYI HE,OR ANGREZO KA WELCOME KIYA GAYA HE,KIYA KOI SACHA WATAN SE MOHABBAT RAKHNE WALA JISKA DIL SAHIH MAYNO ME
"DIL HE HINDUSTANI" KI TASVIR HO,AISE ANGREZO K PITTHU OR NAFRAT PHELANE WALE ASH'AAR KO PASAND KAR SAKTA HE? USKO ACCHA SAMAJH SAKTA HE??
NEVER FOR EVER.

   LIHAZA HAZARO MIRA KUMARI OR DIGAR FASHIST LOG NARAZ HOTE RAHE,HUM IMAN WALE AISE LAGW,BEKAR OR AQEEDA OR IMAN K KHILAF TARANE KO KABHI QUBUL NAHI KAR SAKTE,BALKE MAI TO KAHUGA SACCHE WATAN PARAST OR SECULER LOG KABHI IS TARANE KO NAHI GAYEGE,ISILIYE JAWAHAR LAL NEHRU,SUBHASH CH.BOSH OR DR.LOHYA JAISE KAI BADE GER MUSLIM LOG B ISKO NHI MANTE THE.
(MA'KHUZ AZ RAHE AMAL)

by fatawa section
Share:
✏MUFTI SIRAJ SIDAT  CHIKHLI WALSAD
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, January 23, 2016

Wuzu men jin aa,za ka dhuna farz ha

Bismilla hirrahma nirraheem

MASAILE WUZU
MAS,ALA NO. 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔴SAWAL🔴
Wuzu men jin aa,za ka dhuna farz ha,
Aghar in men kahen thorhi si jagha dhulne se reh jay to
wuzu sahi ha ya nahi.???
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔵JAWAB🔵

🔖Wuzu men jin aa,za ka dhuna farz he,
in men aghar kahen ek baal k baraber bi jagah khushk rah jay to,
wuzu sahi na ho ga.
Chhuti hoi jagah ka dhuna be zaroori he:

📕Islami Taleem
                  safa no.37

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

SUBOOTE NASAB -HAMAL KI MUDDAT

SUBOOTE NASAB -HAMAL KI MUDDAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.583⭕

Kisi aurat ko bachcha 6 maheene me hee paida ho gaya to kya woh bachcha usee ke shohar ka kehlayega?
kisi ke bachche ke bare yun kehna ke ye is aurat ke shohar ka nahi hai  haraami hai kehna kesa hai?

🔵JAWAB🔵

Sharee aitibar se hamal ki kam se kam muddat 6 maheene hai  zayada se zayada 2 baras yani bachcha kam se kam 6 maheene pet me rehta hai 6 maheene se pehle paida nahi hota hai aur zayada se zayada 2 do sal pet me reh sakta hai is se zayada nahi reh sakta lihaza 6 maheene me aanewale bachche ka nasab us ke bap se sabit hoga

aur ye bhi qaidah hai shoharwali aurat ka bachcha us ke shohar hee ka kehlayega us ko kisi shak ki wajha se haraami kehna tohmat hai jo kabeerah gunah hai aese shakhs ko islami hukoomat ho to kode lagaye jayenge.

📗BAHISHTI ZEWAR SAFA 397 SE MAKHOOZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRAH LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, January 22, 2016

wuzu me Farz kitne hen

WAZU KE MASIL-1-52-PART
MASAILE WUZU no 1 TO 52.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Bismilla hirrahma nirraheem
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
.MASAILE WUZU
       MAS,ALA NO 1.

🔴SAWAL🔴

🔖wuzu me Farz kitne hen
      Or wo kun kun se hen.?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔵JAWAB🔵

wuzu me chaar farz hen.

(1)peshani k balon se thodi ke neeche tak or ek kaan ki lo se dosry kan ki lo tak chehra dhuna.

(2)dono haath kohneo samet dhuna.

(3)chothai sar ka massa karna.

(4)dono paon takhno samet dhuna.

:-surah al maaidah
Aayat no 6 (Ba Etbar e asal)

🍁🍁🍁Dua For🍁🍁🍁🍁

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

दाढी रखना का शरअन कैसा है? किया ये आंतकवाद या सख्त लोगों की निशानी है? अक्सर लोग रखते नहीं है लिहाज़ा उस के फायदे बताएं

🔴आज का सवाल नंबर 582🔴

दाढी रखना का शरअन कैसा है? किया ये आंतकवाद या सख्त लोगों की निशानी है?
अक्सर लोग रखते नहीं है लिहाज़ा उस के फायदे बताएं

🔵जवाब🔵

🔖दाढ़ी रखना शरअन वाजिब है ये तरीका हुज़ूर सलल्लाहु अलैहि वसल्लम से साबित है लिहाज़ा उसे सुन्नत कह दिया जाता है और दाढ़ी हर मज़हब के पेशवा पॉप पादरी साधू रखते ही है। ऐसे आंतकवाद या सख्ती वालों के निशानी समझना गोया अपने मज़हब के रहनुमा,पेशवा,और सरदार को बुरा समझने जैसा है और कोई भी अपने मज़हब के बड़े को बुरा नही समझता। इस के फायदे बेशुमार है कुछ फायदे निचे लिखे जाते है

दाढ़ी रखने के फायदे और इनाम
1.तमाम नबियों की सुन्नत
2.सो (100)शहीदों का सवाब
3.बालिग होने से लेकर मौत तक का लगातार अमल हे ,लगातार सवाब हे.
4.सेविंग के खर्चे को और वक़्त को बचाती है.
5.नबी सल्लल्लाहु आलिही व सल्लम से मोहब्बत की अलामत हे
6.नबी का तरीका होने की वजह से अल्लाह का महबूब बन जाता है।
7.अल्लाह की रजा का सबब हे
8.गला और सीना ठंडी और गर्म हवा से मेहफ़ूज़ रहता हे
9.मुसलमान की पहचान हेलोग देख कर सलाम करेंगे,मदद के लिए तैयार हो जाएंगे
10.दाढ़ी में कंगी करने पर दुश्मनो के दिल में हमारा खौफ पैदा होता हे
11.चेहरे का नूर बढ़ता हे
नेक और शरीफो की निशानी हे
12.इज़्ज़त को बढाती हे
13.भरोसे को बढाती हे
14.हया पैदा करती हे
15.गुनाह से बचने का सबब हे
16.मर्दानगी को बढाती हे
17.खूबसूरत हूरो का इनाम हे
18.जन्नत में मन पसंद चेहरा दिया जाएगा
19.दाढ़ी वालो की ही गवाही मोतबर
20.गाल पर बार बार अस्तरा लगाने से उसकी कुदरती चमक का कोटिंग उतर जाता हे जिस से सूरज की जहरीली किरणों के असरात और बेक्टेरिया गाल के रास्ते अंदर जाते हे
21.दाढ़ी न होना औरतो से मुशाबेहत हे इसलिए औरतो की शिफ़ात पैदा होती हे
22.दिन पर चलना आसान हो जाता हे
23.रोज़ी की बरकत जा ज़रिया है
✅®तस्दीक़ व इज़ाफ़ा इमरान इस्माइल मेमन सूरत गुजरात इंडिया
✅+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, January 21, 2016

🍀JAMAT ME 4 MAH, 40 DIN, 3 DIN LAGANE KI QURAN AUR HADEES SE DALIL🍀

🍀JAMAT ME 4 MAH, 40 DIN, 3 DIN LAGANE KI QURAN AUR HADEES SE DALIL🍀

🔴AAJ KA SAWAL NO.580🔴

TABLEEGH waale 4 Mah, Chillah (40 days) Aur 3 Din lagaane par Zor dete hain, Jiski Koi ASAL Dalil Nahi hai.

🔵JAWAB🔵

Agar TABLEEGH waale Chillay par Zor dete hain to bhi Ye Koi BE-ASAL Cheez Nahi hai ke Aitraaz kiya Jaaye, balke HAALAAT ki TAGHAYYUR aur TABDEELI me Isko KHAAS dakhal hai, Na Sirf Is par Qur’ani Aayaat, Ahadees balke SALAF AS-SALIHEEN ka Tajrubah aur Mushahidah bhi Dalaalat karta hai Ya’ni 40 din Lagaataar Amal ki bohat BARKAT wa TAASEER hai. 40 Din Amal karne se ROOH aur BAATIN par Achha ASAR murattib hota hai.

👉 Allah Subhana Wa Ta’ala ka irshaad hai:

ﻭَﻭَﺍﻋَﺪْﻧَﺎ ﻣُﻮﺳَﻰٰ ﺛَﻠَﺎﺛِﻴﻦَ ﻟَﻴْﻠَﺔً ﻭَﺃَﺗْﻤَﻤْﻨَﺎﻫَﺎ ﺑِﻌَﺸْﺮٍ ﻓَﺘَﻢَّ ﻣِﻴﻘَﺎﺕُ ﺭَﺑِّﻪِ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﻟَﻴْﻠَﺔً

“Aur Humne Moosa (alaihis salaam) se 30 Raat ka Wa’da kiya aur Humne iski TAKMEEL 10 Raat mila kar kar di. So Unke Rabb ki taraf se poora Waqt 40 Raat kar diya gaya.” [Surah A’raaf: 142]

Ya’ni 40 Raat (CHILLAH) ki muddat poora karne me Allah Ta’ala ki Koi Hikmat zaroor hai.

Maulana Ashraf Ali Thaanvi (rahmatullahi alaih) is aayat ke Tehat likhte hain: “Ye Aayat-e-Kareemah Mashaaikh ke nazdeek CHILLO’N (40 din) ki ASAL hai, Jis me Wo Hazraat Bohat se BARKAAT ka Mushaahedah karte hain.” [Tafseer Bayaan Al-Qur’an]

Hazrat Sheikhul Hind (rahimahullah) ke Tarjumah ke Fawaa’id me likha hai: “Jab Banu Israel ko tarah tarah ki Pareshaniyo se Itminaan Naseeb hua to Unhoney Hazrat Moosa (alaihis salaam) se darkhwast ki ke Ab Hamaare liye Koi Aasmani Shari’at laayei’n Jis par Hum Dil-Jam’i ke sath Amal Kar ke dikhlaayei’n. Hazrat Moosa (alaihis salaam) ne Unki darkhwaast ko Baargaah-e-Ilaahi me Peish kar diya. Allah ta’ala ne Un se Kam az Kam 30 din aur Zaayed 40 din ka Wa’da farmaaya, jab itni Muddat Tum Pe dar Pe Rozey rakhoge aur Koh-e-Toor par Mu’takaf rahoge to Tum ko TAURAAT SHAREEF inaayat ki Jaayegi. 40 din ki Mi’yaad Poori ho Jaane par Haqq Ta’ala Shaanahu ne Moosa (alaihis salaam) ko Kisi Makhsoos Wa Mumtaaz Rangg me Sharf-e-Mukaalmah bakhsha.”

Tambeeh: Mufassireen, Ulema’e Usool ka Muttafiqah Qa’idah hai: “Alfaaz ke Aam hone ka aitebaar kiya jaayega Na ke Kisi mauqa’ ki wajah se Khaas samjha jaayega.”

” ﺍﻟﻌﺒﺮﺓ ﺑﻌﻤﻮﻡ ﺍﻟﻠﻔﻆ ﻻ ﺑﺨﺼﻮﺹ ﺍﻟﺴﺒﺐ “

Ya’ni ke Ye nahi kaha jaayega ke Fala’n aayat Fala’n Shakhs Ya Qoum ke baare me naazil hui hai isliye Ye hukm us Shakhs aur Qoum ke baare me Khaas hai balke is ka Itlaaq (application) doosre Logo’n per bhi hoga.

CHILLAH KI ASAL HADEES SE:

(I):.. Abdullah bin Mas’ood (raziallahu ta’ala anhu) ki Mash’hoor Hadees hai, farmaate hain: “Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaaya: Aadmi ki Ibtidaayi Khalqat Maa ke Reham me 40 din to Nutfah rehti hai aur 40 din tak Khoon ka Luthra rehta hai, Phir 40 din tak Wo Boti bana rehta hai……” [Sahih Bukhaari, Kitaab: Al-Qadr; Sahih Muslim, Kitaab: Al-Qadr]

ﻋَﻦْ ﻋَﺒْﺪِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻭَﻫُﻮَ ﺍﻟﺼَّﺎﺩِﻕُ ﺍﻟْﻤَﺼْﺪُﻭﻕُ ، ﻗَﺎﻝَ : ” ﺇِﻥَّ ﺃَﺣَﺪَﻛُﻢْ ﻳُﺠْﻤَﻊُ ﻓِﻲ ﺑَﻄْﻦِ ﺃُﻣِّﻪِ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﻳَﻮْﻣًﺎ ، ﺛُﻢَّ ﻋَﻠَﻘَﺔً ﻣِﺜْﻞَ ﺫَﻟِﻚَ ، ﺛُﻢَّ ﻳَﻜُﻮﻥُ ﻣُﻀْﻐَﺔً ﻣِﺜْﻞَ ﺫَﻟِﻚَ

Is Hadees se saaf Zaahir hai ke Insaan ki Haalaat ki Tabdeeli me 40 din (Chillah) ko Khaas dakhal hai.

(II):.. Anas bin Maalik (raziallahu ta’ala anhu) ne farmaaya ke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaaya: “Jo Shakhs 40 din tak Jama’t ke saath Allah Ta’ala ke liye Namaz parhe ke TAKBEER-E-OOLA bhi Faut na hui ho to Usko 2 Parwaane milte hain.
(i). Ek Parwanah Jahannam se Chutkaare ka,
(ii). Doosre Nifaaq se bari hone ka.” [Jaami’ Tirmizi; Kitaab: As-Salaah]

ﻋَﻦْ ﺃَﻧَﺲِ ﺑْﻦِ ﻣَﺎﻟِﻚٍ ، ﻗَﺎﻝَ : ﻗَﺎﻝَ ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ : ” ﻣَﻦْ ﺻَﻠَّﻰ ﻟِﻠَّﻪِ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﻳَﻮْﻣًﺎ ﻓِﻲ ﺟَﻤَﺎﻋَﺔٍ ﻳُﺪْﺭِﻙُ ﺍﻟﺘَّﻜْﺒِﻴﺮَﺓَ ﺍﻟْﺄُﻭﻟَﻰ ، ﻛُﺘِﺒَﺖْ ﻟَﻪُ ﺑَﺮَﺍﺀَﺗَﺎﻥِ ، ﺑَﺮَﺍﺀَﺓٌ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨَّﺎﺭِ ، ﻭَﺑَﺮَﺍﺀَﺓٌ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨِّﻔَﺎﻕِ ” .

Is Hadees se bhi ma’loom hua ke Shari’at me 40 Din (Chillah) ki Koi Ahmiyat zaroor hai.

Hamaare Ulema’e Kiraam agar Logo’n ko Chillah lagaane per Zor dete bhi hain to unka Maqsood Yehi hai ke Log is Hadees me mazkoor 2 PARWAANO ko haasil kar lei’n kyonke Jama’t me Jaane se TAKBEER-E-OOLA Ka FAUT hona NA ke baraabar hai.

(III):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jo Shakhs Meri Masjid me 40 Namaazei’n Isi tarah Parhe ke Ek Namaaz bhi Uski Masjid se Faut na ho to Uske liye Aag se Baraa’t likhi jaati hai aur Azaab se bari hona likha jaata hai aur Wo Shakhs Nifaaq se bari ho jaata hai.” [Musnad Ahmed bin Hanbal]

ﻋَﻦْ ﺃَﻧَﺲِ ﺑْﻦِ ﻣَﺎﻟِﻚٍ ، ﻋَﻦِ ﺍﻟﻨَّﺒِﻲِّ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ﺃَﻧَّﻪُ ﻗَﺎﻝَ : ” ﻣَﻦْ ﺻَﻠَّﻰ ﻓِﻲ ﻣَﺴْﺠِﺪِﻱ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﺻَﻠَﺎﺓً ، ﻟَﺎ ﻳَﻔُﻮﺗُﻪُ ﺻَﻠَﺎﺓٌ ، ﻛُﺘِﺒَﺖْ ﻟَﻪُ ﺑَﺮَﺍﺀَﺓٌ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨَّﺎﺭِ ﻭَﻧَﺠَﺎﺓٌ ﻣِﻦَ ﺍﻟْﻌَﺬَﺍﺏِ ، ﻭَﺑَﺮِﺉَ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨِّﻔَﺎﻕِ ”

(IV):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jo Allah ke liye 40 din tak Ikhlaas kare (Ya’ni Ikhlas ke sath Aa’maal kare), Allah ta’la Uske Dil me HIKMAT ke CHASHME ubaal kar Uski Zuban se ada karaate hain.” [Musannaf Ibn Abi Shaibah, Kitaab: Az-Zuhad, Baab: Zikr Fee Zuhad Al-Anbiya’, Raqam# 73]

(V):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jo Shakhs meri Ummat par 40 din tak Ghalla roke aur Sadqah kare to Uska Sadqah Maqbool na hoga.” aur Alfaz ke Ikhtilaaf ke saath ke Wo Allah se bari ho gaya aur Allah us se bari ho gaya. [Musnad Ahmed mae Tehqeeq Shuaib Arnaut, Raqam# 6893]

(VI):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jo Shakhs Kisi Na-Beena ki 40 Qadam tak DASTGEERI kare Uski Maghfirat Kar di Jayegi.” aur Ek Hadees me hai ke Jannat Uske liye WAJIB ho Jayegi. [Musnad Abi Ya’la mae Tehqeeq Hussain Saleem As’ad, Raqam# 5613]

(VII):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jisko Allah ta’ala Haalat-e-Islam me 40 Saal ki Umar de Us se Junoon, Jazm aur Bars ki balaa ko door kar dete hain.” [Musnad Ahmed mae Tehqeeq Shuaib Arnaut, Raqam# 13279]

(VIII):.. Hazrat Hakeem bin Juzaam (raziallahu ta’ala anhu) farmaate hain ke: “Maine Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) se kaha ke Zamana-e-Jihalat me 40 Ghulamo ko Aazad kiya to Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya: Tu Apne Sabiqah Is Khair ki wajah se Islam laaya.” [Musnad Ahmed mae Tehqeeq Shuaib Arnaut, Raqam# 16675]

(IX):.. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: “Jo Shakhs Meri Ummat me se 40 Hadeeso’n ko HIFZ kare to Wo Ulema’ me se hai.” [Musnad Muwatta Lil Jauhari (rahimahullah)]

ﻋَﻦِ ﺍﺑْﻦِ ﻋَﺒَّﺎﺱٍ ، ﻋَﻦِ ﺍﻟﻨَّﺒِﻲِّ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻗَﺎﻝَ : ” ﻣَﻦْ ﺣَﻤَﻞَ ﻣِﻦْ ﺃُﻣَّﺘِﻲ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﺣَﺪِﻳﺜًﺎ ﻓَﻬُﻮَ ﻣِﻦَ ﺍﻟْﻌُﻠَﻤَﺎﺀِ “

(X):.. Hazrat Abdullah bin Abbas (raziallahu ta’ala anhu) ka Irshaad naqal hai ke, Unke Saahab zaade ka Intiqaal ho gaya to Unhoney Apne Aazaad kardah Ghulam Kureib se farmaaya ke, Dekh baahar Kitne Aadmi hain.? Unhoney aa kar Arz kiya ke bohat bada Majmua ho gaya. To Ibn Abbas (raziallahu ta’ala anhu) ne farmaaya ke 40 honge. Farmaya: Ji haan! To Ibn Abbas (raziallahu ta’ala anhu) ne farmaaya ke, Janaazah le chalo. Maine Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) se suna hai ke Jab Musalman ka Intiqaal ho Jaaye aur Uske Janazah ki Namaaz 40 Fard parhein, Jo Allah ke saath Kisi ko Na Shareek karei’n to Us Mayyat ke Haqq me Unki Shifa’at (Sifaarish) Qubool hoti hai. [Sahih Muslim, Kitaab: Al-Janaa’iz]

ﻋَﻦْ ﻛُﺮَﻳْﺐٍ ﻣَﻮْﻟَﻰ ﺍﺑْﻦِ ﻋَﺒَّﺎﺱٍ ، ﻋَﻦْ ﻋَﺒْﺪِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺑْﻦِ ﻋَﺒَّﺎﺱٍ ، ﺃَﻧَّﻪُ ﻣَﺎﺕَ ﺍﺑْﻦٌ ﻟَﻪُ ﺑِﻘُﺪَﻳْﺪٍ ﺃَﻭْ ﺑِﻌُﺴْﻔَﺎﻥَ ، ﻓَﻘَﺎﻝَ : ﻳَﺎ ﻛُﺮَﻳْﺐُ ﺍﻧْﻈُﺮْ ﻣَﺎ ﺍﺟْﺘَﻤَﻊَ ﻟَﻪُ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨَّﺎﺱِ ، ﻗَﺎﻝَ : ﻓَﺨَﺮَﺟْﺖُ ﻓَﺈِﺫَﺍ ﻧَﺎﺱٌ ﻗَﺪِ ﺍﺟْﺘَﻤَﻌُﻮﺍ ﻟَﻪُ ، ﻓَﺄَﺧْﺒَﺮْﺗُﻪُ ﻓَﻘَﺎﻝَ : ﺗَﻘُﻮﻝُ ﻫُﻢْ ﺃَﺭْﺑَﻌُﻮﻥَ ، ﻗَﺎﻝَ : ﻧَﻌَﻢْ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺃَﺧْﺮِﺟُﻮﻩُ ﻓَﺈِﻧِّﻲ ﺳَﻤِﻌْﺖُ ﺭَﺳُﻮﻝَ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ، ﻳَﻘُﻮﻝُ : ” ﻣَﺎ ﻣِﻦْ ﺭَﺟُﻞٍ ﻣُﺴْﻠِﻢٍ ﻳَﻤُﻮﺕُ ، ﻓَﻴَﻘُﻮﻡُ ﻋَﻠَﻰ ﺟَﻨَﺎﺯَﺗِﻪِ ﺃَﺭْﺑَﻌُﻮﻥَ ﺭَﺟُﻠًﺎ ﻟَﺎ ﻳُﺸْﺮِﻛُﻮﻥَ ﺑِﺎﻟﻠَّﻪِ ﺷَﻴْﺌًﺎ ، ﺇِﻟَّﺎ ﺷَﻔَّﻌَﻬُﻢُ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻓِﻴﻪِ “
..
40 Din ki Asar Angeizi aur Haalaat ki Tabdeeli me Us ke Khaas Ahtimaam ka andaazah Is Waqeah se bhi Lagaaya Ja sakta hai, Jo Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ke Daur-e-Khilafat me Peish aaya tha..

(XI):.. Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ke Zamaane me Ek Shakhs, Ek Aurat par Aashiq ho gaya aur Uski Mohabbat me Deewana ho gaya, Wo Aurat badi PAAK DAAMAN Afeefah aur Samajhdaar thi, Usne Us Shakhs se Kehalwaaya ke 40 Din tak Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ke Peeche TAKBEER-E-OOLAA ke saath Namaaz parho, us ke ba’d Faislah hoga. Usne 40 Din tak Isi tarah Namaaz parhi to Uski Kaayah Palat gayi aur Uska ISHQ-E-MIJAAZI, ISHQ-E-HAQEEQI se badal gaya. Abhi tak wo Us Aurat ka Aashiq tha, Ab Allah ka Aashiq ho gaya aur Ishq bhi Aisa ke Allah ki Muhabbat Uske Rag-Rag me Siraayat kar gayi. Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ko Is waqeah ki Itlaa’ hui to farmaaya: “BE SHAKK! Allah aur Uske Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) ne SACH kaha, Yaqeenan Namaz BE HAYAI aur BURAAYI ki baato’n se Rokti hai.” [Ba-Hawaala Fataawa Raheemiyah Jild: 6/ Safhah: 384]

Isi tarah Ibraheem (alaihis salaam) Ko Aag me daala gaya to Wo 40 Ya 50 din tak usme rahe aur wo Unki Zindagi ke behtareen dino me se the. [Tafseer Ibn Abi Haatim (rahimahullah)]

ﺍﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﺣﺎﺗﻢ : ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻋﻠﻲ ﺑﻦ ﺍﻟﺤﺴﻴﻦ ، ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻳﻮﺳﻒ ﺑﻦ ﻣﻮﺳﻰ ، ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻣﻬﺮﺍﻥ ، ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺇﺳﻤﺎﻋﻴﻞ ﺑﻦ ﺃﺑﻲ ﺧﺎﻟﺪ ، ﻋﻦ ﺍﻟﻤﻨﻬﺎﻝ ﺑﻦ ﻋﻤﺮﻭ ﻗﺎﻝ : ﺃﺧﺒﺮﺕ ﺃﻥ ﺇﺑﺮﺍﻫﻴﻢ ﺃﻟﻘﻲ ﻓﻲ ﺍﻟﻨﺎﺭ ، ﻓﻘﺎﻝ : ﻛﺎﻥ ﻓﻴﻬﺎ ﺇﻣﺎ ﺧﻤﺴﻴﻦ ﻭﺇﻣﺎ ﺃﺭﺑﻌﻴﻦ ، ﻗﺎﻝ : ﻣﺎ ﻛﻨﺖ ﺃﻳﺎﻣﺎ ﻭﻟﻴﺎﻟﻲ ﻗﻂ ﺃﻃﻴﺐ ﻋﻴﺸﺎ ﺇﺫ ﻛﻨﺖ فيها ، ﻭﺩﺩﺕ ﺃﻥ ﻋﻴﺸﻲ ﻭﺣﻴﺎﺗﻲ ﻛﻠﻬﺎ ﻣﺜﻞ ﻋﻴﺸﻲ ﺇﺫ ﻛﻨﺖ ﻓﻴﻬﺎ .

Yunus (alahis salaam) ko Jab Machhli (Whale) ne ningla to Wo 40 din tak Uske Peit me rahe aur Aayat-e-Kareemah ka wird karte rahe. [Mustadrak Lil Haakim]

ﺃﺧﺒﺮﻧﻲ ﺃﺑﻮ ﺃﺣﻤﺪ ﻣﺤﻤﺪ ﺑﻦ ﺇﺳﺤﺎﻕ ﺍﻟﻌﺪﻝ ، ﺛﻨﺎ ﺃﺣﻤﺪ ﺑﻦ ﻧﺼﺮ ، ﺛﻨﺎ ﻋﻤﺮﻭ ﺑﻦ ﻃﻠﺤﺔ ، ﺛﻨﺎ ﺃﺳﺒﺎﻁ ﺑﻦ ﻧﺼﺮ ، ﻋﻦ ﺍﻟﺴﺪﻱ ، ﻋﻦ ﺃﺑﻲ ﻣﺎﻟﻚ ، ﻋﻦ ﺍﺑﻦ ﻋﺒﺎﺱ ، ﻗﺎﻝ : ” ﻣﻜﺚ ﻳﻮﻧﺲ ﻓﻲ ﺑﻄﻦ ﺍﻟﺤﻮﺕ ﺃﺭﺑﻌﻴﻦ ﻳﻮﻣﺎ .

Hazrat Nooh (alaihis salaam) Jab Kashti me Sawaar hue to 40 din aur raat tak Aasmano se Paani barasta raha.. [Tareekh Tabaari]

ﺣَﺪَّﺛَﻨِﻲ ﺍﻟْﺤَﺎﺭِﺙُ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺍﺑْﻦُ ﺳَﻌْﺪٍ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺃَﺧْﺒَﺮَﻧِﻲ ﻫِﺸَﺎﻡٌ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺃَﺧْﺒَﺮَﻧِﻲ ﺃَﺑِﻲ ، ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﺻَﺎﻟِﺢٍ ، ﻋَﻦِ ﺍﺑْﻦِ ﻋَﺒَّﺎﺱٍ ، ﻗَﺎﻝَ : ﺃَﺭْﺳَﻞَ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﺍﻟْﻤَﻄَﺮَ ﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﻳَﻮْﻣًﺎ ﻭَﺃَﺭْﺑَﻌِﻴﻦَ ﻟَﻴْﻠَﺔً

Is tarah ki be-shumaar Ahadees wa Waqeat se Chillah ki Ahmiyat ka pata chalta hai. Aur Chillah ki Asal Haqeeqat to Allah ta’ala hi behtar Jaante hain..

CHAAR (4) MAHEENE KI SHARA’I HAISIYAT:

Chaar Maheene agar Usool-e-Saheehah ke Mutaabiq Akaabir ki Hidaayat ki Roshni me lagaate hain to Is se Insaani Zindagi me Khaasi Tabdeeliya’n aati hain, Islaami Mizaaj banta hai..

Pehle Chillah se to ZANG door hota hai, Doosre Chillah se RANG aata hai aur Teesre Chillah se DHANG aata hai. 3 Chilley Ya’ni 4 Maheene ki Asar Angeizi..

Insaani Tabiyat par Iske Asraat ka Andaazah Is Aayat-e-Kareemah se bhi hota hai Jis me Insaan ki Ibtidaayi Khalqat ke baare me batlaaya gaya hai: “Dekhiye Jab Nutfah Reham Maadar me Qaraar Pakadta hai to Pehle Chillah me Wo Nutfah ALAQAH (Ya’ni Bandha hua Khoon) banta hai aur Doosre Chillah me MUZGHAH (Gosht ki Boti) aur Teesre Chillah me Is Muzghah ke ba’z Ijza’ ko Haddiyaa’n bana diya jata hai aur In Haddiyo’n par Gosht charhta hai, Phir Iske ba’d (Ya’ni 3 Chillo’n ke ba’d Jiske 4 Maah hote hain) Usme Jaan padti hai. [Tafseer Bayan Al-Qur’an, Surah Mu’minoon: 13-14]

To ma’loom hua ke 4 Maah me Jismaani Takmeel ki tarah agar Usool-e-Saheehah ka Lihaaz ho to Roohani Takmeel bhi hoti hai..

Chaar (4) Maheene ke Haalaat par Asar Andaaz hone ko Is Waqeah ke Zariye bhi Achha samjha ja sakta hai Jo Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ke Daur-e-Khilafat me Peish aaya tha..

Abdur Razzaq ne Ibn Juraij (rahimahullah) se Is Waqeah ko Naqal kiya hai ke farmaate hain ke Mujhe Ek ba-aitemaad Shakhs ne Ye batlaaya hai ke: “Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ko Dauran-e-Gasht Kisi Aurat ki Aawaaz sunaayi di Jo Is tarah Keh rahi thi.. “Raat Kaafi Lambi ho chuki hai, Is ke dono Ufaq bilkul SIYAAH ho gaye aur Is ne mujhe Beidaar kar diya hai. Mera Koi Mehboob Nahi hai ke Jis se Main Khilwaad karoon. Agar Allah ta’ala ka Khauff Daaman Geer Na hota, Is Jaisi Cheez Phir Koi Nahi hoti Phir Iski wajah se Is Taqt ke Chaaro Simt hil jaate.”
Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ne Us se Kaha: Tumhei’n Kya ho gaya hai.?
Usne kaha: Mera Shohar Kayi Maheeno se mere Paas maujood Nahi hai, Mujhe Uski Chaah ho rahi hai. Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ne Kaha: Kya Tum ne Bad-kaari ka Iraadah kiya hai.?
Usne Kaha: Allah ki Panah..!!
Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ne kaha: Apne ooper Qaaboo rakho, Daak Jaane hi waali hai..
Phir Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) Apni Sahabzaadi Ummul Mu’mineen Hazrat Hafsah (raziallahu ta’ala anha) ke Paas Tashreef laaye aur Unse Kehne lage: Main Tumse Apne Ek Aham muamle me Kuch poochna chaahta hoon, Tum Us ke baare me mujhe bataana. Kitni Muddat me Aurat ko Shouhar ki Khwaahish hoti hai.?
Unhoney Apna Sar Neeche Kar liya aur Sharma gayi.
Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anha) ne kaha: Allah ta’la Haqq baat Kehne se Nahi Haya karta.
Unhoney haath ke Ishaarah se 3 Ya 4 Maheene batlaya.
Hazrat Umar (raziallahu ta’ala anhu) ne Ye Tehreer Ravaana ki ke Faujiyo’n ko 4 Maheene se Zyaadah Roke Na rakha Jaaye.” [Kaza Fil Kanz 8/308, Hayaat As-Sahaba, Jild: 1/ Safhah: 601]

Lekin Hairat hai Zakir Naik Jaise Logo’n par. Ek Na-Mahram Aurat ko Jawaab dete hue Maslaki Ta’ssub me Zakir Sahab ne Faislah de diya ke Chillah (40 din) aur (4 Maheene) ki Asal Qur’an wa Ahadees me Nahi hai. Mera Khiyaal hai ke Wo Aurat asal me Jama’t-e-TABLEEGH Jo Be-Deen Logo’n me Islaah ka kaam karti hai ko Badnaam karna chaahti thi..

1. Zakir Sahab! Hum Aap se poochte hain ke Aap Jo Da’wah Courses chalaate hain, Inki Jo Muddat (Time limit) muqarrar karte hain Kya Ye Muddat Qur’an wa Hadees me maujood hai.?

2. Aap Jo Bollywood Heroes ki tarah Apni Entry ke liye Lakho’n balke Croro’n Rupya Logo’n ki di hui Zakaat ke Maal me se Stages per Fuzool Kharch Karte hain. Kya Iski Ijaazat Qur’an wa Hadees me maujood hai.?

3. Kya Madaaris ka maujoodah Nizaam Jisme Waqt ki Paabandi, Imtihaanaat wagherah Jo Ilm-e-Deen ki Nashr ke liye bohat Zaroori samjhe jaate hain. Kya Qur’an wa Hadees me is baare me Koi Sareeh hukm dikha sakte hain.?

Filhaal, Main In 3 Sawaalaat par hi Iktifa karta hoon.

LAMHA-E-FIKRIYAH:
Aakhir me Kehna chahunga ke Aise Kayi Musalman Deihato’n (Villages) me maujood hain Jin ko KALIMAH tak Parhna Nahi aata hai. Balke Mera (Sameer) khud ka Tajrubah hai ke Jab Main pehli baar Jama’t me Nikla to Aise Musalmaan se mulaaqaat hui Jis ko Na to Taoz aur Tasmiyah aate the aur Na hi Kalimah. Jama’t ke saathiyo ne Us Shakhs ko Ilm-e-Deen sikhaane ki gharz se Jama’t me le aaye the.

YAHOOD WA NASAARAH ki MISSIONARIES chand Rupyo’n me aise Logo’n ka Eimaan Khareed rahi hain. Kya In logo’n ke EIMAAN ko bachaane ki MEHNAT ko Be-Jaa aur Jaahilaana Aitrazaat se Badnaam karna Kitna durust hai.?

Allah ta’ala se dua hai ke MASLAKI TA’SUB me doobe Logo’n ke FAREIB se Is Ummat ki Hifaazat farmaaye. Aur Jo Gumrah hain Unhei’n Hidaayat se Nawaaze aur Jo Haqq par hain, Unhei’n
Hameisha Us par Qayem rakhe. (Aameen Summa Aameen)
✅®TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON SURATGUJRATINDIA

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, January 20, 2016

🌺 WhatsApp Par Aap Ke Akhlaq Hi Aap Ka Chehra

🌺 WhatsApp Par Aap Ke Akhlaq Hi Aap Ka Chehra

WhatsApp par ham sab Ajnabi hain, Insaniyat aur Akhlaq ke rishte se bandhe ham log Aik dusre ko kuch nahi de sakte siwaye Izzat o Ehteram ke aur yahi Behtareen Amal hai!

Aap Internet, WhatsApp, Social Sites istemal karte waqt is baat ko kabhi Mat bhulen ke yahan Aap ke Alfaz hi aap ka Chehra hain, yahi Alfaz Aap ke Akhlaqi Muqam ka faisla karenge.

▶ Suljhi hui Guftagu Aap ki Aala tarbiyat aur Akhlaq ko zahir karti hai Jabke.

Buri aur Ghatiya Guftagu is baat ko zahir karegi ke Aap ki Akhlaqi tarbiyat mein kahin koi bahot badi kami rehgayi hai.

Isliye jab bhi Bolo to Accha bolo aur Agar Aap ke paas kuch Accha bolne ko nahi to Khamoshi Ekhtiyar karna bhi Bhalayi hai.

〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🌿join Islamic GrouP🌿
📲+918822238899
〰〰〰〰〰〰〰〰〰
PLEASE SHARE 2 All MUSLIMS
👌🏼👆👌🏼👌🏼👆👌🏼👌🏼👆👌🏼

🔷🔶🔷 DAWAT-E TABLIG 🔶🔷🔶

🔷🔶🔷 DAWAT-E TABLIG 🔶🔷🔶

⭕ Log aaj bhi rotey hy magar apney liye. Ummat k liye roney wala koi nhi
👉(MOLANA ILYAS RH)

⭕Marna to sab ko he, meri mano, 4 maah laga k mar jao.
👉(MOLANA YOUSUF RH)

⭕Zindagi esey guzaro jesey Ramzan, Mot k waqt u mahsoos hoga jesey Eid ka chand.
👉(MOLANA INAM-UL-HASAN RH)

⭕Log kehte hy hukumat badlo Inqelaab aai ga, ham kehte hen DIL badlo Inqelab aai ga
👉(MOLANA TARIQ JAMEEL)

⭕ILM wo nhi jo tumhe doctor banai, ILM wo he jo tumhe ALLAH se milai
👉(MOLANA SAAD)

🌟

11GIYARAHVIH KI NIYAZ

11GIYARAHVIH KI NIYAZ

⭕AAJ KA SAWAL NO.580⭕

11/giyarahvi ki niyaaz khane ki haqiqat kya he?
Kya maaldar aadmi giyarahvi ka khana kha sakta he?
aur garibo ka us daawat me shirkat ka kya hukm he?

🔵JAWAB🔵

kisi bhi islami mahine ki giyarahvi (11) Tarikh ko Mahbube subhani shaikh Abdul qadir jeelani rh. ki niyyat se jo khana pakaya jata he use giyarahvi kehte he.

📗Ikhtilaf e ummat or sirate mustaqeem.hazrat mufti yusuf ludhyani shaheed ra.ki kitab

Agar wo khana hazrat shaikh ke naam ki mannat ka ho to woh haraam hai aur unke naam ki mannat manna shirk hai, mannat sirf Allah ke naam ki hee manna jaiz he. Kisi unche se unche buland rutbah makhlooq ke naam ki mannat manna haraam aur shirk hai aur aisi haraam mannat ka khana khana Maaldar or garib kisi ke liye bhi jaiz nahi.

📘(Shami: 2/128,bahr: 2/298)

Agar hazrat shaikh jeelani rh. ke isaale sawab ki garz se allah ta'la ke naam ki mannat maani ho ya mannat maane bager hazrat shaikh ke isale sawab ke khatir pakaa kar khilaye to aisa khana garib log kha sakte he, maaldar nahin kha sakta,kyun ke mannat ka khana Maaldar ke liye jaiz nahin aur gareebon ko khila kar sadqe ka isale sawab kar sakte he,
Albatta isaale sawab ke khane ke liye koi tarikh or din zaruri samajhna ye bidat aur najaiz hai.

📗Shaami: 1 fatawa mahmudiyah: 10 /98

📗Zubdatul fatawa Gujarati: 1/206,207

By fatawa section

✏MUFTI SIRAAJ CHIKHLI NAWSARI GUJRAT
✅join +918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, January 19, 2016

LIAAN

LIAAN

⭕AAJ KA SAWAL NO.578⭕

AGAR SHOHAR APNE BACHCHE KE BARE ME BIVI SE YE KAHE KE YE BACHCHA MERA NAHI HAI NA MALOOM KIS KA HAI ? YA TUNE ZINA KARAYA HAI TO SHAREEAT ME KYA HUKM HAI ?

🔵JAWAB🔵

🔗MAZKOORAH SURAT ME BIVI QAZI KE PAAS ISLAMI ADALAT ME JAYE AUR IS BAAT KI FARIYAD KARE.FIR QAZI DONON MIYA BIVI KO BULAYE AUR DONON SE QASAM LE SAB SE PEHLE SHOHAR SE LE.SHOHAR IS TARAH QASAM KHAYE KE ,"
ME ALLSH KO GAWAH BANA KAR KEHTA HUN KE ME NE BIVI PAR JO TOHMAT  LAGAI HAI US ME SACHCHA HUN IS TARAH CHAR MARTABA KAHE PANCHWI MARTABAH IS TARAH KAHE KE AGAR ME IS ME JHUTA HUN TO MUJH PAR ALLAH KI LAANAT HO"

🔗FIR BIVI SE BHI CHAR MARTABAH IS TARAH QASM LE KE ,"ME ALLAH KO GAWAH BANAKAR KEHTI HUN KE JO TUHMAT MERA SHOHAR MUJH PAR LAGA RAHA HAI US ME WOH JHUTA HAI"FIR PANCHWI MARTABA YE KAHE KE,"AGAR WOH SACHCHA HO TO MUJH PAR ALLSH KA GAZAB TUTE"

🔗JAB ISTARAH DONO QASAM KHALE TO QAZI DONO KE DARMIYAN JUDAI KAR DEGA AUR TALAQE BAIN PAD JAYEGI YANI IS TARAH NIKAH KHATM HO JAYEGA AUR WOH BACHCHA BAP KA NA KAHLEYEGA BALKE BIVI KE HAWALE KAR DIYA JAYEGA.IS QASMA QASMI KO SHAREEAT ME LIAAN KEHTE HAI.

📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 396

NOT:ISLAMI ADALAT RANDER MADRASAH ME AUR DABHEL MADRASAH ME HAI DOOR KE ILAQE ME JAHAN NA HO WAHAN USE QAIM KARNE KI FIKR KI JAYE

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRAH LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Monday, January 18, 2016

ZIHAAR KA HUKM

ZIHAAR KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.579⭕

KAL ZIHAR KI TAREEF BATAYEE US KA HUKM KYA HAI
BIVI SE KYA DOBARAH NIKAH KARNA PADEGA?

🔵JAWAB🔵

ZIHAAR KARNE (MAA KI TARAH APNE PAR HARAAM KARNE) SE BIVI NIKAH SE TO NAHI NIKLEGI MAGAR BIVI SE SOHBAT KARNA,BOSA LENA,SHAHWAT SE HATH LAGANA YE SAB HARAAM HO JAYEGA JAB TAK KE US KA KAFFARAH ADA NA KARE CHAHE ISEE HALAT ME KITNE HEE SAAL NIKAL JAYE HAN JAB KAFFARAH ADA KAR DEGA TO US KE BAAD DONO MIYA BIVI KI TARAH RAH SAKTE HAI NAYA NIKAH PADHNE KI ZAROORAT NAHI.
US KA KAFFARAH WOHI HAI JO ROZA TODNE KA KAFFARAH HAI.

📗BAHISHTI ZEWAR SAFA 393
✏ IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, January 17, 2016

ZIHAAR

ZIHAAR

⭕AAJ KA SAWAL NO.577⭕

kise ne apni bivi ko maa kaha to kiya hukm hai zihaar to nahi huwa ne? zihaar kise kehte hai jis se nikah par asar padta hai?

🔵JAWAB🔵

🔖Agar kisi ne apni bivi ko kaha ke tu meri maa ke barabar hai ya tu meri maa jaisee hai ya tum to meree maa ho maqsad is se bivi ki buzrugi aur izzat karna ho ya is niyyat se kaha ho ke tu umar me meri maa ke barabar hai to nikah par koi asar nahi pada ya wesee hee bak diya koi niyyat nahi ki to bhi kuchh bhi nahi huwa.

🔖agar is niyyat se kaha ke tu mujh par meri maa ki tarah haraam hai ya is se talaq dene ya chhodne ki niyyat ho to talaqe bain pad jayegi yani ek talaq pad kar nikaah khatm ho jayega.ya us kehne se niyyat ho ke me tujhe talaq to nahi deta magar tu roti kapda le aur yahan padi reh me tujh se sohbat nahi karunga to is se bhi talaqe baain padegi.

📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 392

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

     🌹Farebee Aashiq 🌹

♻🌺🌷

           🌹Farebee Aashiq 🌹

🚫 Aaj kal NavJawaan Ladke Khutut/Letters, SMSes, whatsapp Chat ya Rubaru (Date) mein Bholi-Bhali Ladkiyo ko aisey aisey Chaalaqi wale Alfaaz pesh karke Apnee Jaal mein Fasate hai es liye Ladkiyo ko chahiye ke Aisey Farebee Aashiq se Bachey...

🔴Yad Rahey Ladko ke saath Date par jaana, Phone par Baat karna, whatsApp, facebook ya koi bhi Social Media, Messanger, App par Chat/Guftagu karna, Videos-Photos lena-dena NaaJaiz-Haraam hai aur Dimaag-Dil-Zubaan-Aankh ka Zinaa karne ke Barabur hai !!

🔴Aksar Farebee Aashiq Dauran e Mulaqaat (Date) Jaadu karne ke liye Ladkiyo ke Baal Tod letey hai es liye essey bachey aur Apne whatsApp DP (Display Picture) mein apnee Tasveer Upload Naa karey warna uuske zariye Aap par Jaadugar, Baba, Baapu, Sifli Aameel se Jaadu-Tona-Vashikaran-Muth-Chot-Tratak wagairaah karake Aapko uunke Taabey karke NaaJaiz Piyaar/Love ya Zinaa ke liye bhi Raazi kiya jaa sakta hai...

🔵Hazrat Maulana Yunus Sahab Palanpuri

Saturday, January 16, 2016

Khulaa kisi kehte hai?

KHULAA.

⭕AAJ KA SAWAL NO.576⭕

Khulaa kisi kehte hai?

🔵JAWAB🔵

Agar miya bivi me kisi tarah bhi nibhah na ho aur shohar talaq bhi na deta ho to aurat maal ki lalach dekar kahe ke itne rupiye le le aur meri jaan chhor den ya mahar mera jo tujh se lena baqi hai us ke badle me mujhe chhod de ye sunkar usi majlis me shohar ne kaha tujhe chhod dee to is se talaqe baain pad jati hai yani aysi ek talaq jis se nikah khatm ho jata hai aur bagair nikah ke rujooa-bivi ko wapas lene ka ikhtiyar nahi rehta.

📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 388 MAA TASHIL O IZAFA

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join -+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, January 15, 2016

DUDH SE RISHTEH

DUDH SE RISHTEH

⭕AAJ KA SAWAL NO.575⭕

1.KYA BIVI KE LIYE JAIZ HAI KE KISI KE BACHCHE KO DUDH PILA DE?

2.KITNA DUDH PILANE SE RISHTA SABIT HOTA HAI?

3.DHAI SAAL KE BACHCHE KO DUDH PILANE SE WOH DUDH PILANE WALI BETA BAN JAYEGA?

🔵JAWAB🔵

SHOHAR KI IJAZAT KE BAGAIR DUDH PILANA DURUST NAHI.HAAN AGAR KOI BACHCHA TADAP RAHA HO AUR US KE ZAYEA HO JANE KA DAR HO TO BILA IJAZAT BHI DUDH PILANA JAIZ HAI.
2.KAM DUDH PILAYE YA ZYADAH.EK GHONT BHI PILA DIYA TO BHI RISHTE SABIT HO JAYENGE.
3.DHAI SAAL KE BAAD DUDH PILANE SE KOI BHI RISHTE SABIT NA HONGE NA DUDH PILANEWALI MAA BANEGI NA US KI AWLAD DUDH PINE WALE KE BHAI BAHAN BANENGE.

📗DARSI BAHISHTI ZEWAR 364,365

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, January 14, 2016

🍼RIZAAT-DUDH PILANA

🍼RIZAAT-DUDH PILANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.574⭕

dudh pilane ka kiya hukm hai?
Dudh pilane ki muddat kitne saal hai?
aur maa ke alawah koi dudh pilaye to kon se rishte sabit honge?

🔵JAWAB🔵

maa ke zimme bachche ko dudh pilana wajib hai agar shohar maldar ho aur woh dudh pilanewali aurat ka intizam kar sakta to fir dudh pilana wajib nahi.
dudh pilane ki muddat 2 saal hai.
jo bhi aurat dudh pilayegi woh us ki razaee maa aur us ka shohar razaee bap aur dudh pilanewali ke bete ,beti us ke razaee bhai bahan ban jayenge aur aapas me nikah haraam ho jayega.dudh se woh rishte haraam ho jayenge jo nasab ki wajha se haraam hote hai.

📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 364

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, January 13, 2016

UTRAAN KE DIN KHANA BECHNA.

UTRAAN KE DIN KHANA BECHNA.

⭕AAJ KA SAWAL NO.574⭕

khaas Utraan-patang ke gairon tahawaar ke din masjide aur madrasah ki aamdani ke liye khana bechna aur un paison ko masjid madrasah me istiamal karna kesa hai?

🔵JAWAB🔵

Utraan ke din ka khana becha jayega to is me khareedar har qism ke log honge tehwar mananewale bhi honge aur tehwar na mananewale bhi honge.
rahi baat yeh us khane ko khakar patang udana,gana sunna wagairah gunahon ke kaam karenge to ye un ke apne aamal hai khana bechnewale is ke zimmedar nahi hai isliye us din khana bechne ko na jaiz ya haraam nahi kahenge.
fir bhi usee din khana bechne me un ki us din ki ziyafaton-partiyon (jo khurafat se bhari hoti hai) ki hoslaa afzai hoti hai aur un ki Ronaq me izafa hota hai aur paison ko deenee kaam me istiamal karna hai lihaza us din in logon ko target banakar khana bechna imani hamiyyat aur gairat ke khilaf hai lihaza is se parhez karna behtar hai.

📗FATAWA RAHEEMIYAH 9/195 KARANCHI SE MAKHOOZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA.
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Tuesday, January 12, 2016

MAHAR KI MIQDAR

MAHAR KI MIQDAR

⭕AAJ KA SAWAL NO.573⭕

MAHAR KAM SE KAM KITNA DENA ZARURI HAI AUR ZIYADA SE ZIYADA KITNA AUR BEHTAR MAHAR KITNA HAI?

🔵JAWAB🔵

MAHAR KI KAM SE KAM MIQDAR 31 GRAM CHANDI KI NIKAH KE DIN KI QEEMAT HAI AUR ZIYADA MAHAR DENE KI KOI HAD MUTAIYYAN NAHIN HAI LEKIN BAHOT ZIYADA MAHAR DENA ACHCHHA NAHIN HAI AUR BEHTAR MAHAR, MAHARE FATIMI 1 KILO 531 GRAM CHANDI KI NIKAH KE DIN KI  QEEMAT HAI.

(HAMARE GUJRAT ME SHADI ME JAHAAN SHAREEAT NE NAHIN BATAYA WAHAAN KHUB KHARCH KIYA JATA HAI LEKIN SHAREEAT NE BEHTAR MAHAR MAHARE FATIMI BATAYA WOH AKSAR LOG DENE TAIYYAR NAHI !!)

📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 355 SE   MAKHOOZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Sunday, January 10, 2016

⊙AAP NE KABHI SOCHA  ⊙

❀۞❀                                           
              बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
           ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     ❈❁❈❁❈❁❈❁❈❈❁❈❁❈❁❈❁❈

       ⊙AAP NE KABHI SOCHA  ⊙
                       
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿         

✿ Facebook par Aap ke 5000 dost.....

✿ Twitter par 1000 Dost.

✿ Whatsapp par 500 dost.

✿ Daftar o Karobar mein hath batane wale 50dost..

✿ Mushkil mein kaam aane wale 5 dost.....

"Lekin kabhi socha ke Qabr mein kaam Aane wala "Dost" kon sa hai?"

☞ Qabr ke wahshat naak gadhe mein kaam aane wala dost sirf aik hai jis ka naam "Naik Aa’mal" hai, lehaza jitna ho sake Naik Aa’mal kar ke apni Qabr ki wahshat aur Tanhayi door karne ki koshish karen.
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

ISLAMI SHARI'AT ME PATANG UDANA NA JAIZ KYUN HAI?

🎈PATANG UDANE Ke 2⃣4⃣ NUQSANAT.

⭕AAJ KA SAWAL NO.571

ISLAMI SHARI'AT ME PATANG UDANA NA JAIZ KYUN HAI?

🔵JAWAB🔵

PATANG UDANE KE BAHUT HEE ZIYADA DUNYAWI AUR UKHRAWI NUQSANAT HAI JIS KI WAJAH SE US KA UDANA NA JAIZ HAI.
PATANG UDANE KE 2⃣4⃣ NUQSANAAT NICHE KE MUTABIK HAI.

1.FUZOOL KHARCHI MAAL AUR SALAHIYYAT KA BARBAD KARNA.

2.PATANG KI TARAF NAZAR HONE KI WAJAH SE NICHE GIR KAR MAR JANE YA ZAKHMI HONE KA KHATRA.

3.RAASTE SE GUZARNEWALE KITNE HEE BE-KASOOR INSAANON KE GALE KATE JISKI WAJAH SE MAR GAYE YA SAKHT ZAKHMI HUWE.

4.ZAKHMI HONEWALE MAZLOOMON KI BAD-DUA LAGNA YA MARNEWALON KI BEWA AUR YATEEMON KI BAD-DUAA AUR HAAY LAGNA.

5.KITNE HI MASOOM PARINDE(BIRDS) IS KI DOREE SE KAT KAR MAR JATE HAI YA SAKHT ZAKHMI HOTE HAI.

6.PATANG AKSAR TARRES AUR CHHAT PAR CHADH KAR UDAYI JAATI HAI JIS KI WAJAH SE AASPAAS KE GHARON KI BEPARDAGI AUR BAD NIGAHI HOTI HAI.

7.SHAREEF BA PARDAH AURTON KO KAPADE SUKHANE ME AUR KHIDKI DARWAZE BANDH RAKHNE ME TAKLEEF HOTI HAI.

8.ROAD PAR PATANG LOOTNEWALON KA ACCIDENT HO JATA HAI.

9.GAADI CHALAANE WALE BHI BAAZ MARTABAH IN KI WAJAH SE GAADI KE SATH GIRKAR ZAKHMI HOTE YA UN KI GAADI KA NUQSAN HOTA HAI.

10.GAADI CHALANEWALON KE DARMIYAN ACHANAK DOOREE AANE KE HAR WAQT DAR KI WAJHA SE AUR IN LOOTNEWALON KI WAJAH SE GAADI CHALANE ME TAKLEEF HOTI HAI.

11.MASJID KI JAMAAT BALKE KHUD NAMAZ SE GAFIL HO JATA HAI.

12.PURA DIN PATANG UDANE ME GUZAR NE KI WAJAH SE BADON KI DUKAN AUR NAUKARI KA HARAJ AUR BACHCHON KE MADRASAH KI PADHAI KA NUQSAAN.

13.HAR EK KI NIYYAT DUSRE KA PATANG KATNE KI HONE KI WAJAH SE NUQSAN PAHONCHANE KA GUNAH.

14.JIS KI PATANG KAT GAI US KE DIL ME ADAWAT AUR KEENA AUR US KA PATANG KAAT KAR BADLA LENE KE JAZBAT KA PAIDA HO JANA.

15.SHORGUL,SITIYAN,AUR DJ, KI WAJHA SE AARAM KARNEWALE BIMAR,BUDHE AUR QAYLOOLLAH KARNEWALE NEK BANDON KI NIND ME KHALEL PAHONCHNA.

16.MUSIC AUR GANA SUNNE AUR SUNNA NA CHAHNEWALON KO SUNANE KA GUNAH HONA.

17.NAMAZ KE WAQT BHI ZOR SE D.J.BAJNE KI WAJAH SE IMAM KI QIRAAT AUR MUSALLIYON KI NAMAZ ME KHALEL WAWIA HONA.

18.KAI DIN TAK DHUP ME  PATANG UDANE KI WAJHA SE JISMANI RANG AUR ANKHON KIROSHNI PAR ASAR PADNA.

19.GAIRON KI MUSHABAHAT-COPY HONE KI WAJHA SE QAYAMAT ME UN KE SATH HASHR HONA-UN HEE ME SHUMAR HONA.

20.PATANG LOOTNE KA GUNAH.

21. US KI DORI TOD KAR CHURANE KA GUNAH.

22.AISE FUZOOL KAAM JIS ME DUNYA AKHIRAT KA KOI NAFA NAHI QEEMTI WAQT ZAYEA KARNA.

23.GAIRON KE IS TEHWAR KO ACHCHA SAMJHNE AUR IN GUNAHON PAR KHUSH HONE WAJAH SE IMAAN KE BARBAD HONE AUR  KAFIR HON JANE KA KHATRA.

24.MAUT KA KOI WAQT TAY NAHI GAIRON KA TEHWAR AUR IN TAMAM GUNAHON KO KARTE KARTE ACHANAK MAUT AA GAI TO KHATMA BURA HO JANA.

IS MSG KO KHUB FORWAD KARE APNE GHARWALON KO SUNAYE AUR PATANG KI LANAT SE KHUD BACHE AUR APNE BACHCHON KO KHAAS BACHAYE BACHPAN HEE SE IS SE NAFRAT DILAYE.

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join +918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Saturday, January 9, 2016

MUSTAHAB KISE KEHTE HE??AUR KITNE HAI?

MUSTAHAB
⭕AAJ KA SAWAL NO.571⭕

MUSTAHAB KISE KEHTE HE??AUR KITNE HAI?

🔵JAWAB🔵

Mustahab woh kam he jis ke nabi (ﷺ) ne ya ap ke sahaba ​RADEEYALLAHU ANHUM ne kiya ho ya usko achha samja ho. lakin usko hamesha na kiya ho, balke kabhi kiya ho kabhi chhod diya ho.isko nafal bhi kehte hai.

uska hukam:- karna par sawab he or na karne me kucch gunah nahi.

📓Makhuz aaz Umdatul fikah-1/90

👉🏻Wuzu ke 18 Mustahabbat:-

1) wuzu karne ke liye kisi unche maqam par bethna take isteml kiya huva pani jism par or kapdo par na  pade.
2) wuzu karte vaqt qibla rukh hokar bethna.
3) aek jagah par wuzu karna.
4) wuzu kanne me kisi se maadad na lena.yaani dusre shakhs se a'aza e wuzu na dhulvana.(jab ke koi mazuri ya majboori na ho) balke khud hi dhona. agar koi dusra shakhs pani dalta jave or wuzu ke a'aza khud hi dhoye to koi harj nahi.
5) a'azako dhona jaha tak farz ya vajib he, us se zyadah dhona take un muqarrarah hudud tak dhul jane ka yaqeen ho jaye. jese  dono hatho ka adhe bazuo tak or dono pau ka adhi pindali tak dhona.
6) Dahne hath se kulli karna or nak me pani dalna or nak ko baye (ulte) hath se saf karna.
7) dhili anguthi vagerah ko harkat dena  take jism tak pani achhi tarah pahonch jaye.
8) shardi ke mosam me a'aza ko dhone se pahele (tel malne ki tarah) un par gila hath ferna. fir pani bahana.
9) monh dhote vaqt upar ki taraf se niche ki taraf pani dalna or hath pero ko dhote vaqt ungaliyo ki taraf se shuru karna. bazo ne sunnat bhi kaha he.(nal ki niche hath dhote vaqt aksar log kohniyo ki taraf se dhote he aesa karna galat he.)
10) kan ka masah karte vaqt chhoti ungli ka kan ke surakh me dalna.
11) per dhote vaqt dahne hath se pani dalna or baye hath se malna.
12) Har uzva dhote vaqt char chize
(1) Bismillah,
(2) kalma e shahadat, (3)Dua,
(4) Durud sharif padhna. in mese kisi ek ka bhi pdh lena kafi he.
13) wuzu ke bad shalvar lungi vagera par (age ke hissa me ) pani chhidakna.
14) wuzu ke bache huve pani ko khade hokar pina.
15) wuzu ke bad qibla rukh hokar kalmah e shahadat padhna
16) Ger mazur ka namaz ke vaqt se pahele wuzu kar lena
17) wuzu ke darmiyan or bad ki dua padhna
18) Agar makruh vaqt na ho to 2 rakat tahyatul wuzu padhna.

📙Nurul izah-35,
📓Wuzu ke masail-58,59
📒Umdatul fiqah-120
✏AMLAHU IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join - +919408443569
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Friday, January 8, 2016

GAIRON KI KITAB AUR, MAZAMEEN PARHNA

GAIRON KI KITAB AUR, MAZAMEEN PARHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.570⭕

Gair muslim ki mazhabi kitab un ki mazhabi article-lekh parhna kesa hai?

🔵JAWAB🔵

Gair muslim ki koi bhi mazhabi kitab parhna jaiz nahi yahan tak ke hazrat moosa alayhis salam par naazil hone wali abhi ki tauraat aur hazrat isaa alayhis salam par naazil hone wali ab ki injeel tak parhne ki ijazat khud  nabie kareem salallahu alayhi wasallam ne hazrat umar radee allahu anhu jaisee samjhdaar shakhsiyyat jin ki raay par quraan ki aayaten naazil hui thi nahin dee, balke hadees me aata hai ke jab woh huzoor salallahu alayhi wasallam ki mavjoodgi me taurat parhne lage to huzoor salallahu alayhi wasallam ka chehrah gusse ke mare aisa surkh-laal ho gaya jaisa ke anaar ke daane nichod diye gaye ho aur woh to padhte ja rahe the hazrat abu bakr radee allahu anhu ke tawajjuh dilane ruke aur allah aur us ke rasool ke gusse se panah ki duaa mangi tab jakar huzoor salallahu alayhi wasallam ka gussa thanda huwa.
Huzur salallahu alayhi wasallam ne farmaya agar moosa alayhi salaam khud bhi mavjood hote to un ko bhi meri pairawi ke bagair chaara na tha.

📗(KHULASAH E HADISE MISHKAT)

kyun ke Qur'an ke alawah koi bhi kitab galtiyon se paak nahin tamaam aasmani kitab me tahreef -chenges ho chuka hai.agar taurat me koi badli hui galat baat aa jati to huzur sallallahu alayhi wasalla ke samne hi hazrat umar rd. padh rahe the huzoor salallahu alayhi wasallam bataure ustaaz galaty bataa dete fir bhi huzoor salallahu alayhi wasallam ko ye gawarah nahin hua ke Qur'an jaisi har shobe-fild me mukammal rahnumai karne wali allah ki kitab maujood hai aur uska rasool me khud maujood hun fir dusre mazhab ki kitab ko kiyun dekha!

Aur ummat ko bhi sabaq dena tha ke jab hamare agle nabiyon ki allah ki bheji huyi  kitab parhne ki bhi ab ijazat nahin to insano ki likhi hui mahabharat, gita,baibal wagairah gairon ki mazhabi purtiyan-artical padhne ki kaise ijazat ho sakti hai.
hamare pass huzoor salallahu alayhi wasalla ki lakhon ahaadis bhi aajtak mahfooz hai us me dunya aakhirat ki bhalai aur guidance-kaamyabi maujood hai, dusre ki likhi hui mazhabi cheezen jin me ye sifat-fayde nahin use kyun dekhe!

Gair qaum ki mazhabi kitab padhne se imaan kamzor hota hai.imaani aqeedon ke khilaf shaytani waswase paida hote hai yahan tak ke aadmi ke gumrah hone ka bhi khatrah hai lihaza na khud kisi ki mazhabi kitab- artical-lekh padho na apne bachchon ko padhne do.yeh chizen padhna gunah hai.


IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Thursday, January 7, 2016

OVER TIME KI TANKHA

OVER TIME KI TANKHA

⭕AAJ KA SAWAL NO.568⭕

Dukan ke shuru hote waqt Kaam walo ke liye Kaam ka waqt mutayyan kiya gaya magar us per Sakhti se Pabandi nahi hai.
Dukan ka Malik Kam waqt kaam karne per bhi Naukro ko wahi Tankhwah deta hai aur Overtime karne per bhi utni hi Tankhwah deta hai....
To aisi Tankhwah ka kya hukm hai...?

🔵JAWAB🔵

Pure maheene jitna waqt late aate hai utna hee ya us se kam waqt over time kar ke waqt ki kami ko pura kar dete hai to tankhwah ziyada dene ki zaroorat nahi hai aur kami ko pura nahi karta to malik ko late aane ke time ka paise na katne ka ikhtiyar hai.
agar over time ka hisab late time se badh jata hai to over time ki tankhwah deni chahiye.
fir bhi kaam ke waqt time par nahi aaya to jis tarah malik apna mutalabah chhod deta hai isee tarah over time karne ki tankhwah ka mutalaba naukar ko bhi chhod dena chahiye dono apne apne haq ke mulalabah ko dili razamandi se darguzar karna chahiye.

📗MAKHOOZ AZ HUQOOWUL IBAD

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
🚹join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

🎈BACHO AUR BACHAAO PATANG UDANE KI SHURUAAT

🎈BACHO AUR BACHAAO

PATANG UDANE KI SHURUAAT

SAN ISVI 1759 KE DAURAAN PANJAAB KE GOVERNOR ZAKARIYA KHAN THE, UNKE WAQT ME SIYAALCOAT KE EK GAIR MUSLIM KHATRIMAL RAI KE BETEY HAQIQAT RAI NE HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM AUR HAZ.FAATIMAH RD.KI SHAAN ME BURE BURE  KALIMAAT KAHE, BURA BHALA KAHAA.
BIL AAKHIR IS JURM KI JAANCH KE BAAD US GUSTAAKH KO KODE MAARE GAYE AUR SUTOON KE SAATH BAANDH KAR USKI GARDAN MAAR DI, US GUSTAAKH KI YAAD ME WAHAAN KE GAIR MUSLIMO NE EK MAZAAR (QABR) TAIYAAR KI AUR HAR SAAL WAHAAN PER IS DIN JASHN MANAAYA JAANE LAGAA.AUR AAHISTA AAHISTA WAHAAN IS DIN MELA LAGNE LAGAA.

ISI MELE MESE SABSE PEHLI PATANG UDAAYI GAYI AUR YEH DIN AB TYOHAAR KU SHAKAL BAN GAYA HE.

AY NABI SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KE CHAHNE WALO NABI KI BE-IZZATI KARNE WALE KI YAAD ME SAB SE PEHLE PATANG UDAAYI GAYI TAB SE YEH TYOHAAR HINDUSTAN AUR PAKISTAN ME MANAAYA JAANE LAGAA IS BAAT KA IQRAAR HINDUSTAN KE MUARRIKHIN (ITIHAAS KE LIKHNE WALO) NE KIYA HE.

📘NAWJAWAAN TABAAHI KE DAAHINE PER
PANJAAB KI TAARIKH DOCTOR B.S.  SAFAA-279
JO PARANG UDATA HAI WOH GUSTAKHE RASOOL SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KI YAAD TAZAH KARTA HAI AUR PATANG UDAKAR US GUSTAKH KI GUSTAKHI PAR KHUSHI MANANE WALON KI PERWI KARTE HAIN
MERE MUSALMAN BHAIYON KIYA GUSTAKHE RASOOL KE JASHAN ME SHAREEK HONE KI HAME HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KI MUHABBAT AUR UN PAR IMAN IJAZAT DETA HAI?

®TASDEEQ WA IZAFA
IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

Wednesday, January 6, 2016

🔖ISTEMAL SHUDA TICKET DOBARAH USE KARNA

🔖ISTEMAL SHUDA TICKET DOBARAH USE KARNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.568⭕

DAK KHANA-POST OFFICE KI TICKET PAR AGAR MOHAR-SIKKA MARNE KA REH GAYA HO AUR WOH EK BAR ISTIAMAL HO CHUKI HO TO DOBARAH ISTIAMAL KARNA KESA HAI?

🔷JAWAB🔷

AESEE TICKET DOBARAH ISTIAMAL KARNA JAIZ NAHI.

📗HUQOOQUL IBAAD SAFA 69
BA HAWALA HUSNUL AZEEZ  3/120

✏ IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
🚹join_+918822238899
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...